Charagh Jalta Raha
Jo Qafila Tha Rawan
Woh Qafila Hai Rawan
Safar Ba Nok E Sinan
Sinan Ky Sath Azan
Bureeda Sar Ki Sadayen Fiza Mein Phail Gaiin
Dareechon, Aanganon, Galiyon Mein Dabty Sehra Sy
Zameeno Arsh, Khilaun Sy Aur Fizaon Sy
Dinon Mein, Rat Mein, Jangal Mein, Kohsaron Sy
Sadayen Any Lagiin Ash Hadu An La Ilaha Illa Allah
Yeh Aik Bar Hua Aur Lazawal Hua
Sinan Ki Nok Py Subhana Rabbi Al Aala
Pukara Kalma E Toheed Bhi Jazak Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Hussain Deen Bhi Hai Aur Deeniyat Bhi Hai
Hussain Kalma E Toheed Ki Hayat Bhi Hai
Hussain Ramz E Khuda Bhi, Khuda Sifaat Bhi Hai
Hussain Baara Imamon Ki Kayenaat Bhi Hai
Hussain Sy Hai Ayaan La Ilaha Illa Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Woh Goud Fatima Zehra Ki Ho Ky Raig E Tapaan
Woh Sehn E Kaaba Ho Pusht E Rasool Ya Ky Sinaan
Fazaye Jang Ho Ya Ho Payam E Aman O Amaan
Na Dekhy Teer Na Talwar Gar Ho Hukm E Azan
Hussain Ka Hai Bayan La Ilaha Illa Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Hussain Walon Ki Pehchan Hai Azadari
Hussain Walon Ki To Jan Hai Azadari
Hussain Walon Ka Emaan Hai Azadari
Hussain Walon Ka Ailaan Hai Azadari
Hussainiyat Ki Zuban La Ilaha Illa Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Basi Hai Karbobala To Koi Jawaz Bhi Hai
Luta Hai Gulshan E Zahra To Koi Raaz Bhi Hai
Yeh Raaz Woh Hai Ky Khaliq Ko Is Py Naaz Bhi Hai
Baraye Naaz Bahattar Ki Woh Namaz Bhi Hai
Isi Ki Sirr E Nihaan La Ilaha Illa Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Namaz Nafs Ki Izzat Hai Aoliya Ki Qasam
Namaz Deen Ki Hurmat Hai Aosiya Ki Qasam
Namaz Husn E Sharafat Hai Anbiya Ki Qasam
Namaz Qissa E Wehdat Hai Kibriya Ki Qasam
Namaz Khair E Amal Ki Taraf Bulati Hai
Namaz Ishq E Khuda Ka Hunar Sikhati Hai
Namaz Abd Ko Mabood Sy Milati Hai
Namaz Guftagoo Allah Sy Karati Hai
Yehi Namaz Gunahon Sy Bhi Bachati Hai
Namaz Qabr Talak Sath Sath Jati Hai
La Ilaha Illa Allah
Namaz Woh Hai Jo Faqon Mein Mustafa Ny Parhi
Jaga Ky Apny Hi Qatil Ko Murtaza Ny Parhi
Jo Chakion Ki Mushakat Mein Fatima Ny Parhi
Galy Laga Ky Zahar Ko Jo Mujtaba Ny Parhi
Jo Chahta Ky Azmat Namaz Ki Dekhy
Mery Hussain Ka Woh Akhri Dekhy
Parhi Namaz Jo Abid Ny Pusht E Naqa Par
Ada Kiya Jisy Baqir Ny Sakhtian Seh Kar
Bayan Kiya Jisy Jafar Ny Barsar E Mimbar
Rukoo Mein Barson Rahy Jis Ky Kazim E Muztar
Raza Ny Lab Py Sareeh Ar Riza Saja Ky Parhi
Taqi Ny Taqwa E Bu Talibi Bata Ky Parhi
Naqi Ny Nakhwat E Batil Mita Mita Ky Parhi
Aur Askhari Ny Khabar Akhri Suna Ky Parhi
Pas E Namaz Musallay Py Ro Raha Koi
Imam E Asr Hai Aur Hujjat E Khuda Hai Wohi
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Woh Khaima Gah Wo Syedanian Woh Zikr E Khuda
Jahan Musallay Py Zainab Rubab Aur Fizza
Hasan Ki Baiwah Ruqaiyah, Sakina Ka Sajda
Tamam Bibian Karti Thiin Sirf Aik Dua
Mery Khuda Hamen Manzoor Qeht E Aab Rahy
Hussain Apny Iradon Mein Kamyab Rahy
