Mola Labbaik Labbaik Aba Abdillah
Aaqa Labbaik Labbaik Aba Abdillah
Ay Mere Maula
Shah E Karbala
Bakhsish Ka Shifa Ka
Hain Aap Waseela
Rozy Py Bula Lo
Zawar Bana Do
Qismat Ko Jaga Do
Ay Shah E Shaheedan
Aijaaz Dikha Do
Mola Ab Hum Ko Sada Do
Mola Ab Hum Ko Sada Do
Mola Ab, Mola Ab
Chalay Aao..
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Labbaika Ya Hussain
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Nam Tum Sab Ky Mery Dill Py Likhy Aao
Apny Maan Bap Ko Is Pak Safar Mein Lao
Apny Bachon Ko Bhi Ahram E Aza Pehnao
Mery Zawaro Meri Karbobala Aa Jao
Ehd Krta Hun Azadaro Shifa’at K Liye
Aao Zawaro Chalay Aao Ziyarat Ky Liye
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Khush Raho Ay Meri Rodaad Sunany Walo
Apni Khushiyon Mein Mera Soag Mananay Walo
Sary Aalam Mein Mera Farsh Bichanay Walo
Garmi Sardi Mein Meri Qabr Py Aanay Walo
Mujh Ko Maloom Hai Tum Logon Ki Hajat Aao
Tum Py Ho Jaye Gi Allah Ki Inayat Aao
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Janib E Karbobala Jab Ko Barhta Hai Qadam
Har Qadam Py Mery Zawwar Py Hota Hai Karam
Saya Karta Hua Abbas Ka Chalta Hai Alam
Muntazir Rehti Hain Zehra Mery Baba Ki Qasam
Mery Zawaro Mery Dard Ky Maro Aao
Meri Maan Fatima Zehra Ky Dularo Aao
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Tum Jo Kehty Ho Abad Wallah Maninsa Hussain
Amman Zehra Bhi Yehi Karti Hain Ro Ro Kar Bayn
Meri Mazloomi Py Roye Hain Shah E Badr O Hunain
Mery Baba Bhi Hain Ab Tak Mery Gham Mein Baychain
Tum Nahi Bhooly To Main Bhi Nahi Bhoola Tum Ko
Yad Chalty Huye Khanjar Mein Bhi Rakha Aao
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Tum Jo Lehraty Ho Hathon Mein Uthaye Parcham
Tum Ko Maloom Hai Ho Jata Hai Taza Mera Gham
Yad Ata Hai Mujhy Khoon Mein Dooba Woh Alam
Jis Ky Jhuk Jany Sy Toota Mery Bachon Py Sitam
Mery Abbas Ki Jageer Sajany Aao
Hazri Roza E Abbas Py Khanay Aao
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Mery Zawaro Suno Yeh Zameen Karbobala
Mujh Sy Pehly To Yahan Koi Bhi Bas Na Saka
Yeh Zameen Karbobala Karb Ka Majmooa Hai
Hazrat E Adam O Hawwa Ka Yehi Giriya Hai
Shair Ny Hazrat E Eesa Ko Yahin Roka Hai
Aur Phir Takht E Soleimani Yahin Larza Hai
Is Zameen Par Ibrahim Ka Rahwar Dhansa
Paye Moosa Mein Lagi Chot Lahu Behny Laga
Zabeeh Allah Ky Haiwan Rahy Pyasay Yahan
Kashti E Nooh Sy Takraya Yahin Par Toofan
Is Zameen Par To Pareshan Hua Har Insaan
