3 Shaban Sadaye Konain Marhaba Salle Alaa Ho Gaya Zahoor E Maula Hussain
Aghosh E Fatima Sy Hussain Aghosh E Risalat Mein Aaye
Hussain Dekh Ky Nana Ko Muskuraty Hain
Magar Yeh Kya Hua
Chashme Rasool E Akram Sy Khushi Ky Waqt Bhi Aanso Tapakty Jaty Hain
Sawal Kar Diya Zehra Ny Ay Mery Baba Udaas Kiun Huye
Kiun Sogwar Hai Chehra
Kaha Rasool Ny Zehra
Main Khush Hua Yeh Tera Laal Mery Deen Ko Bachaye Ga
Main Roya Is Liye Zehra
Watan Sy Door Akela, Pyasa, Ghareebi Mein Mara Jaye Ga
Aur Us Qayamat Mein Na Main, Na Tum, Na Ali Hon Gy, Na Hassan Ho Ga
Na Koi Pyara Na Koi Apna Ho Ga
Kanaare Nehr Ky Bay Gor O Bay Kafan Ho Ga
Tarhap Ky Poocha Nabi Sy Hussain Ki Maan Ny
To Mery Baba Bhala Is Py Kon Roye Ga
Kaha Rasool Ny Zehra
Na Fikr Kar Beti
Khuda Ki Samt Sy Mojood Aik Qabeela Hai
Jo Is Ko Roye Ga Ta Hashr
Us Ka Waada Hai Jo Na Hussain Ko Bhooly Ga
Na Hussain Us Ko Bhooly Ga
Sare Jahan Sy Un Ki Musalsal Sada Ho Gi
Hussain Hussain Hussain Hussain…

Wada Hai Hamara Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina

Us Ny Hum Ko Na Bhulaya
Hum Ny Us Ko Na Bhulaya

Hussainun Hubhu Yamhul Khataya
Howan Noor Ul Lazi Yohdi Al Baraaya
Minho Laa Badr Ul Huda
Lan Ninsa Toolil Madaa
Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina

Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena

Waada Hai Yeh Wallah
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina

Qasam Allah Ki Woh Jis Ny Hamen Khalq Kiya
Aur Gham E Karbobala K Liye Makhsoos Kiya
Hum Wohi Log Hain Wallah Dua E Zahra
Us Ny Hal Min Jo Kaha Nasireen Yansurna
Hum Ny Labbaik Kaha
Us Ny Hum Ko Na Bhulaya
Hum Ny Us Ko Na Bhulaya

Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina

Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena

Waada Hai Yeh Wallah
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina

Azam Allah O Laka Al Ajra Ali
Bil Museebah Ya Haider Ya Ali

Ya Ali Ap Ky Har Ranj O Masaib Ki Qasam
Ap Ky Gham Ki Hai Maqrooz Yeh Nasl E Adam
Choda Sadion Sy Musalsal Hai Aza O Matam
Go Ky Har Chand Huye Hath Qalam Paon Qalam
Zaayer E Karbobala Ky Na Ruky Phir Bhi Qadam

Azam Allah O Laka Al Ajra Ali
Bil Museebah Ya Haider Ya Ali
Lo Qata’oo Arjulna Wal Yadain
Nateek Zahfan Sayedi Ya Hussain

Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena

Waada Hai Hamara
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina

Aik Wada Hai Jo Shabbir Sy Hum Sab Ny Kiya
Aik Wada Hai Jo Shabbir Ny Bachpan Mein Liya
Apna Maan Baap Sy, Nana Sy Baradar Sy Kaha
Aap Sab Mery Azadaron Ko Kya Den Gy Sila
Boly Sarkar E Muhammad Main Shafa’at Dun Ga
Boly Haider Ky Main Kosar Ki Basharat Dun Ga
Aur Hasan Boly Main Sardar Hun Jannat Dun Ga
Boli Zehra Tera Wada Hai Shahadat Dun Ga
Main Bhi Jannat Mein Na Rakhun Gi Qadam Mery Hussain
Jab Talak Khuld Mein Jayen Na Azadar E Hussain

Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina

Hallah Hallah Ya Waleena
Ahna Khidamak A Jeena

Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain…

Waada Hai Hamara
Ya Fatima Zahra
Nahi Bhoolen Gy Hussaina

Ati Hai Fatima Zehra Ki Sada
Ay Azadaro Suno
Ay Azadaro Na Jab Tum Bhooly
Bhool Jaye Tumhen Zahra Kaisy
Mujh Py Kya Kya Na Masaib Tooty

Mera Do Bar Jala Ghar Logo
Mery Pehloo Py Gira Dar Logo
Dagh E Mohsin Hai Jigar Par Logo
Mujh Ko Darbar Bula Kar Logo
Kata Hai Qalb E Payambar Logo

Nahi Bhoolen Ga Ya Zahra

Na Main Abbas E Alamdar Ky Bazoo Bhooli
Na Main Zainab Ka Tarhapna Kisi Pehloo Bhooli
Gard Alood Sakina Ky Na Gaisoo Bhooli
Na Hi Sajjad Ky Khoon Rang Woh Aanso Bhooli

Nahi Bhoolen Ga Ye Zahra

Apny Bachy Ky Rafeeqon Ko Bicharhta Dekha
Khak Py Aon O Muhammad Ko Tarhapta Dekha
Main Ny Tukrhy Huye Qasim Ka Janaza Dekha
Airhian Khak Py Akbar Ko Ragharta Dekha
Mainy Asghar Ka Gala Teer Mein Uljha Dekha
Jis Gharhi Laal Mera Zeen Sy Raiti Py Gira
Tera Zarbon Sy Mery Samny Sar Us Ka Kata

Hussain Hussain

Haye Phir Sham E Ghareeban Ny Mujhy Loot Liya
Woh Rida Meri Thi Aada Ny Jisy Loot Liya
Main Na Bhoolon Gi Woh Bazaar
Haye Woh Sham Ka Darbar
Nahi Bhoolon Gi Woh Zindaan
Haye Mera Abid E Beemar

Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy
Zahra Nahi Bhoolen Gy

Shabbir Ki Ghurbat Ko
Naizey Py Tilawat Ko

Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy

Abbas Ko, Akbar Ko
Qasim, Ali Asghar Ko

Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy

Jalty Huye Khaimon Ko
Chinti Hui Chadar Ko

Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy

Zainab Ki Shuja’at Ko
Abid Ki Qayadat Ko

Zahra Nahi Bhoolen Gy
Wallah Nahi Bhoolen Gy

Abad Wallah Ya Zahra Maninsa Hussaina

Bayan Karta Hun Darbar E Shaam Ka Manzar
Jahan Thy Saat So Kursi Nasheen Fitna Gar
Yazeed Jhoom Raha Tha Sharab Pee Pee Kar
Aur Aisi Bazm Mein Afsos Aal E Payghambar
Tha Un Ky Samny Ek Bad Kalam Mimbar Par
Bayan Karta Tha Jhoty Yazeed Ky Johar
Jab Us Ny Khatm Ki Taqreer Bad Kalami Par
Khateeb E Jehl Sy Boly Yeh Abid E Muztar
Ky Tu Ny Khush Kiya Makhlooq Ko Zuroor Magar
Khareeda Qehr E Khuda Tu Ny Mukhtasar Zar Par

Ary Jahan Ho Zikr E Bad Atwaar Woh Mimbar Kab Hai
Lakrhion Ka Hai Woh Anbaar Woh Mimbar Kab Hai

Kaha Yazeed Sy Kuch Main Kahun Ijazat Dy
Yazeed Chup Tha To Darbari Sary Kehny Lagy
Yazeed Dy Dy Ijazat Isy Bhi Kehny Dy
Yeh Kya Kahy Ga Larazta Hai Jo Naqaahat Sy