Sadaye Tishna Laban La Ilaha Illa Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah
Magar Namaz Sy Poocho Ky Karbala Kya Hai
Hussain Aur Tera Rishta E Wafa Kya Hai
Kaha Namaz Ny Sun Lo Meri Baqa Kya Hai
Bas Aik Sajda E Shabbir Ky Siwa Kya Hai
Hussain Hi Ka Gharana Bacha Gaya Mujh Ko
Woh Khud Ujarh Gya Lekin Saja Gya Mujh Ko
Mayan E Karbobala Aah Mainy Kya Dekha
Ghira Laeenon Mein Kunba Rasool Ka Dekha
Batool Zadon Ko Bay Aab O Bay Ghiza Dekha
Bahata Pani Udhar Lashkar E Jafa Dekha
Namaz Parhty Rahy Dill Mein Iztarab Na Tha
Guzar Gaye Thy Kai Din Ky Ghar Mein Aab Na Tha
Bataun Kaisy Ky Dasween Ko Mainy Kya Dekha
Sahar Hui To Shahadat Ka Silsila Dekha
Kisi Ka Seena To Zakhmi Koi Gala Dekha
Lab E Furat Alam Khoon Mein Bhara Dekha
Hussain Lashon Py Lashy Yun Hi Uthaty Rahy
Aur Apni Rah E Shahadat Ki Simt Jaty Rahy
Kamar Rukooh Ki Tarah Thi Magar Hussain Uthy
Ky Ahl E Zulm Py Lazim Tha Ab Ky Taigh Chaly
Ghazab Ki Taigh Chali Koi Rokta Kaisy
Imam E Waqt Thy Allah Ki Riza Py Ruky
Azan E Asr Suni, Dekha Aalam E Bala
Kaha Hussain Ny Subhana Rabbi Al Aala
Aai Sada E Ghaib Ibadat Ka Waqt Hai
Ay Fatima Ky Laal Tilawat Ka Waqt Hai
Jannat Mein Saf Bandhi Hai Imamat Ka Waqt Hai
Bas Bas Hussain Bas Yeh Ibadat Ka Waqt Hai
Rakh Li Mayan Mein Shah E Bala Ny Zulfiqar
Woh Ghol Bandhy Aye Kamaan Dar Das Hazaar
Woh Bay Shumar Taighon Ky Phal Aur Ek Hussain
Woh Sainkarhon Payam E Ajal Aur Ek Hussain
Dooby Huye Thy Khoon Mein Gaisoo Hussain Ky
Teeron Ny Chaan Daly Thy Pehloo Hussain Ky
Naizay Ka Bin E Wehb Ny Pehloo Py Kiya Waar
Kandhy Thy Chali Sath Zarara Ki Bhi Talwar
Nawak Bine Kahil Ka Kalaijy Ky Hua Paar
Bazo Mein Dar Aya Tabar E Khooli E Khon Khuwar
Taighen Opi Huiin Jo Barabar Sy Chal Gaiin
Ghash Kha Gaya Qadam Sy Rakaben Nikal Gaiin
Kiun Kar Kahun Ky Arsh E Khuda Khak Py Gira
Khair Un Nisa Ka Mah E Laqa Khak Par Gira
Raiti Py Mustafa Ky Jigar Ka Lahu Gira
Syed Gira Imam Gira Naik Khoon Gira
Woh Zulm Ho Raha Tha Ky Duniya Ulat’ti Thi
Jab Zair E Taigh Gardan E Shabbir Kat’ti Thi
Woh Tund Taigh Zainab O Zahra Py Chalti Thi
Matam Kunaan Namaz Thi Aur Khoon Roti Thi
Jari Thi Yeh Sada Ky Nabi Ka Nawasa Hon
Amman Pilao Pani Main Pyasa Hun
Ajab Ada Sy Namazi Namaz Parh Ky Gya
Bahan Ky Samny Nok E Sinaan Py Charh Ky Gya
Nazar Mein Bhai Ky Sajdy Ki Aab O Taab Jo Thi
Behan Ny Sar Khuly Maqtal Mein Maghribain Parhi
Nazar Ky Samny Har Meh Laqa Ki Laash Rahi
Magar Jaly Huye Khaimon Ki Ja Namaz Bichi
Gham E Hussain Ki Barchi Utha Gai Zainab
Magar Namaz Ki Duniya Basa Gai Zainab
Maqtal Mein Pahunchy Jab Shah E Wala
Lashae Jawan Aur Khaimon Ko Dekha
Dariya Ko Dekha Phir Yeh Pukara
Ab Yeh Salam E Akhir Hai Mera
Abbas Aajao Bhai Akela Hai
Tanha Musafir Ko Lakhon Ne Ghaira Hai
Tum Ny Na Dekhi Ghurbat Hamari
Zainab Thi Lai Meri Sawari
Rukhsat Ka Meri Manzar Ajab Tha
Seene Se Lag Jao Bhai Akela Hai
Abbas Aajao Bhai Akela Hai
Jab Se Ho Bichry Abbas Hum Se