Mery Baba Bhi Yahan Karty Rahy Aah O Fughan
Meri Hijrat Thi Madiney Sy Hidayat K Liye
Yeh Zameen Mainy Khareedi Thi Shahadat K Liye
Chalay Aao Aey Zawaro Chalay Aao
Meri Aawaz Py Labbaik Pukary Jao
Do Muharram Ko Yahan Mera Rahwar Ruka
Sath Kunba Tha Mera Main Akela Bhi Na Tha
Aao Zawaro Mery Sath Chalo Thaam Kar Dill Mera Maqtal Dekho
Yeh Maqam E Ali Akbar Hai Jahan Mery Bachay Py Jahan Royi Azan
Yeh Maqam E Ali Asghar Hai Jahan Aaj Bhi Bethi Hui Roti Hai Maan
Yeh Jaga Woh Hai Mery Zawwaro Lash E Qasim Hui Pamal Idhar
Do Maqamat Jo Aty Hain Nazar Katy Abbas Ky Bazu Thy Jidhar
Hain Zara Door Jo Do Dil Ky Qaraar Hain Mery Aon O Muhammad Ky Mazaar
Asr E Ashoor Sy Turbat Ky Qareeb Mera Hurr Aur Mera Lashkar Hai Yaheen
Aur Yeh Tilla E Zainab Yahan Hai, Yahin Zainab Ny Yeh Manzar Dekha
Mujh Py Chalta Hua Khanjar Dekha,
Mera Ashoor Ya Chehlum Ho Mera
Karbala Aata Hai Kunba Mera
Phir Sakina Jo Yahan Ati Hai
Meri Turbat Sy Lipat Jati Hai
Ya Hussain Ya Hussain…
Main Hun Hussain
Abad E Khuda
Khoon E Nabi
Khoon E Ali
Khoon E Hasan
Zehra Nasab
Shah E Arab
Main Hun Ata
Main Hun Shifa
Ahl E Aza
Roz E Jaza
Den Gy Tumhen
Lutf O Karam
Bagh E Iram
Main Hun Hussain
Main Hun Hussain
Tum Py Salam Ay Karbala Matami
Tum Py Salam Ay Shohada Matami
Tum Py Salam Ay Syeda Matami
Tum Py Salam Ay Murtaza Matami
Tum Py Salam Ay Mustafa Matami
Tum Py Salam Ay Bawafa Matami
Tum Ho Dil E Zainab E Kubra Ka Chain
Kehty Raho Kehty Raho Ya Hussain
Kehty Raho Kehty Raho Ya Hussain
Sayedena Sayedena Ya Hussain…
Jab Riha Ho Ky Sajjad Laoty Watan
Ro Parhy Dekh Kar Haye Apna Chaman
Dorhty Roty Pahunchy Hanfia Chacha
Aur Galy Sy Bhateejy Ko Lipta Liya
Cheekh Nikli Aur Abid Ko Ghash Aa Gaya
Dono Hathon Ko Seeny Py Rakh Kar Kaha
Aahista Chacha
Holy Gal Naal Laa Wekh Main Nu Zara
Main Han Zakhmi Barha Aahista Chacha
Ay Wekho Hal Bhateejy Da
Sajjad Nahi O Sajjad Riha
Main Ku Kha Gaya Dard Ridawan Da
Khoon Akhian Cho Nahi Rukda Chacha
Ahista Chacha
Holy Gal Nal Laa…
Main Han Zakhmi Barha Aahista Chacha
Aashoor Dy Din Wich Karbal Dy
Maindy Qatal Bhira Thee Gaye Sarey
Chachy Dy Bazu Qalam Huye
Babey Ty Khanjar Chalya Chacha
Aahista Chacha
Holy Gal Nal Laa…
Main Han Zakhmi Barha Aahista Chacha
Nahi Bhulny Safar Bazaran Dy
Main Ku Kha Gaye Dukh Darbaran Dy
O Majmy Bad Kiradaran Dy
Rahi Sainrh Lukaandi Chehra Chacha
Aahista Chacha
Holy Gal Nal Laa…
