Safar hayat ka chahe tamam hota rahe
Hazar dard ho, zikr-e-Imam hota rahe.
Salam hota rahe *3
Fatima ke chain ko *2
Nabi k noor-e-aain ko.*2
Ba khuda Husain (A.S) ko Salam....
To Kaho
Salamun Alaika Ya Aba Abdillah *4
Safar hayat ka chahe tamam hota rahe *2
Salaam hota rahe*3
Maulana Hussain Hussain, Maulana Hussain rey..*2
1. Haan... Sara zamana hai tumhara hussain, kehti hai har qaum humara hussain
Gunjta har simt hai naara Hussain, tutey dilon ka sahara Hussain
Muala tera naam sada zinda rahega, maula tera kaam sada zinda rahega
Hum rahe na rahe ye sada zinda rahega.
Salamun Alaika Ya Aba Abdillah*2
Salam hussain, maula salam hussain
Salam Hussain
Salam hussain, maula salam hussain*2
Salam Hussain
Salam hussain, maula salam hussain*2
Salam Hussain
Maulana Hussain Hussain, Maulana Hussain rey..*2
2. Haan.... Muala hussain ibn-e-Ali (a.s) marhaba
Marhaba sadd marhaba sadd marhaba,
zulm k tufaan se ladhta raha kat ke be sar apka uncha raha.
Maula sada teri azadaari rahegi, maula tere hum se wafadari rahegi
Hum rahe na rahe ye sada zinda rahe.
Salamun Alaika Ya Aba Abdillah*2
Maula hussain maula humara salam lo, Maula hussain maula humari sada suno *2
Maulana Hussain Hussain, Maulana Hussain rey..*2
3. Haan..Apka maula jo azadar hai
Apke ghar ka vo wafadar hai
apki chahat ka talabgar hai
Majlis-o-matam se usse pyaar hai
Maula ghulamo me mera naam b likhdo..
Naam to naukar ka hai vo kaam b likhdo...
Hum rahe na rahe ye sada zinda rahe
Salamun Alaika Ya Aba Abdillah*2
Salam hussain, maula salam hussain
Salam Hussain
Salam hussain, maula salam hussain*2
Salam Hussain
Salam hussain, maula salam hussain
Salam Hussain
Salam hussain, maula salam hussain*1
Maulana Hussain Hussain, Maulana Hussain rey..*2
4. Haan, pyara hai mitha hai madina mera,
Rehte jahan sondey nabi Mustafa(SAWA)
Jisne diya humko ye deen-e-khuda
Aur nawasa bana uski baqaa
Aao chalo karbobala tumko dekhaye
Aj bhi aati hai bahatar ki sadayein
Hum rahe na rahe ye sada zinda rahe
Salamun Alaika Ya Aba Abdillah*2
Maula hussain maula humara salam lo, Maula hussain maula humari sada suno *2
Maulana Hussain Hussain, Maulana Hussain rey..*2
5. Haan.. Sheh k azadaro salamat raho
Maula k paigham ko jari rakho
Amno mohabbat ki hifazat karo
Dil ko yuhi dil se milate raho
Maula ka tum aqri sajda na bhulana..
Matami bacchon ko namazi bhi bana na...
Hum rahe na rahe ye sada zinda rahe
Salamun Alaika Ya Aba Abdillah*2
Safar hayat ka chahe tamam hota rahe *1
Salam hota rahe *3
Mere maula mere agha hussain
Hussain vo hai jisse karbala salaam kare
Nabi Ali-o-Hassan Fatima salaam kare
Hussain maula ki azmat bayan kaise ho
Hussain vo hai jisse kibriya salam kare
Salam Hussain, Salam Hussain
Aye shah e shahida,
Aye Jaan-e-Madina
Aye Naaz-e-Fakhira
Maula-e-Ghariba
Rote sisakti hai duniya bilakti hai
har aankh har lamha inse jhalakti hai
Dil dil se miladey zehno ko sajadey
Phoolo ko khiladey, kaanto ko hatadey
Allah k wasiley, Ahmed k nawase
Hyder k sitarey, Zehra k dularey
Hai Agha humarey...
