Rasil Hussain Dil E Jahan (x4)

Salam Bar Muharram
Salam Bar Karbala
Salam Bar Ashura
Salam Bar Hussain

Hussain Hussain Hussain Hussain…

Assalam O Alal Hussain
Wa Ali Ibne Al Hussain
Wa Aolad Il Hussain
Wa Ashab Il Hussain

Assalam O Alal Shaib Il Khazeem
Assalam O Alal Khad Et Tareem
Assalam O Alal Badan E Saleef
Assalam O Alat Taghil Makro E Bil Kazeeb
Assalam O Alal Raas El Marfoo
Allah Allah Min Rasil Hussain

Allah Allah Min Rasil Hussain

Ay Neyza Sawaron Ki Qayadat Ky Shehanshah
Zulfain Teri Walail Wa Shams Hai Chehra
Aankhon Sy Ayaan Noor E Muhammad Ka Ujala
Lab Tery Hain Masroof E Tilwat Bin E Zehra
Sajdy Mein Jhuka Sar To Ibadat Ka Sharaf Tha
Neyzey Py Utha Sar To Yeh Sar Durr E Najaf Tha

Allah Allah Min Rasil Hussain

Thi Pusht E Muhammad To Isi Sar Ka Musalla
Aur Chadar E Tatheer Hai Isi Sar Ka Umaama
Man Kunto Ka Khutba Hai Isi Sar Ka Khulasa
Es Sar Ky Sabab Karbobala Ab Hai Mua’lla
Yeh Sar Na Jhuka Khanjar O Talwar Ky Aagy
Sar Zulm Ka Kham Hai Tery Inkaar Ky Aagy

Allah Allah Min Rasil Hussain

Rooh E Hussain
Jabeen E Hussain
Abroo E Hussain
Chashme E Hussain
Rukhsar E Hussain
Dehn E Hussain
Lab E Hussain
Dandaan E Hussain
Rukhsar E Hussain
Reesh E Hussain
Guloo E Hussain
Zulf E Hussain
Khushboo E Hussain
Zahn E Hussain
Fikar E Hussain
Guftaar E Hussain

Haan
In Ankhon Ko Hai Ahmad E Mukhtar Ny Chooma
Zehra O Ali Ny Lab O Rukhsar Ko Chooma
Zulfon Ko Hasan Ny Hai Barhy Pyar Sy Chooma
Behnon Ny Gala Is Ka Kai Baar Hai Chooma
Sardari E Abbas Isi Sar Sy Jurhi Hai
Aur Zainab O Kulsoom Ko Yeh Misl E Ali Hai

Allah Allah Min Rasil Hussain

Mojood Tha Is Sar Mein Muhammad Ka Khazana
Maqsad Tha Isi Sar Ka To Islam Bachana
Zalim Ny Bahot Chaha Tha Is Sar Ko Jhukana
Yeh Sar Na Jhuka Kat Gaya Zahra Ka Gharana
Es Sar Ka Safar Sun Ky Jahan Rota Hai Ab Tak
Ghaibat Mein Jo Hai Marsiya Khuwanon Ka Hai Ab Tak

Allah Allah Min Rasil Hussain

Allah Ko Yeh Sar Pas E Gardan Sy Kata Tha
Zarben Thiin Lagi Tera Bahut Khushk Gala Tha
Zainab K Liye Waqt Qayamat Sy Karha Tha
Zulfon Ko Pakarh Kar Jo Yeh Sa Shimr Chala Tha
Afsos Sar E Nok E Sinaan Jab Yeh Sar Aaya
Jalta Hua Ghar Shame Ghareeban Ka Tha Saya

Allah Allah Min Rasil Hussain

Es Sar Ky Masaib Ka Yeh Pur Dard Hai Qissa
Khooli Ney Isy Ghar Mein Jo Tandoor Mein Rakha
Raat Aai To Phir Zaoja E Khooli Ny Yeh Dekha
Tandoor Sy Ek Noor Ka Darya Hai Ubalta
Ek Bibi Siyah Posh Ny Is Sar Ko Uthaya
Ro Ro Ky Kaha Haye Ghareeb E Bin E Zehra

