Main Karbala Mein Kharha Hun
Libas E Soag Mein Hun
Hai Arbaeen Hussain Aur Hussaini Lashkar Ka
Karoron Log Hain Sary Libas E Soag Mein Hain
Har Ek Nasl, Har Ek Rang, Har Zaban K Log
Nigah E Roza E Shabbir Ky Tawaf Mein Hain
Labon Py Haye Hussaina Ghareeb Haye Hussain
Khayal Ata Hai Iksath Sane Hijri Ka
Aur Us Muharram Ka Yehi Maqam Tha
Yehi Maqam Tha Ek Banda E Khuda Jis Ka Hussain Nam Tha
Hussain Nam Tha Jis Ka Raahe Khuda Mein Hatheli Py Sar Uthaye Huye
Har Ek Daor Ky Insan Ki Abroo K Liye
Woh Apny Dil Py Bahattar Ky Zakhm Khata Raha
Woh Apny Jism Py Zakhmon Py Zakhm Khata Raha
Qadam Barhata Raha
Qadam Barhata Raha

Bas Ek Azm Tha Insan Surkh Roo Ho Jaye
Bas Aik Dhun Thi Ky Insaniat Na Mar Jaye

Insaniat Py Hai Ehsaan Hussain Ka
Ehsan Hi To Hai Ehsan Ka Sila
Har Dil Mein Ya Hussain
Har Dil Mein Karbala
Beydaar Kar Diya Jo Zamana Hussain Ny
Bey Sakhta Yeh Tamam Zamana Keh Utha

Ky Hamarey Hain Ya Hussain

Hamarey Hain Ya Hussain

Insaniat Ki Shan Barhai Hussain Ny
Insaniat Bashar Ko Sikhai Hussain Ny
Insaniat Ki Pyas Bhujai Hussain Ny
Insan Jab Hussain Ky Paikar Mein Dhal Gaya
Insaniat Pukari Wa To Izzo Man Tasha
Ky Hamarey Hain Ya Hussain

Hamarey Hain Ya Hussain

Duniya Ky Har Adab Mein Hai Hissa Hussain Ka
Duniya Ki Har Zaban Py Hai Qabza Hussain Ka
Insan Samajh Raha Hai Yeh Rutba Hussain Ka
Tareekh Ko Hussain Ny Hairan Kar Diya
Sare Jahan Ky Ahl E Qalam Ny Yeh Likh Diya
Ky Hamare Hain Ya Hussain

Hamary Hain Ya Hussain

Sooray Mein Maotee Ky Allah Ny Sunaya
Takhleeq E Kul Mein Insan Ashraf Tujhy Banaya
Insan Ka Dard Dil Mein Insan Ky Utara
Insaniat Ka Maktab Ghar Panjatan Ka Rakha
Us Ghar Ny Panjatan Ky Ek Shehar Ko Basaya
Phir Apny Khoon Dy Ky Us Shehar Ko Sanwara
Yeh Shehar Nainawa Hai
Yeh Shehar Mariya Hai
Yeh Shehar Karbala Hai

Dil Hai To Karbala
Dil Hai To Ya Hussain

Hamarey Hain Ya Hussain

Insaniat Samajhny Chalo Karbala Chalo
Han Tham Lo Hussain Ky Daman Ko Tham Lo
Hur Jaon Aur Habib Ki Saf Mein Kharhy Lo
Dil Hai To Ab Hussain Ki Awaz Ko Suno
Farmaty Thy Hussain Woh Insan Nahi Hai
Looty Jo Dil Ka Chain Woh Insan Nahi Hai
Royen Na Jis Ky Nain Woh Insan Nahi Hai
Hans Dy Jo Sun Ky Bain Woh Insan Nahi Hai

Insaniat Bachaye Woh Insan Hai Insan
Insan Ka Dukh Uthaye Woh Insan Hai Insan
Darse Wafa Sikhaye Woh Insan Hai Insan
Jo Sab Py Rehm Khaye
Ilm O Amal Barhaye
Insaniat Bachaye
Woh Insan Hai Insan

Woh Insan Hai Insan

Insan Ko Hussain Ny Insan Bana Diya
Insaniat Ky Lab Py Musalsal Thi Yeh Sada
Ky Hamarey Hain Ya Hussain

