Dayin Hassan Bayin Jari Pushat Panahi Ko Nabi
Sar Pe Khuda Wande Jari Seens Par Zehra Ali
Mere Mola Ko Mayasar Hai Khazana Kaisa
In Ka Rutbah Hai Imamo Main Shahana Kaisa
Kaise Kaise Hain Naseebo Main Aujale In Ke
Mere Aaqa Ko Mila Hai Ye Ghrana Kaisa
Marhaba Marhaba Mustafa Ki Baat Main
Ba Khuda Ba Khuda Sari Kainat Main
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Lakhon Darood Aap Pe Lakhon Salam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah Ne Kya Khub Sawara Hai
Sarkar Ke Aagan Main Utara Hai
Har Koom Ki Ankhon Ka Sitara Hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Zinda Hai Hussain Us Ka Hai Kirdar Bhi Zinda
Kirdar Jo Zinda Hai To Maiyar Bhi Zinda
Maiyar Jo Zinda Hai To Afkar Bhi Zinda
Afkar Jo Zinda To Azadar Bhi Zinda
Ibtida Ibtida Mustafa Ke Doosh Par
Inteha Inteha Neze Par Buland Sar
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Qadam Qadam Nagar Nagar Ya Hussain
Dillam Dillam Nazar Nazar Ya Hussain
Sada Ka To Ki Rahguzr Ya Hussain
Kaho Kaho Ba Chashme Dar Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Tarikh Mai Iss Jaisa Na Insan Mile Ga
Aisa Na Koi Aashike Rahman Mile Ga
Na Aasa Koi Shah E Shahidan Mile Ga
Na Aasa Koi Sabar Ka Sultan Mile Ga
La Ilah La Ilah La Ilah Ka Pasiban
Deen Panah Deen Panah Mustafa Ka Tarjuma
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah Ne Kya Khub Sawara Hai
Sarkar Ke Aagan Main Utara Hai
Har Koom Ki Ankhon Ka Sitara Hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Har Dil Main Ghame Syede Abrar Mile Ga
Har Door Main Mazloom Ka Gham Khar Mile Ga
Har Koum Main Shabbir Ka Zawar Mile Ga
Har Mulk Main Moula Ka Azadar Mile Ga
Har Jgha Har Jgha Momino Ke Darmiya
Hai Sada Hai Sada Dharkano Ke Darmiya
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Qadam Qadam Nagar Nagar Ya Hussain
Dillam Dillam Nazar Nazar Ya Hussain
Sada Ka To Ki Rahguzr Ya Hussain
Kaho Kaho Ba Chashme Dar Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Hathon Main Alam Thamy Wo Aata Hai Azadar
Haan Majlis O Matam Main Hi Rehta Hai Azadar
Maa Baap Hussaini Hon To Banta Hai Azadar
Maula Ye Tumhara Hai Tumhara Hai Azadar
Silsila Silsila Ye Aza Ka Silsila
Rabta Rabta Karbala Se Rabta
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah Ne Kya Khub Sawara Hai
Sarkar Ke Aagan Main Utara Hai
Har Koom Ki Ankhon Ka Sitara Hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Shabbir Ka Dil Dekhe Zara Dekhe Zamana
Wallah Kaha Tha Jo Wohi Kar Ke Dikhaya
Khush Nodi E Khaliq Main Bhare Ghar Ko Lutaya
Neze Pe Bhi Aaya To Usi Shan Se Aaya
Badshah Badshah Hai Dilon Ka Badshah
Chha Gaya Chha Gaya Do Jahan Pe Chha Gaya
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Qadam Qadam Nagar Nagar Ya Hussain
Dillam Dillam Nazar Nazar Ya Hussain
Sada Ka To Ki Rahguzr Ya Hussain
Kaho Kaho Ba Chashme Dar Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Kis Shan Se Maqtal Main Qadam Rakhta Hai Shabbir
Kab Jane Ki Parwah Kiya Karta Hai Shabbir
Darta Hai Na Jhukta Hai Na Ghabrata Hai Shabbir
