Allah Allah Allah
Allah Hi Allah
Tu Hi Tu Allah
Jo Muhammad Ka Wafadar Hai Allah Us Ka
Karbala Us Ki
Najaf Us Ka
Madina Us Ka
Zindagi Hai To Bas Ali Ki Tarah
Maot Aye To Ya Hussain Hussain
Ya Ali Ya Hussain
Ya Ali Ya Hussain
Awaz E Muhammad Ka Asar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Ya Ali Ya Hussain
Laraib Ky Rasool Ki Dono Hain Zaib O Zain
Pehloo Mein Ya Ali Hain To Goudi Mein Ya Hussain
Loh O Qalam Ka Ilm Ka Salek Hai Ya Ali
Jab Tak Khuda Ka Mulk Hai Malik Hai Ya Hussain
Yeh Ilm Ka Dar Sabr Ka Ghar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Yeh Saltanat E Ishq Hai Khud Daar Milen Gy
Salman O Abuzar Sy Wafadar Milen Gy
Ashiq Yahan Mesum Sy Jigar Daar Milen Gy
Jeney K Liye Marny Py Tayar Milen Gy
Kat Jaye Ga Zaban Ishq Magar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Muslim Bine Aqeel Safeer E Hussain Hai
Hub E Ali Hai Dil Mein Musheer E Hussain Hai
Woh Badshah Aur Yeh Wazeer E Hussain Hai
Aisa Wazeer Hai Ky Faqeer E Hussain Hai
Ta Hashr Sifarat Ka Safar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Ya Ali Ya Hussain
Hurr Ko Sakhi Hussain Ny Aali Bana Diya
Aisa Keh Panjatan Ka Sawali Bana Diya
Nad E Ali Ny Is Ko Jalali Bana Diya
Roomal E Fatima Ny Misali Bana Diya
Yeh Dar Hai Ataon Ka Yeh Dar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Ay Mere Rab E Jahan Ay Muhammad Ky Khuda
Yeh Tera Ishq Hi Tha Jis Ki Parwaz Juda
Panjatan Sy Jo Mila
Ishq Ka Tery Safar
Ishq E Haider Mein Mila
Kabhi Mesum Kabhi Miqdad O Abuzar Mein Mila
Kabhi Salman Ky Dil Mein Kabhi Qambar Mein Mila
Aur Maqtal Mein Jo Dekha To Bahattar Mein Mila
Layeq E Ishq Hai Tu Tera Jalwa Har Soo
Ay Mere Rab E Jahan Ay Muhammad Ky Khuda
Ishq Tu Ny Bhi Kiya Woh Muhammad Tera
Jis Ki Chahat K Liye Yeh Jahan Khalq Kiya
Woh Tera Ishq Hi Tha
Ay Mere Rab E Jahan
Ay Mere Rab E Jahan
Ek Ajab Ishq Hua
Woh Sar E Karbobala
Tera Ashiq Hai Kharha
Khoon Mein Dooba Hua
Dy Chuka Lakht E Jigar
Dy Chuka Noor E Nazar
Dy Chuka Sara Woh Ghar
Aur Khanjar Ky Taly
Us Ka Sajdy Mein Hai Sar
Na Namaz Aisi Na Ashiq Ka Kalaija Aisa
Nok E Naiza Py Bhi Karta Hi Raha Zikr Tera
Ya Ali Ya Hussain
Ek Zulfifqar Khalq Mein Do Hath Sy Chali
Dast E Hussain O Panja E Mushkil Kusha Ali
Yeh Mustafa Ki Jan Woh Allah Ka Wali
Dono Ka Martaba Bhi Do Alam Py Hai Jali
Dono Ka Is Kamal Sy Sajda Ada Hua
Haider Sy Ibtida Hui Ya Khatima Hua
Ya Ali Ya Hussain
Hai Waqt E Asr Marzi E Parwardigar Hai
Angusht E Zuljanah Py Maula Sawar Hai
Pehloo Mein Khoon Roti Hui Zulfiqar Hai
Hamraah Zuljanah Bhi Bahut Dilfigaar Hai
Qurban Zuljanah Py Aur Zulfiqar Par
Chalty Thy Dono Marzi E Parwardigar Par
Ya Ali Ya Hussain
Jaisi Woh Zulfiqar Thi Wesa Tha Zuljanah
Bachapan Sy Sath Sath Hi Rehta Tha Zuljanah