Hamarey Hain Ya Hussain

Do Tarah Ky Hua Karty Hain Jahan Mein Insan
Hain Juda Rasty Dono Ky Baqaol E Quran
Admi Aik Yazeed E Azali Mein Ubhra
Aik Insan Hussain Ibne Ali Mein Ubhra
Us Taraf Kham Khayali Naya Islam Bany
Is Taraf Azm E Jalali Ky Shariyat Na Mity
Us Taraf Saltanat O Daolat O Taqat Ka Ghuroor
Is Taraf Chota Sa Ghar Faqon Mein Hai Manba E Noor
Aik Taqat Ky Takabbur Mein Jo Itra Ky Chala
Doosra Nana Ky Marqad Sy Dua Pa Ky Chala
Aik No Lakh Ky Lashkar Ko Liye Sath Chala
Doosra Goud Mein Asghar Ko Liye Sath Chala
Us Taraf Naizey Thy Talwaren Thiin Aur Baaly Thy
Is Taraf Shaoq E Shahadat Liye Dil Waly Thy
Us Taraf Jashn Manaty Thy Zamaney Waly
Is Taraf Bey Kas O Bey Aas Madiney Waly
Is Taraf Tishna Dahan, Sab Ky Sab Khusk Zaban
Un Ka Maqtal Tha Jahan, Rait Sari Thi Tapaan
Door Thi Nehr E Rawaan, Al Hafeez O Al Amaan

Al Hafeez O Al Amaan

Kya Dil Tha Dil Hussain Alaihe Salam Ka
Jis Mein Koi Khayal Na Tha Inteqaam Ka
Dil Tha To Dil Py Kaar E Risalat Utha Liya
Dil Tha To Dil Py Noor E Shahadat Utha Liya
Dil Tha To Dil Py Baar E Qayamat Utha Liya
Dil Tha Khuda Ky Ishq Mein Sab Ghar Luta Diya
Dil Tha To Dil Py Dagh E Bahattar Utha Liya
Dil Tha Sambhal Ky Lasha E Akbar Utha Liya
Had Hai Janaza E Ali Asghar Utha Liya

Hussain Dil Hai Tera
Hussain Dil Hai Tera

Karbala Kya Thi Laeenon Ki Shaqawat Kya Thi
Soch Insan Ky Sadaat Ki Ghurbat Kya Thi
Eid Guzri Hai Abhi Yani Ky Eid E Qurban
Aap Ny Poora Kiya Ho Ga Yeh Rukn E Emaan
Chand Sharten Hain Zabeeha Ki Baraye Insaan
Shart E Awwal Hai Ky Kamsin Na Ho, Beemar Na Ho
Aur Bhooka Na Ho, Pani Ka Talabgaar Na Ho
Roo Baroo Samny Haiwan Ky Haiwan Na Ho
Waqt E Zibha Woh Gharhi Bhar Ko Pareshan Na Ho
Shart Yeh Bhi Hai Churi Bhi Na Dikhao Us Ko
Zibh Sy Pehly Qaza Sy Na Darao Us Ko
Ho Churhi Taiz Magar Hath Hon Narmi Sy Rawan
Aik Hi Waar Mein Ho Jaye Zabeeha Qurban

Al Hafeez O Al Aman
Al Hafeez O Al Aman

Ab Jigar Tham Ky Ay Momino Yeh Hal Suno
Lo Zara Maqtal E Shabbir Ka Ehwaal Suno
Haye Haiwan Ki Dam E Zibaan Sharait Itni
Aur Jis Ghar Sy Yeh Mansoob Hui Yeh Qurbani
Us Ki Aulad Ki Maqtal Mein Yeh Taoqeer Hui
Koi Bhi Shart Zabeehay Ki Nibhai Na Gai

Al Hafeez O Alaman
Al Hafeez O Alaman

Shart E Awwal Thi Ky Kamsin Na Ho Dandaan Bhi Ho
Doodh Peeta Na Ho Mar Janey Ky Imkaan Na Hon
Tum Ko Ab Madar E Asghar Ki Qasam Ahl E Aza
Qatl Asghar Jo Huye Sochiye Woh Kya Sin Tha
Teesra Faaqa Tha Chai Maah Ka Sin Wawaila
Aik Bhi Dant Na Nikla Tha Ali Asghar Ka
Aik Balist Ky Kurta Tha Ali Asghar Ka
Doodh Peena Bhi Na Choota Tha Ali Asghar Ka
Pehla Kamsin Hai Ky Jo Zibah Nahi Nehr Hua
Teer E Seh Pehloo Sy Masoom Ko Bhi Mar Liya