Lakhon Bhi Mukhlif Hon To Sach Kehta Hai Shabbir
Honsla Honsla Shah E Deen Ka Honsla
Sun Sada Sun Sada Do Jahan KI Hai Sada
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah Ne Kya Khub Sawara Hai
Sarkar Ke Aagan Main Utara Hai
Har Koom Ki Ankhon Ka Sitara Hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Haan Aao Kare Ham Sheh E Abrar Ka Matam
Islam Ke Mohsin Ka Madad Gaar Ka Matam
Asghar Ali Akbar Ka Aur Ansar Ka Matam
Zainab Ka Sakina Ka Alam Daar Ka Matam
Bekhata Bekhata Hai Gharib E Syeda
Hai Bapa Hai Bapa Tera Gham Jagah Jagah
Ghunj Raha Hai Bas Aik Naam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Dayin Hassan Bayin Jari Pushat Panahi Ko Nabi
Sar Pe Khuda Wande Jari Seense Par Zehra Ali
Dayin Hassan Bayin Jari Pushat Panahi Ko Nabi
Sar Pe Khuda Wande Jari Seens Par Zehra Ali
Hazrat Imam Hussain Hussain
Haye Shah E Mashraqen
Aye Dil E Zehra Ke Chen
Han Mere Mola Hussain
Hazrat Imam Hussain Hussain
Aali Maqam Hussain Hussain
Tum Pe Salam Hussain Hussain
Hazrat Imam Hussain Hussain
Haye Shah E Karbala
Aap Ka Ghar Lut Gaye
Wada Wafa Kar Diya
Hazrat Imam Hussain Hussain
Shah E Zaman Hussain Hussain
Zakhmi Badan Hussain Hussain
Tishna Dahan Hussain Hussain
Hazrat Imam Hussain Hussain
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aaj Bhi Iss Bekasi Par Ro Rahi Hai Karbala.
Alqama Behti Rahi Our Qafila Pyasa Raha.
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka.
Aye Nehar-e-Alqama Tera Mehman Tha Hussain.
Kyun Tere Pas Reh Ke Bhi Oss Ko Mila Na Chain.
Tujh Se Hai Yeh Gila Aye Nehar-e-Alqama.
Khaimay They Ahl-e-Bait Ke Kitne Tere Qareeb.
Pyasay Hi Tere Samne Woh Mar Gaye Ghareeb.
Roti Thi Karbala Aye Nehar-e-Alqama.
Mashkeza Jis Ke Hath Mein Tha Doosh Par Alam.
Sahil Pe Tere Aaye They Abbas Ke Qadam.
Rutba Tujhe Mila Aye Nehar-e-Alqama.
Sokhi Pari Thi Mashk-e-Sakina Tarai Mein.
Do Bond Pani Kya Na Tha Sari Khudai Mein.
Haye Tu Ne Yeh Kya Kiya Aye Nehar-e-Alqama.
Ik Bekasi Si Ahl-e-Haram Par Tamam Thi.
Kitni Udas Sham-e-Ghareebaan Ki Sham Thi.
Aye Wa Musibata Aye Nehar-e-Alqama.
Nohon Mein Hain Jo Tazkira-e-Alqama :HILAL:.
Charon Taraf Hai Aaj Bhi Ik Matam-e-Malal.
Jari Hai Yeh Azza Aye Nehar-e-Alqama.
Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila
“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki sawari jaati hai.
“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai ×2
Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai
Hum shakl e Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,
Hum shakle Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,
dil baap ka dooba jaata hai,
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Akbar ki sawaari jaati hai
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai
18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,
18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,
Gulshan hai ujda Zainab ka ×2
Akabar ki sawari jaati hai.
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki sawari jaati hai.