Allah Allah Min Rasil Hussain

Rahib Ny Yeh Sar Dekha Tha Jab Nok E Sinaan Par
Khooli Sy Kaha Kon Hai Yeh Kis Ka Hai Yeh Sar
Bola Wo Bad Atwaar Ka Yeh Hai Bin E Haider
Rahib Ny Woh Sar Ly Liya Khooli Ko Diya Zarr
Sar Goud Mein Rakhy Huye Rota Raha Rahib
Awaz E Fughan Zehra Ki Sunta Raha Rahib

Allah Allah Min Rasil Hussain

Yeh Sar Kabhi Sandooq Mein Tandoor Mein Rakha
Es Sar Ko Darakhton Py Laeenon Ny Sajaya
Nayzay Py Isy Shehar Ki Galiyon Mein Phiraya
Ham Raah Aseeron Ky Yeh Sar Shaam Jab Aaya
Sajjad Ko Zainab Ko Rulaty Thy Sitamgar
Sar Bali Sakina Ko Dikhaty Thy Sitamgar

Allah Allah Min Rasil Hussain

Darbar E Yazeedi Mein Bapa Jashn E Karab Tha
Thy Aik Taraf Ahl E Haram Muztar O Giriya
Aur Samny Tha Takht Py Marjana Ka Beta
Us Takht Taly Sar Tha Hussain E Bay Khata Ka
Badmast Laeen Nashy Mein Lalkaar Raha Tha
Dandaan E Shah E Deen Py Charhi Maar Raha Tha

Allah Allah Min Rasil Hussain

Jis Waqt Yeh Sar Sham Ky Zindaan Mein Aaya
Sar Bhai Ka Zainab Ny Kalaijy Sy Lagaya
Sajjad Ny Bey Hosh Sakina Ko Jagaya
Sar Baba Ka Pehlu Mein Sakina Ny Jo Paaya
Ay Sarwar O Rehan Qayamat Ka Samaa Tha
Shabbir Ka Sar Rota Tha Aur Shor O Fughan Tha

Allah Allah Min Rasil Hussain

Assalam O Alal Hussain
Assalam O Alla Rasil Marfoo

Jan E Wafa E Aalam
Abbas E Ammu Janum

Dariya Par Tum Jao
Pani Ly Kar Aao
Pyasay Hain Hum Sab
Pyasa Hai Asghar
Abbas E Ammu Janum

Woh Dariya Behta Hai
Sab Ka Gala Sookha Hai
Tum Bhi To Pyasay Ho
Baba Bhi Pyasa Hai
Bhari Ho Lakhon Par
Abbas E Ammu Janum

Lo Yeh Alam Mashkeeza
Mery Pyaray Chacha
Tum Ko Mili Saqqai
Qurban Tum Py Sakina
Ay Sani E Haider
Abbas E Ammu Janum

Sookhy Hain Sab Koozay
Samjhen Bachay Kaisy
Sahil Par Paira Hai
Badal Bhi Na Barsy
Kab Jayen Gy Hum Ghar
Abbas E Ammu Janam

Kya Fauj E Aada Hai
Kya Is Ka Paira Hai
Tum Ho Sani E Haider
Pyasay Ho To Kya Hai
Kya Roky Ga Lashkar
Abbas E Ammu Janum

Jany Lagy Jab Ghazi
Goonji Aaho O Zari
Lab Py Duaen Lay Kar
Peechay Chali Shehzadi
Ahl E Haram Noha Gar
Abbas E Ammu Janum

Ammu Laot Ky Aana
Hum Ko Na Rulwana
Rakhy Khuda Hum Sab Ky
Sar Py Alam Ka Saya
Ay Moonis O Yaawar
Abbas E Ammu Janum