Salam Hussain, Salam Hussain, Salam Hussain..*5
Aao Azadaro karo matam-e- sarwar karo
Ya Hussain, Hussain ya hussain, Hussain..
Matam-e-Abbas karo
Matam-e-Akbar karo
Ya Hussain, Hussain ya hussain, Hussain..
Bali Sakina ka kabhi, matam-e-Asghar karo.*2
Zainab-o-Kulsum ka gham matam-e-chadar karo
Haan.. Shah sala mun alay
Ya mere Maula Salam, Shah sala mun alay
Ya mere agha salaam, Shah sala mun alay
Qasim-o-Akbar salam, Shah sala mun alay
Abid-o-Akbar Salam, Shah sala mun alay
Ghazi dilawar Salam, Shah sala mun alay
Haye Zainab-o-Kulsum Salam, Shah sala mun alay
Aon-o-Mohammad Salaam, Shah sala mun alay
Pyasi Sakina salam, Shah sala mun alay*2
Ya mere Maula Salam, Shah sala mun alay
Ya mere Maula Salaam... Hussain * 9
Bazaar-e-Sham mai Darbar-e-aam mai
Zainab(s.a) ki sadayaan aati thi…
Aaa Ghazi(a.s) (×6)
Zainab(s.a) bula rahi hai (×2)
Awaaz tou suna doo
Aey Bawafa (a.s) kahan ho, Bhai(a.s) Zara sada doo(×2)
Zainab(s.a) bula rahi hai (×2)
Awaaz tou suna doo
Aey Bawafa(a.s) kahan ho, Bhai(a.s) Zara sada doo
Aaa dekh teri Behnay, bazaar mai khari hai (×2)
Majma hai shamiyoon ka, Chadar khahin say laa do
Zainab(s.a) bula rahi hai (×2)
Awaaz tou suna doo
Aey Bawafa(a.s) kahan ho, Bhai(a.s) Zara sada doo(×2)
Ehl-e-Haram nay Ghazi(a.s), kitna tujhy pukara (×2)
Bay Chaan hai Sakina(s.a), chehra ussay dekha doo
Zainab(s.a) bula rahi hai (×2)
Awaaz tou suna doo
Aey Bawafa(a.s) kahan ho, Bhai(a.s) Zara sada doo (×2)
Inn zalimon nay mujh ko, sonay nehi diya hai(×2)
Saye mai tum alam kay, kuch daar ko sula doo
Zainab(s.a) bula rahi hai (×2)
Awaaz tou suna doo
Aey Bawafa (a.s) kahan ho, Bhai(a.s) Zara sada doo (×2)
Darbaar ja rahay hai Sajad(a.s) sarban hai(×2)
Ghazi(a.s) musibatoon mai, kuch hosila baraha doo
Zainab(s.a) bula rahi hai (×2)
Awaaz tou suna doo
Aey Bawafa(a.s kahan ho, Bhai(a.s) Zara sada doo (×2)
Meray Ghazi(a.s)…
Meray bhaya(a.s)…
Shabbir(a.s) kay ghamon ko, aye door karnay walay…
Shabbir(a.s) kay ghamon ko, aye door karnay walay(×2)
Qaidi banay kharay hai, azaad tou kara doo
Zainab(s.a) bula rahi hai (×2)
Awaaz tou suna doo
Aey Bawafa(a.s) kahan ho, Bhai(a.s) Zara sada doo(×2)
Meray Ghazi(a.s)
Meray Bhaya(a.s)
Yabna Zahra.
Maula Imam-e-Raza.
Salam ALLAH Aala Maula Imam-e-Raza.
Ya Ghareeb Ul-Gurba Ya Moeen Uz Zoafa.
Ya Ghareeb Ul-Gurba Maula Imam-e-Raza.
Salam ALLAH Aala Maula Imam-e-Raza.
Mere Maula Mere Masoom Ghareeb Ul-Gurba.
Mere Hadi Mere Mazloom Moeen Uz Zoafa.
Ho Salam Aap Pe Sarkar Mere Maula Raza.
Maula Mil Jaye Riza Aap Ki Razi Ho Khuda.
Syed-o-Aaqa Ya Imam-e-Raza.
Aap Ke Naam Ke Sakay Ka Imam-e-Zamin.