“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai
Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar,
Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar
Qadmoñ se lipti masooma ×2
Akbar sawari jaati hai.
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai
Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi,
Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi, ×2
Use kaise batayeñ ye baba ×2
Akbar ki sawari jaati hai
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai
“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawari jaati hai.
Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha,
Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha, ×2
Afsos na raas aaya sehra ×2
Akbar sawari jaati hai.
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai
Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi,
Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi, ×2
Maadar ke laboñ par hai nauha ×2
Akbar ki saawari jaati hai
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai
“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki saawari jaati hai.
Jaao Akbar, jaao Akbar
Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar,
Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar, ×2
Deta hai sada boodha baba ×2
Akbar ki saawari jaati.
Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai
“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki saawari jaati hai.
Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila
Ye kaun hai? Falak sara larazta hai !
Ye kaun hai? Zameeñ ka dil dhaDakta hai !
Alam Bardar Aata Hai!
Alam Bardar Aata Hai!
Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e Karrar aata hai
Alam Bardar Aata Hai
Alam Bardar Aata Hai
Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e Karrar aata hai.
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Falak sara larazta hai, Zameeñ ka dil dhadakta hai
Fazaan me shor barpa hai, adooñ ka dam nikalta hai.
Jari ye kaun aata hai, alam kaise ubharta hai
Yazidi fauj me halchal, diloñ pe khauf chhaya hai.
Ye lagta hai ke jaise Haider e Karrar aata hai.
Alam-Bardar Aata Hai
Alam-Bardar Aata Hai
Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Haañ..
Jo thi Karrar ki haibat wohi Abbas ki haibat
Khuda ke sher jaisi hai Ali ke Sher ki taqat.
Wohi chehra wohi seerat, wohi jazba wohi jurrat
Abhi aaya nahi lekin aduñ pe chha gayi dahshat.
Misaal e laa fatah Shabbir ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Haañ..
Abhi ye shor barpa tha, ke gooñja Haideri naara
Misaal e laa fatah, Ghazi achanak samne aaya
Mujhe Abbas kehte hain, jari Lalkaar kar bola
Alamdar e Hussaini hooñ, Ghulam e Sayyad e Waala
Sada deta hua ye Ghazi e Jarrar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Yahañ tanha Dil e Haider wahañ lakhon jafa paikar
Yahañ bus haath me naiza Wahañ Tegh o Sina khanzar.
Yahañ sookha hai mashkeeza wahañ sairaab hai lashkar
Yahañ shauq e shahadat hai wahañ sahuqeen e maal o zar.
Muqabil marhaboñ ke Sahib e Kidar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Haañ..
Adu se chheen kar dariya Alam Abbas ne gada
Yazidi fauj me us dam achanak shor ye uttha.
Are bhaago tarayi se Ali aaya Ali aaya
Phir uske baad dariya par faqat Ghazi nazar aaya.
Jafa-kaaroñ meiñ bankar maut ki lalkar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Haañ..
Bhara jis waqt mashkeeza, bada yaad aayi Masooma
Liye paan soo e khaima chala saqqa Sakina ka.
Badha jab gird Ghazi ke yazidi fauj ka halqa
Kaha Abbas ne dil me Sakina tum na ghabrana.
Abhi lekar ye mashkeeza tera Gham-Khwar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai.
Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Haaye..
Alam Ghazi dilawar ka jab uske khoon meiñ dooba
Bureeda baazuoñ wala na mashkeeza bacha paya.
Tadapta khaak per dekha jo Shah ne bhai ka laasha
Wafa ko naaz hai tujh par Pukaare Saiyad E Wala.
Khudaya paas ab tere, mera salar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai
Ye kaun hai? Abbas, Alamdar e Hussain
Ye kaun hai? Abbas, Alamdar e Hussain
Ye kaun hai? Abbas, Alamdar e Hussain
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Ye Karwan Hai Ahle Aza ka
Ye Karwan Hai Karbobala Ka
Sar Pe Alam Hai Shaahe Wafa Ka
Ye Silsila Hai Sabro Riza Ka
Jab Tak Ye Dum Ho
Maula Ka Gham Ho
Gham Ye Na Kam Ho
Har Aankh Nam Ho.