Bey Misl O Bey Nazeer Tha Aala Tha Zuljanah
Kiun Kar Na Ho Rasool Ny Pala Tha Zuljanah
Pehla Sawar To Nabi E Kirdigaar Hai
Aur Doosra Yeh Dosh E Nabi Ka Sawaar Hai
Ya Ali Ya Hussain
Cheety Ki Jast Shair Ki Chit Mat Hiran Ki Aankh
Chalta Tha Dekh Dekh Ky Shah E Zaman Ki Aankh
Parhti Thi Yun Hareef Py Us Sar Shikan Ki Aankh
Larhti Ho Jaisy Jang Mein Shamsheer Zan Ki Aankh
Taigh Ai Jis Py Us Ka Bhi War Us Py Chal Gaya
Woh Sar Gira Gai To Yeh Lasha Kuchal Gaya
Ya Ali Ya Hussain
Kehta Tha Zulfiqar Sy Ab Meri Jang Dekh
Chal Mere Sath Sath Zara Mera Rang Dekh
Is Pyas Mein Larhai Ka Mera Bhi Dhang Dekh
Rah E Hayaat Kitnon Py Karta Hun Tang Dekh
Mana Tu Zulfiqar Hai Marhab Shikar Hai
Lekn Yeh Dekh Kon Yeh Mujh Par Sawar Hai
Ya Ali Ya Hussain
Simta Jama Urha Idhar Aya Udhar Gaya
Chamka Phira Charha Dikhaya Thahar Gaya
Teeron Sy Urh Ky Barchion Mein Pur Khatar Gaya
Marham Kiya Safon Ko Saron Sy Guzar Gaya
Aaya Jo Zad Mein Is Ki Ajal Aa Gai Us Ki
Ek Ankh Parhi Jis Py Zameen Kha Gai Usy
Ya Ali Ya Hussain
Allah Rey Larhai Mein Shokat Hussain Ki
Thi Taigh O Zuljanah Mein Suraat Hussain Ki
Qudrat Baghaor Dekhti Thi Soorat Hussain Ki
Qehr E Khuda Sy Kam Na Thi Haibat Hussain Ki
Boly Ali Hussain Ho Ab Bhi Hawas Mein
Aisi To Jang Hum Na Larhy Bhook O Pyas Mein
Hussain Ya Hussain
Aai Sada E Ghaib Ky Bas Bas Hussain Bas
Dam Ly Hawa Mein Jald Nafas Keh Hussain Bas
Garmi Sy Hanpta Hai Faras Ay Hussain Bas
Waqt E Namaz E Asr Hai Bas Bas Hussain Bas
Hussain Ya Hussain
Yeh Sunty Thy Hazrat Jo Laga Pusht Py Bhara
Karroos Py Tharra Ky Giry Hazrat E Wala
Jibreel Ny Qadmon Sy Rakabon Ko Nikala
Aur Hathon Ko Gardan Mein Yadullah Ny Dala
Dekha Jo Zuljanah Ny Ghash Khaty Zeen Par
Bas Beth Gaya Taik Ky Ghutnon Ko Zameen Par
Quran Rahl E Zeen Sy Sar E Farsh Gir Parha
Deewar E Kaba Waid Gai Arsh Gir Parha
Ya Hussain Ya Hussain
Chillai Fatima Mera Bacha Hai Bey Gunah
Ay Arz E Nainawa Mera Bacha Hai Bey Gunah
Ay Nehr E Alqama Mera Bacha Hai Bey Gunah
Ay Zulfiqar Tu Hi Bacha Ly Hussain Ko
Ay Zuljanah Tujh Sy Main Lun Gi Hussain Ko
Ya Hussain Ya Hussain
Dooba Lahoo Mein Laot Ky Aaya Hai Zuljanah
Samjhi Sakina Baba Ko Laya Hai Zuljanah
Sar Khak Py Patakh Ky Pukara Woh Rahwaar
Saidanion Bicharh Gaya Mujh Sy Mera Sawar
Jaldi Utar Lo Yeh Tabarruk Yeh Zulfiqar
Ary Kat’ta Hai Wahan Gullo E Shehanshah E Namdaar
Zehra Qareeb E Lash E Pisar Khak Uthati Hai
Ary Khaimon Mein Jao Lootny Ko Faoj Ati Hai
Ya Hussain Ya Hussain
Na Rona Sakina Na Rona Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina
Ab Kaon Tery Naaz Uthaye Ga Sakina
Bhai Sy Wida Ho Ke Yun Farmatey Thy Maula
Ab Kaon Mere Ghar Ko Bachaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina
Kya Ho Ga Zara Dair Mein Maloom Hai Hum Ko