Mere Bazu Pe Bandha Rehta Hai Jo Raat Our Din.
Iss Ki Barkat Se Hoye Kam Hain Sare Mumkin.
Maula Mehfooz Hai Iss Se Mera Zahir Batin.
Dilbar-e-Zahra Ya Imam-e-Raza.
Aap Jaisa Na Howa Koi Ghareeb Ul-Gurba.
Aap Ko Shehar-e-Madina Mein Bhi Rehne Na Diya.
Qabar Zahra Ki Payamber Ka Bhi Roza Chota.
Aap Ko Aap Ke Baba Ki Tarha Qaid Kiya.
Chut Gaya Kunba Ya Imam-e-Raza.
Jis Ghari Chand Muharram Ka Nazar Aata Tha.
Karbala Walon Ka Gham Aap Ko Tarpata Tha.
Our Matam Se Gareban Phata Jata Tha.
Aah Kartay They Tu Yeh Arsh Bhi Tharata Tha.
Rota Tha Kaba Ya Imam-e-Raza.
Zehar Angor Mein Zalim Ne Milaya Haye Haye.
Qabar Mein Fatima Zahra Ko Rulaya Haye Haye.
Be Khata Shama-e-Imamat Ko Bhujaya Haye Haye.
Aik Mazloom Ko Syed Ko Sataya Haye Haye.
Aasmaan Roya Ya Imam-e-Raza.
Pohanchay Iran Mein Masooma-e-Qum Ke Jo Qadam.
Dekha Har Baam Pe Lehrata Hai Kala Parcham.
Gham Mein Bhai Ke Hai Doba Howa Sara Aalam.
Haye Mazloom Ka Bekas Ka Hai Ghar Ghar Matam.
Khush Hoi Behna Ya Imam-e-Raza.
Momino Uthta Hai Taboot Raza Ka Aao.
Dein Gi Ro Ro Ke Duaein Tumhein Zahra Aao.
Aao Sab Mil Ke Karein Matam-e-Maula Aao.
Aao Ik Behan Ko Dein Bhai Ka Pursa Aao.
Lijiye Pursa Ya Imam-e-Raza.
Ghamzada Aaj Wabaon Se Hai Dunya Maula.
Aaj Dushwar Hai Insan Ka Jeena Maula.
Hai :BILAL: Our Yeh :SARWAR: Ki Tamana Maula.
Rab Se Dilwa Do Shifaon Ka Khazana Maula.
Aye Mere Maula Ya Imam-e-Raza.
Hussain Ya Hussain.
Hussain Yah Hussain
Hussain Ya Hussain.
Hussain Ya Hussain…
Hussain Yah Hussain
Kam Na Hoga…
Hussain Ya Hussain.
Kam Na Hoga….
Hussain Ya Hussain.
Ye To Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Hussain Ya Hussain..
Yeh Toh Mazloom Kah Mataam Ha Kam Na Hoga
Ya To Masoom Ka Matam Hai Kam Na Hoga
Har Dil Mein Hoga, Har Ghar Mein Hoga..(2)
Dasht Mein Hoga, Gulzaar Mein Hoga, Hoga
Mazlom Kah Mataam Ha Kam Na Hoga..
Ye To Masoom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Hussain Ya Hussain..
Hussain Ya Hussain..
Hussain Ya Hussain..
{Sayyeda Zainab Ki Yeh Azaa Hai
Fatima Zehra Ki Yeh Dua Hai}.. (2)
Zainul Ebaa Ke Dil Ki Sadaa Hai..(2)
Ghum Ye Dil E Zawwar Mein Hoga, Hoga
Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Ye To Masoom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Har Dil Mein Hoga, Har Ghar Mein Hoga..
Dasht Mein Hoga, Gulzaar Mein Hoga, Hoga
Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Hussain Ya Hussain..(2)
Laashe Pe Sheh Ke Zainab Ka Waada
Dekhegi Duniya Ab Ye Nazara
Dekhegi Duniya Ab Ye Nazara.
Aye Mere Bhaiyya Matam Tumhara.
Shaam Ke Khooni Darbaar Mein Hoga, Hoga
Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Ye To Masoom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Har Dil Mein Hoga, Har Ghar Mein Hoga..