Al Hafeez O Alamaan
Al Hafeez O Alamaan

Sharat E Doyem Thi Ky Haiwan Na Ho Bhooka Pyasa
Aur Haftum Sy Thy Sadaat Bina Aab O Ghiza
Halq Tar Karty Hain Qassab Bhi Qurbani Ka
Aur Bahattar Ko Dam E Zibah Bhi Pani Na Mila
Jalti Raiti Py Kahin Akbar O Abbas Giry
Aur Kahin Aon O Muhammad Kahin Qasim Thy Parhy
Zibh E Haiwan Ka Nahi Hukm Hai Haiwan Ky Hazoor
Yaan Na Shabbir Sy Zainab Na Sakina Thi Door
Shah Un Ko Woh Sooye Shah E Umam Dekhty Thy
Zibh Hoty Thy Hussain Ahl E Haram Dekhty Thy

Hussain Ya Hussain

Mana Dikhlana Churi Ka Hai Paye Qurbani
Yaan Tha No Lakh Ky Narghy Mein Ali Ka Jani
Aik Jaan Ah Khareedar Ay Azan Billah
Har Taraf Zalim O Khoon Khuaar Ay Azan Billah
Apny Rutby Ka Kisi Ko Na Shanasa Dekha
Dekha Pyasy Ny Jisy Khoon Ka Pyasa Dekha
Akhri Shart Churi Taiz Ho Narmi Sy Rawan
Ta Ky Tarhpy Na Aziyat Sy Zara Bhi Haiwan
Akhri Sajda Udhar Karny Lagy Shah E Huda
Kund Karta Hua Khanjar Idhar Shimr Chala
Taira Zarbon Sy Sar E Syed E Wala Kaata
Aur Mazloom Har Ek Zarb Py Daita Tha Sada
Zarb Py Zarb Lagi Kehty Thy Amman Amman
Zarb E Akhir Py Kaha Ho Mery Abbas
Mery Abbas Kahan Ho

Aa Ali Akbar Aa Ali Akbar

Jeewan Ka Asaasa Tha Peeri Ka Sahara Tha
Aa Ali Akbar
Kya Janey Woh Kya Kya Tha
Akbar Mera Pyara Tha
Raj Dulara Tha

Akbar Ki Jawani Par So Jaan Sy Fida Madar
Ay Kash Usy Dekhun Ek Baar Nazar Bhar Kar
Woh Ankhon Ka Taara Tha Raj Dulara Tha
Akbar Mera Pyara Tha Raj Dulara Tha

Yeh Din Thy Jawani Ky Akbar Teri Shadi Ky
Kis Tarah Luty Armaan Teri Maan Dukhiari Ky
Aisa To Na Socha Tha Raj Dulara Tha
Akbar Mera Pyara Tha Raj Dulara Tha

Kya Khoob Woh Soorat Thi Nana Ki Shabahat Thi
Wabasta Bahut Tum Sy Apnon Ki Mohabbat Thi
Woh Sab Ka Dulara Tha Raj Dulara Tha
Akbar Mera Pyara Tha Raj Dulara Tha

Ek Daagh E Alam Dy Kar Is Samt Chaly Akbar
Sar Kham Kiye Ro Kar Beta Teri Rahon Par
Baba Ka Yeh Naala Tha Raj Dulara Tha
Akbar Mera Pyara Tha Raj Dulara Tha

Seeney Mein Jo Waala Hai Is Dil Mein Bhi Utra Hai
Kaisy Yeh Sahun Sadma Yeh Maan Ka Kalaija Hai
Woh Naazon Ka Paala Tha Raj Dulara Tha
Akbar Mera Pyara Tha Raj Dulara Tha

Maidan Sy Jo Aty Tum Aur Maan Ko Bulaty Tum
Pani Main Tumhen Deti Aur Pyas Bhujaty Tum
Kya Maan Ko Pukara Tha Raaj Dulara Tha
Akbar Mera Pyaara Tha Raaj Dulara Tha