Sambhaly Taoq O Rasan Shaa E Kirdegaar Aai
Imam Aaye Ky Mimbar Py Zulfiqar Aai

Ya Hussain Ya Hussain

Jis Ka Mimbar Tha Wohi Bar Sare Mimbar Aaya
Woh Akela Tha Magar Soorat E Lashkar Aaya
Lab Kusha Soorat E Quran Woh Haider Aaya
Jab Woh Khamosh Zubaan Bar Sare Darbar Chali
Karbala Mein Na Chali Thi Woh Talwar Chali

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Lehja E Noor Mein Maula Ny Kaha Bismillah
Layeq E Hamd O Sana Hai To Wohi Aik Khuda
Jis Ny Hum Aal E Muhammad Ko Hai Takhleeq Kiya
Jis Ko Maloom Hai Maloom Hai Mera Shajra
Jo Nahi Janta Woh Sun Ly Ta’aruf Mera

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Hum Ko Allah Ny Chay (6) Khobian Bakhshiin Ba Khuda
Ilm Aur Hilm Diya Aur Dil E Momin Mein Rakha
Hai Samaahat, Wa Fasahat Wa Shuja’at Wirsa
Kam Na Thiin Chay (6) Go Ky Yeh Izzat K Liye
Sifaten Saath Miliin Aur Fazeelat K Liye

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Hum Mein Awwal Jo Thy Woh Ahmad E Mukhtar Huye
Koi Hamza To Koi Jafar E Tayyar Huye
Hum Hi Haider Huye, Abbas E Alamdar Huye
Hum Ko Mairaj E Risalat Bhi Imamat Bhi Mili
Hum Ko Mehraab E Ibadat Mein Shahadat Bhi Mili

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Us Ka Farzand Hun Seh Roz Raha Jo Pyasa
Darmian Zeen O Zameen Jis Ka Raha Tha Lasha
Jis Ky Sajdy Ky Sabab Khak Bani Khak E Shifa
Khak Aur Khoon Mein Dooba Tha Umama Jis Ka
Summ E Asbah Taly Ronda Gaya Lasha Jis Ka

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Ahl E Insaf Ab Insaf Sy Itna Keh Den
Jis Ki Chokhat Py Salami Ko Farishty Utren
Noky Naiza Sy Laeen Un Ki Ridayen Looten
Tum Ny Khaimey Nahi Allah Ka Ghar Khak Kiya
Kalma Parh Parh Ky Muhammad Ka Jigar Chaak Kiya

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Jis Ky Pardy K Liye Ayat E Tatheer Aaye
Sang Barsaty Huye Un Py Yahan Tak Laye
Haif Hai Rooh E Muhammad Sy Na Tum Sharmaye
Hum Ny Paband E Rasan Ho Ky Tujhy Maara Hai
Ibne Marjana Tu Jeeta To Nahi Haara Hai

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Baat Jab Khul Gai Sadaat E Muhammad Hain Yahan
Ro Diye Ahl E Jafa Ubhra Baghawat Ka Samaan
Aur Isi Shor Mein Hakim Ny Diya Hukm E Azan
Saat Afraad Jo Yak Musht Azaan Deny Lagy
Haq Mein Sajjad Ky Darbari Bayaan Deny Lagy

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Jab Moazzin Ny Kiya Kalma E Takbeer Ada
Boly Sajaad Bazurgi Hai Usi Ko Zaiba
Jaisy Hi Naam Muhammad Ka Moazzin Ny Liya
Murh Ky Hakim Sy Kaha Tery Irady Bad Hain
Yeh Muhammad Hain Tumhary Ky Hamary Jadd Hain