Dasht Mein Hoga, Gulzaar Mein Hoga, Hoga
Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Hussain Ya Hussain..(3)
3. Haan..
Ghum Yeh Tumhara Maula Bhoola Na Zamana
Har Ghar Saja Hai Yeh Tumhara Azakhana..
Hussain Ya Hussain..(3)
Ghum Yeh Tumhara Maula Bhoola Na Zamana
Har Ghar Saja Hai Yeh Tumhara Azakhana..
Sog Tumhara Jaari Rahega..(2)
Matam Ye Saare Sansaar Mein Hoga, Hoga
Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Ye To Masoom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Har Dil Mein Hoga, Har Ghar Mein Hoga..
Dasht Mein Hoga, Gulzaar Mein Hoga, Hoga
Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Hussain Ya Hussain..(3)
{Zahoor E Mahdi Jis Roz Hoga
Manzar Wo Kitna Pursoz Hoga}..
Manzar Wo Kitna Pursoz Hoga}..
Mimbar Pe Hoga Waris Hamara..
Mimbar Pe Hoga Waris Hamara..
Matam Phir Unki Sarkaar Mein Hoga, Hoga
Ye To Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga
Ye To Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Ye To Masoom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Har Dil Mein Hoga, Har Ghar Mein Hoga..
Dasht Mein Hoga, Gulzaar Mein Hoga, Hoga
Mazloom Ka Matam Hai Kam Na Hoga..
Hussain Ya Hussain..
Hussain Ya Hussain..
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali.
Ali Asadullah Ali Asadullah Ali Asadullah.
Ilzam Yeh Hai Ishq Mein Dewana Hoon.
Ilzam Yeh Hai Khud Se Main Begana Hoon.
Ilzam Hai Molai Hoon Mastana Hoon.
Iqrar Hai Mujh Ko Meri Fitrat Hai Malangana.
Andaz Yagana Meri Sohbat Bhi Faqeerana.
Naaz Se Kehta Hoon Main Hoon Haidery Parwana.
Main Hoon Sag-e-Shah-e-Najaf Peer Mera Ali Ali.
Haan Mera Maula Ali.
Ashhadu Anna Ali Un Wali Ullah.
Lah Dil Our Dil Mein Ali.
Mujh Se Suno Kis Ne Hai Dewana Banaya.
Kis Ne Mere Qalb Pe Hai Deera Jamaya.
Our Kis Ne Wila Ka Hai Mujhe Jaam Pilaya.
Woh Noor-e-Khuda Noor-e-Nabi Noor-e-Do Chashmanam.
Maula-e-Bashar Ilm Ka Dar Fakhar-e-Bani Aadam.
Bad-e-Khuda Bad-e-Nabi Sab Se Bara Ali Ali.
Kiya Zaat Mere Peer Ki ALLAH Ne Banai.
Aisi Tu Koi Zaat Zamane Mein Na Aayi.
Haan Jis Ki Paristar Hai Yeh Sari Khudai.
Maidan-e-Ghadeer Mein Nabi Jis Ke Liye Bola.
Jis Jis Ka Bhi Maula Hoon Main Oss Ka Hai Ali Maula.
Aaj Bhi Hai Yeh Dil-e-Momin Pe Likha Ali Ali.
Yeh Mera Junoon Hosh Ki Deta Hai Gawahi.
Ik Do Nahi Chodah Ki Mere Dil Pe Hai Shahi.
Wallah Dar-e-Ilm Ki Karta Hoon Ghulami.
Salman Ne Batlaye Hain Kuch Raaz Faqeerana.
Qanbar Ne Sikhaye Mujhe Aadab-e-Malangana.
Ishq Mera Aqal Meri Hosh Mera Ali Ali.
Qalandaron Ke Mazaron Ko Chomney Walo.
Qalandaron Ki Sada Bhi Kabhi Sun Lo Kya Hai.
Sada-e-Malang-e-Ali Sada-e-Faqeer-e-Ali.
Har Narah-e-Haider Mein Ali Bool Raha Hai.
Dam Mast Qalandar Mein Ali Bool Raha Hai.