Main Han Zakhmi Barha Aahista Chacha
Har Morh Ty Pathar Wasdy Rahy
Koofi Ty Shami Hansdy Rahy
Sanu Baghi Baghi Kehndy Rahy
Inj Sham Dy Pasy Turya Chacha
Ahista Chacha
Holy Gal Nal Laa…
Main Han Zakhmi Barha Aahista Chacha
Menu Sham Shehr Ny Mar Ditta
Darbar Ny Chorhy Maanrh Muka
Main Ku Kha Gaya Dard Sakina Da
Mainda Hal Ay Shaam Ny Keeta Chahcha
Aahista Chacha
Holy Gal Nal Laa…
Main Han Zakhmi Barha Aahista Chacha
Sarwar Jawad Rehan Kehnda
Rat Ro Ky Baba Baqir Da
Main Nal Bhirawan Mar Jaanda
Kiun Joonda Watan Ty Walya Chacha
Aahista Chacha
Holy Gal Nal Laa…
Main Han Zakhmi Barha Aahista Chacha
Aey Alam Afrastey Bar Sare Karbobala
Quwat E Bardashte Bar Sare Karb O Bala
Aey Alam Afrashtey Bar Sare Karbobala
Kehty Thy Shah E Umam Bar Sare Karobala
Uth Zara Lehra Alam Bar Sare Karbobala
Aey Alam Afrastey Bar Sare Karbobala
Ghazi Alamdar E Man, Ghazi Alamdar E Man
Aey Mere Khasta Jigar Kha Gai Tum Ko Nazar
Kaisa Shakista Hai Sar Khoon Mein Ho Tar Batar
Hoty Ho Tum To Idhar Roty Hain Bachy Udhar
Jin Ko Nahi Hai Khabar Ammun Na Aayen Gy Ghar
Ghazi Alamdar E Man, Khushta E Taigh E Jafa
Aey Alam Afrashtey, Bar Sar E Karb O Bala
Ghazi Alamdar E Man, Ghazi Alamdar E Man
Ay Mery Bhaia Suno, Aaj To Bhai Kaho
Khak Sy Ab To Utho Aao Chalo Ghar Chalo
Chal Ky Behn Sy Milo Pyar Sakina Ko Do
Goud Mein Asghar Ko Lo, Apna Alam Ly Chalo
Ghazi Alamdar E Man, Deti Hai Zainab Sada
Ae Alam Afrashtey, Bar Sare Karbobala
Ghazi Alamdar E Man, Ghazi Alam Dar E Man
Nehr Py Qabza Kiya Pyaas Bhi Faqa Bhi Tha
Phir Bhi Na Pani Piya Dehan Sakina Ka Tha
Kar Na Saky Tum Fighan, Khoob Nibhai Wafa
Bazu Qalam Ho Gaya, Khak Py Khoon Beh Gaya
Ghazi Alamdar E Man, Shehr E Wafa Lut Gaya
Ay Alam Afrashty, Bar Sar E Karbobala
Ghazi Alamdar E Man, Ghazi Alamdar E Man
Haye Akhi Alwida, Shair E Jari Alwida
Ibn E Ali Alwida, Jan Chali Alwida
Ay Sakhi Ibne Sakhi, Haye Teri Bay Kasi
Karty Hain Seena Zani Sarwar O Rehan Bhi
Ghazi Alamdar E Man, Zinda Rahy Tu Sada
Ay Alam Afrashty, Bar Sare Karbobala
Ghazi Alamdar E Man, Ghazi Alamdar E Man
Qafila Jab Watan Laot Aaya
Aa Ky Bab E Madina Py Thehra
Gird Ujry Huye Qafily Ky
Pursa Daron Ny Halka Banaya
Shor E Matam Utha Shor E Giriya Utha
Aey Madina Ghazab Hogya
Bibi Kulsoom Ka Tha Noha
Aey Madina Ghazab Hogya
Aey Madina Ghazab Hogya
Shehr E Nana Ky La Taqbaleena
Aey Madina Ghazab Hogya
Bibi Kulsoom Ka Tha Noha
Aey Madina..
