Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barhawen Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barhawen Imam
Chal Rahi Hain Zulm O Jabar Ki Muheeb Andhian
Gir Rahi Hai Mominon Ky Qalb O Jaan Py Bijlian
Uth Rahi Hain Deen E Mustafa Ki Simt Unglian
Hujjat E Khuda Hain Ap Jee Ko Dijiye Amaan
Har Qadam Py Ab To Aik Karbala Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Har Baras Areezay Maoj Ky Sapurd Kar Chuky
Zakhm E Intezar Sy Jigar Hamaray Bhar Chuky
Kitnay Log Jee Rahy Hain Kitnay Log Mar Chuky
Zabt Ky Tamam Raston Sy Hum Guzar Chuky
Lab Py Ap Ky Zahoor Ki Dua Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Choda So Baras Sy Zulm Seh Rahy Hain Ya Imam
Raz E Karbala Har Ek Sy Kar Rahy Hain Ya Imam
Sheh Ky Gham Mein Ashk Ab Bhi Beh Rahy Hain Ya Imam
Zulm Ky Muqably Py Dat Gaye Hain Ya Imam
Ap Ka Jo Dil Ko Aik Hosla Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Jad Hain Ap Ky Ali Ali Hain Shair E Kibriya
Seerat E Batool Kya Hai Ap Ka Hai Madrisa
Dars E Sabr Ap Ny Hussain Hi Sy Hai Liya
Khatma Karen Gy Aa Ky Ap Zulm O Jabr Ka
Sath Aap Ky Dua E Sayeda Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Ghaib Par Yaqeen Nahi Jisy Woh Munkir E Khuda
Jis Ko Ghaib Par Yaqeen Wohi Parhy Ga La Ilaa
La Ilaha Parh Ky Ho Gya Rasool Ashna
Jo Rasool Ashna Hai Woh Muhib Hai Ap Ka
Yeh Nabi Ka Aur Khuda Ka Faisla Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Aik Do Nahi Kai Jawan Shaheed Ho Gaye
Karbala E Asar Mein Sitam Mazeed Ho Gaye
Zulm Ky Tamam Silsilay Shadeed Ho Gaye
Pairoo E Yazeed Aj Phir Yazeed Ho Gaye
Aap Ka Hussainiyon Ko Aasra Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Maon Ny Pisar Behan Ny Bhai Nasr Kar Diye
Bachay Bhi Yateem Huye Suhaag Bhi Ujarh Gaye
Baap Ny Gham E Hussain Mein Lahoo Jigar Kiye
Jari Aaj Bhi Hain Majlis E Aza Ky Silsilay
Aaiye Keh Panjatan Ka Wasta Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Lash Jab Hussain Ny Uthai Thi Jawan Ki
Qabr Jab Banai Thi Sagheer E Bey Zubaan Ki
Ankh Num Hui Thi Jab Zameen O Aasman Ki
Yad Hain Wohi Gharhi Hussaini Imtehan Ki
Apna Gham Isi Sabab Bhula Diya Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Assalam Alaika Ya Imam E Asar E Waz Zaman
Al Aman Al Aman Ay Imam E Ins O Jaan
Al Ajal Al Ajal Ay Shareekatul Quran
Ap Ky Zahoor Ka Muntazir Tha Yeh Jahan
Sarwar O Rehan Ki Bhi Yeh Sada Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Audio Albums
In this album
More Videos