Salam Salam Salam Ya Hussain

Ya Khuda Ya Khuda
Surkh Hai Aasman Cheekhti Hai Fiza Salam Salam Ya Hussain
Ghaib Sy Aa Rahi Ahi Musalsal Sada Lo Aftaab E Shahadat Tulooh Ho Gaya

Salam Ya Hussain

Hussain Ya Hussain

Salam Ya Hussain

Bar Zaban O Dilam Ya Hussain Ya Hussain
Marhaba Mohtaram Ya Hussain Ya Hussain
Salam Ya Hussain Salam Ya Hussain

Azeem Tha Azeem Hai Azeem Tar Hai Ya Hussain
Khudaye Pak Ki Nazar Teri Nazar Hai Ya Hussain
Yeh Dill Bhi Tera Dil Nahi Khuda Ka Ghar Hai Ya Hussain
Wahan Wahan Azan Hai Jidhar Jidhar Hai Ya Hussain
Sinaan Ki Nok Par Azan Tera Jigar Hai Ya Hussain

Sinaan Ki Nok Par Buland Zindagi Ko Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Hussain

Hussain Woh Jo Maqtalon Ko Maktabon Mein Dhal Dy
Hussain Woh Jo Mushkilon Sy Deen Ko Nikaal Ly
Khuda Agar Talab Kary Hussain Apny Laal Dy
Hussain Jo Talab Kary Woh Rabb E Zuljalaal Dy
Hussain Woh Sakhi Hai Jo Gadaa Ko Bey Sawal Dy

Kamal Yeh Hai Khud Khuda Kahy Kamal Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Bulandion Sy Pooch Lo Sinaan Sinaan Hussain Hai
Qadam Qadam Hussain Hain Nishan Nishan Hussain Hain
Dilon Mein Ahl E Dard Ky Rawan Dawan Hussain Hai
Zamana Poochta Hai Yeh Kahan Kahan Hussain Hai
Jahan Jahan Hussain Hain Wahan Wahan Hussain Hain

Khuda Ny Is Shaheed Ko Ajeeb Yeh Samar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Ajeeb Hai Yeh Marhala Ajeeb Hai Yeh Hosla
Bicharh Gaya Hai Qafily Sy Yeh Ameer E Qafila
Ghira Hai Faoj E Shaam Mein Akela Ibn E Sayeda
Hai Door Khaima Gaah Sy Yeh Fatima Ka Laadla
Sukoon Apna Dy Chuka Qaraar Apna Dy Chuka

Hussain Ny Khudai Ko Hi Bey Qaraar Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Idhar Guloo E Khushk Par Hussain Ky Churi Chali
Udhar Qareeb E Alqamah Tarhap Ky Reh Gaya Jari
Behan Ko Hosh Na Raha Sakina Khak Par Giri
Sadayen Goonjny Lagiin Hussain Ya Hussain Ki
Yeh Kis Ny Apna Sar Diya Khudai Cheekhny Lagi

Sinaan Sy Sar Ky Khoon Ny Salam E Akhri Kiya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Hussain Badshah Par Salam Har Zamaan Ka
Salam Ho Salam Ho Zameen O Aasman Ka
Salam Ibne Sayeda Py Sarwar O Rehan Ka
Har Aik Rang O Nasl Ka, Salam Har Zuban Ka
Salam Shah E Karbala Khudaye Mehrban Ka

Khuda Ka Zikr Do Jahaan Mein Tu Ny Aam Kar Diya
Azeem Kam Kar Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Husssain

Karwan Karwan Karwan Karwan

Yasrab Sy Sooye Karbala Ek Karwan Rukhsat Hua
Sar Py Alam Saya Fighan Ghazi Ki Ati Hai Sada
Pehla Safar Zainab Ka Hai Sunsan Kar Do Rasta
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Kya Shan Hai Kya Dabdaba Kya Log Hain Quran Numa
Salle Alaa Salle Alaa Aayaat Ka Hai Qafila
Mashk O Alam In Ka Nishan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Allah Ky Pyary Hain Yeh Aal E Nabi Sare Hain Yeh
Quran Ky Paarey Hain Yeh Konain Ky Taarey Hain Yeh
Zair E Qadam Hai Aasman Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Koi Shabeeh E Mustafa Koi Hasan Ka Dilruba
Hai Koi Aks E Sayeda Shabbir Ka Yeh Qafila
Thamy Alam Jo Hai Jawan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Yasrab Sy Ta Ba Karbala Har Din Tawaf E Qafila
Abbas Karta Hi Raha Pardy Ka Zimedaar Tha
Yun Mutmain Thiin Bibian Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Abbas Woh Kirdaar Hai Bad E Ali Salaar Hai
Aisa Alam Bardaar Hai Maidan Mein Bey Talwar Hai
Phir Bhi Alam Ka Pasbaan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Lo Aa Gaya Us Ka Alam Ghazi Jisy Kehty Hain Hum
Kehty Chalo Yeh Dam Badam Abbas Meer E Lashkaram
Babul Hawaij Mehrbaan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Jab Sham Pahuncha Qafila Khutba Yeh Zainab Ny Diya
Sun Ly Yeh Qaom E Ashqiya Hum Hain Binaaye La Ilaa
Kashti Hai Deen Hum Badbaan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Hashr Mein Maola Ali Yeh Sarwar O Rehan Bhi
Nazr E Karam Sy Ap Ki Rakhty Hain Ummed E Qawi
Nohon Sy Den Gy Yeh Bayan Abbas Meer E Karwan
Karwan Karwan Abbas Meer E Karwan