Boly Yeh Ro Kar Ghazi
Wada Karo Ay Bibi
Jab Yeh Alam Chup Jaye
Aaye Alam Jab Khali
Na Rona Yeh Keh Kar
Abbas E Ammu Janum

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya

Alamdar Na Aaya

Saqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Mola Ki Kamar Tooti Jis Dam Yeh Khabar Aai
Mara Gaya Dariya Par Shabbir Ka Shaidai
Khoon Bhar Gaya Ankhon Mein Jati Rahi Beenai
Maqtal Sy Sakina Ka Woh Gham Khuwar Na Aya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Jab Khoon Mein Tar Aaya Abbas Ka Woh Parcham
Tapti Hui Raiti Par Atfaal Thy Sab Bay Dam
Sarwar Ny Kiya Noha, Zainab Ny Kiya Matam
Chillaye Haram Ghazi O Jarrar Na Aaya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Hukm E Sheh E Wala Par Dariya Ko Utha Lata
Kya Karta Bhala Ghazi Mehroom E Ijazat Tha
Koshish To Bahut Ki Par Lakhon Mein Gira Tanha
Jab Mashk Chidi Phir Woh Wafadar Na Aaya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Zehra Ky Gharanay Ka Woh Zamin E Chadar Tha
Maslak Mein Thi Saqqai, Kirdar Mein Haider Tha
Jis Waqt Katy Bazoo, Ghazi Ky Bahy Aansoo
Leny Gaye Maula Woh Dil Afgaar Na Aaya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Bachon Ki Sadayen Thiin Abbas Chacha Pani
Ek Mashk Lahoo Dy Kar Ek Mashk Bhara Pani
Us Mashk E Sakina Sy Jis Waqt Baha Pani
Woh Mar Gaya Dariya Py Hayadaar Na Aaya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Woh Shair E Dilawar Tha Tanha Bhi Jo Lashkar Tha
Afsos Lab E Dariya Ek Lasha E Bay Sar Tha
Hal Min Ki Sada Sunta Rota Tha Tarhapta Tha
Shabbir Ka Shaida Woh Madadgaar Na Aaya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Jalty Huye Khaimon Sy Zainab Ki Sada Aai
Ay Baba Ali Dekho Beti Ki Yeh Tanhai
Yeh Mashk O Alam Aaya Aaya Na Mera Bhai
Baba Mery Kunbay Ka Tarafdaar Na Aaya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Hussain

Rehan Sy Sarwar Sy Ho Dard Bayan Kaisy
Jis Shair Ki Dharas Par Aabad Rahy Khaimay
Jalty Huye Khaimon Sy Ghabra Ky Jo Zainab Ny
Kitni Bhi Sadayen Diin Woh Ek Baar Na Aaya

Saqqa E Hussain Syed O Salaar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ahl E Haram Meer O Alamdar Na Aaya
Alamdar Na Aaya Alamdar Na Aaya

Ai Ali Karbobala
Ai Umeed E Khaimaha
Ai Shabeeh E Mustafa
Ai Ali Akbar Hussain

Ai Ali Akbar E Hussain

Ya Hussain (x6)

Ai Badr E Hashmion
Ai Meer E Haiderium
Ay Mehr E Fatimiyun
Ai Ali Akbar E Hussain

Ya Hussain

Ay Nafas Haye Hussain
Yar E Ranaye Hussain
Maah E Zeebaye Hussain
Ai Ali Akbar E Hussain

Ya Hussain Ya Hussain

Taskeen E Rooh E Khwahar
Rahat E Jaan E Madar
Noor E Do Chashm E Padar
Ai Ali Akbar E Hussain

Ya Hussain Ya Hussain

Ai Sana Khuwan E Haider
Aks E Emaan E Haider
Ai Jan E Jan E Haider
Ai Ali Akbar Hussain

Ya Hussain Ya Hussain

Man Ali Akbaram
Khoon E Ali Hastam
Man Khoon E Haierium
Haider Haider Haider Haider