Momin Hoon Mere Dil Mein Ali Bool Raha Hai.
Nazaan Hoon Muqadar Mein Ali Bool Raha Hai.
Seene Mein Hai Dil Dil Mein Dharkta Hai Ali Maula.
Waliyon Ka Faqeeron Ka Wazeefa Hai Ali Maula.
Afsoos Tere Ghar Ko Zamane Ne Sataya.
Afsoos Tere Samne Zahra Ko Rulaya.
Afsoos Musallay Pe Lahu Tera Bahaya.
Beton Ko Kiya Qatal Sar-e-Karb-o-Bala Maula.
Our Betiyaan Darbar Mein Paband-e-Jafa Maula.
Haar Gaye Ahl-e-Jafa Jeet Gaya Ali Ali.
Wali ALLAH Ali, Asad ALLAH Ali.
Mera Murshid Mera Aaqa Mera Sultan Ali.
Mera Waris Mera Maula Mera Eman Ali.
Kitne Anmool Hain Aala Hain Muqadar Unn Ke.
Jin Ki Wallah Hai Zamane Mein Hai Pehchan Ali.
Mere Dil Mein Tu Sada Maula Mera Rehta Hai.
Kash Ik Roz Mere Ghar Mein Ho Mehman Ali.
Qahir Al Addo, Haider.
Wali Al Wali, Haider.
Ishq-e-Fatima, Haider.
Murtaza Ali, Haider.
Ya Ab-Al Hasan, Haider.
Maula-e-Zaman, Haider.
Sultan-e-Sukhan, Haider.
E Naz-e-Chaman, Haider.
La Fatha Ali, Haider.
Elia Ali, Haider.
Nasir-e-Nabi, Haider.
Waliyon Ka Wali, Haider.
Ya Ali Kehti Hai Dunya Mujhe Nokar Tera.
Ab Mujhe Dolat-e-Dunya Ki Tamana Hi Nahi.
Shahiyaan Chor Ke Aate Hain Shehanshah Yahan.
Our Faqeer Aap Ka Dar Chor Ke Jata Hi Nahi.
Gir Para Ghorey Se Jab Ran Mein Sheh-e-Karb-o-Bala.
Sare Aalam Mein Qayamat Ka Tha Ik Shoor Bapa.
Dard Mein Dobi Hoi Aayi Yeh Ik Maa Ki Sada.
Haye Mazloom Hussain Mera Mazloom Hussain.
Asar-e-Ashor Mera Lal Bara Pyasa Hai.
Yeh Muhammad Ka Nawasa Hai Ali Ka Beta.
Kya Khata Hai Mere Betay Ki Batao Tu Zara.
Zalimo Kyun Issay Be Jurm-o-Khata Ghaira Hai.
Haye Tanhai Ka Aalam Ke Koi Pas Nahi.
Haye Qasim Nahi Akbar Nahi Abbas Nahi.
Ya Ali Aao Mera Lal Bara Tanha Hai.
Aik Din Mein Bharay Lashkar Ka Bhi Gham Dekha Hai.
Iss Ne Abbas Ka Akbar Ka Bhi Gham Dekha Hai.
Dafan Kar Ke Ali Asghar Ko Abhi Aaya Hai.
Haye Chalni Hai Jigar Phir Bhi Nahi Roya Hai.
Kitne Din Se Tu Mere Lal Nahi Soya Hai.
Aa Meri Gaud Mein So Ja Tu Bohat Jaga Hai.
Aaiye Behar-e-Khuda Hashar Bapa Hai Baba.
Shimar Khanjar Liye Baleen Pe Khara Hai Baba.
Aap Ke Pyaray Nawasay Ka Gala Katta Hai.
Almaan Walay Mere Almaan Walay, Almaan Walay Mere Mashkaan Walay.
Shah-e-Wafa Hai Sunta Sada Hai Karta Atta Hai Oh Mera Peer Ghazi.
Mera Peer Ghazi Mera Peer Ghazi Maula Wafa Ka Oh Mera Peer Ghazi.
Dunya Mein Jis Ka Parcham Yeh Sohna Ghar Ghar Saja Hai Oh Mera Peer Ghazi.