Mujhko Alam Ho Pasbañ
Chalta Rahe Ye Karwañ.
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.
Is Karwan Ka Hussain Rahbar
Shamil Hain Is Me Shaikeñ Bahattar
Jinno Malak Bhi Chalte Hain Milkar
Shamil Hain Hum Bhi Adan Se Naukar
Bazme Aza Hai Raahe Wafa Hai
Sab Ki Sada Hai Sab Ki Dua Hai
Raushan Rahe Ye Kahkashaañ
Chalta Rahe Ye Karwan.
Ya Maula…
Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwan
Badhta Rahe Ye Karwan.
Salam Tum Par Hussain Walo
Aye Aza Daaro Aye Ghamgusaaro
Ali o Zahra Ke Jaañ Nisaaro
Ishq e Nabi Ke Raushan Sitaaro
Aye Pursadaro Aye Sogwaaro
Ghazi Ke Pyaro Shah Ke Dularo
Tum Pe Khuda Ho Mehr-Baañ
Chalta Rahe Ye Karwan.
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.
Hussain Maula Ka Qafila Hai
Majlis o Matam Ka Silsila Hai
Nabi Ke Ghar Ka Ye Tazkira Hai
Hussaiyat Ka Haami Khuda Hai
Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah
Hum Sab Ke Aaqa Daaman Tumhara
Hussainiyon Ka Sayebañ
Chalta Rahe Ye Karwañ
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.
Hussain Ka Gham Zinda Rahega
Matam Zamana Karta Rahega
Farshe Aza To Bichhta Rahega
Hussaini Parcham Ooñcha Rahega
Ye Azadari Ye Pursadari
Ghar Ghar Hai Jaari Giriya o Zaari
Muhakkuna Hai Do Jahañ
Chalta Rahe Ye Karwañ.
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.
Kya Shaan Hogi Is Karwan Ki
Jab Honge Shamil Imam e Mehdi
Sharf e Ziyarat Hoga Hame Bhi
Matam Bhi Hoga, Majlis Bhi Hogi
Hum Deñge Pursa Karbo Bala Ka
Har Be-Khata Ka Har Be-Rida Ka
Maula Bhi Hoñge Darmayañ
Chalta Rahe Ye Karwañ .
Ya Maula….
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Seeno Meiñ Gham Ho Sar Pe Alam Ho
Badhta Qadam Ho Matam Na Kam Ho
Chalta Rahe Ye Karwañ
Badhta Rahe Ye Karwañ.
Ya Maula….
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussaina
Jaa.. Ali Asghar Jaa × 4
Haye Jaa.. Ali Asghar Jaa × 2
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai,
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai,
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Tujhe laaj meri rakhna hai
Tujhe Baba sang jana hai
Tujhe aakhri Jung ladna hai
Is din ke liye hi maañ teri
tujhe Karbobala me layi thi,
Is din ke liye hi maañ teri
tujhe Karbobala me layi thi,
Is din ke liye hi beta
Tujhe naaz se maan ne pala hai
Tujhe aakhri Jung ladna hai
Ja.. Ali Asghar Ja × 2
Haye Ja.. Ali Asghar Ja
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai,
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Tu maañ ka rajdulara hai
tu sab ki aankh ka taara hai,
Tu maañ ka rajdulara hai
tu sab ki aankh ka taara hai,
Tu shere khuda ka pota hai
tera naam Ali hai beta
Tujhe aakhri Jung ladna hai
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai,
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Tujhe laaj meri rakhna hai
Tujhe Baba sang jana hai
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Aa Laal tere kapde badlooñ
Maqtal ke liye tayyar karooñ,
Aa Laal tere kapde badlooñ
Maqtal ke liye tayyar karooñ,
Aa chehra choomooñ tera
Jee bhar ke dekhooñ beta.