Shehr Nana Ky Hum Aye Ujrhy Huye
Khair Maqdam Ky Qabil Kahan Hum Rahy
Shair E Nana Ky Laa Taq Baleena
Aey Madina Ghazab Ho Gya
Bibi Kulsoom Ka Tha Noha
Aey Madina…
Haye Nana Bhara Ghar Ka Ghar Lut Gaya
Chadaren Lut Gaiin, Mal O Zar Lut Gaya
Tha Muharram Ka Kaisa Mahina
Aey Madina Ghazab Hogya
Bibi Kulsoom Ka Tha Yeh Noha
Aey Madina Ghazab Hogya
Choomty Thy Jisy Aap Nana Sada
Tera (13) Zarbon Sy Kata Gaya Woh Gala
Shimr Ky Dil Mein Tha Kitna Keena
Aey Madina Ghazab Hogya
Bibi Kulsoom Ka Tha Yeh Noha
Aey Madina Ghazab Hogya
Bhai Atthara (18) Thy Koi Bhi Na Raha
Chay (6) Mahiny Ka Asghar Bhi Mara Gaya
Lut Gaya Sab Hamara Khazeena
Aey Madina Ghazab Hogya
Bibi Kulsoom Ka Tha Yeh Noha
Aey Madina Ghazab Ho Gaya
Asr E Ashoor Naizon Py Sar Aa Gaye
Aai Sham E Ghareeban To Khaimy Jaly
Sar Py Chadar Kisi Ky Bachi Na
Aey Madina Ghazab Hogya
Bibi Kulsoom Ka Tha Yeh Noha
Ay Madina Ghazab Ho Gya
Bey Rida Hum Ko Dar Dar Phiraya Gaya
Zulm Hai Koocha Koocha Sajaya Gaya
Baarishen Patharon Ki Rukiin Na
Aey Madina Ghazab Ho Gaya
Bibi Kulsoom Ka Tha Yeh Noha
Aey Madina Ghazab Ho Gya
Haye Amman Galy Sy Laga Lo Hamen
Apny Marqad Mein Lillah Chupa Lo Hamen
Is Qadar Pehly Paidal Chali Na
Ay Madina Ghazab Ho Gaya
Bibi Kulsoom Ka Tha Yeh Noha
Aey Madina Ghazab Ho Gaya
Ho Gaya Hashr Rehan O Sarwar Bapa
Ro Ky Shehzadion Ny Yeh Jis Dam Kaha
Sath Aai Na Bali Sakina
Ay Madina Ghazab Ho Gya
Aisy Aye Ali Akbar Maidan E Fighan
Jaisy Badli Sy Naya Chand Namoodar Hua
Jaisy Tasveer E Muhammad Sy Utha Ho Parda
Jaisy Haider Ki Jawani Ka Chalan Jalwa Numa
Yak Bayak Salle Alaa Nahra E Akbar Goonja
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Naam Akbar Ali Akbar Hai Mera
Main Hussain Ali Ka Beta
Kha Raha Hun Qasam Ay Bait Ullah
Ham Ko Hasil Sharaf E Khoon E Nabi
Bad Nasab Hum Py Hukoomat Karta
Na Hua Hai, Na Kabhi Ho Sakta
Wallah Wallah Aba Abdillah
Main Fida Tum Py Hussain Ibne Ali
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Shamion Ab Mera Hamla Dekkho
Zarbat E Syed E Wala Dekho
Meri Talwar Ka Chalna Dekho
Zarbat E Hashmi Zarb E Alawi
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Keh Ky Yeh Faoj Mein Dooba Woh Shuja E Azali
Nahra Zan Tha Ky Ana Hussain Ibne Ali
Teer Chalny Lagy, Naizey Chaly, Talwar Chali
Barq E Shamsheere Do Dam Sy Safe Kuffar Jali
Kis Tarha Larhta Hai Hum Shakal E Payambar Dekho
Aaj Shamsheer E Hussaini Ky Bhi Johar Dekkho
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Palty Maidan Sy Fighan Karty Huye
Aa Ky Baba Sy Yeh Akbar Boly
Thora Pani Mery Baba Jo Mily
Dekhna Phir Sy Meri Taigh Zani
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Boly Sheh Sookhi Zuban Dikhla Kar
