Badshah Hamara Ya Hussain.
Azadar-e-Hussain Sab Mil Ke Hum Aawaz Ho Ke.
Haan Maula Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain.
Hussain Ka Jo Soag Hai Na Khatam Ho Ga Ba-Khuda.
Muharram-o-Safar Na Hoon Tu Gham Na Ho Ga Sath Kya?.
Zindagi Ke Sath Bhi Zindagi Ke Baad Bhi.
Badshah Hamara Ya Hussain Janum Ya Hussain.
Maula Aawaz Do Humein Parwaz Do.
Hum Azadaron Ki Taqdeer Jaga Do.
Aap Ka Sath Ho Aap Ki Baat Ho.
Dil Mera Apna Azakhana Bana Do.
Zindah Wafadari Rahe Farsh-e-Azadari Rahe.
Tujh Pe Jeein Tujh Pe Marein Nokari Yeh Chalti Rahe.
Hum Rahein Na Rahein Hum Jeein Na Jeein Hum Chalein Ya Rukein.
Iss Jahan Ke Sath Bhi Iss Jahan Ke Baad Bhi.
Tera Yeh Gham Sath Rahe Tera Karam Sath Rahe.
Chalte Rahein Ahl-e-Azza Our Alam Sath Rahe.
Har Qadam Dam Ba Dam Sath Ho Tera Gham Karbala Ki Qasam.
Dharkano Ke Sath Bhi Dharkano Ke Baad Bhi.
Maula Mere Dil Ki Sada Mang Raha Hoon Yeh Dua.
Maula Tere Naam Rahe Jeena Mera Marna Mera.
Aye Khuda Sun Sada Hai Yehi Iltija Tu Dikha Karbala.
Iss Dua Ke Sath Bhi Iss Dua Ke Baad Bhi.
Aaqa Sheh-e-Karb-o-Bala Tu Ne Bara Kam Kiya.
Deen Pe Sab Waar Diya Phir Bhi Tera Sar Na Jhuka.
Ghar Diya Sar Diya Ban Gaya LaIlaha Saj Gayi Karbala.
Karbala Ke Sath Bhi Karbala Ke Baad Bhi.
Jeetay Raho Ahl-e-Azza Dil Mein Rahe Karb-o-Bala.
Shad Raho Chalte Raho Pehne Hoye Shal-e-Azza.
Hai Dua Ho Sada Har Jagah Yeh Azza Yeh Sada Yeh Nawa.
Majlison Ke Sath Bhi Majlison Ke Baad Bhi.
Nabi Ali-o-Fatima Hasan Ke Chain Marhaba.
Khuda Ke Noor Panjtan Ke Noor-e-Ain Marhaba.
Sada Rahe Yeh Silsila Na Totay Tum Se Rabta.
Tu Dharkano Mein Bas Gaya Tu Rooh Mein Sama Gaya.
Tu Dharkano Mein Bas Gaya Hussain.
Tu Rooh Mein Sama Gaya Hussain.
Lahu Mein Mere Gonjta Hussain.
Hamara Hai Atta Pata Hussain.
Salam Ashiq-e-Khuda.
Salam Jan-e-Mustafa.
Salam Qalb-e-Murtaza.
Salam Roh-e-Fatima.
Salam Shah-e-Karbala.
Ghareeb-e-Nainawa.
Ghareeb-e-Fatima.
Ghareeb-e-Murtaza.
Aa Asghar Bin Tere Main Chain Kahan Se Paon.
Aa Laut Ke Aa Ja Lal Tere Jee Bhar Ke Naaz Uthaon.
Meri Aankh Ka Tara Hai Tu Mujh Ko Jan Se Pyara Hai.
Maa Dukhyari Ke Jeene Ka Tu Hi Lal Sahara Hai.
Tujhe Chor Ke Tanha Maqtal Mein Main Kaisay Sham Ko Jaon.
Teri Woh Masoom Adaein Teri Yaad Dilati Hain.
Tere Pyar Ki Woh Sab Batein Mujh Ko Bohat Rulati Hain.
Main Teri Judai Mein Beta Ro Ro Ke Mar Na Jaon.
Loriyon Walay Yeh Tu Tere Naaz Uthane Ke Din They.
Aankhon Mein Teri Khushiyon Ke Khuwab Sajane Ke Din They.