Pursid Ali Keest
Ali Meer O Ali Shah E Do Alam
Haider Haider Haider Haider

Ay Ke Dar Dast E Khud Dari Kaleed E Arsh E Ala
Haider Haider
Az Azal Sayeya Atra Pusht Saran Mibalad E Bala
Haider Haider
Az Rooz E Awwal E Aalam Dar Adam Ibn E Boodi
Bain E Arsh E Naye Ashuwty Dari Haram E Mo’alla
Haider Haider
Ai Ali Akbar Hussain

Ya Hussain Ya Hussain

Gul E Gulzar E Laila
Qarar E Zainabiya
Quwat E Hashimiya
Ai Ali Akbar E Hussain

Ya Ali Haiderium Qalandarum Mastam
Banda E Murtaza Ali Hastam

Ali Asadullah Ali Waliullah

Waris E Taigh O Alam Bab E Sharaf
Taj E Wehdat K Liye Durr E Najaf
Gohar E Nehj E Balagha Ka Sadaf
Jalwa E Faoj E Khuda Waqt E Sahar

Aliun Basharun Kaifa Bashar

Ali Asadullah Ali Waliullah

Saqi E Kon O Makaan Qibla E Jaan
Qasim E Ilm O Adab Naar O Jinaan
Sahib E Loh O Qalam Rooh E Rawan
Mashal E Noor E Rukhash Shams O Qamar

Ali Un Basharun Kaifa Bashar

Ali Asadullah Ali Waliullah

Hamil Kudrat E Kun Bay Izani
Kull E Emaan Iradon Ka Dhani
Us Ky Jaisa Na Sakhi Aur Ghani
Khak E Nalain E Ali Durr O Gohar

Ali Un Basharun Kaifa Bashar

Ali Asadullah Ali Waliullah

Hasti E Haider E Karrar Khuda Ka Lashkar
Paich Ammamay Ka Aflaak O Zameen Ka Chakar
Raasta Khuld Ka Hai Jaye Namaz E Haider
Maskan E Haider E Karrar Hai Allah Ka Ghar
Nashir E Fuzt O Berabb Il Kaaba
Yeh Zameen Jis Ka Nishan E Sajda
Jis Ka Saya Nahi Us Ka Saya
Rabba Hu Feehay Tajallaye Zahar

Aliun Basharun Kaifa Bashar
Ali Asadullah Ali Waliullah

Paye Haider Sy Jo Mas Raah Ka Pathar Ho Ga
Sang Woh Durr E Najaf Soorat E Gohar Ho Ga
Aisa Gohar Jo Kabhi Meesam O Qambar Ho Ga
Aur Kabhi Soorat E Salman O Abuzar Ho Ga
Ishq E Haider Ba Khuda Lutf E Khuda
Sahib E Zarf Ko Hota Hai Ata
Ishk E Haider Mein Ibadat Ka Maza
Jis Ky Madaah Sabhi Barg O Shajar

Aliun Basharun Kaifa Bashar
Ali Asadullah Ali Waliullah

Khoob Haider Ny Piya Jam E Qaza
Apny Qatil Ko Jaga Kar Yeh Kaha
Kaam Kar Dushman E Rabb E Kaaba
Allah Allah Ali Ka Yeh Jigar

Ali Un Basharun Kaifa Bashar
Ali Asadullah Ali Waliullah

Aalam E Karb Hai Tanhai Teri
Karbala Kha Gai Beenai Teri
Tery Bachon Mein Thi Danaai Teri
Utra Maidan Mein Yeh Keh Kar Akbar

Ali Un Basharun Kaifa Bashar
Ali Asadullah Ali Waliullah

Fikr E Rehan O Nadeem E Sarwar
Hai Dua E Dill E Zehra Ka Asar
Barsar E Farsh E Aza Ya Haider
Ly Ky Mojood Hain Tery Nokar