Jab Yad Teri Aye Dil Tum Ko Kahan Paye
Itna To Bata Jao Madar Yeh Kahan Jaye
Yun Mujh Ko Rulana Tha Raj Dulara Tha
Akbar Mera Pyara Tha Raj Dulara Tha

Jab Ali Shanawar Yeh Zikr E Gham Sunata Hai
Zakira Ka Yeh Noha Har Maan Ko Rulata Hai
Gham Yeh Kitna Gehra Tha Raj Dulara Tha
Akbar Mera Pyara Tha Raj Dulara Tha

Haye Ali Akbar
Haye Ali Akbar

Kya Hua Kiun Udas Baitha Hai
Tu Azadar E Ibne Zehra Hai
Chal Wahan Rab Jahan Py Milta Hai
Chal Jahan Panjatan Ka Saya Hai
Woh Sakhi Dar Khula Hi Rehta Hai

Abbas Alamdar

Chotey Hazrat Ki Bargaah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargaah Chalo

Abbas Alamdar

In Ki Dargah Sy Soghat E Wafa Milti Hai
Nam E Zainab Py Yahan Sab Ko Rida Milti Hai
Zayeron Ao Sakina Ki Dua Milti Hai
Mery Saqqe Ky Azadar Jiyo

Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Chotey Hazrat Ki Bargah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Han Yehi Bab E Hawaij Hai Duaye Zahra
Yeh Ali Ka Hain Sarapa To Hasan Ka Chehra
In Ko Kehty Hain Hussain Ibne Ali Ka Pyara
Panjatan Pak Ky Pyary Sy Kaho
Chalo Abbas Ki Dargaah Chalo

Abbas Alamdar

Chotey Hazrat Ki Bargah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Haziri In Ki Jab Hoti Hai Diye Jalty Hain
Mustafa Fatima Hasnain O Ali Aty Hain
Mil Ky Sab Madar E Abbas Sy Farmatey Hain
Ao Abbas Ky Tum Nazar To Do
Chalo Abbas Ki Dargaah Chalo

Abbas Alamdar

Chotey Hazrat Ki Bargah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

In Ka Jab Aath Muharram Ko Alam Uthta Hai
Aik Mashkeeza Bhi Panjy Sy Bandha Rehta Hai
Us Py Saqqa E Sakina Bhi Likha Rehta Hai
Yeh Alam Kya Hai Sakina Sy Suno
Chalo Abbas Ki Dargaah Chalo

Abbas Alamdar

Chotey Hazrat Ki Bargah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Jis Ny No Lakh Ky Lashkar Ka Bharam Torh Diya
Us Py Aik Mashk Ky Chidny Ny Sitam Torh Diya
Ya Sakina Kaha Aur Khak Py Dam Torh Diya
Mil Ky Sab Matam E Abbas Karo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Abbas Alamdar

Chotey Hazrat Ki Bargah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Zamin E Chadar E Zainab Thy Alamdar E Wafa
Jis Gharhi Sani E Zehra Sy Yeh Fizza Ny Kaha
Chadaren Apni Sambhalo Ky Woh Ghazi Na Raha
Pursa Ab Zainab O Kulsoom Ko Do
Chalo Abbas Ki Dargaah Chalo

Abbas Alamdar

Choty Hazrat Ki Bargah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Chotey Hazrat Ki Ghulami Ka Sharaf Paya Hai
Rabb E Kaaba Ki Qasam Yeh Barha Sarmaya Hai
Noha Jo Sarwar O Rehan Sy Parhwaya Hai
Shukr E Maula Chalo Ghazi Sy Kaho
Chalo Abbas Ki Dargaah Chalo

Abbas Alamdaar

Chote Hazrat Ki Bargah Chalo
Chalo Abbas Ki Dargah Chalo

Chotey Hazrat Hussain Ky Bhai
Chotey Hazrat Bahaqq E Saqqai
Tum Wasila Ho Gham Ky Maron Ka
Tum Wasila Ho Bey Saharon Ka
Bargah E Khuda Mein Ay Ghazi
Aap Ki Bat Rad Nahi Hoti
Dil Ki Uljhan Nikal Do Maula
Meri Mushkil Ko Tal Do Maula
Yeh Gunahgar Bhi Tumhara Hai
Is Liye Ap Ko Pukara Hai
Dard Ki Ab Koi Dawa Bhejo
Ab Mujhy Karbala Bula Bhejo
Wasta Syed E Madina Ko
Wasta Zainab O Sakina Ka
Bibi Ummul Baneen Ka Sadqa
Wasta Panjatan Ka Deta Hun
Wasta Bey Kafan Ka Deta Hun
Chotey Hazrat Hussain Ky Bhai