Tujhe aakhri Jung ladna hai
Ja.. Ali Asghar Ja ×2
Haye, Ja.. Ali Asghar Ja
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai,
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Kabhi goud me Zainab leti hai
kabhi pyar Sakina karti,
Kabhi goud me Zainab leti hai
kabhi pyar Sakina karti,
Khaimon me shor hai barpa
tu sabki dua leta ja.
Tujhe aakhri Jung ladna
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai,
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Tujhe laaj meri rakhna hai
Tujhe Baba sang jana hai
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Maidaañ Meiñ Ali ban kar jana
Baba ki Nusrat farmana,
Maidaañ Meiñ Ali ban kar jana
Baba ki Nusrat farmana,
Shabbir ka tu hai beta
Abbas chacha hai tera.
Tujhe aakhri Jung ladna
Ja.. Ali Asghar Ja ×2
Haye, Ja.. Ali Asghar Ja
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai
Tujhe aakhri Jung ladna.
Har maañ ne di qurbani hai
Tujhe meri laaj nibhani hai,
Har maañ ne di qurbani hai
Tujhe meri laaj nibhani hai,
Jab zalim teer chalaye
Baba ko na lagne paye.
Tujhe aakhri Jung ladna
Aashoor ke din Ali Asghar ko
maañ ro ro ker samjhaati hai
Tujhe aakhri Jung ladna
Tujhe laaj meri rakhna hai
Tujhe Baba sang jana hai
Tujhe aakhri Jung ladna hai.
Haye, Jaa Ali Asghar Jaa
Haye, Jaa Ali Asghar Jaa
Haye, Jaa Ali Asghar Jaa
Hussain.. Hussain Hussain Hussain
Hussain.. Hussain Hussain Hussain
Kahte Hain Jab Bhi Jisko Bhi Jana Hai Karbala
Zawwar Jisko Banna Ho Mola Hussain Ka
Lazim Hai Iske Waste Abbas Ki Riza
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana Hamen Jald Bulana.
Jab Aaye Chand Raat Muharram Ki Ya Khuda
Ae Kash Karbala Me Hon Ham Bhi Kisi Jagah
Manzar Wo Ham Bhi Dekh Leñ Parcham-Kushayi Ka
Labbaik Ya Hussain Hamari Bhi Ho Sada
Pana Hai, Ye Sharaf Pana Hai
Shah Ke Zawwaron Me Naam Likhwana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Mola Tumhare Chahne Waloñ Ki Hai Sada
Karna Hai Karbala Me Hi Aashoor E Karbala
Mola Nazar Ke Samne Rouza Ho Aapka
Maatam Zari Ke Samne Ho Aapka Bapa
Kahna Hai, Bas Yehi Kahna Hai
Hamko Bhi Mola Ke Saye Me Rahna Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana Hamen Jald Bulana.
Mola Hamen Bhi Aapki Ziyarat Karayiye
Ae Fatima Ke Laal Hamen Bhi Bulayiye
Zawwar Karbala Ka Hamen Bhi Banayiye
Jageer Ba-Wafa Ki Hamen Bhi Dikhayiye
Aana Hai, Roz Wo Aana Hai
Zikr-E-Mola Karne Hamko Bhi Aana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Dekhen Nazara Ham Bhi Wahan Arba-Een Ka
Paidal Safar Najaf Se Karen Sooye Karbala
Baatein Sabeel Aur Tabarruk Jagah-Jagah
Jaari Rahe Aza-E-Hussaini Ka Silsila
Karna Hai, Ye Safar Karna Hai
Sang Azadaron Ke, Hamko Bhi Jana Hai
Jana Hai, Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana, Hamen Jald Bulana
Ye Aarzoo Hai Karbobala Jab Bhi Jayenge
Ham Khaime Gaah Mashk-O-Alam Leke Jayenge
Abbas Ka Hussain Ko Nauha Sunayenge
Sa’daat Ke Ujarne Ka Maatam Karayenge
Rona Hai, Han Hamen Rona Hai
Karbala Walon Ka, Sog To Hona Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hameñ Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Kat Kar Gire The Bazu-E-Abbas Jis Jagah
Ba Hasrata… Ba Ghurbata.