Tar Khoon Mein Alam Nehr Sy Aaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina
Ek Shor Hai Kohram Hai Bibi Lab E Dariya
Lagta Hai Ke Ab Shair Na Aaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina
Talwaron Mein Naizon Mein Ghira Hai Mera Bhai
Woh Mashk O Alam Kaise Bachaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina
Abbas Na Hon Gey Tera Baba Bhi Na Ho Ga
Ab Kaon Teri Pyas Bhujaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laot Ky Aye Ga Sakina
Kis K Liye Bibi Dar E Khaima Py Kharhi Ho
Ab Koi Tarai Sy Na Aaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina
Abbas Ka Wada Hai Ky Pani Na Piye Ga
Pehly Tumhen Kosar Mein Pilaye Ga Sakina
Abbas Na Ab Laut Ke Aaye Ga Sakina
Ay Sarwar O Rehan Yeh Kehty Rahe Maula
Yeh Gham Mujhe Ta Hashr Rulaye Ga Sakina
So Gaya Lashkar
Ay Sham E Ghareeban
So Gaya Lashkar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Dil Sy Lagaye Dagh Bahattar Noha Gar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Sham E Ghareeban Sy Kuch Pehly Jhoola Chadar Bistar Tha
Pehloo Mein Ham Shakal E Payambar Goud Mein Maan Ki Asghar Tha
Goudian Khali Maan Ky Ujrhi Bey Pisar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Han Yeh Abu Talib Ka Kunba
Betian Sari Haider Ki
Azmat E Zehra Azmat E Mariyum
Izzat Thiin Payghambar Ki
Chadaren Mangti Nam E Payambar Darbadar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Dhalta Sooraj Soch Raha Hai Waqt E Sahar Kya Manzar Tha
Mehw E Ibadat Zair E Alam Shabbir Ka Sara Lashkar Tha
So Gaya Lashkar Jagny Wali Rat Bhar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Dariya Maojen Maar Raha Hai Pyas Abhi Tak Baqi Hai
Shayad Ghazi Laot Ky Aaye Aas Abhi Tak Baqi Hai
Dekh Zara Zainab Ky Baradar Jaag Kar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Koi Nahi Jo Pooch Ly Aa Kar Kya Hui Zainab Teri Chadar
Tery To Thy Atthara Baradar Kiun Hai Akeli Pehrey Par
Humsafar Maqtool Huye Sab Humsafar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Socho Zara Rehan O Sarwar Sham E Ghareeban Ka Woh Manzar
Chak Garaiban Aaye Jo Haider Dekh Ky Zainab Ko Pehrey Par
Ro Diye Haider Khaimy Maqtal Dekh Kar
Bibiya'an reh gayi
Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiya'an reh gayi
Allah Een Na Luty Ghar Ky Hain Jo Bhi
Ya Hussain Ya Hussain
Allah Lut Jee Wai Jiyan Aal E Nabi
Chady Shehar E Nabi Karbal Mein Aayo
Ghar Saro Lutayo Islam Bachayo
Har Dil Mein Hussain Jo Gham Aa
Ya Hussain Ya Hussain
Har Dil Mein Hussain Jo Gham Aa
Har Ghar Mein Bapa Matam Aa
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Dill Ba Dill Seena Ba Seena
Karbala Tameer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Sajdy Sar Shabbir Katayo
Kalmon Aain Quran Bachayo