Aliun Bashar Un Kaifa Bashar
Ali Asadullah Ali Waliullah

Sham E Ghareeban Al Aman
Phaila Hua Har Soo Dhuwan
Noha Kunaan Sayedanian
Ghash Mein Parha Ek Natawan
Pyasi Sakina Noha Khuwan
Baba Baba Hussain
Baba Baba Hussain
Baba Baba Hussain

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain

Jalty Huye Khaimy Idhar
Lashy Tarhapty Thy Udhar
Karbobala Ki Khak Par
Boli Sakina Rakh Ky Sar
Baba Suno Meri Fughan
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Hussain Hussain (x3)

Bagh E Nabi Taraaj Hai
Shoalon Ka Har Soo Raaj Hai
Haye Kafan Ky Waastay
Baba Mera Mohtaj Hai
Kitna Barha Hai Imtehaan
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Hussain Hussain (x3)

Shame Masaib Aa Gai
Aandhi Ghamon Ki Chaa Gai
Main Jaanib E Dariya Gai
Lashy Chacha Par Aa Gai
Kaanon Sy Khoon Dekha Rawaan
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Hussain Hussain (x3)

Rukhsar Neelay Ho Gaye
Itny Tamanchay Hain Lagy
Baba Khuda Kay Waastay
Mujh Ko Laga Lo Seenay Say
Dukhti Hai Meri Paslian
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Hussain Hussain (x3)

Tapti Zameen Jalti Hawa
Ay Maqtal E Karbobala
Ek Dopehr Mein Kya Hua
Loota Gaya Kunba Mera
Chadar Na Sar Py Sayebaan
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Hussain Hussain (x3)

Ek Reesman Bara Galy
Kuch Is Tarha Bandhy Gaye
Har Ati Jati Sans Bhi
Jaisy Koi Khanjar Chaly
Nazuk Galy Mein Reesman
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Hussain Hussain (x3)

Rassi Mein Baba Bandh Gaye
Taza Sitam Hony Ko Hain
Zanjeer Laye Ashkiya
Beemar Abid Ky Liye
Pehna Rahy Hain Bayrhian
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Hussain Hussain (x3)

Kya Sarwar O Rehan Hum
Batlayen Roodad E Sitam
Nazuk Sy Dill Ky Ranj O Gham
Kehti Rahi Woh Dam Badam
Ab Tum Kahan Aur Hum Kahan
Baba Baba Hussain (x3)

Sakina Ki Ati Thi Sada
Baba Baba Hussain (x3)

Ashoor Ko Ghash Sy Jo Phuphi Jaan Ny Uthaya
Jalta Hua, Lut’ta Hua Samaan Nazar Aaya
Baba Na Alamdar Na Lashkar Tha Hamara
Maan Behnon Ky Sar Par Bhi Ridaon Ko Na Paya
Us Haal Mein Dastaar E Imamat Ko Sambhala
Marsiya Tha Ek Ghareeb Ka
Haye Jab Imam Main Bana

Cha Chuki Thi Sham Ki Ghata
Jal Raha Tha Haye Ghar Mera
Lut Raha Tha Maal O Zar Mera
Hans Rahy Thy Hum Py Ashkiya
Samny Phuphi Thiin Bay Rida
Marsiya Tha Ek Ghareeb Ka
Haye Jab Imam Main Bana

Mery Samny Thi Karbala
Giriya O Buka Ka Shor Tha
Maiyaten Parhi Thiin Ja Baja
Ro Rahi Thi Nehr E Alqama
Aur Main Yeh Dekhta Raha
Marsiya Tha Ek Ghareeb Ka
Haye Jab Imam Main Bana

Mujh Sy Keh Rahi Thi Yeh Phuphi
Masnad E Rasool Jal Gai
Chal Gai Hussain Par Churi
Ab Imam E Waqt Ho Tum Hi
Ho Rahi Thi Aisy Ibtida
Marsiya Tha Ek Ghareeb Ka
Haye Jab Imam Main Bana