Munh Mein Rakh Lo Yeh Angoothi Akbar
Aisa Sharbat Tumhen Den Gy Haider
Jis Ko Pee Kar Tumhen Kehna Hai Yehi
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Ran Mein Ja Kar Woh Bahut Dair Larhy
Char Janib Sy Adoo Toot Parhy
Nobaten Bajny Lageen Jab Woh Giry
Aik Sada Goonji Aba Adrikni
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Sun Ky Awaz E Pisar Sheh Dorhy
Khai Thokar Kabhi Gir Kar Sambhly
Ghutniyon Chalty Huye Jab Pahunchy
Ali Akbar Ki Yeh Awaz Suni
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Kya Kare Ab Tera Baba Jee Kar
Khak Duniya Hai Tere Bad Akbar
Noha Jari Tha Rehan O Sarwar
Ran Mein Roti Thi Sada E Zakhmi
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Haye Hussaina Waye Hussaina
Ay Waye Sakina Ay Waye Sakina
Yeh Rukhsat E Akhir Hai Pukary Shah E Wala
Ay Zainab O Kulsoom Rabab Aur Ruqaiyya
Tum Sab Py Salam Akhri Allah Ko Sonpa
Lipti Hui Qadmon Sy Yeh Kehti Thi Sakina
Ay Kul Ky Madadgar Madad Karny Ko Aao
Ya Fatima Zehra Mery Baba Ko Bachao
Baba Na Ho Baba Tum Sath Raho Baba
Kuch Hum Sy Suno Baba Aagy Na Barho Baba
Aaram Karo Baba Baraye Dil E Dukhtar
Khaimy Mein Chalo Baba
Ay Kul Ky Madadgar Madad Karny Ko Aao
Ya Fatima Zehra Mery Baba Ko Bachao
Main Jan Gai Baba Pehchan Gai Baba
Qurban Gai Baba Talwaron Mein Jao Gay
Phir Tum Bhi Na Aao Gay Baraye Dil E Dukhtar
Tum Hum Ko Na Tarhpana
Ay Kul Ky Madadgar Madad Karny Ko Aao
Ya Fatima Zehra Mery Baba Ko Bachao
Baba Ay Mery Baba Lazim Hai Agar Jana
Yeh Hum Sy Karo Baba Jab Shab Ka Ho Sannata
Aur Meri Sada Sun’na Baraye DilE Dukhtar
Tum Laot Ky Aa Jana
Ay Kul Ky Madadgar Madad Karny Ko Aao
Ya Fatima Zehra Mery Baba Ko Bachao
Sheh Boly Sakina Jan So Jan Sy Main Qurban
Is Tarha Na Ho Gi Han Ek Wada Nibhana Hai
Ek Qarz Purana Hai Baraiye Dill E Dukhtar Bariye Dil E Baba
Tum Aj Dua Karna
Ay Kul Ky Madadgar Madad Karny Ko Aao
Ya Fatima Zehra Mery Baba Ko Bachao
Pursa Hai Paye Maola Rehan o Ali Jee Ka
Karty Thy Haram Noha Sarwar Ny Kaha Beti
Saa’at Hai Judaai Ki Baraiye Dil e Dukhtar Baraye Dil e Baba
Maqtal Na Chali Aana
Ay Waye Nehr E Alqama
Dariya Behta Raha
Dariya Behta Raha
Samny Usi Dariya Ky Pyasay Tarhapty Hain
Bana Jin Ki Khatir Pani Un Hi Ko Mila Na
Un Hi Sy To Seekha Is Ny Zameen Par Barasna
Sitam Hai Dikha Kar In Ko Hai Pani Bahaana
Dariya Behta Raha
Dariya Behta Raha
Samny Usi Dariya Ky Pyasay Tarhapty Hain
Sawairey Isi Dariya Py Alam Wala Aaya
Kisi Tishna Lab Bachi Ka Woh Mashkeeza Laya
Chidi Mashk Us Pyasay Ki Woh Wapas Gaya Na Haye
Dariya Behta Raha
Dariya Behta Raha
Samny Usi Dariya Ky Pyasay Tarhapty Hain
Woh Jis Ki Aza Goonji Thi Sawairey Sawairey