Panj Lahu Sa Karbobala Ji
Khak Py Akseer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Een Matam Aan Ain Ibadat
Shahzadi Zainab Ji Sunnat
Inn Chadar Bibi Aaj Mehnat
Inna Ky Alamgeer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Aayo Mah O Muharram Dowan
Farsh E Aza Saro Alam Aa
Pyare Nabiya Jo Qatl Nawaso
Zalima Ky Taqseer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Yad Mein Tohnji Sham E Ghareeban
Zahra Khud Thiin Diyan Kurian
Matam Aa Zainab Jo Armaan
Matam Ji Tashheer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Syeda N Jo Kull Sarmayo
Qamr E Bani Hasim Thi Aayo
Nehr E Furaat Ty Maula Ghazi
Lafz E Wafa Tehreer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Bazarun Mein Pathar Wasaya
Shami Chawan Tha Baghi Aaya
Bey Parda Bibinn Jo Matam
Abid E Dilgeer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Sachal Waris Shams Norani
Bahu Bulhay Shah Bhitai
Chay Toh Khud Shahbaz Sehwani
Sab Haii Peer Faqeer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Maula Ayh O Zarf Banayen
Dil Mein Aza Jo Farsh Bichayen
Matam Ji Soghat Sajayen
Nazr E Khaibar Geer Kayo
Gad Ji Sab Matam E Shabbir Kayo
Aahy Dua Jawad O Sarwar
Razi Thy Hasnain Ji Madar
Bahy Nabi Thy Roz E Mehshar
Matam E Shabbir Kayo
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Ay Faoj E Ashqiya Mera Islam Rahy Ga
Quran Rahy Ga Mera Paigham Rahy Ga
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Jab Zohr Tak Hussain Bahattar Ko Ro Chuky
Akbar Ko Ro Chuky Ali Asghar Ko Ro Chuky
Ek Dopehr Mein Bawafa Lashkar Ko Ro Chuky
Phir Faoj E Bad Nasab Sy Mukhatib Huye Imam
Hujjat Tamam Karta Hun Sun Lo Mera Payaam
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Farmatey Thy Hussain Ky Main Bey Qusoor Hun
Roshan Hai Tum Py Chashm E Payambar Ka Noor Hun
Faaqon Sy Main Nidhal Hun Zakhmon Sy Choor Hun
Zakhmon Py Zakhm Pyaas Ki Shiddat Mein Khaun Ga
Lekin Main Nana Jaan Sy Wada Nibhaun Ga
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Dariya Ko Tum Ny Cheen Liya Mainy Kuch Kiya
Pani Dikha Dikha Ky Piya Mainy Kuch Kaha
Dagh Akbar E Jawan Ka Diya Mainy Kuch Kaha
Haq Par Hun Mery Haq Mein Sinan Bol Rahi Hai
Sun Lo Woh Azan Meri Zubaan Bol Rahi Hai
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Maqsad Hai La Ilaa Ki Baqa Aur Kuch Nahi
Wada Ho Wafa Zair E Taigh Wafa Aur Kuch Nahi
Is Ky Siwa Labon Py Dua Aur Kuch Nahi
Razi Ho Mujh Sy Mera Khuda Chahta Hun Main
Main Hun Hussain Sab Ka Bhala Chahta Hun Main
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahe Ga
Mera Paigham Rahe Ga
Maqsad Nahi Hai Jang Hamara Khuda Gawaah
Khat Bhej Ky Hai Tum Ny Bulaya Khuda Gawaah
Bey Jurm Tum Ny Mujh Ko Sataya Khuda Gawaah
Khanjar Taly Buland Main Takbeer Karun Ga