Ahl E Haram Hain Lipty Alam Se
Kaisy Jiye Gi Bali Sakina
Kya Ho Ga Batlao Bhai Akela Hai
Abbas Aajao Bhai Akela Hai
Lashkar Kahan Ka Jab Tum Nahi Ho
Aada To Khush Hain Ab Tum Nahi Ho
Kitna Akela Kitna Hun Tanha
Seene Mein Hai Ghao Bhai Akela Hai
Abbas Aajao Bhai Akela Hai
Din Bhar Uthaye Kitny Janazae
Ab Kon Hai Jo De Ga Dilasae
Hote Agar Tum Dete Dilasa
Aao Chale Aao Bhai Akela Hai
Abbas Aajao Bhai Akela Hai
Mujh Par Baraste Yeh Sang Dekho
Be Kas Ki Tanha Ki Jang Dekho
Dekho Na Toote Nana Se Wada
Himmat Barha Jao Bhai Akela Hai
Abbas Aajao Bhai Akela Hai
Jab Shimr Khanjar Ko Phairta Tha
Qatil Ne Sheh Se Khud Yeh Suna Tha
Pyasa Gala Us Dam Yeh Pukara
Soorat Dikha Jao Bhai Akela Hai
Abbas Aajao Bhai Akela Hai
Sar Sheh Ka Aya Nok E Sinan Par
Aai Sada Yeh Rehan O Sarwar
Be Sar Parha Hai Bhai Ka Lasha
Ab To Chale Aao Bhai Akela Hai
Abbas Aajao Bhai Akela Hai.
Haye Kya Aalam E Tanhai Hai
Jab Aakhri Rukhsat Ko Chaly Syed E Wala
Kohram Tha Dil Hoty Thy Gham Sy Tah O Bala
Shabbir Ny Goudi Sy Sakina Ko Utara
Ghazi Ko Kabhi Akbar O Qasim Ko Pukara
Baba Ko Qasam De Ky Bulati Thi Sakina
Sar Peet’ti Peechey Chali Jati Thi Sakina
Achey Merey Baba
Haye Kya Aalam E Tanhai Hai
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Kahin Door Na Jana
Dill Rota Hai Kiun Pehna Hai Malboos Purana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Is Tarha Safar Par Koi Jata Nahi Dekha
Pehly Tumhen Aisa Kabhi Kurta Nahi Dekha
Main Jan Gai Aaj Hai Maqtal Mein Thikana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Sheh Boly Main Qurban Meri Jan Sakina
Ik Wada Hai Jo Aaj Nibhana Hai Sakina
Khaimon Sy Nikal Kar Na Hamen Dhundny Aana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Kal Rat Sy Bechain Thy Main Dekh Rahi Thi
Main Seeny Py Leti Thi Magar Soch Kahan Thi
Ab Samjhi Tumhen Hum Sy Bahut Door Hai Jana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Aata Hai Nazar Hal Ghareebi Ka Tumhari
Lagta Hai Yeh Saman Yateemi Ka Hamari
Baba Hamen Jeeny Nahi Deta Yeh Zamana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Akbar Kabhi Asghar Kabhi Qasim Ny Rulaya
Jo Ran Ko Gaya Aaj Palat Kar Nahi Aaya
Bhooli Nahi Ab Tak Main Chacha Jan Ka Jana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Pehloo Sy Shah E Deen Na Hat’ti Thi Sakina
Daman Kabhi Qadmon Sy Lipat’ti Thi Sakina
Tarhpata Hai Yeh Aap Ka Daman Ko Churhana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Ay Sarwar O Rehan Yeh Kehny Lagy Sarwar
Ham Bhi Waheen Jaty Hain Jahan Soty Hain Asghar
Beti Phuphi Amman Ko Naro Ro Ro Ky Rulana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba Na Sakina Sy Chupana
Kahin Door Na Jana
Dill Rota Hai Kiun Pehna Hai Malboos Purana
Kahin Door Na Jana
Achey Merey Baba
Zinda Rahy Zinda Rahy Zinda Rahy
Ay Azadar E Hussaini Yeh Chalan Zinda Rahy
Han Aza Khanay Sajany Ki Lagan Zinda Rahy
Jab Aza Khana Sajy To Dil Bany Farsh E Aza