Allah Sindh Dhartia Maaine Di
Allah Khushboa Aa Karbala Ji
Har Ghar Ty Alam Nishania
Shabbira Ji Noha Khawani Aa

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Qatal Alia Ja Laal Waya Thi
Lasha Sab Pamaal Waya Thi
Haye Kayo Karbobala Aahy Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Pehnji Jind Ain Jan Ali Aa
Jehn Ji Bhi Pehchan Ali Aa
Bas Una Ji Baqa Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Ahl E Aza Ty Ali Aa Razi
Pak Batool Nabi Aa Razi
Allah Khaliq Ji Raza Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zainab Jo Arman Eho Aa
Bakhshish Jo Samaan Eho Aa
Allah Dardan Ji Dawa Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Bazo Kataya Jan Fida Kai
Moula Saan Abbasa Wafa Kai
Maula Ghazi San Wafa Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Lalanrh Aa Mehranrh Wasaai
Shah Norani Ghot Bhitai
Sabh Ni Ji Sada Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Tazo Aa Seeny Mein Har Dam
Karbobala Jy Piyasan Jo Gham
Allah Saman Shifa Ahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Cho Na Kayon Jawwad O Sarwar
Panrh Kary Thi Aal E Payamber
Haye Har Ghar Mein Bapa Ahy
Hussaini Mtam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Zahra Ji Dua Aahy
Hussaini Matam

Karbala Ji Sada Aahy Hussaini Matam

Jab Hukm E Rehai Mila Zindaan Sy Haram Ko
Ek Ghar Bhi Muyassar Hua Tarseeda E Gham Ko
Us Ghar Py Lagaya Gaya Ek Siyah Alam Ko
Zainab Ny Kaha Rona Hai Dil Khol Ky Hum Ko

Phir Farsh E Aza Mil Ky Aseeron Ny Bichaya
Aur Shaam Ky Ghar Ghar Sy Paye Pursa O Giriya
Ek Ghol Azadar Khawateen Ka Aaya
Phir Majlis E Awwal Ka Yun Aghaz Hua Tha

Us Majlis E Awwas Ki Jo Awwal Thi Khateeba
Ghar Bhar Ki Azadaar Wohi Zainab E Kubra
Khutba Parha Aaghaz Kiya Majlis E Gham Ka
Khutba Abhi Jari Tha Ky Ek Shor Sa Utha

Ky Sar Aty Hain Majlis Mein Shaheedan E Sitam Ky
Ay Bibion Matam Karo Halqy Mein Haram Ky

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Pehley Wahan Ansaar E Hussaini Ky Sar Aaye
Hur Jaon Habeeb Ibne Mazahir Ky Sar Aaye
Wahebe Qalabi Aosja Tashna Jigar Aaye
Matam Hua Us Pehly Azakhaney Mein Aisy
Shehzadian Roti Hon Sagy Bhai Ko Jaisy

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Wa Qasima
Wa Qasima

Ek Chand Sa Sar Daikha Ky Jo Khoon Mein Tar Hai
Sab Kehny Lagy Yeh Kisi Noshah Ka Sar Hai
Farwa Ny Kaha Han Yeh Mera Lakht E Jigar Hai
Ary Qasim Mujhy Sehra Bhi Dikhaney Nahi Aaye
Ary Zindaan Sy Amman Ko Churhany Nahi Aaye

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Wa Aon O Muhammad
Wa Aon O Muhammad

Do Chotey Sy Sar Goud Mein Sajjad Jo Laaye
Zainab Ny Kaha Aon O Muhammad Merey Aaye
Ary Qurban Gai Koi Meri Goud Mein Laaye
Roi Nahi Matam Na Kiya Pyaar To Kar Lun
Ay Bhai Ijazat Hai Inhen Aaj To Ro Lun