Aa Laut Ke Asghar Aa Beta Tera Kurta Main Badlaon.
Bhool Nahi Sakti Maa Asghar Pyasay Hont Tere Beta.
Khali Gaud Hai Our Zindaan Hai Aa Ja Maa Ke Pas Aa Ja.
Aa Nanhay Mujahid Main Teri Ashkon Se Pyas Bhujaon.
Kitni Hai Be Chain Sakina Tere Naaz Uthane Ko.
Subha -o- Sham Tarasti Hai Woh Tera Dil Behlane Ko.
Teri Ladli Behan Sakina Ka Main Dil Kaisay Behlaon.
Jo Sab Ko Palta Hai Wohi Karbala Mein Hai.
Kitna Azeem Tar Hai Ziyarat Ka Yeh Safar.
Abbas Lene Aate Hain Hukam-e-Hussain Par.
Zair Ki Qadar Dani Bari Karbala Mein Hai.
Rote Hain Bain Karte Hain Aakar Yahan Malak.
Sadaat Ke Khiyal Se Nehar-e-Furat Tak.
Zahra Qadam Qadam Pe Luti Karbala Mein Hai.
Saqa-e-Ahl-e-Bait Hai Abbas Oss Ka Naam.
Darya Pe Qabza Kar Ke Bhi Ab Tak Hai Tishna Kaam.
Yani Mazar-e-Tashna Labi Karbala Mein Hai.
Jis Ja Sitam Ki Barchi Se zakhmi Howa Jigar.
Akbar Jahan Pe Zeen Se Aaye Zameen Par.
Ghurbat Ka Woh Muqam Issi Karbala Mein Hai.
Kano Pe Hai Rakhe Howay Woh Apne Hath Ko.
Seena Padar Ka Dhondne Aati Hai Raat Ko.
Nanhi Si Aik Bachi Koi Karbala Mein Hai.
Jati Hai Sham Mein Kabhi Aati Hai Karbala.
Umm-e-Rubab Deti Hai Ro Ro Ke Yeh Sada.
Zindaan Mein Ik Nishani Meri Karbala Mein Hai.
Hathon Mein Oss Ke Bandhi Gayi Haye Reesmaa.
Athara Jis Ke Bhai Thay Abbas Se Jawaan.
Chadar Ossi Behan Ki Chini Karbala Mein Hai.
Lamhaat Youn Mile Hain :TAKALLUM: Ko Chain Ke.
Sansein Tu Le Raha Hai Haram Mein Hussain Ke.
Tu Hai Yahan Pe Rooh Teri Karbala Mein Hai.
Aye Sham De Loko Mein Syed Haan.
Na Kafan Mila Na Dafan Howa Mera Baba Pyasa Mar Diya.
Bazar-e-Sham Ka Majma Tha Sajjad Ghareeb Ka Noha Tha.
Kyun Bagi Bagi Kehte Ho Kiya Jurm Tha Mere Baba Ka.
Sajday Mein Namazi Qatal Kiya Mera Baba Pyasa Mar Diya.
Mera Baba Shan-e-Rasool ALLAH Mera Baba Jan-e-Madina Tha.
Chodah Barah Our Panch Mein Bhi Be Shak Anmool Nagina Tha.
Sadaat Ke Dil Ko Chak Kiya Mera Baba Pyasa Mar Diya.
Mera Baba Pak Namazi Tha ALLAH Bhi Jis Se Razi Tha.
Mera Baba Aisa Qari Tha Quran Bhi Jis Ka Hami Tha.
Sajday Mein Oss Par Zulm Kiya Mera Baba Pyasa Mar Diya.
Pehle Tu Pyar Se Khat Likh Ke Dhokay Se Bulaya Baba Ko.
Phir Karb-o-Bala Ke Sehra Mein Kitna Hai Sataya Baba Ko.
Mehman Bana Kar Laut Liya Mera Baba Pyasa Mar Diya.
Batlao Kiya Mera Baba Ik Kafan Ka Bhi Haqdar Na Tha.
Batlao Kiya Mera Baba Nana Ka Wirsa Daar Na Tha.
Lakhon Ne Oss Ko Ghair Liya Mera Baba Pyasa Mar Diya.
Aye Jan Ali Akbar.
Wawela Wawela Shud.