Dharhkanon Mein Matam E Shah E Zaman Zinda Rahy
Sab Aza Khaney Hamary Sab Hi Apni Majlisen
Hai Dua E Syeda Yeh Apna Pan Zinda Rahy
Roz E Ashoora Juloos E Gham Ko Kya Rahat Sy Kam
Yad Mein Pyasay Aseeron Ki Thakan Zinda Rahy
Ay Azadaro Chalo Mashk O Alam Ky Saye Mein
Yeh Tajammul Yeh Hasham Yeh Baak Pan Zinda Rahy
Jis Jaga Thi Maot Aasan Zindagi Dushwar Thi
Han Wahan Zehra Ky Sary Gul Badan Zinda Rahy
Choty Choty Sy Alam Bachon Ky Hathon Mein Rahen
Dil Mein Taboot E Sakina Ki Chubhan Zinda Rahy
Noha Khuwan Matam Ky Saye Mein Safar Karty Rahen
Har Bayaz e Gham Khuly Har Anjuman Zinda Rahy
Kar Rahy Dua Zair E Alam Sarwar Hilal
Ay Khuda Yeh Gham Ba Faizay Panjatan Zinda Rahy
Chand Muharram Ka Nazar Aa Gaya
Bas Gai Karbobala Bas Gai Karbobala
Haye Ghazab Ho Gaya Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Mah E Muharram Mein Yeh Kya Ho Gaya
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Momino Weeran Madina Hua
Ho Gai Aabad Magar Karbala
Roty Hain Marqad Mein Rasool E Khuda
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Woh Ashoor Woh Karbobala
Bhool Na Payen Gy Yeh Ahl E Aza
Aal E Muhammad Py Thi Kaisi Jafa
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Ho Gai Pardais Mein Barbadian
Bain Yeh Karti Rahiin Shehzadian
Sham Talak Jayen Gay Hum Bay Rida
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Jab Huye Abbas Ky Bazo Qalam
Ho Gaye Bay Aasra Ahl E Haram
Cheeni Gaiin Pak Saron Sy Rida
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Samny Dariya Yun Hi Behta Raha
Kunba Muhammad Ka Tarhapta Raha
Teen Shab O Roz Na Pani Mila
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Ghar Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Beh Gaya Jab Khak Py Sheh Ka Lahu
Goonj Rahi Thi Yeh Sada Char Soo
Karti Thi Faryad Yeh Khak E Shifa
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Ghar Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Shame Ghareeban Hui Khaimy Jaly
Ahl E Haram Khak Py Bethy Rahy
Syed E Sajjad Ka Noha Yeh Tha
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Noha Ali Jee O Shanwar Parho
Sarwar O Rehan Ky Bazoo Bano
Dard Mein Doobi Hui Aye Sada
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Ghazab Ho Gaya
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta
Kat Gaya Shabbir Ka Sookha Gala
Haye Hussain Haye Hussain
Haye Mere Hussain O Hassan
Kaisy Chut Ky Ai Watan
Jab Hussain O Hassan Ki Bahan
Qabr E Zehra Py Jis Dum Gai
Lai Ro Ro Ky Lab Par Sukhan
Amman Amman Amman
Bhai Mere Hussain O Hasssan
Chalni Teeron Sy Dono Ky Tan
Ek Ka Teeron Ki Zad Par Janaza
Hassan Ay Hussain…
Ek Ka Teeron Ky Ooper Janaza
Haye Mere Hussain O Hassan
Ek Ko Roti Hui Main Gai Hun
Ek Ko Roti Hui Aa Rahi Hun
Yeh Bhi Sadman Behn Ny Uthaya
Woh Bhi Sadma Behn Ny Uthaya
Haye Mere Hussain O Hassan
Amman Dono Shabab E Jinaan Hain
Amman Dono Hi Nana Ki Jaan Hain
Ek Ny Pehlu Nabi Ka Na Paya