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Wa Akbara
Wa Akbara

Jaisey Hi Azakhaney Mein Akbar Ka Sar Aaya
Zainab Ny Sar E Aon O Muhammad Ko Hataya
Aaghosh Sy Bhabi Ki Sar Akbar Ka Uthaya
Ary Chillain Mery Laal Zara Ankhen To Kholo
Ary Sughra K Liye Hai Koi Paigham To Bolo

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Wa Asghara
Wa Asghara

Ek Chotey Sy Syed Ka Jo Sar Samny Aaya
Munh Ashkon Sy Maan Ny Ali Asghar Ka Dhulaya
Har Bibi Ny Us Sar Ko Kalaijey Sy Lagaya
Ary Ro Ro Ky Sakina Ko Sada Deti Thi Maadar
Ary Aa Jao Tumhen Dhund Raha Hai Ali Asghar

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Ya Abbasa
Ya Abbasa

Sar Aaya Wahan Jab Bani Hashim Ky Qamar Ka
Roty Huye Har Bibi Ny Dukhrha Yeh Sunaya
Ay Zamin E Chadar Tu Bahut Dair Mein Aaya
Yeh Dekh Ky Har Bibi Ka Sad Chaak Jigar Tha
Ky Pehloo Mein Alam Ky Hi Alamdar Ka Sar Tha

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Haye Hussaina
Haye Hussaina

Sar Majlis E Shabbir Mein Shabbir Ka Aaya
Har Bibi Ky Lab Py Thi Sada Haye Hussaina
Matam Ki Sadaon Mein Yeh Zainab Ny Sunaya
Ky Ay Mery Akhi Dekh Teri Farsh E Aza Hai
Matam Tera Is Majlis E Awwal Mein Bapa Hai

Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo

Haye Sakina
Haye Sakina

Lootey Huye Asbaab Mein Jo Cheezen Mili Thiin
Sadaat Sy Yeh Shaam E Ghareeban Mein Chini Thiin
Tar Khoon Mein Do Baalian Bhi Un Mein Rakhi Thiin
Ay Sarwar O Rehan Azadari E Sheh Ka
Tha Pehla Azakhana Saron Sy Jo Saja Tha

Bazar E Sham Mein Kai Ghanty Jab Bey Parda Thi Aal E Nabi
Har Morh Py Shaam Ky Ruk Ruk Kar Masoom Sakina Kehti Thi
Sajjad Mery Zakhmi Bhai
Is Shehar Ky Log Yateemon Par Kya Yun Hi Mazaalim Dhaty Hain
Kya Ujrhy Huon Ki Aamad Par Bazaar Sajaye Jatey Hain
Yun Jashan Manaye Jaty Hain
Sajjad Sahara Dy Mujh Ko

Sajjad Sahara Dy Mujh Ko
Main Thak Pai Aan

Sajjad Bhira
Main Thak Pai Aan
Darbar Ko Kitni Dair Ay

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Sajjad Bhira Main Thak Pai Haan
Darbar Ko Kitni Dair Ay

Puch Shimr Kolon Main Beh Jawan
Maindy Dard Karaindy Ney Pair

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Sajjad Bhira Nai Tur Sakdi
Zara Qafly Nu Rukwa Dy
Hik Wari Sir Maindy Babey Da
Maindi Jholi Dy Wich Paa Dy
Ee Ho Ujrhi Ty Ehsan Cha Kar
Teri Veer Kary Rab Khair Ay
Puch Shimr Kolon Main Beh Jawan
Maindy Dard Karaindy Ney Pair

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Taindi Bhainrh Safar Di Aadi Nai
Thak Pai Aan Ambrhi Jaaya
Asan Kai Bazaar Uboor Keetey
Darbar Ajey Nai Aaya
Inj Lagda Ay Jey Turdi Rhai
Saanh Muk Jawanrh Gy Merey
Puch Shimr Kolon Main Beh Jawan
Maindy Dard Karaindy Ney Pair

Kadan Sir Chum Ky Main Ujrhi Da
Baba Haan Pyaar Karainda
Main Ku Samajh Ky Dhi Aj Baghi Di
Har Shaami Pathar Marainda
Chachey Ghazi Dy Baad Bhira
Muk Maan Gaye Hain Merey
Puch Shimar Kolo Main Beh Jaawan
Maindey Dard Karende Ne Pair