Umm-Ul-Baneen Ki Aankhon Ka Tara Jab Maula Ghazi Dharti Pe Aaya.
Oss Maa Ka Rutba Kitna Hai Aala Haan Jis Ko Mila Hai Oh Mera Peer Ghazi.
Ghazi Ka Rutba Hum Kya Bataein Zahra Ne Jis Ko Dein Hain Duaein.
Haider Ne Jis Ke Hain Naaz Uthaye Haan Aisay Pala Hai Oh Mera Peer Ghazi.
Baba Bhi Maula Bhai Bhi Maula Dono Ka Pyara Ghazi Bhi Maula.
Har Dar Pe Jis Ki Hai Badshahi Haan Woh Badshah Hai Oh Mera Peer Ghazi.
Naizay Pe Aaya Jab Maula Ghazi Behno Ke Sar Par Chadar Nahi Thi.
Sare Safar Mein Rahein Band Aankhein Haan Rota Raha Hai Oh Mera Peer Ghazi.
Bholein Gay Hum Yeh Manzar Kabhi Na Roti Tarapti Dar Par Sakina.
Pyasi Sakina Tere Gham Mein Chacha Haan Pyasa Gaya Hai Oh Mera Peer Ghazi.
Rasool-e-Akram Ka Dilruba Be Khata Mara Gaya.
Khair-Al-Nisa Ka Ladla Be Gunah Mara Gaya.
Mustafa Ki Ladli Ne Nazoon Se Pala Jisay.
Woh Sar-e-Karb-o-Bala Be Gunah Mara Gaya.
Chayi Kabay Par Udasi Hil Gaya Arsh-e-Barin.
Jab Hussain Ibn-e-Ali Aye Khuda Mara Gaya.
Roti Hain Kulsoom-o-Zainab Lasha-e-Shabeer Pe.
Behno Ka Pardais Mein Aasra Mara Gaya.
Bain Karti Hai Sakina Main Yateema Ho Gayi.
Jab Mera Baba Sar-e-Karbala Mara Gaya.
Bhai Tha Abbas Jis Ka Lal Akbar Sa Jawaan.
Badshahon Ka Wohi Badshah Mara Gaya.
O Hussain You Live Forever In Our Hearts And In Our Minds
O Hussain You Live Forever In Our Hearts And In Our MindsI Swear To Allah Until My Last Breath I Will Remember Hussain
O Hussain You Live Forever In Our Hearts And In Our Minds
I Swear To Allah You Have Shown Us So Much Courage Through The Pain
You Sacrificed Your Family And Were Killed Thristy O Hussain
You Gave Everything For Allah, Never Did You Complain
I Swear To Allah Until My Last Breath I Will Remember Hussain
O Hussain You Live Forever In Our Hearts And In Our Minds
O Hussain You Live Forever Ino Ur Hearts And In Our Minds
I Swear To Allah Until My Last Breath I Will Remember Hussain
O Hussain You Live Forever In Our Hearts And In Our Minds
I Swear To Allah Whenever I Face Troubles In My Life
I Close My Eyes And See Your Shrine And Call Labaik Everytime
O Hussain You Are The Love Of My Heart, You Are The Light Of My Eyes
I Swear To Allah Until My Last Breath I Will Remember Hussain
Shad Rahe Karbala Aabad Rahe Karbala Dil Ki Yeh Dua Hai Ya Hussain.
Silsila Dar Silsila Jari Rahe Yeh Sada Hussain.
Bachpan Se Tumhara Main Azadar Hoon Maula.
Ghar Ghar Mein Sada Aap Ka Farsh Azza Dekha.
Main Iss Se Juda Reh Nahi Sakta.
Yeh Majlis-o-Matam Rahe Maula.
Yeh Dil Ki Dua Hai Yeh Dil Ki Dua Hai.
Badshah Hussain Ki Saltanat Hai Karbala.
Jis Ka Pasban Hai Maula Ghazi Bawafa.
Aap Ne Hussain Ba Khuda.
Khon Se Saja Di Karbala.
Karbala Ki Hai Khuda Yani Yeh Rahe Sada.
Janat-e-Maa Karbala Rahat-e-Maa Karbala.
Maula Ne Basa Diya Aisa Shehar Karbala.