Shabeeh-e- Payamber Haye Haye Ali Akbar.
Kaisay Jiye Gi Tere Bin Haye Yeh Madar.
Beta Ali Akbar Madar Ko Pukaro Wawela Wawela Shud.
Ghamzada Madar Ko Chehra Tu Dikha Do Wawela Wawela Shud.
Khak Se Utho Mujh Ko Bola Lo Aray Maa Hai Pareshan Kahan Ho Mere Dilbar.
Kehti Hoi Beta Zindan Chali Maa Wawela Wawela Shud.
Aray Sare Shaheedon Ka ALLAH Nigehbaan Wawela Wawela Shud.
Ghar Howa Veraan Aao Meri Jaan Aray Ho Gaya Sajjad Akela Mera Dilbar.
Maa Ka Yeh Armaan Tha Tujhe Dulha Banati Wawela Wawela Shud.
Aray Maa Teri Dulhan Ko Nazoon Se Sajati Wawela Wawela Shud.
Ho Nahi Payi Aas Yeh Pori Aray Aisay Gaye Aaye Na Maidaan Se Palat Kar.
Maa Hai Rasan Basta Sar Tera Sina Par Wawela Wawela Shud.
Aray Balwa-e- Aada Mein Laya Hai Muqadar Wawela Wawela Shud.
Aye Mere Pyaray Nook-e- Sina Se Aray Dekh Le Maa Teri Hai Balway Mein Khulay Sar.
Beta Ali Akbar Madar Ka Hai Wadah Wawela Wawela Shud.
Aray Soag Manaon Gi Ta Umar Tumhara Wawela Wawela Shud.
Ab Na Piyon Gi Thanda Mein Pani Aray Ab Na Mein Baithon Gi Kabhi Saye Mein Ja Kar.
Poch Liya Mujh Se Sughra Ne Jo Tera Wawela Wawela Shud.
Aray Kaisay Bataon Gi Akbar Nahi Aaya Wawela Wawela Shud.
Roye Gi Sughra Tarpay Gi Sughra Aray Tere Bana Kaisay Jiye Gi Teri Khwahar.
Oss Taraf Zulm Pe Aamadah Zamane Walay.
Iss Taraf Sare Muhammad Ke Gharanay Walay.
Kaun Kis Ka Hai Tarafdar Khuda Khair Karey.
Karbala Ho Gayi Teyar Khuda Khair Karey.
Yeh Qayamat Ke Hain Aasaar Khuda Khair Karey.
Rooz-e-Ashor Hawaon Se Barasta Hai Lahu.
Lut Gayi Kis Ki Yeh Sarkar Khuda Khair Karey.
Yeh Tu Mumkin Hi Nahi Hai Keh Jhuka Dein Sar Ko.
Kya Karein Sahib-e-Kirdar Khuda Khair Karey.
Bhai Jate Hain Khuda Hafiz-o-Nasir Keh Kar.
Behnein Kehti Hain Yeh Har Bar Khuda Khair Karey.
Woh Jo Ghorey Se Gira Sath Girey Mashk-o-Alam.
Na Alam Hai Na Alamdar Khuda Khair Karey.
Kitne Sadmay Hain Jo Sajjad Ko Sehney Hain Abhi.
Beriyaan Hoti Hain Teyar Khuda Khair Karey.
Aaj Bhi Seeno Mein Zindah Hain Hussain Ibn-e-Ali.
Sara Aalam Hai Azadar Khuda Khair Karey.
Aane Walay Youn Hi Aate Rahein Rozon Pe Sada.
Kam Na Ho Aap Ke Zawwar Khuda Khair Karey.
Sheh Ke Matam Mein :HILAL: Aisi Fiza Gaunj Uthi.
Hoye Larzaan Dar-o-Dewar Khuda Khair Karey.
Haan Muhammad Ke Alamdar Ka Matam Kar Lo.
Khak Urao Keh Ali Shair-e- Khuda Marey Gaye.
Bazu-e-Ahmad-e-Mukhtar Ka Matam Kar Lo.
Jis Ke Dar Se Na Gaya Khali Sawali Koi.
Oss Sakhi Sahib-e-Kirdar Ka Matam Kar Lo.
Jo Keh Panchon Mein Bhi Hain Barah Imamon Mein Bhi Hain.