Ek Sy Shehr E Nabi Ko Churhaya
Haye Mere Hussain O Hassan
Amman Ek Meri Ankhon Ka Taara
Aik Kulsoom Ka Tha Dulara
Ek Ka Haye Jigar Para Para
Ek Ko Ghurbat Mein Lakhon Ny Maara
Haye Mery Hussain O Hassan
Ek Baqiya Ki Zeenat Bana Hai
Ek Ka Madfan Bani Karbala Hai
Ek Ny Amman Ka Pehlu Basaya
Ek Ny Baiton Ko Seenay Lagaya
Haye Mere Hussain O Hassan
Waqt Amman Watan Mujh Ko Laya
Bhai Koi Na Milny Ko Aaya
Aik Mujh Sy Madiney Sy Bichra
Ek Ny Karbobala Ko Basaya
Haye Mere Hussain O Hassan
Qabr E Zehra Sy Awaz Ai
Beti Zainab Tery Dono Bhai
Ro Ky Kehty Hain Ay Amman Zehra
Kiun Lehd Par Nahi Koi Saya
Haye Mere Hussain O Hassan
Keh Do Duniya Sy Rehan O Sarwar
Waqt Badla Hai Badla Hai Manzar
Jin Ky Lashon Py Kal Zulm Dhaya
Un Ka Uthta Hai Ghar Ghar Janaza
Haye Mere Hussain O Hassan
Karbala Haq Ka Jee Rohsni Aa
Ilm O Irfana Ji Aagahi Aa
Deen E Islama Ji Zindagi Aa
Zikr E Karbobala Bandagi Aa
Hi Aqeedo A Ahl E Aza Jo
Dars Aa Hy Eho Karbala Jo
Maula Maula
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Aa Muhammad Jo Pyaro Nawaso
Maula Taoheeda Jo Aa Khulaso
Thee Veyo Qatal Karbala Mein Pyaso
Shimr Khanjar Halayo Musalmano
Haan Kayo Matam Hussain A Jo Azadaro
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Hi Abbasan Shaheedan Jo Matam
Karbala Jy Ghareeban Jo Matam
Sham Wary Aseeran Jo Matam
Khoon Abid Wahayo Musalmano
Haan Kayo Matam Hussaina Jo Azadaro
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Khoon E Shabbira Jo Mojzo Aa
Wird Har Ghar Mein Quran Jo Aa
Deen Islam Qayam Rahyo Aa
Maula Batil Mitayo Musalmano
Haan Kayo Matam Hussaina Jo Azadaro
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Maula Sajday Je Azmat Wadhai
Mustafa Ji Aa Mehnat Bachai
Deena Ji Kayeaa Mushkil Kushai
Heena Ahsan Bhulayo Musalmano
Haan Kayo Matam Hussaina Jo Azadaro
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Hi Alam Aa Alam Bawafa Jo
Ghazi Ibne Ali Lafatah Jo
Veyo Sakina Kithaye Alwida Jo
Shah Jo Parcham Sajayo Musalmano
Haan Kayo Matam Hussaina Jo Azadaro
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Ahl E Mehran Ji Aa Hay Hasrat
Ya Imam E Zamana Ta Qayamat
Dais Panjho Rahay Hi Salamat
Hi Dua On Ghurayo Musalmano
Haan Kayo Matam Hussaina Jo Azadaro
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Aa Hai Armaan Jawad O Sarwar
Bay Khata Fatima Jo Lutyo Ghar
Sog Jari Rahy Zindagi Bhar
Farsh E Matam Vichayo Musalmano
Haan Kayo Matam Hussaina Jo Azadaro
Parho Kalmo Nabi A Jo Musalmano
Han Kayo Matam Hussain Jo Azadaro
Maula Maula Maula
Meda Haq Banda Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Yeh Kehty Thy Ro Kar
Ay Shehr E Nabi Insaf To Kar
Mera Bhi Kabhi Abad Tha Ghar
Gar Sham Shehr Dukh Na Deta
Main Khoon Ky Aansoo Kiun Rota
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Asi Hashmi Sayed Sary
Wadh Sab Toh Rab Nu Pyaray
Sadi Shan Ich Utry Paary
Jado Dhalya Bakht Shareefan Da
Shala Us Wely Main Mar Janda