Apny Lahoo Sy Khak Py Tehreer Karun Ga
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Main Aur Karun Yazeed Ki Baiyat Nahi Nahi
Badlun Ajal Ky Dar Sy Shariat Nahi Nahi
Jeeney Ky Badly Chorhun Shahadat Nahi Nahi
Tum Kon Ho Naqab Rukhon Sy Hataun Ga
Main Kon Ho Yeh Nok E Sinaan Par Bataun Ga
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Aa Kar Dar E Khayaam Py Zainab Ko Di Sada
Aa Ay Meri Ghareeb Behan Aa Qareeb Aa
Ly Akhri Salam Hussain E Kareen Ka
Maqsad Hai Mera Kya Yeh Sabaq Tujh Ko Yad Hai
Meri Shareek E Kaar Mujhe Aitemaad Hai
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Zainab Tarhap Ky Boli Ky Bhaia Samajh Gai
Bhaia Tery Ishary Ko Behna Samajh Gai
Main Kya Teri Ghareeb Sakina Samajh Gai
Khutbon Sy Main Hilaun Gi Main Qasr E Yazeed Ko
Marny Na Dun Gi Ab Main Kisi Bhi Shaheed Ko
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Utha Ghubaar E Zulm Karhakti Hain Bijlian
Zeen Sy Giry Hussain Uthiin Surkh Aandhian
Nagaah Sar Hussain Ka Aaya Sar E Sinaan
Quran Suna Ky Syed E Mazloom Ny Kaha
Lo Nana Jan Wada Wafa Main Ny Kar Diya
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Ay Sarwar O Rehan Yeh Lamha Ajeeb Hai
Naizey Py Lab Kusha Yeh Hussain E Ghareeb Hai
Zainab Tumhari Sham E Ghareeban Qareeb Hai
Sab Kuch Tery Hawaly Hai Ab Tum Sambhalna
Apna Khayal Rakhna Sakina Ko Paalna
Main Rahun Ya Na Rahun
Mera Islam Rahy Ga
Mera Paigham Rahy Ga
Muslim Diyaan Dheean Fajar Weley Aaiyan Kol Hussain Sakhi Dy
Tain Koon Wasta Akbar Asghar Da Saan Koon Veer Mila Aj Eid Ay
Muslim Ki Betian Fajar Mein Jab Aaiin Pas Hussain Sakhi Ky
Tumhen Wasta Akbar Asghar Ka Humen Bhai Mila Aaj Eid Ay
Muslim Diyaan Dheean Fajar Weley Aaiyan Kol Hussain Sakhi Dy
Hai Rab Khair Kary Tery Akbar Di Howy Umar Daraz Ali Asghar Di
Sughra Dy Veeran Da Sadqa Saan Koon Veer Mila Aj Eid Ay
Muslim Diyaan Dheean Fajar Weley Aaiyan Kol Hussain Sakhi Dy
Jadon Eid Da Wela Aonda Ay Kul Maawan Putar Sajaandian Ny
Pai Wekhdi Ay Raah Sadi Maan Saan Ku Veer Mila Aj Eid Ay
Muslim Diyaan Dheean Fajar Weley Aaiyan Kol Hussain Sakhi Dy
Shehzadi Ummul Baneen Ki Yeh Masoom Nawasian Roti Hain
Sunti Hain Ruqaiyya Yeh Noha Saan Koon Veer Mila Aj Eid Ay
Muslim Diyaan Dheean Fajar Weley Aaiyan Kol Hussain Sakhi Dy
Khaliq Ny Behan Bhirawan Dy Bahun Wakhry Jorh Banaye Ny
Behnrhi Dy Hondy Maan Bhira Saan Kun Veer Mila Aj Eid Ay
Muslim Diyaan Dheean Fajar Weley Aaiyan Kol Hussain Sakhi Dy
Ya Aiyu Hal Mazloom
Na Ro Maula Na Ro Maula
Minhal Ny Ek Din Aa Ky Kaha
Ay Maula Mery Ay Zain Ul Ibaa
Gham Zyada Kahan Guzry Tum Par
Dil Tham Liya Khoon Rony Lagy
Khoon Roty Huye Bas Itna Kaha
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Minhal Tarhap Kar Kehny Laga