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Mazloom Bhira Main Ku Nai Bhulna
Tainda Qadam Qadam Rat Rona
Rab Janey Tu Zanjeeran Ton
Azaad Kadon Ay Honrhan
Pai Har Weley Rondi Reh San
Kar Yad Main Dukhry Terey
Puch Shimr Kolon Main Beh Jawan
Maindy Dard Karaindy Ney Pair

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Sajjad Bhira Wich Karbal Dy
Main Ku Shimar Tamanchey Maarey
Keetey Kan Zakhmi Maindy Zaalim Ny
Dur Zulm Dy Naal Utary
Rat Zakhman Cho Paya Waahnda Ay
Pai Rowan Shaam Sawairey
Puch Shimar Kolon Main Beh Jawan
Maindy Dard Karainde Ney Pair

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Tusan Tur Wanjna Ay Watna Toh
Main Rehna Dais Beganey
Inha Rassian Toh Azad Honrha
Nai Lagda Ay Rab Janey
Main Jandi Han Maindy Laikhan Ty
Hainrh Chaa Gaye Veer Hanairey
Puch Shimr Kolon Main Beh Jawan
Maindy Dard Karaindy Ney Pair

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Matam Sainrh Sakina Da
Jawad Ty Sarwar Jari
Jairhi Qaidi Veer Koon Gal La Ky
Rhai Kehndi Dardan Maari
Sajjad Bhira Jag Rowy Ga
Kar Yad Masaib Merey
Puch Shimr Kolon Main Beh Jawan
Maindy Dard Karaindy Ney Pair

Haye Sakina Haye Haye Haye Shaam

Assalam Un Aleyk Ya Hussain Ya Hussain

Bar Zabaan O Dillam Ya Hussain Ya Hussain
Assalam Un Aleyk Ya Hussain Ya Hussain

Aaye Maula Madiney Sy Karbobala
Bhai Behnon Ka Bachon Ka Yeh Qafila
Ghazi Abbas Ka Sar Py Parcham Khula
Aa Rahi Thi Sada Ya Hussain Ya Hussain

Bar Zabaan O Dillam Ya Hussain Ya Hussain
Assalam Un Aleyk Ya Hussain Ya Hussain

Bhai Hai Mujtaba Baba Jan Murtaza
Aur Madar Hai Jaan E Nabi Fatima
Nana Salle Alaa Ahmad E Mustafa
In Ky Dill Ki Dua Ya Hussain Ya Hussain

Bar Zaban O Dilam Ya Hussain Ya Hussain
Assalam Un Alayk Ya Hussain Ya Hussain

Aap Ky Ghar Ko Aada Satatey Rahy
Band Pani Kiya Aur Rulaty Rahy
Aap Quran Parh Ky Sunaty Rahy
Rahnuma Rahnuma Ya Hussain Ya Hussain

Bar Zabaan O Dillam Ya Hussain Ya Hussain
Assalam Un Aleyk Ya Hussain Ya Hussain

Aa Rahi Hai Imam E Zamaan Ki Sada
Assalam Ay Ghareeb Ul Watan Marhaba
Parh Ky Roty Hain Hum Ziyarat E Nahiya
Ay Qateel E Jafa Ya Hussain Ya Hussain

Bar Zabaan O Dillam Ya Hussain Ya Hussain
Assalam Un Aleyk Ya Hussain Ya Hussain

Haye Sham E Ghareeban Na Bhoolen Gy Hum
Haye Sayedanian Aur Un Py Sitam
Bibi Zainab Chaliin Ly Ky Deen Ka Alam
Zainabi Azm Tha Ya Hussain Ya Hussain

Bar Zabaan O Dillam Ya Hussain Ya Hussain
Assalam Un Aleyk Ya Hussain Ya Hussain

Poori Rehan O Sarwar Dua Ho Gai
Muntaqil Nasl Mein Ab Aza Ho Gai
Ay Shanawar Ali Jee Ata Ho Gai
Daolat E Karbala Ya Hussain Ya Hussain

Bar Zabaan O Dillam Ya Hussain Ya Hussain
Assalam Un Aleyk Ya Hussain Ya Hussain

Gham Khaye Gi Zainab
Mar Jaye Gi Zainab

Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaigi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaigi Zainab