Charha Din To Baba Us Ka Usi Ko Sambhaly
Pukara Hai Khak Ab Duniya Tere Baad Beta
Dariya Behta Raha
Dariya Behta Raha
Samny Usi Dariya Ky Pyasay Tarhapty Hain
Udhar Bay Kafan Tha Bhai Behan Bay Rida Thi
Jalati Hui Khaimon Ko Ajab Shaam Aai
Koi Maan Pukari Baba Luta Mera Kunba Haye
Dariya Behta Raha
Dariya Behta Raha
Samny Usi Dariya Ky Pyasay Tarhapty Hain
Ameer E Arab Ka Beta Libas E Ghareebi
Rehan Aur Sarwar Hum Na Yeh Bhoolen Kabhi Bhi
Woh Dariya Ka Behta Pani Woh Pyasay Ka Sajda Haye
Dariya Behta Raha
Dariya Behta Raha
Samny Usi Dariya Ky Pyasay Tarhapty Hain
Ay Waye Nehr e Alqama
Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Kaato Na Mera Khushk Gala Main Hussain Hun
Sookhi Hui Hai Shimr Mery Halq Ki Ragen
Aahista Tu Churi Ko Chala Main Hussain Hun
Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Amman Kisi Ny Pani Ki Ek Boond Bhi Na Di
Main Bar Bar Kehta Raha Main Hussain Hun
Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Kat’ta Hua Gala Mera Dekha Na Jaye Ga
Nana Main Hun Nawasa Tera Main Hussain Hun
Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Bay Bazo’on Ki Lash Tarhap Kar Ulat Gai
Aai Furaat Par Jo Sada Main Hussain Hun
Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Zanoo Py Rakh Ky Sar Ko Kaha Ek Zaeef Ny
Akbar Kahan Hai Dard Bata Main Hussain Hun
Goonji Bawaqt E Asar Sada Main Hussain Hun
Ay Shaamion Kafan Na Diya Mujh Ko Gham Nahi
Dy Do Meri Behan Ko Rida Main Hussain Hun
Goonji Ba Waqte Asr Sada Main Hussein Hun
Darbar Mein Laeen Ky Kohram Mach Gya
Mukhtar Sy Jo Sar Ny Kaha Main Hussain Hun
Gunji Bawaqte Asar Sadaa Main Hussain Hun
Mehsoos Ab Bhi Hota Hai Yeh Zayereen Ko
Rozy Sy Aa Rahi Hai Sada Main Hussain Hun
Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Aisa Laga Raza Ky Shanawar Sy Fatima
Kehti Hain Bar Bar Suna Main Hussain Hun
Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Mola Haq Imam Ya Hussain Ya Hussain…
Mah Matmi Shah E Karbala Jo
Mah Matmi Qateel E Jafa Jo
Hika Bay Kafan, Hika Bay Rida Jo
Mohnji Dil Aa Farsh E Aza
Maa Naukar Hussain Jo
Mohnji Naukri Saiin Panjetan Di
Mah Naukar Hussain Jo
Haa Mote Aada Saiin Kirbiya Di
Mukhe Aa Dua Saiin Mustafa Di
Mohnji Dil Mein Aa Vila Murtaza Di
Musa Raazi Aa Zehra
Mah Naukar Hussain Jo
Mohnji Naukri Saiin Panjetan Di
Mah Naukar Hussain Jo
Haan Jibrilla Ji Aai Sada Hi
Kai Naukri Dare Sayeda Di
Hasnaina Jo Khaiyat Parh Di
Mohnjo Haider Aa Maula
Mah Naukar Hussain Jo
Mohnji Naukri Saiin Panjetan Di
Mah Naukar Hussain Jo
Haan Tunjhi Aakayi Waliyan Ghulami
Sham Shams Hai Bari Shah Bhitayi
Tunjhi Naukri Kai Shah Noorani
Har Keha Ji Aahy Sada
Mah Naukar Hussain Jo
Mohnji Naukri Saiin Panjetan Di