Ba Hasrata… Ba Ghurbata.
Kat Kar Gire The Baazu-E-Abbas Jis Jagah
Akbar Jawan Ka Jahan Chhalni Jigar Hua
Asghar Ne Khaya Has Ke Jahan Teer-E-Hurmala
Dooba Jahan Pe Khoon Me Lashakar Hussain Ka
Jana Hai, Har Jagah Jana Hai
Jaake Har Turbat Per Ashk Barsana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana, Hamen Jald Bulana
Mola Hussain Aap Ne Kya Kaam Kar Diya
Apne Lahu Se Khaak Ko Khak-E-Shifa Kiya
Mola Yehi Hai Aapke Zawwar Ki Dua
Ham Bhi Parheñ Namaz Sar-E-Arz-E-Karbala
Sunna Hai, Han Hamen Sunna Hai
Haram-E-Mola Ki Wo Azañ Sunna Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana Hamen Jald Bulana
Baba Kujai Baba Kujai
Baba Kujai Baba Kujai
Kahan Ho Baba
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Baba Tum Pas Nahi, Chacha Abbas Nahi
Baba Tum Pas Nahi, Koi Bhi Aas Nahi Aas Nahi
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Baba Main Qaid Mein Hun Aap Kahan Ho Baba
Ladli Beti Ko Ek Bar Pukaro Baba
Paas Aao Ya Mujhe Pas Bula Lo Baba
Apny Daman Mein Sakina Ko Chupa Lo Baba
Mere Baba Mujhe Do Aa Kay Sahara
Ay Jaan E Sakina Kahan Ho Kahan Ho
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Baba Tum Pas Nahi, Chacha Abbas Nahi
Baba Tum Pas Nahi, Koi Bhi Aas Nahi Aas Nahi
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Haye Sehti Hai Sitam Aap Ki Beti Baba
Khoon Behta Hai Mere Kaan Hain Zakhmi Baba
Cheen Kar Ly Gai Kiun Baalian Meri Baba
Mangty Aa Kay Jo Mujh Sy To Main Deti Baba
Kitna Mushkil Hai Sakina Ka Guzara
Ay Jaan E Sakina Kahan Ho Kahan Ho
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Baba Tum Pas Nahi, Chacha Abbas Nahi
Baba Tum Pas Nahi, Koi Bhi Aas Nahi Aas Nahi
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Baba Kal Khawab Mein Tum Pas Mere Aye Thy
Goud Mein Asghar E Masoom Ko Bhi Laye Thay
Bhai Akbar Chacha Abbas Yaheen Bethy Thy
Bari Bari Galay Lipta Key Mujhy Rotay Thy
Janay Kab Dekhun Gi Kunba Main Dobara
Ay Jaan E Sakina Kahan Ho Kahan Ho
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Baba Tum Pas Nahi, Chacha Abbas Nahi
Baba Tum Pas Nahi, Koi Bhi Aas Nahi Aas Nahi
Charagh E Zinda Khamoshe Em Shab
Ay Baba Yeh Khubam Kujai Kujai
Aik Din Baba Ka Sar Bali Sakina Ko Mila
Ashk Baar Ankhon Sy Baba Ny Sakina Say Kaha
Haye Kis Haal Mein Tum Hum Sy Mili Ho Beta
Ab Woh Seena Hi Nahi Jis Py Sulaye Baba
Apna Sar Rakh Day Mery Sar Py Sakina Baba
Baba Sakina Baba Sakina Baba Sakina
Jawan Ali Akbar(a.s)”
Ali Ali Ali Ali Akbaram
(Rahat e Jaan
Vird e Zaban
Sa’at e Azan
Jaan Ali Akbaram) x2
Jaan Ali Akbaram
(Jawan Ali Akbar