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Main Keewen Sham Bhulawan
Sang Bhainrhan, Phuphian, Maawan
Tang Morh Ty Okhian Rahwan
Jadon Wasda Si Meehn Pathran Da
Shala Us Wely Main Mar Janda
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Logo Main Syed Zada
Konain Ka Main Shehzada
Mujhy Sham Shehr Ny Loota
Uff Mery Khuda Allah Allah
Ay Kash Wahan Main Mar Jata
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Tasbeeh Dy Tut Gaye Danrhy
Wich Karbal Dy Rab Janrhy
Hain Okhy Dard Bhulanrhy
Jado Chaya Kand Ty Aon Di Maa
Shala Us Wely Main Mar Janda
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Jadon Sham E Ghareeeban Aai
Haye Zaliman Loti Pai
Rahi Rondi Zehra Jai
Jadon Sarh Gaye Khaimy Wich Saahra
Shala Us Wely Main Mar Janda
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Phuphi Zainab Dhi Zahra Di
Shahzadi Sharm O Haya Di
Abbas Di Murshad Zadi
Jadon Koofay Wich Gai Bajh Bhira
Shala Us Wely Main Mar Janda
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Haris Bin Nofal Jis Ny
Cheeni Thi Rida Naizay Sy
Yeh Zalim Sary Rasty
Phuphion Na Sony Deta Tha
Ay Kash Wahan Main Mar Jata
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Wich Sham Waly Bazaar Ay
Aye Wekhan Log Hazaar Ay
Rondy Rahy Pardadar Ay
Jadon Wekhya Shimr Nu Main Hasda
Shala Us Wely Main Mar Janda
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Jawad Rehan Ty Sarwar
Akhy Abid Matam Kar Kar
Zalim Darbar Dy Andar
Jadon Maan Zainab Da Nam Lya
Shala Us Wely Main Mar Janda
Meda Haq Banda
Haye O Meda Haq Banda
Main Rat Rowan
Sajjad Haye Sajjad
Aseer Kafila Darbar E Sham Jab Aya
Yazeed Zainab E Kubra Sy Yun Hoya Goya
Lo Aj Raaz Wa Toizzo Man Tasha Ka Khula
Ky Ba Waqar Kon, Kon Hai Ruswa
O Bad Kalam Thehr Boli Zainab E Kubra
Nashy Mein Mast Hai Ayat Yeh Poori Sab Ko Suna
Woh Hath Khair Ka Hai Kon Mujh Ko Yeh To Bata
Ky Jis Sy Zillat O Toqeer Bant’ta Hai Khuda
Wo Hath Tu Hai Ky Hum Ahl E Bait Hain Us Ky
Hum Hi Hain Izzat O Zillat Ky Bantny Waly
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Zainabi Lehjy Mein Awaz E Ali Goonj Uthi
Zulm Aur Jabr Ky Darbar Py Bijli Si Giri
Layeq E Hamd Hai Jis Ny Hamen Izzat Bakhshi
Soorah E Room Sy Shehzadi Ny Ayat Yeh Parhi
Jo Bury Thy So Bura Un Ka Hi Anjam Hua
Jis Ny Quran Ko Jhutlaya Woh Nakam Hua
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Kya Kaha Tu Ny Ky Haq Sy Hamen Ruswai Mili
Hum Yeh Kehty Hain Hamen Izzat O Sachai Mili
Hum Ko Quran Mila Rab Ki Shanasai Mili
Mery Pyaron Ko Sinan Par Bhi Pazeerai Mili
Ibn E Marjana Tery Jubba O Dastar Talak
Karbala Aa Gai Ab Sham Ky Darbar Talak
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Ay Mery Bhai Ky Qatil Hawas E Zar Ky Ghulam
Imtehan Yeh Bhi Hai Main Aur Karun Tujh Sy Kalam
Yun Mukhatib Hun Ky Dil Mein Hai Mery Gham Ki Husaan
Mujh Ko Dena Hai Hussain Ibn E Ali Ka Paigham
Kar Ky Tazheek E Nabi Tujh Ko Maza Ata Hai