Mah Naukar Hussain Jo
Hoo Pucho Laal Khaan Shahbaz Saiin
Mehran Jo Tu Aa Naaz Saiin
Parwaza Jo Chaaye Raaz Saiin
Chaya Laal Qalandara Aa
Maa Naukar Hussain Jo
Mohnji Naukri Saiin Panjetan Di
Mah Naukar Hussain Jo
Hal Min Chayo Shah E Shaheedan
Labbaik E O Shohada E Maidan
Chaio Har Zabaan Mily Jy Wari Ja
Maula Taa Kaya Fida
Maa Naukar Hussain Jo
Mohnji Naukri Saiin Panjetan Di
Mah Naukar Hussain Jo
Ho Fauj Jo Salaare Ghazi
Labe Alqama Jay Hai Jeeti Baazi
Abbas Khaan Thy O Mola Razi
Rahyo Chavando Shah E Wafa
Maa Naukar Hussain Jo
Mohnji Naukri Saiin Panjetan Di
Mah Naukar Hussain Jo
Salle Alaa Nabiyena
Salle Alaa Mohammadin
Sallalla Ho Alaihy Wasalam
Muhammad Hamarey Barhi Shan Waley
Woh Nabiyon Mein Rehmat Laqab Pany Waly
Muhammad Hamarey Barhi Shan Waley
Khuda Jis Ky Seeny Py Quran Utarey
Mudassir Kahy Aur Muzammil Pukarey
Woh Noor E Khuda Do Jahan Ky Ujaley
Muhammad Hamarey Barhi Shan Waley
Jab Aaye Zameen Par Muhammad Hamarey
Falak Ny Zameen Par Bichaye Sitarey
Uthy Sarzameen E Arab Sy Yeh Nahrey
Muhammad Hamarey Barhi Shan Waly
Nawasy Jo Roye To Roye Muhammad
Woh Jab Tak Na Soye, Na Soye Muhammad
Do Ankhen Nabi Ki Thy Dono Nawasey
Muhammad Hamary Bari Shaan Waly
Nawasa Mazaar E Muhammad Py Aaya
Kaha Pyare Nana Yeh Waada Hai Mera
Hai Islam Ab Karbala Ky Hawaley
Muhammad Hamare Barhi Shaan Wale
Sada Aaye Qabr E Muhammad Sy Beta
Dua Go Hain Nana Ali Aur Zehra
Chaly Ghazi Abbas Parcham Sambhaly
Muhammad Hamary Bari Shan Waly
Woh Ashoor Ka Din Muhammad Ka Kunba
Jo Maqtal Mein Deen Ko Lahu Dy Raha Tha
Yeh Keh Keh Ky Seenon Py Khaye Hain Bhaaly
Muhammad Hamare Bari Shan Wale
Rehan O Ali Jee Azadar E Sarwar
Ghulaman E Haider Ghulam E Payambar
Sada Is Sada Sy Zamana Mila Ly
Muhammad Hamarey Barhi Shaan Waley
Shaam E Gham Aa Gai, Bay Kasi Aa Gai
Shaam Ki Faoj Khaimon Talak Aa Gai
Aatish E Zulm Khaimy Jalany Lagi
Mery Khuda Lab E Furaat Sayebaan Jal Gaya
Jaly Khayaam Sayeda Ka Phir Makaan Jal Gaya
Shaam E Ghareeban Main Haram Karty Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Chadaren Chin Gaiin Lut Gaya Maal O Zar
Khaima Dar Khaima Hai Bibion Ka Safar
Betian Fatima Ki Huiin Noha Gar
Tarhap Tarhap Ky Ya Ali Pukarti Thiin Bibian
Idhar Udhar Bas Apny Laal Dhundti Thiin Bibian
Jalny Laga Haye Udhar Bistar E Beemar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareeban Main Haram Karty Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Kya Kary Zainab E Khasta Dil Kya Kary
Na Rahy Warisan E Haram Na Rahy
Raat Aai Nahi Aur Sab So Gaye
Dhuwan Dhuwan Fiza Lahu Lahu Hai Dasht E Karbala
Kisi Nashaib Sy Hai Mustaqil Sadaye Fatima