Haye Shamion Ka Azhdahan
Aur Woh Ghairaton Ka Qatl E Imam
Khoon Ro Raha Tha Subh O Sham
Keh Ky Haye Sham Haye Sham
Kiun Na Us Gharhi Main Mar Gya
Marsiya Tha Ek Ghareeb Ka
Haye Jab Imam Main Bana

Aaj Hum Py Tang Hai Zameen
Ro Rahiin Hain Zainab E Hazeen
Main Ba Haisiat Imam Ki
Rakh Raha Hun Khak Par Jabeen
Kar Raha Hun Sajda E Khuda
Marsiya Tha Ek Ghareeb Ka
Haye Jab Imam Main Bana

Sarwar O Zafar Woh Sham E Gham
Haye Woh Museebat O Alam
Woh Yateem E Shah Par Sitam
Mar Raha Tha Jo Qadam Qadam
Keh Raha Tha Jo Ba Sad Buka
Marsiya Tha Ek Ghareeb Ka
Haye Jab Imam Main Bana

Sughra Ny Yeh Khat Akbar Ko Likha
Kaisy Ho Mery Pyaray Bhaia
Bichrhay Huye Arsa Beet Gaya
Kab Tak Yeh Behan Dekhay Rasta
Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hian
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Lo Qasid E Sughra Ghar Sy Chala
Likha Hai Batao Ay Bhaia
Ab Tak Na Khayal Aaya Mera
Kya Aisi Hui Hai Mujh Sy Khata
Kya Aisy Rooth Ky Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Sab Chorh Gaye Hum Ko Tanha
Kis Haal Mein Hun Kya Tum Ko Pata
Beemar Ko Dy Ab Kon Dawa
Aa Jao Jo Tum Main Paun Shifa
Jab Chain Sy Sab So Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Bali Sakina Aur Asghar
Milty Hain Galy Tum Sy Hans Kar
Aur Sath Mein Hon Maan Aur Padar
Bas Itna Bata Bhaia Akbar
Sab Ghar Mein Hansty Hansaty Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Jab Bhi Musallay Par Bhaia
Karty Ho Namaz E Fajar Ada
Beemar Ky Haq Mein Behr E Shifa
Karty Hain Dua Mery Baba
Sab Apny Hath Uthaty Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Qasim Jo Sakina Ko Bhaia
Deta Hai Koi La Kar Tohfa
Dono Sy Galy Mil Kar Baba
Dety Hain Dua Ly Kar Bosa
Aur Pyar Sy Sar Sehlaty Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Mein Khushi Ka Ho Samaan
Sab Aik Jaga Hon Peer O Jawan
Khush Dekh Ky Sab Ko Hon Amman
Aa Jaye Koi Ghar Mein Mehman
Jab Dastar Khuwan Bichatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Hasrat Hai Tera Sehra Dekhun
Maan Jaye Tera Matha Choomon
Baten To Bahut Hain Kya Likhun
Nadaar Hun Bhaia Kya Bhejun
Ahbab Jo Tohfay Latay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Zikr Kabhi Hota Ho Ga
Maan Jaye Tumhari Shadi Ka
Khush Hon Gi Sakina Aur Kubra
Bandhy Ga Ali Akbar Sehra
Khushiyon Ky Phool Khilaty Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Kya Aur Likhun Kya Batlaun
Dill Cheer Ky Kaisy Dikhlaun
Khud Aun Ky Tum Ko Bulwaun
Bhaia Main Tujhy Kaisy Paun
Bas Tanha Ashk Bahatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Jab Ghar Ko Parinday Jatay Hain
Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain

Qasid Jo Khat E Sughra Laya
Ek Bap Kamar Thamy Tha Kharha
Bhai Ky Labon Par Tha Sughra
Ro Ro Ky Shanawar Aur Raza
Khat Sughra Ka Dohraty Hain

Bhaia Ali Akbar (x4)

