Jab Ali Akbar a.s Sa Beta Shah Ko Rab Ne Diya
Is Ata-e-Kibriya Par Karbala Ney Di Sadaa
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Uska Maatha Choomti Thin Umme Laila s.a Bar Bar
Uska Chehra Dekh Kar Kehti Thin Aey Parwardigar
Ye Bahar-e-Zindagi Hai Ye Merey Ghar Ki Bahaar
Ye Meri Pehli Tammana Ye Merey Dil Ka Qaraar
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Kaali Dori Bandhti Nanhi Kalaai Mein Kabhi
Nanhey Seeney Par Kabhi Karti Thin Dam Naad-e-Ali a.s
Kehti Thi Murjhaaye Na Moula Merey Dil Ki Kali
Ye Dil-e-Shabbir a.s Ye Hai Hamaari Zindagi
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Ghutniyo Chalney Laga Jiss Waqt Unka Sheerkhuwaar
Saaf Kartin Apney Aanchal Se Wo Uski Reh Guzaar
Aey Khuda Na Khaasta Chubh Jaaye Na Bachey Ki Khaar
Chaltey Chaltey Jab Wo Thakta Pusht Pe Kartin Sawaar
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Khair Se jab Umr Bhar Kar Uski is Kabil Hui
Jis me Gehwaarey ki Khuwahish Ho Na Maan Ki Goud ki
Bachpana Rukhsat Talab Ho Aur Shabab Aamed Ghari
Jab Jawaani Aa Rahi ho Aur Masseyn Hon Bheegti
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Sab Fanoon-e-Harb Sikhlatey They Abbas-e-Jari a.s
Sehan Mein Kursi Bichha Kar Maan Bhi Aksar Dekhti
Mashk Ke Doraan Ek Din Yunhi Nezey ki Anni
Choo Gayi Seeney Se Laila s.a Par Ghashi Taari Hui
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Aik Wo Din Tha ke Jab Barchhi Zara See Chubh Gai
Umme Laila s.a Kaanp Uthhin Aur Ghashi Taari Hui
Aik Ye Din Hai Mayaan-e-Karbala Dekhey Koi
Hai Jigar Ke Paar Naiza Aur Maan Hai Dekhti
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Kya Khabar Thi Umme Laila s.a Ko Wo Din Bhi Aayega
Beyaah Ka Armaan Dil Ka Dil Mein Hi Reh Jaayega
Laash-e-Qasim a.s Ki Tarha Tukro'n Me Dil Bat Jaayega
Noujawaan Ki Laash Par Sehra Sajaaya Jaayega
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Umme Laila s.a Dil Sambhaalo Arsh Se Aayi Sadaa
Barchhiyo'n Ki Simt Jaata Hai Tumhara Meh Laqaa
Yun Karo Rukhsat Ke Jaisey Ho Sama Baaraat Ka
Khaak Mein Mil Jaayegi Lalila s.a Shabih-e-Mustafa s.a.w.w
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Kiss Tarah Rehan Ho Uss Guftagu Ka Ab Bayaan
Auratain Jab Sham Ki Kehti Theen Le Kar Siskiyaan
Jiss Jawaan Ka Nok-e-Niaza Per Sar Ayaan
Uss Jawaan Se Pehley Ya Rab Mar Gai Ho Usski Maan
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Leave A Comment

Audio Albums

  • 2022

    Hazrat Imam Hussain (Alaihis Salam)

  • 2021

    Syed Badshah

  • 2020

    Salam Hussain

  • 2019

    Janum Ya Hussain

  • 2018

    Azadar

  • 2017

    Karbala Mashallah

  • 2016

    Badshah Hussian

  • 2015

    Bismillah