Jis Ki Khak Bhi Shifa Jis Ki Janati Fiza.
Dosri Na Hogi Karbala.
Hoga Na Hussain Dosra.
Hoon Gay Na Kabhi Juda Ab Hussain-o-Karbala.
Dharkano Mein Ba-Khuda Gonjti Hai Karbala.
Har Sada Mein Ja Baja Bolti Hai Karbala.
Kehta Hai Zamana Ya Hussain.
Ya Hussain Hussain Hussain Hussain.
Gham Tumhara Ho Sada Aye Shaheed-e-Karbala.
Hum Ko Waldain Ne Karbala Batai Hai.
Sath Le Gaye Humein Karbala Dikhai Hai.
Zyaratein Na Bhool Paein Gay.
Din Humein Woh Yaad Aaein Gay.
Hai Khuda Se Iltija Sab Ko Karbala Dikha.
Zindah Baad Ya Hussain Ya Hussain Zindah Baad.
Panjtan Ke Panchwein Noor-e-Ain Zindah Baad.
Marhaba Hussain Marhaba.
Aap Ne Kamal Kar Diya.
Azmaton Ke Badshah Aap Ki Rahe Atta.
Alwida Alwida
Alwida Alwida
Khuahar A Khuda Hafiz
Alwida Alwida
Alwida Alwida
Khuahara Khuda Hafiz
Alwida Alwida
Alwida Behn Zainab, Alwida Behn Zainab
Alwida Behn Zainab, Alwida Behn Zainab
Zainab E Hazeen E Man, Zainab E Hazeen E Man
Khuahara Khuda Hafiz
Zainab E Hazeen E Man, Zainab E Hazeen E Man
Khuahar A Khuda Hafiz
Alwida Duri Datan, Alwida Duri Datan, Khuahar A Khuda Hafiz
Man Kabi Alam Daarum Bay Maeen O Bay Yaarum
Man Kabi Alam Daarum Bay Maeen O Bay Yaarum
Az Hayat E Baizaarum, Khuahar A Khuda Hafiz
Zainab E Hazeen E Man, Khuahar A Khuda Hafiz
Ay Meri Bahan Zainab Ghar Tery Hawaly Hai
Jo Laiq E Sajda Hai, Sar Us Ky Hawaly Hai
Bas Chalnay Ko Hai Khanjar, Khuahar A Khuda Hafiz
Man Kabi Alam Daarum Bay Maeen O Bay Yaarum
Az Hayat E Baizaarum, Khuahara Khuda Hafiz
Zainab E Hazeen E Man, Khuahara Khuda Hafiz
Kehna Mery Nana Sy Ghar Baar Lutaya Hai
Is Tarha Nawasay Ny Waaday Ko Nibhaya Hai
Sar Hai Mera Naizay Par, Khawahar A Khuda Hafiz
Man Kabi Alam Daarum Bay Maeen O Bay Yaarum
Az Hayat E Baizaarum, Khuahara Khuda Hafiz
Zainab E Hazin E Man, Khuahara Khuda Hafiz
Tum Baad Mere Zainab Mushkil Sy Na Ghabrana
Abbas E Jari Ban Kar Har Zulm Sy Takrana
Aaii Jaan O Dil E Haider, Khuahara Khuda Hafiz
Man Kabi Alam Daarum Bay Maeen O Bay Yaarum
Az Hayat E Baizaarum, Khuahar A Khuda Hafiz
Zainab E Hazeen E Man, Khuahar A Khuda Hafiz
Zainab Meri Beti Ko Har Gham Sy Bacha Lena
Jab Roye Sakina To Godi Mein Sula Lena
Kamsin Hai Meri Dukhtar, Khuahara Khuda Hafiz
Man Kabi Alam Daarum Bay Maeen O Bay Yaarum
Az Hayat E Baizaarum, Khuahar A Khuda Hafiz
Alwida Duri Datan, Khuahar A Khuda Hafiz
Zainab E Hazin E Man, Khuahar A Khuda Hafiz
Alwida Alwida
Khuahara Khuda Hafiz
Alwida Alwida
Khuahara Khuda Hafiz
Alwida Alwida
Khuhara Khuda Hafiz