Naujawan Ali Akbar) x2
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Naujawan Ali Akbar x3
Aye Dil o Jaan e Pidar, Shakl e Payambar Akbar
Aye Qarar e Dile Zainab, Gule Madar Akbar
Misle Abbas e Jari Shere Dilaawar Akbar
Yusuf e Fatima Zahra , Dile Haider Akbar
Husn e Zaman Akbar, Aye Nauz e Chaman Akbar x2
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2
Najawan Ali Akbar x3
Maula Shabbir Ne Maanga Hai Duaon Me Tumhe
Ghazi Abbas Ne Rakha Hai Panaahon Me Tumhe
Mil ke do maaoñ ne pala hai ridaon me tumhe
Rabbe Akbar ne rakha noori hijaabon me tumhe
Nauz e Dil e Sarwar Aye Shabeeh e Paighambar x2
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2
Rahat e Jaan
Vird e Zaban
Sa’at e Azan
Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Boleeñ Laila Ke Gale Mujhko Lagate Jao
Boleeñ Zainab Mujhe Surat To Dikhate Jao
Bole Shabbir Meri Aas Bandhate Jao
Mujhko Nana Ki Ziyarat To Karate Jao
Haye Lahu mein tar Ham Surat e Paighambar x2
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Naujawan Ali Akbar x3
Kaise Maqtal Tumhe Jaane Ki Ijazat De Doon
Kaise Khaime Se Nikalne Ijazat De Doon
Kaise Is Pyaas Me Ladne Ki Ijazat De Doon
Maa Hoon Kaise Tumhe Marne Ki Ijazat De Doon
Jaun Dil e Madar Ye Maa Ho Fida Tum par x2
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2
Rahat e Jaan
Vird e Zabaan
Sa’at e Azaan
Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar
Haay…Khake Seene Pe Sina zeen Se Akbar Jo Gira
Ho Gaya Khaimo Me Kohram Bapa Wa-Waila
Ye Sada Dasht Me Deta Tha Ghareeb e Zahra(s.a)
Haye Akbar Mera Akbar Mera Akbar Na Raha
Noore Nazar Akbar Aye Nouze Pidar Akbar x2
Aye Gule Laila Ali Jaan Ali Akbaram
Jawan Ali Akbar Naujawan Ali Akbar x2
Naujawan Ali Akbar x3
Rahat e Jaan
Vird e Zaban
Sa’at e Azan
Jaan Ali Akbaram
Jaan Ali Akbaram x2
Ya Hussain, Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Ya Hussain
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Aashoor Ke Din Jis Bibi Ka
Aabad Chaman Barbad Hua
Sab Bhai Bhatije Maare gaye
Samaan Jala Ghar-baar Luta
Kuchh Bhi Na Bacha Lekin Zainab
Ye Deen Bachane Aayi hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Har Khutba Iska Majlis Hai
Har Aansu Iska Maatam Hai
Aashoor Basa Hai Aañkhoñ Me
Aur Dil Me Bahattar Ka Gham Hai
Ye Ahle Aza Se Farsh e Aza
Ghar Ghar Bhijwane Aayi Hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Ham Par Patthar Barsate Ho
Haste Hi Jashn Manate Ho
Sayyad Ka Khoon Bahate Ho
Aur Baghi-Baghi Kahte Ho
Shabbir To Pak Namazi Hai