Ghar Lut Gaya Pardais Mein Weeran Hai Duniya
Zindaan Sy Riha Ho Ky Zindaan Hai Duniya
Is Qaid Sy Ghar Ja Ky Bhi Kya Paye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaigi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaigi Zainab

Soona Hai Makaan Jis Mein Wo Shaidai Na Hon Gy
Ghar Hon Ga Magar Ghar Mein Mery Bhai Na Hon Gy
Ta Hashr Yehi Bhai Ka Gham Khaye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaigi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaigi Zainab

Bachpan Hai Jahan Aon O Muhamaad Ny Guzara
Ab Un Dar O Deewar Ki Tanhai Ny Maara
Ab Un Ky Na Saye Py Na Jaye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaye Gi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaye Gi Zainab

Bey Aas Mujhy Kar Gaye Bachey Mery Kam Sin
Bin Beton Ky Kehlai To Kehlai Main Lekin
Bin Bhai Ky Duniya Mein Na Kehlaye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaye Gi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaye Gi Zainab

Is Bat Py Hairat Hai Bahut Ahl E Watan Mein
Abbas Sy Bhai Ki Bahan Aur Rasan Mein
Roodad Yeh Kis Tarah Sy Batlaye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaye Gi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaye Gi Zainab

Aaya Na Koi Laot Ky Bhai Tera Sughra
Soona Hi Rahe Ga Bani Hashim Ka Mahalla
Kya Dy Ky Dilasy Usy Behlaye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaye Gi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaye Gi Zainab

Roti Hui Jab Jaun Gi Nana Ki Lehad Par
Aur Majra Poochy Gi Wahan Rooh E Payambar
Kurta Woh Phata Bhai Ka Dikhlaye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaye Gi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaye Gi Zainab

Aaya Na Hilal Aisa Karha Waqt Kisi Par
Kis Kis Ky Liye Roye Gi Yeh Bey Kas O Muztar
Kis Kis Ka Wahan Fateha Dilwaye Gi Zainab
Zindaan Sy Riha Ho Ky Jo Ghar Jaye Gi Zainab
Bin Bhai Ky Jaye Gi To Mar Jaye Gi Zainab

Mar Jaye Gi Zainab

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Ay Fatima Ky Laal Yeh Wada
Yeh Wada Nibhayen Gy

Ghar Mein Hamarey Aayen Gi Majlis Mein Fatima
Farsh E Aza Ky Sath Yeh Dill Bhi Bichayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Jhooly Amarian Yeh Shabeehey Yeh Taziye
Tehzeeb Gham Sy Dard Ky Manzar Sajayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Yeh Un Ka Hai Juloos Jo Pyasey Huye Shaheed
Hum Is Ky Rastey Mein Sabeelen Lagayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Kehty Hain Choty Choty Sy Bachy Yeh Bap Sy
Ek Roz Baba Jan Yeh Alam Hum Uthayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Kuch Dair Zuljanah Mery Ghar Py Rok Do
Pyasey Ki Is Sawari Ko Pani Pilayen Gy

Zinda Rahy Hussain Tera Gham
Tera Ghum Manayen Gy

Bachpan Sy Hai Dua Ky Banayen Gy Ghar Jahan
Ashoor Khana Ghar Mein Wahan Hum Sajayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Ghar Mein Agar Ho Nazr E Sakina To Hai Yaqeen
Us Nazr Mein Sakina Ky Ammu Bhi Ayen Gy

Zinda Rahy Hussain Tera Ghum
Tera Gham Manayen Gy

Is Shan Ky Mily Hain Namazi Hussain Ko
Teeron Ky Samny Yeh Musaly Yeh Musally Bichayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Bachon Ko Apny Sajda E Shabbir Ki Qasam
Matam Ky Sath Sath Namazen Sikhayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Rah E Hussainiyat Ky Shaheedon Salam Lo
Tum Ko Na Apny Dil Sy Kabhi Hum Bhulayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Baad E Zahoor Ho Ga Muharram Ka Yeh Hasham
Hum Karbala Imam Ky Hamrah Jayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy

Noha Bhi Hai Safeer E Aza Sarwar O Hilal
Jis Dais Mein Bhi Jayen Gy Noha Sunayen Gy

Zinda Rahey Hussain Tera Gham
Tera Gham Manayen Gy