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Aeb Kiun Apny Kiun Chupata Hai Azaanen Dy Kar
Thy Agar Tery Muhammad To Sitam Kiun Hum Par
Daal Is Taoq Py, Zanjeer Py Ek Baar Nazar
Zakhm Jo Tu Ny Diye Sab Dil E Beemar Mein Hain
Betian Hain Yeh Muhammad Ki Jo Darbar Mein Hain

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zam Zam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Tu To Kehta Hai Ky Hai Dhong Naoozobillah
Na Payambar Na Wahi Aai Na Quran Utra
Phir Azaanen Bhi Tu Darbar Mein Hai Dilwata
Ly Munafiq Tery Chehry Sy Utarti Hai Naqaab
Jis Ka Munkir Hai Woh Quran Tera Ly Ga Hisab

Ana Ibne Makka O Mina
Ana Ibne Zamzam O Safa
Ana Ibne Ali O Fatima

Is Shaqaawat Py Bhi Hum Haary Nahi Jeet Gaye
Naam Azanon Mein Tumhary Nahi Hum Jeet Gaye
Kya Yeh Qudrat Ky Ishary Nahi Hum Jeet Gaye
Yak Ba Yak Fatah E Mubeen Sab Ko Nazar Aany Lagi
Marhaba Syed E Sajjad Sada Chaany Lagi

Boly Phir Abid E Beemar Yeh Izzat Dekhi
Dekhi Ay Takht E Sitamgaar Yeh Izzat Dekhi
Phir Gaya Tujh Sy Yeh Darbar Yeh Izzat Dekhi
Jis Ka Hami Ho Khuda Kon Usy Zillat Dy
Izzaten Us Ki Hain Allah Jisy Izzat Dy

Haye Hussaina Haye Hussaina

Utry Mimbar Sy To Baba Ky Katy Sar Ny Kaha
Marhaba Ay Mery Sajjad Ghareeb E Zehra
Mojza Sarwar O Rehan Falak Ny Dekh
Ky Khutba E Zainab O Sajjad Ny Woh Kaam Kiya
Hashr Tak Zikr E Hussain Ibne Ali Aam Kiya

Allah Na Dikhaway
Fizza Yeh Dua Karna

Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway

Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan
Is Dill Dyan Dardan Koon

Fizza Ay Dua Karna Allah Na Dikhaway

Hik Rassi Ch Tu Fizza Sang Maindhy Bandhi Rahi Ayn
Har Zulm Laeenan Da Mery Naal Tu Seh Gai Ayn

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Haye Babey Dyan Zakhman Koon Ambrhi Dyan Dardan Koon
Shabbar Dy Janazey Tey Wasdey Huye Teeran Koon

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Gham Aon O Muhmmad Da Qasim Da Ty Akbar Da
Asghar Da Sakina Da Sajjad Ty Baqir Da

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Jadon Veer Qatal Hoya Main Wekhdi Rahi Manzar
Koi Maarda Si Pathar, Koi Teer Koi Khanjar

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Gham Sham E Ghareeban Haye Pyaasy Yateeman Da
Ghazi Diyan Baahwan Da Rondian Ridawan Da

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Haye Sadma Ay Barha Menu Kulsoom Ruqaiyya Da
Asghar Di Dukhi Maa Da, Laila Da Ty Farwa Da

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Ta Hashr Nahi Bhulny Main Koon Dard Bazaaran Dy
Gham Fizza Main Ku Kha Gaye Gustakh Nigahwan Dy

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Haye Nahi Bhulna Sakina Da Zindaan Dy Wich Rona
Darwazey Ty Beh Beh Ky Babey Nu Sada Daina

Ginn Ginn Ky Main Thak Pai Aan Is Dill Dyan Dardan Koon
Fizza Yeh Dua Karna Allah Na Dikhaway
Shala Kisi Bibi Ty Inj Waqt Na Aaway

Jawad Ty Sarwar Ay Fizza Diyan Haanwan Ny
Main Di Sainrh Kafan Wich Wi Inj Dittian Sadawan Ny