Rony Ka Sabab Maula Hai Kya
Meeras Shahadat Ap Ki Hai
Maula Ny Kaha Laraib Magar
Uff Tu Ny Nahi Insaaf Kiya
Beshak Meeras Shahadat Hai
Yeh Aal E Nabi Ki Fitrat Hai
Sar Bey Parda Maan Behnon Ka
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Minhal Main Kaisy Zinda Hun
Pal Pal Jeeta Hun Marta Hun
Ik Ankhon Ny Jo Kuch Dekha
Ek Yeh Bhi Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Na Ro Maula Na Ro Maula
Aghaz Hai Sham E Ghareeban Sy
Khoon Tapka Chashm E Giriyaan Sy
Behnon Ka Khula Sar Samny Tha
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Na Ro Maula Na Ro Maula
Kaisy Bhoolon Us Manzar Ko
Naizey Py Phuphi Ki Chadar Ko
Sahil Sy Jo Ghazi Ny Dekha
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Na Ro Maula Na Ro Maula
Namoos E Payambar Bey Chadar
Aur Sar Py Barasty Woh Pathar
Tar Khoon Mein Tha Sab Ka Chehra
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Na Ro Maula Na Ro Maula
Na Gham Taoq O Zanjeer Ka Tha
Gham Phuphion Ka Hamsheer Ka Tha
Bazaar Ky Gham Ny Maar Diya
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Na Ro Maula Na Ro Maula
Allah Mery Yeh Had E Sitam
Pairon Ty Kharhy Darbar Mein Hum
Aur Takht Py Qatil Betha Tha
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Na Ro Maula Na Ro Maula
Ek Sham Ka Ek Zindaan Ka Gham
Masoom Si Nanhi Jaan Ka Gham
Jo Ho Na Saki Mar Ky Bhi Riha
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Ash Shaam, Ash Shaam, Ash Shaam
Sajjad Haye Sajjad
Na Ro Maula Na Ro Maula
Rehan O Sarwar Sham Chalo
Aur Sham Ki Woh Galiyan Dekho
Beemar Jahan Kehta Hi Raha
Ek Yeh Bhi Meri Meeras Thi Kya
Aaiyo Hal Mazloom
Ya Aiyo Hal Mazloom
Ay Shairene Astaane Haider
Ay Sakhi Babul Hawaij, Sakhi Babul Hawaij, Bawafa Abbas
Assalam Ay Bawafa Babul Hawaij Assalam
Key Kason Ka Aasra Babul Hawaij Assalam
Qayem E Aal E Muhammad Kul Imamon Ka Salam
Ay Duaye Sayeda Babul Hawaij Assalam
Woh Roz Ky Jis Ka Wada Hai Woh Roz Yaqeenan Aye Ga
Insan Ka Muqaddar Badly Ga Jab Noor E Imamat Chaye Ga
Goonjy Gi Sadaye Chaal Haq Aur Mehdi E Doran Aye Ga
Us Roz Sy Sary Alam Mein Bas Aik Alam Lehraye Ga
Ghazi Ka Alam Ek Saya Jo Kal Bhi Tha Aur Aj Bhi Hai
Aur Is Ka Karam Kal Bhi Ho Ga
Abbas Abbas Abbas Abbas
Soorajon Mein Chand Ban Kar Is Tarah Zinda Raha
Chadar E Zehra Ky Saye Mein Sada Palta Raha
Yeh Ali Ibne Abi Talib Ka Sarmaya Raha
Zainab O Kulsoom Ki Bhi Ankh Ka Tara
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Hurmat Deen E Nabi Zehra Ky Ghar Ki Aabroo
Dill Hai Yeh Ummul Baneen Aur Haider Ka Lahoo
Seerat E Shabbir O Shabbar Ka Sarapa Hoo Bahoo
Panjatan Ky Darmian Kis Ka Sharaf Aisa
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Yeh Wo Ghar Hai Jis Taraf Dekha Hamen Maula Mila
Har Taraf Maula Hi Maula Ibtida Ta Inteha
