Lo Ho Gai Rihai Lo Qafila Chala
Sar Jab Har Ek Shaheed Ka Sajjad Ko Mila
Tab Marqad E Sakina Py Sajjad Ny Kaha
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Baba Tumhara Aya Gaya Waqt Neend Ka
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Seeny Py Sony Wali Matti Py So Gai
Baba Ko Roty Roty Jo Khamosh Ho Gai
Ro Ro Ky Maan Ny Qabr E Sakina Py Yeh Kaha
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Bibi Karo Salam Adab Ka Maqam Hai
Bibi Tery Sarhany Shah E Tishna Gaam Hai
Ay Jaan Jaldi Badlo Yeh Kurta Phata Hua
Jaag Sakina Jag Baba Ka Sar Aaya

Baba Ko Dhundti Thi Sakina Utho Utho
Raton Ko Jagti Thi Sakina Utho Utho
Lo Aa Gaye Hain Baba Ay Jaan Jaag Ja
Jag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya

Baba Ky Pas Sona Na Sona Zameen Par
Rakho Labon Ko Lab Par Jabeen Ko Jabeen Par
Ahdaa Ki Ghurhkion Ka Zamana Guzar Gaya
Jag Sakina Jag Baba Ka Sar Aya

Paigham Roz Deti Thi Ammu Ky Naam Tum
Roti Thi Yad Kar Ky Unhen Subh O Sham Tum
Jago Ky Ja Rahy Hain Jahan Soty Hain Chacha
Jag Sakina Jag Baba Ka Sar Aya

Kis Tarha Soi Bali Sakina Na Poochiye
Ranj O Alam Sy Phat’ta Hai Seena Na Poochiye
Jaagi Na Phir Kabhi Woh Bahut Maan Ny Di Sada
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya

Sadiyan Guzar Gai Hain Magar Sarwar O Rehan
Zindaan E Sham Roye To Rota Hai Aasman
Ab Bhi Pukarty Hain Yehi Shah E Karbala
Jag Sakina Jag Baba Ka Sir Aya

Leave A Comment

Audio Albums

  • 2022

    Hazrat Imam Hussain (Alaihis Salam)

  • 2021

    Syed Badshah

  • 2020

    Salam Hussain

  • 2019

    Janum Ya Hussain

  • 2018

    Azadar

  • 2017

    Karbala Mashallah

  • 2016

    Badshah Hussian

  • 2015

    Bismillah