Shah E Shaheed E Karbala (x2)
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala (x2)
Le Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Haye Bhaia Bahattar Ka Chehlum Karun Gi
Dill Khol Kar Aaj Matam Karun Gi
Farsh E Aza Lo Bich Gaya
Lo Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Haye Bhaia Lahoo Mera Sajjad Roya
Main So Saki Aur Na Sajjad Soya
Har Har Qadam Ki Karbala
Lo Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Haye Bhaia Watan Ja K Main Kya Karun Gi
Haye Ujrhy Madiney Mein Kaisy Rahun Gi
Mar Jaye Gi Yeh Ghamzada
Lo Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Haye Main Bhi Yahin Zayeron Mein Rahun Gi
Aur Zayeron Ki Main Khidmat Karun Gi
Yeh Waqt Phir Kab Aaye Ga
Lo Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Haye Khoon Mein Bhara Kurta Ly Ja Rahi Hun
Lekin Tumhari Qasam Kha Rahi Hun
Han Harun Gi Na Main Hosla
Lo Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Sary Shaheed Ab Tumhary Hawaly
Main Apny In Ghamzadon Ko Sambhaly
Haye Ly Ja Rahi Hun Qafila
Lo Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Haye Bhaia Sakina Ko Na Lai Zainab
Haye Zindan Mein Us Ko Chorh Aai Zainab
Haye Roti Rahi Woh Meh Laqa
Lo Lo Salam Zainab Ka

Aai Hun Phir Sy Nainawa
Le Lo Salam Zainab Ka
Shah E Shaheed E Karbala

Live Like Ali, Die Like Hussain (x2)

Ya Ali Ya Hussain (x4)

Live Like Ali, Die Like Hussain

Allah Loves All Who Have Love For Muhammad In Their Heart
He Is The City Of Knowledge, Ali It’s Door And Path,
Hussain And Prophet Muhammad Can Never Be Apart
Because This Is What Muhammad Had Said Off From The Start

Hussainiyo
Hussain O Minni Wa Ana Minal Hussain Hussain
Live Like Ali Die Like Hussain

For Life And Death They Are The Guardians And Philosophy
The Sacrifice Of Hussain And The Way Of Life Of Ali
You Only Need To Look At The Final Sujood Of Each
This Is The Art Of Life And Death We Should Try To Achieve

Hussainiyo
There Were The Words Of Ali Fuzztou Bey Rabbil Kaaba
Live Like Ali Die Like Hussain

Hussain’s The One Who’s The Meaning Of Courage, Love And Peace
He Owns The Earth And He Owns Everything Within The Seas
He Is The Path To The Heavens This Is A Guarantee
To Love Hussain Is The Best Way To Let Your Soul Be Free

Hussainiyo
We Follow Him’ Cause He Guides Us To What We’re Looking For
Live Like Ali Die Like Hussain

When Growing Up We Have Been Taught This Lesson Every Day
Without A Doubt You Have Been Born To Serve The Ahlulbayt
For Loving Them You May Face Torture, Agony And Pain
But Every Time You Should Never Be Scared To Face That Hate

Hussainiyo
The Bravery Of Ali Is What You Should Always Show
Live Like Ali Die Like Hussain

By Sacrificing His Companions And His Family
Hussain Has Showed Us How To Live Our Lives And How To Be
To Give Whatever We Have In Allah’s Name And We’ll See
There’s Not A Thing In This Whole Universe We Can’t Achieve

Hussainiyo
To Live Our Life In The Way Of Allah Should Be Our Goal
Live Like Ali Die Like Hussain

Our Aim In Life Is To Do Good And To Discourage Wrong
This Is The Best Way To Let Karbala Live On And On
And Even Though We Know That Fourteen Centuries Have Gone
The Sacrifice Of Hussain Lives On In Us And Our Soul

Hussainiyo
By Standing For What He Stood For Is Answering His Call
Live Like Ali, Die Like Hussain

Hussain’s The Ultimate Meaning Of Faith And Devotion
He Showed Us How To Conduct Ourselves As Creation
And Then By Saving Humanity Gave Us Salvation
This Is A Lesson For Every Age And Generation