Inteqam E Ohad O Badar Py Itrata Hai
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Ay Yazeed E Sitam Ejaad Bahut Shad Hai Tu
Qaid Kar Ky Hamen Samjha Hai Ky Azad Hai Tu
Yeh Teri Kham Khayali Hai Ky Abad Hai Tu
Nasl Dar Nasl Sada K Liye Barbad Hai Tu
Faisla Rab Ka Hai Mohlat Hai Sambhal Jany Ki
Dheel Di Jati Hai Zalim Ko Sambhal Jany Ki
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Aj Kis Zom Mein Ashraf Ka Khoon Peta Hai
Kat Ky Bagh E Risalat Ko Tu Khush Hota Hai
Cheekhta Phirta Hai Tu Badar Ka Yeh Badla Hai
Mujh Ko Hairat Nahi Hinda Hi Ka Tu Beta Hai
Ho Ga Maloom Shaqawat Ka Nateeja Us Din
Badly Yeh Kya Hai Liya Jaye Ga Badla Us Din
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Kar Diya Qatl Hamen Tu Ny Ghalat Socha Hai
Gosht Apna Hi Chibaya Hai Badan Nocha Hai
Kya Khabar Tujh Ko Ky Hum Logon Ka Rutba Kya Hai
Aal E Emraan Mein Allah Ka Yeh Waada Hai
Shohada Soorat E Quran Sada Zinda Hain
Woh To Woh Un Ky Muhibban Sada Zinda Hain
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Mehw E Hairat Hun Jinhen Rab Ny Sar Afraaz Kiya
Ilm E Quran Diya Aur Yad E Kal Khair Kaha
Aah Un Bagh E Risalat Ky Gulon Ko Masla
Asteenon Sy Tumhari Hai Lahu Un Ka Baha
Pak O Pakeeza Banaye Thy Jo Khud Rab Ny Badan
Aj Sehra Mein Parhy Hain Wohi Bay Gor O Kafan
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Aazma Ly Sitam Ejaad Sitam Ky Harbay
Dekh Baqi Tery Dil Mein Koi Hasrat Na Rahy
Reh Gaya Ho Jo Sitam Koi To Woh Bhi Kar Ly
Jeet Kar Har Gai Teri Hakoomat Hum Sy
Fikr E Shabbir To Phailay Gi Muhammad Ki Qasam
Yeh Tery Bas Mein Nahi Malik O Mukhtar Hain Hum
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Hafiz E Nehj E Balagha Ka Woh Roab O Jalaal
Maot Ki Khamoshi Jaisa Hua Darbar Ka Hal
Jaag Uthi Bibian Jo Gham Sy Musalsal Thiin Nidhal
Bhary Darbar Sy Mazloom Khateeba Ka Sawaal
Kalma Jis Ka Parha Us Ka Jigar Kaat Liya
Apny Mohsin Ky Nawasy Hi Ka Sar Kaat Liya
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Tum Thy No Lakh Darinday Woh Bahattar Insaan
Un Bahattar Mein Bhi Asghar Sa Tha Ek Tashna Dahan
Aisy Masoom Qasam Khata Hai Jin Ki Quraan
Haye Un Pyaason Ky Hulkoom Py Khanjar Tha Rawan
Tum Yeh Kehty Ho Paye Jang Hussain Aya Tha
Betion Behnon Ko Phir Sath Mein Kiun Laya Tha
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Ay Yazeed Aj Na Kiun Tujh Py Falak Toot Parhy
Tu Ny Woh Zulm Kiye Jis Sy Muhammad Roye
Haye Namoos E Nabi Koocha O Bazaar Phiry
Dar O Deewar Sajy Kothon Sy Pathar Barsy
Shamion Hum Py Naya Ab Yeh Ghazab Karty Ho
Choti Zehra Ko Kaneezi Mein Talab Karty Ho
Yad E Kal Khair Bhi Hum, Rab E Kaaba Ki Qasam
Un Hi Hathon Mein Rasan Sar E Darbar E Sitam
Khatm Taqreer Hui Mehshar E Khamosh Utha
Ya Ali Ap Ki Beti Ka Ajab Khutba Tha
Murda Darbar Py Chai Thi Khateeba Ki Sada
Bich Gai Sarwar O Rehan Wahan Farsh E Aza
Bhai Ky Sar Py Nazar Zainab E Kubra Ki Parhi
Jhuk Gai Bali Sakina Pe Ali Ki Beti