Gird Maulon Ky Yeh Ghazi Hai Maula E Wafa
Ay Khuda Maula Nabi Maula Ali Maula
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Hai Ali Ki Badshahi Asman Ho Ya Zamneen
Hai Ali Ism E Elahi Mustafa Ka Jaan Nasheen
Doosra Haider Nahi Hai Doosra Ghazi Nahi
Ya Ali Keh Kar Zubaan Ky Sath Dill Bola
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Barh Raha Hai Janib E Dariya Alam Abbas Ka
Kon Roky Ga Bhala Barhta Qadam Abbas Ka
Han Magar Shabbir Ko Sehna Hai Gham Abbas Ka
Tum Ny Shabbiri Sy Apny Ghaiz Ko Roka
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Alaman Woh Mashk Ka Chidna Tarhapna Shair Ka
Kya Sakina Alwida Keh Kar Woh Girna Shair Ka
Dekhti Hi Reh Gai Rasta Sakina Shair Ka
Mar Ky Bhi Seeny Sy Liptaye Tha Mashkeeza
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Ho Karam Lillah Bar Haal E Ghareeban Ya Sakhi
Ap Sy Hi Lo Lagaye Hain Yeh Sary Matami
Sarwar O Rehan Ki Qayem Rahy Yeh Nokri
Ay Sakhi Babul Hawaij Fazal Ky Baba
Salam Abbas Ya Maula
Salam Abbas Ya Maula
Saqqaye Sakina
Arz E Karbala Arz E Nainawa
Arz E Karbala Aai Arz E Karbala Aai Arz E Karbala Aai Arz E Nainawa
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Is Maah Mein Looti Gai Zehra Ki Kamai
Talwar Muhammad Ky Nawasey Py Chalai
Is Maah Mein Jibreel Sy Noha Yeh Suna Hai
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai
Is Mahe Muharram Ny Qayamat Yeh Dikhai
Is Chand Ny Sughra Ko Khabar Ja Ky Sunai
Weeran Madina Hai Basi Karbobala Hai
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai
Is Mah Mein Sadat Ny Din Kaisy Guzary
Masoom Ko Pani Na Mila Nehr Kanarey
Kya Zulm Muhammad Ky Gharaney Ny Saha Hai
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai
Jab Chand Muharram Ka Nazar Ata Hai Hum Ko
Sajta Hai Aza Khana To Yad Ata Hai Hum Ko
Is Chand Mein Khoon Aal E Muhammad Ka Baha Hai
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai
Ashoor Ka Din Bhool Na Paye Ga Zamana
Loota Gaya Us Roz Muhammad Ka Gharana
Us Roz Sy Duniya Mein Bichi Farsh E Aza Hai
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai
Kya Hosly Maon Ky Thy Kya Shair Thy Bachy
Woh Maqsad E Zehra Thi Yeh Haider Ky Irady
In Maon Ky Bachon Sy Bani Khak E Shifa Hai
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai
Woh Aon O Muhammad Ali Akbar Ali Asghar
Woh Qasim E Noshah Woh Abbad E Dilawar
Maqtal In Hi Shehzadon Ky Zakhmon Sy Saja Hai
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai
Hon Sarwar O Rehan Shanawar Keh Ali Jee
Hai Nokri Wirsey Mein Hussain Ibne Ali Ki
Aawaz O Alam Dono Isi Dar Ki Ata Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasy Ka Bapa Hai
Yeh Mahe Muharram Hai Yeh Ayam E Aza Hain
Matam Yeh Muhammad Ky Nawasey Ka Bapa Hai