Hussainiyo
Because Of Him We Have Got Harmony Within Our Souls
Live Like Ali Die Like Hussain

To Call Ourselves The Lovers Of These Personalities
We Have To Follow Them And Should Reflect On What They Did
To Fast And Keep Up With Our Prayers Is Imperative
These Are The Acts That Go Together With Azadari

Hussainiyo
Without One Or Other Faith Cannot Be Whole
Live Like Ali Die Like Hussain

Ya Ali Ya Hussain
Live Like Ali Die Like Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Na Qasim Hai Na Akbar Hai Na Lashkar Na Abbas Bhira

Majboor Zainab (x4)

Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Akbar Ty Qasim Raitan Ch Rul Gaye
Haye Ja Na Sakdi O Gal La Na Sakdi

Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Pathran Dy Wich Ay Weerann Da Lasha
Jehrha Muhammad Da Ay Nawasa
Rowanrh Na Daindy Zalim Na O Koon
Kurla Na Sakdi O Furha Na Sakdi
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Sarh Gaye Ney Khaimy Abid Beemar Ay
Lutya Ney Veeran Zalim Ridawan
Hath Jorh Akhy Kari Maaf Meku
Kafna Na Sakdi O Chad Ja Na Sakdi
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Puchdi Sakina Meku Ay Ro Ro
Teeran Dy Wich Kiun Ay Babay Da Seena
Kiun Kapya Zalim Sir Tainda Veeran
Samjha Na Sakdi O Parcha Na Sakdi
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Lashy Parhy Hain Khaimay Jaly Hain
Zanjeer Ek Hai Bara (12) Galy Hain
Ghazi Raha Na Qasim Na Akbar
Zainab Py Hain Din Ye Aaye Kaisy
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Cha Cha Ky Chaway Lasha Halaway
Abbas Da Naam Wal Wal Ky Chaaway
Jairhy Thi Gaye Kann Kaa Tamanchay
Dikhla Na Sakdi Kurla Na Sakdi
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Tak Tak Ky Tukrhy Ro Farwa Akhy
Jaawan Main Bachrha Hunrh Kehrhy Paasay
Taindi Shakl Qasim Main Banrha Na Sakdi
Hath Taindy Labh Ky Main Ly Aa Na Sakdi
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Boli Sakina Amman Batao
Dhundhun Kahan Main Baba Ka Seena
Seeney Py Har Su Paiwast Peykaan
Dhundhun Gi Seena Ab Haye Kaisy
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Noky Sinaan Ty Shabbir Roway
Bachri Dy Gal Wich Zanjeer Tak Ky
Zanjeer Ek Ty Bara (12) Galy Ny
Bhar Haan Na Sakdi O Lay Saah Na Sakdi
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Khurshid Sarwar Hub Daar Tery
Parh Parh Ky Noha Ro Ro Ay Kehndy
Wirsy Ch Mili Ay Hub Teri Bibi
Kadi Ja Na Sakdi O Kadi Ja Na Sakdi
Majboor Zainab Lashy Bhira Ty
Haye Ja Na Sakdi O Dafna Na Sakdi

Zuljenah Zuljenah (x4)

Kya Hua Baba Ko Mery Zuljenah
Ashk Kiun Behty Hain Tery Zuljenah
Dasht Mein Pahuncha Dy Mujhy Zuljenah
Khair Ho Allah Kary Zuljenah

Chehry Py Kis Ka Hai Lahoo Kya Hua Zuljenah
Ati Hai Kiun Khoon Ki Boo Yeh Bata Zuljenah
Zakhmi Hua Kis Liye Sar Ko Utha Zuljenah
Bol Kahan Reh Gaya Baba Mera Zuljenah

Hilti Hai Kiun Ran Ki Musalsal Zameen Zuljenah
Hoti Hai Dadi Bhi Wahin Par Kahin Zuljenah
Jana Hai Jaldi Mujhy Un Ky Qareeb Zuljenah
Pas Mery Ab To Chacha Bhi Nahi Zuljenah