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha
Apni Ankhon Ko Sada Khoon Hi Rota Dekha

Jis Gharany Ny Sada Logon Ko Khushiyan Bantiin
Un Ko Khushiyan Na Miliin, Gham Hi Zyada Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Woh Muhammad Keh Jo Rehmat Hain Zamaney K Liye
Un Ki Nalain Ko Bhi Khoon Mein Dooba Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Sabz Gunbad Ky Qareeb Marqad E Zehra Hai Magar
Baap Ny Beti Ki Turbat Py Na Saya Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Rotian Mang Ky Jis Dar Sy Farishty Jayen
Eid K Roz Bhi Un Bachon Ka Faqa Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Woh Taqi Ho Ky Naqi Moosi E Kazim Ya Raza
Sakhtian Qaid Ki Aur Zehr Ka Pyala Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Pusht Ky Jis Ko Bithaty Thy Rasool E Akram
Us Nawasey Hi Ka Sar Bar Sar E Naiza Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Jis Ky Bazoo Thy Rida Zainab E Kubra K Liye
Kaisy Bibi Ny Usy Bazoo Bureeda Dekha

Haye Saadat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Subh E Ashoor Dhali Sham E Ghareeba Aai
Char Pehron Mein Qayamat Ko Guzarta Dekha

Haye Saadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Gir Gai Khak Py Ghash Kha Ky Ali Ki Beti
Poocha Sughra Ny Ky Pardais Mein Kya Kya Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Ro Diye Sarwar O Rehan Jigar Tham Ky Ham
Jab Aza Khaney Mein Rakha Hua Jhoola Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Maula Maula Maula Maula

Allah Maula Nabi Maula

Saiin Ali Maula Hussain Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Aayo Aahe Mahe Muharram
Haae Ghar Ghar Sadaat Jo Gham
So Gaame Ao Gaazia Jo Parcham
Kioa Sughra Akbara Jo Matam
To Khe Roandho Har Insaan Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Haan Farsh Wala Ay Arsh Wala
Haay Tana The Sab We Sakhara
Wa Hussaina Hai Wa Hussaina
Tunjho Deena The Ya Ehsaan Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Sain Ishq Maula Dil Jaan Maula
Shaan Pahenjo Emaan Maula
Matami Ya Mehman Maula
Tehnji Matam Pehchaan Maula
To Ta Sadke Hi Jind Jan Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Maula Tohonjo Rozo Nihary
Karbala Je Zakhmi De Saary
Royi Royi Dil Thi Pukaary
Aayo Maula Tohnjo Sahaary
Har Mushkil Kar Asan Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Ohnjhi Maula Zawwar Bandi
Karbala Mein Duniya Achedi
Tuhnjhe Dar Pe Matam Karedi
Tehnjo Khaali Daman Bharedi
Tua Sakhian Jo Sultan Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Ha Allah Allah Kahiyo Gham Bhalacha
Tahnjo Maula Sain Ali Maula
Shah Bithai Sakhilal Para
Tujhe Dar The Malum Tha Rutba
Tuhnjho Nokar Ha Salman Da

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Aai Zainab Jenh Jen Sahare
Qatl Theo Aa Dariya Kanare
Waa Hijaaba Chai Veer Hare
Haye Ghazi Zainab Pukare
Hoyo Pardan Jo Nigran Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Haye Qaidi Syed Bazar Aya
Sham Waran Pathar Wasaya
Haye Sharabin Sadma Rasaya
Neera Rat Ja Abid Wahaya
Sira Bibin Ja Uryan Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Yad Ayo Qasim Ay Akbar
Maula Tohnjho Masoom Asghar
Kiyan Wisle Ghazi Dilawar
Kal Tha Matam Jawwad O Sarwar
Ghar Tuhnjho To Qurban Maula

Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Hussain Maula

Haye Qaidi Hun Main Baba Jan Ab Shahzadi Kahan

Ab Shahzadi Kahan Qaidi Hun Main Baba Jan

Na Apna Woh Ghar Hai Na Apna Madina
Woh Baanhen Chacha Ki Tumhara Woh Seena
Bolo Khudara Tum Ho Kahan Main Kahan
Qaidi Hun Main Baba Jan

Jis Din Sy Tum Sy Juda Ho Gai Hun
Dekho To Baba Main Kya Ho Gai Hun
Ujra Makaan Hai Rehti Hun Ab Main Jahan
Qaidi Hun Main Baba Jan

Kehti Na Thi Dekho Na Jao Baba
Taras Khao Mujh Par Taras Khao Baba
Tum Kya Gaye Ho Mujh Par Gira Aasman
Qaidi Hun Main Baba Jan

Jaisy Hi Naizey Py Tum Aaye Baba
Mainy Tamanchay Bahot Khaye Baba
Rukhsar Par Hain Abhi Tak Sitam Ky Nishan
Qaidi Hun Main Baba Jan

Maanga Kaneezi Mein Baba Kisi Ny
Phainka Meri Samt Sadqa Kisi Ny
Paidal Chali Hun Kaanton Ky Main Darmian
Qaidi Hun Main Baba Jan

Milny Ko Hum Sy Chaly Ao Baba
Ek Bar Chehra Dikha Jao Baba
Ay Pyary Baba Phir Hum Kahan Tum Kahan
Qaidi Hun Main Baba Jan

Chalo Sham Chalty Hain Rehan O Sarwar
Wahan Dekhna Kya Hai Chehlum Ka Manzar
Bibi Sakina Karti Hain Ab Tak Fughan
Qaidi Hun Main Baba Jan

Ya Ali Ya Abbas

Ya Ali Ya Abbas
Wallah Ya Abbas Haayier Sharde Gull

Ya Ali Ya Abbas

Ya Ali Ya Abbas
Ek Ali E Murtaza Ek Ali E Karbalaa

Ya Ali Ya Abbas

Wallah Ya Abbas Ya Ali Kaho
Wallah Ya Ghazi Ya Wali Kaho
Ya Kaho Ilm O Alam
Ya Kaho Laoh O Qalam
Keh Do Dono Ko Ali
Sayedi Muttalabi
Hain Yeh Dono Hi Ali Dono Hi Abbas
Ya Ali Ya Abbas

Ek Ali Ye Murtaza Ek Ali Ye Karbala Ya Ali Ya Abbas
Ya Gheery Ya No Maas Ya Ali Ya Abbas
Haan

Noor E Do Aine Ali Ye Mahjabeen
Quwat E Jaan O Jigar Ummul Baneen
Hai Sakhi Ibne Sakhi Ainul Yaqeen
Daste Haider Ki Anghuti Ka Nageen
Ya Ali Ya Abbas

Ek Ali Ye Murtaza Ek Ali Ye Karbala
Ya Ali Ya Abbas
Ya Gheere Yaa No Maas
Ya Ali Ya Abbas

Haan
Allah Allah Chala Shaire Jari
Ya Abal Fazl Sada Aane Lagi
Aamad E Misl E Ali
Uski Aamad Jo Hui
Aisa Lehraya Alam
Ukhrhe Aadaa Ke Qadam
Dasht Mein Door Talak Reh Gaya Abbas
Ya Ali Ya Abbas

Han
Ba Khuda Aisa Alamdar Kahan
Saniye Haider E Karrar Kahan
Ye Alamdar E Jawan
Alawi Azm O Nishan
Ye Sakina Ka Chacha
Mashk Jab Bhar Ke Chala
Mashk Pe Teer Laga Ro Diya Abbas
Ya Ali Ya Abbas

Ek Ali E Murtaza Ek Ali E Karbala
Ya Ali Ya Abbas
Ya Gheere Ya No Maas
Ya Ali Ya Abbas

