Zuljenah Zuljenah (x4)

Kya Hua Baba Ko Mery Zuljenah
Ashk Kiun Behty Hain Tery Zuljenah
Dasht Mein Pahuncha Dy Mujhy Zuljenah
Khair Ho Allah Kary Zuljenah

Chehry Py Kis Ka Hai Lahoo Kya Hua Zuljenah
Ati Hai Kiun Khoon Ki Boo Yeh Bata Zuljenah
Zakhmi Hua Kis Liye Sar Ko Utha Zuljenah
Bol Kahan Reh Gaya Baba Mera Zuljenah

Hilti Hai Kiun Ran Ki Musalsal Zameen Zuljenah
Hoti Hai Dadi Bhi Wahin Par Kahin Zuljenah
Jana Hai Jaldi Mujhy Un Ky Qareeb Zuljenah
Pas Mery Ab To Chacha Bhi Nahi Zuljenah

Share This Lyrics, Choose Your Platform!