Nala E Ya Fatima Ya Haider E Karrar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareeban Main Haram Karty Thy Faryad
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Khak Par Aa Gaiin Bibian Noha Gar
Goud Mein Pyasy Bachon Ky Rakhy Hain Sar
Kis Ko Awaz Dain Haye Jayen Kidhar
Na Koi Bhai, Na Bhai Ka Pisar, Na Bhanja
Ali Ki Ladli Ny Bhai Ka Alam Utha Liya
Meer E Sadar, Meer E Haram, Zainab E Lachar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareeban Main Haram Karty Thy Faryad
Haye Rehan O Sarwar Sare Karbala
Ho Ky Bay Dast Ek Laasha E Bawafa
Dekhta Reh Gaya Qaafila Chal Diya
Salam Bay Kafan Badan Woh Jin Ky Sar Huye Juda
Salam Dukhtaran E Fatima Aseer O Bay Rida
Aik Rasan, Baara Galay, Koocha O Bazaar
Haye Haye Haye Haye Haye Alamdar
Shaam E Ghareeban Main Haram Karty Thy Faryad
Haye Alamdar…
Shab E Zarbat E Mah E Ramzan Ali Ka Yeh Kehna Hai
Yeh Zindagi Baad E Zehra Bakhuda Shakista Hai
Aah Tery Baad Ay Zehra
Main Dil Soz O Shakista
Main Dill E Zar O Girafta
Khuda Nigehdaar Ky Main Musafer E Shab Zinda Daar
Khuda Nigeh Daar Ky Main Paikar Dil Figaan
Ya Ali…
Roz O Shab Hai Weerani Zindagi Hai Zindani
Ya Ali…
Zindagi Yeh Bad E Zehra Bakhuda Nahi Kat’ti
Khuda Nigehdaar Ky Main Musafery Shab Zinda Daar
Khuda Nigeh Daar Ky Main Paikar E Dil Figaan
Ya Ali…
Haye Dard E Dil Mery Jo Ali Na Keh Paya
Raaz Woh Liye Dill Mein Ja Raha Hai Ay Duniya
Kal Na Salooni Kahun Ga Main Chala Sooye Kirdegaar
Khuda Nigehdaar Ky Main Musafery Shab Zinda Daar
Khuda Nigeh Daar Ky Main Paikar E Dil Figaan
Ya Ali…
Woh Ali Hun Jangon Mein Jis Ny Maot Ko Ghaira
Fatima Ki Furqat Mein Zabt Kho Gaya Mera
Tery Bad Ay Zehra Haye Weeran Hai Duniya Main Chala Sooye Kirdegaar
Khuda Nigehdaar Ky Main Musafery Shab Zinda Daar
Khuda Nigeh Daar Ky Main Paikar E Dil Figaan
Ya Ali…
Haye Fatima Zehra Sabr Kaisa Paya Tha
Raaz Zakhmi Pehloo Ka Mujh Sy Bhi Chupaya Tha
Main Kabhi Bhool Na Paya Woh Tera Pehloo Shakista Main Chala Sooye Kirdegaar
Khuda Nigehdaar Ky Main Musafery Shab Zinda Daar
Khuda Nigeh Daar Ky Main Paikar E Dil Figaan
Ya Ali…
Is Sitam Ny Ay Zehra Kitna Mujh Ko Rulwaya
Main Ali Tha Aur Tera Haq Na Main Dila Paya
Haye Tu Dukhtar E Aaqa Aur Darbar Mein Jana Main Chala Sooye Kirdegaar
Khuda Nigehdaar Ky Main Musafery Shab Zinda Daar
Khuda Nigeh Daar Ky Main Paikar E Dil Figaan
Ya Ali…
Aa Raha Hun Main Zehra Main Bhi Janib E Manzil
Khuda Hafiz O Nasir Main Chala Sooye Qatil
Kal Mera Akhri Kalma Fuzt O Bey Rabb Il Kaaba Main Chal Sooye Kirdegaar
Khuda Nigehdaar Ky Main Musafery Shab Zinda Daar
Khuda Nigeh Daar Ky Main Paikar E Dil Figaan
Ya Ali…
Main Chala Sooye Qaatil
Main Chala Sooye Manzil
Main Chala Sooye Hasil