Ye Tum Ko Batane Aayi Hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Kaunain Ki Malka Ki Beti
Wo Sharm o Haya Ki Shahzadi
Haye! Shaam e Ghareebañ Me Jiski
Chadar Chheeni Thi Wo Bibi
Duniya Ki Maañ o Bahno Ko
Parda Sikhlane Aayi Hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Jisne Bhai Ki Gardan Par
Chalte Huye Khanjar Dekha Tha
Na Chhupne Doongi Khoon Tera
Shabbir Se Kiska Wada Tha
Wo Zainab Shaam Me Bhai Ka
Maatam Karwane Aayi Hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Sarwar Jab Baad Riha Hokar
Jab Aayi Karbobala Muztar
Haye! Peet Ke Sar Maatam Kar Kar
Chillayi Bhai Ki Turbat Par
Uth Bhai Hussain Tera Chehallum
Teri Bahan Manane Aayi Hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Ya Ghazi Ya Maula Sab Ka Sahara Maula
Abbas Abbas
Sadaat Ka Payara Ya Ghazi
Maula Hay Hamara Ya Ghazi
Sab Ne Hay Pukara Ya Ghazi
Har Dil Ka Sahara Ya Ghazi
Har Lab Pe Hai Nara Ya Ghazi
Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abalfazl
Jab Pak Alam Lehrata Hai
Mujhe Yaad Tu Ghazi Aata Hai
Mere Dil Ka Wazifa Ya Ghazi
Har Mera Akida Ya Ghazi
Sadaat Ka Payara Ya Ghazi
Maula Hay Hamara Ya Ghazi
Sab Ne Hay Pukara Ya Ghazi
Har Dil Ka Sahara Ya Ghazi
Har Lab Pe Hai Nara Ya Ghazi
Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abalfazl
Sultan E Wafa Ghazi Maula
Jageer Tumhari Karbobala
Roze Pe Bulana Ya Ghazi
Jageer Dikhana Ya Ghazi
Har Dil Ka Sahara Ya Ghazi
Har Lab Pe Hai Nara Ya Ghazi
Ya Ghazi Ya Maula Sab Ka Sahara Maula
Abbas Abbas Ya Abalfazl
Sadaat Ke Dil Ki Aaas Ho Tum
Zehra Ki Dua Abbas Ho Tum
Zainab Ne Hai Pala Ya Ghazi
Shabbir Ka Saaya Ya Ghazi
Sadaat Ka Payara Ya Ghazi
Maula Hay Hamara Ya Ghazi
Sab Ne Hay Pukara Ya Ghazi
Har Dil Ka Sahara Ya Ghazi
Har Lab Pe Hai Nara Ya Ghazi
Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abalfazl
Abbas Teri Azmat Ki Qsam
Ucha Hi Sada Dekha Hai Alam
Teri Shan Hai Aala Ya Ghazi
Tera Bhoo Hai Bhala Ya Ghazi
Har Dil Ka Sahara Ya Ghazi
Har Lab Pe Hai Nara Ya Ghazi
Ya Ghazi Ya Maula Sab Ka Sahara Maula
Abbas Abbas Ya Abalfazl
Jab Mashk O Alam Ki Baat Chali
Masoom Sakina Yaad Aayi
Bhachi Ka Wo Rona Ya Ghazi
Ro Ro Ke Bula Na Ya Ghazi
Sadaat Ka Payara Ya Ghazi
Maula Hay Hamara Ya Ghazi
Sab Ne Hay Pukara Ya Ghazi
Har Dil Ka Sahara Ya Ghazi
Har Lab Pe Hay Nara Ya Ghazi
Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abalfazl
Tere Baad Hussain Huwe Tanha
Lakhon Ne Ghareeb Ko Gehr Liya
Syed Ka Tha Noha Ya Ghazi
Bhai Hay Bichharta Ya Ghazi
Har Dil Ka Sahara Ya Ghazi
Har Lab Pe Hay Nara Ya Ghazi
Ya Ghazi Ya Maula Sab Ka Sahara Maula
Abbas Abbas Ya Abalfazl