Sare Nabiyon Ke Madadgar Ka Matam Kar Lo.
Har Wali Kehta Hai Yeh Kar Ke Ali Ka Matam.
Mere Aaqa Mere Sarkar Ka Matam Kar Lo.
Mil Ke Jibreel Ke Ustad Ka Pursa De Do.
Sahib-e-Duldul-o-Talwar Ka Matam Kar Lo.
Apne Qatil Ko Diya Jis Ne Keh Jam-e- Shereen.
Kausari Jaam Ke Mukhtar Ka Matam Kar Lo.
Kofa-o-Karb-o-Bala Sham Se Aati Hai Sada.
Ujray Sadaat Ke Gulzar Ka Matam Kar Lo.
Main Nokar Haan Main Nokar Haan Main Nokar Maula Ghazi Ka
Alam Mere Murshid Ghazi Ka
Zainab Ki Pak Dua Ban Kar Ab Ghar Ghar Par Lehrata Hai
Tera Maula Ghazi Kya Kehna Tere Dar Ki Nokari Kya Kehna
Teri Karam Nawazi Kya Kehna Tere Naam Ki Hazari Kya Kehna
Jahan Dastar Khawan Yeh Sajta Hai Oss Ghar Ki Shan Barhata Hai
Main Gham Se Jab Ghabrata Hoon Tu Pas Alam Ke Jata Hoon
Ro Ro Ke Maula Ghazi Ko Main Dil Ka Haal Sunata Hoon
Mere Sar Par Saya Karta Hai Meri Himmat Our Barhata Hai
Abbas Karam Farmao Na Kabhi Mojza Yeh Dikhlao Na
Mere Ghar Bhi Saja Hai Tera Alam Kabhi Mere Ghar Bhi Aao Na
Sarkar Mere Ghar Aaein Gaye Mere Dil Ki Aas Barhata Hai
Yeh Parcham Aman Ka Narah Hai Yeh Parcham Pak Sahara Hai
Tu Pyar Kare Tu Tera Hai Main Pyar Karon Tu Mera Hai
Jo Iss Ke Deep Jalata Hai Yeh Oss Ke Bhag Jagata Hai
Zawwar Jo Ghar Se Chalta Hai Yeh Oss Par Saya Karta Hai
Ghar Se Ghar Tak Pohchane Ki Abbas Zamanat Deta Hai
Lakhon Zawwar Jo Chalte Hain Unhein Karb-o-Bala Pohnchata Hai
Haan Mashk-o-Alam Se Yaad Aayi Pyas Asghar Our Sakina Ki
Mazloom Hussain Ki Tanhai Zainab Bazar Mein Kyun Aayi
Jab Pak Alam Yeh Uthta Hai Har Manzar Yaad Dilata Hai
Jab Aath Muharram Aati Hai Ghazi Ki Yaad Dilati Hai
:JAWAD:-o-:SARWAR: Yeh Dunya Abbas Ka Soag Manati Hai
Oss Waqt Jaloos-e-Matam Mein Har Matamdar Uthata Hai
Na Qasim Mehndiyaan Wala.
Na Akbar Sehriyaan Wala.
Na Asghar Loriyaan Wala.
Na Ghazi Almaan Wala.
Mera Bichar Gaya Har Pyara.
Mera Ujar Gaya Ghar Sara.
Mera Koi Nahi Raha.
Haye Kunba Ujar Gaya.
Woh Khak Pe Mera Akbar.
Be Bazu Shair-e- Dilawar.
Woh Tukray Qasim-e- Muztar.
Woh Khon Mein Doba Lashkar.
Mein Lakhon Mein Hoon Tanha.
Kayi Roz Ka Mein Hoon Pyasa.
Pardesi ALLAH Rasi.
Ghurbat Ka Mein Ho Mara.
Ghazi Saqa-e- Sakina.
Nigran Tha Jo Chadar Ka.
Darya Pe Gaya Hai Mara.
Salar Mere Lashkar Ka.
Yasrab Mein Jis Bhai Ka.
Woh Dekh Rahi Hai Rasta.
Zalim Ne Oss Akbar Ka.
Barchi Se Kaleja Chaida.
Mere Qatal Ki Ab Teyari.
Teeron Ki Barish Jari.
Khaimon Mein Aah -o- Zaari.
Beti Ab Meri Bari.