Han
Han Wo Abbas Ali Ka Beta
Chid Gai Mashk To Phir Kya Larta
Jaise Hi Pani Baha
Uska Khoon Us Py Gira
Laot Ky Ghar Na Gaya
Mashk Pe Sar Ko Rakha
Ya Sakina Kaha Aur So Gaya Abbas
Ya Ali Ya Abbas
Ek Ali E Murtaza Ek Ali E Karbala
Ya Ali Ya Abbas
Ya Gheere Ya No Maas
Ya Ali Ya Abbas

Han
Uske Hain Sarwar O Rehaan Gadaa
Ho Ky Bey Dast Jo Karta Hai Ata
Wo Shahenshah E Wafa
Haider E Karbobala
Jis Ky Parcham Ki Hawa
Sab Ko Deti Hai Shifa
Marhaba Marhaba Sad Marhaba Abbas
Ya Ali Ya Abbas

Yeh Janaza Hai Ali Ka Shah E Khaibar Geer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka

Aaj Baba Mar Gaya Hai Shabbar O Shabbir Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka

Yeh Janaza Hai Ali Ka Shah E Khaibar Geer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka

Fatima Zehra Ky Marqad Sy Sada Aany Lagi
Yeh Masaib Reh Gaya Tha Kya Meri Taqdeer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Ya Rasool Allah Yeh Jibreel Ny Ro Kar Kaha
Aik Halqa Aur Toota Noor Ki Zanjeer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Kiun Chalai Taigh Haider Par Bine Muljim Bta
Qatl Quran Kar Diya Kaata Gala Tafseer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Gham Ali Ki Betion Ky Phir Sy Taza Ho Gaye
Gham Abhi Bhooli Kahan Thiin Madar E Dilgeer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Naz’aa Mein Jany Ali Ko Kya Khayal Ata Raha
Munh Kabhi Zainab Ka Dekha Aur Kabhi Shabbir Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Betion Ko Dekhty Hain Aur Roty Hain Ali
Haye Woh Zaalim Tasawwur Sham Ki Tashheer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Choty Sy Abbas Bhi Roty Hain Sar Ko Peet Kar
Bachpana Abbas Ka Aur Zakhm Dil Par Teer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Baap Ki Maiyat Sy Zainab Ka Lipatna Bar Bar
Dil Hila Deta Tha Rona Shah Ki Hamsheer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka…

Aj Baba Mar Gaya Hai Shabbar O Shabbir Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka

Yeh Janaza Hai Ali Ka Shah E Khaibar Geer Ka
Yeh Janaza Hai Ali Ka

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam

Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Sajdy Mein Sar Kataya Islam Ko Bachaya
Shabbir Ny Jan Dy K Wady Ko Hai Nibhaya

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Ahmad Ka Nawasa Tha Zehra Ka Dulara Tha
No Lakh Laeeno Ny Pyasa Jisy Mara Tha

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Iksath Sane Hijri Ko, Dasween Ki Qayamat Ko
Choda So Baras Beety Maula Ki Shahadat Ko

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Islam Ky Mohsin Ka Sar Naizey Py Aya Hai
Sadaat Ky Khaimon Ko Aadaa Ny Jalaya Hai

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Har Sal Muharram Mein, Ik Soag Ky Alam Mein
Masroof Zamana Hai Mazloom Ky Matam Mein

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Ashoor Zamaney Mein Paigham Yeh Lata Hai
Shabbir Ki Ghurbat Par Jo Ashk Bahata Hai

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Zindaan Ky Andhery Mein, Ghurbat Ky Sawerey Mein
Dafnaya Sakina Ko Abid Ny Jo Kurty Mein

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam

Rehan O Shanawar Ny Sarwar Ny Ali Jee Ny
Nohon Ki Ibadat Sy Abad Rakhy Seeny

Zainab Ka Hai Armaan Hussain Ka Matam
Choda So Baras Sy Hai Duniya Mein Qayam