Behti Rahi Furaat

Khoon Ho Kar Beh Gaya Akbar Ka Dill
Muskura Kar Khatm Asghar Ho Gaye

Behti Rahi Furaat

Karbala Ky Dasht Mein Aisa Andhera Cha Gaya
Aa Gai Sham E Ghareeban Surkh Hai Khak E Shifa
Jal Gaye Khaimey Sar E Shaam E Aalam
Kitny Manzar Khak Ho Kar Reh Gaye

Behti Rahi Furaat

Dhal Gaya Din Sham Aai Sham Bhi Aisa Ky Bas
Do Pehr Ky Baad Chai Aisi Tanhai Ky Bas
Kis Tarah Zehra Ka Ghar Loota Gaya
Kis Tarah Bey Sar Bahatar Ho Gaye

Behti Rahi Furaat

Aj Subh E Dam Yeh Ghar Roshan Bhi Tha Abaad Bhi
Sab Ky Waris Thy Salamat Bhai Bhi Aulaad Bhi
Ek Hawa Aisi Chali Pardais Mein
Bey Zabaan Bachy Bhi Bey Sar Ho Gaye

Behti Rahi Furaat

Yeh Hain Woh Sham E Ghareeban Jo Qayamat Ban Gai
Dukhtar Zehra Ky Sar Sy Jis Ny Chadar Cheen Li
Ya Rasool Allah Qayamat Ho Gai
Dakhil E Khaima Sitam Gar Ho Gaye

Behti Rahi Furaat

Aik Ek Qatry Ko Tarsy Ban Mein Atfaal E Hussain
Mashk Zakhmi Khali Koozey Lash Pamaal E Hussain
Reh Gaya Maidan Mein Bey Kas Ka Tan
Jashn Mein Masroof Lashkar Ho Gaye

Behti Rahi Furaat

Marty Dam Pani Pisar Mangy Padar Majboor Hai
Tu Bata Sham E Ghareeban Alqama Kya Door Hai
Waye Nehr E Alqama Behti Rahi
Aur Pyasey Qatl Akbar Ho Gaye

Behti Rahi Furaat

Hai Wohi Manzar Wohi Khaimey Wohi Tishna Labi
Aai Hai Shame Ghareeban Khoon Rulany Aaj Bhi
Gham Hamen Rehan O Sarwar Kiun Na Ho
Mehw E Matam Jab Payambar Ho Gaye

Behti Rahi Furaat

Muskura Kar Khatm Asghar Ho Gaye
Khoon Ho Kar Beh Gaya Akbar Ka Dil

Jab Khatima Bakhair Hua Faoj E Shah Ka
Kosar Py Qafila Gaya Pyasi Sipah Ka
Ghar Lut Gaya Janab E Risalat Panah Ka
Khak Urh Rahi Thi Haal Tha Yeh Bargah Ka

Haye Maqtal Mein Aaiin Fatima Zehra Barehna Sar
Chillain Zair E Taigh Hai Baba Mera Jigar
Ary Unness So (1900) Hain Zakhm Tan E Chak Chak Par
Ary Zainab Nikal Hussain Tarhapta Hai Khak Par
Haye Pahunchi Behan Jo Bhai Ky Maqtal Mein Noha Gar
Dekha Sar E Hussain Hai Naizey Ki Nok Par

Ary Sadqy Gai Luta Gaye Ghar Wada Gaah Mein
Haye Junbish Labon Ko Hai Abhi Zikr E Ilaah Mein

Mera Wada Hua Poora Nana

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Nana Dekho Nawasa Kahan Aa Gaya
Mainy Karbobala Ko Mualla Kiya
Khoon Mera Aj Khak E Shifa Ban Gaya
Mainy Bachpan Ka Wada Wafa Kar Diya
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Mera Ghar Mery Bachy Meri Zindagi
Aap Ky Deen Py Sab Mainy Qurban Ki
Mery Mathy Py Bosa Do Ab Akhri
Bar Sare Nok E Naiza Sawari Chali
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Deen O Quran Bachy Tera Kaaba Bacha
Ta Qayamat Rahy Gi Azan Ki Sada
Madrisa Ban Gai Aaj Sy Karbala
Haye Nana Magar Mera Ghar Na Raha
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Chakkian Peesny Wali Maan Ki Qasam
Meri Aghosh Mein Torha Akbar Ny Dam
Kaisy Lashy Jawan Laya Sooye Haram
Apny Wady Py Sehta Raha Gham Py Gham
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Kitny Lashy Uthaye Hain Ek Roz Mein
Kitny Aansoo Bahaye Hain Ek Roz Mein
Saikrhon Teer Khaye Hain Ek Roz Mein
Sary Wady Nibhaye Hain Ek Roz Mein
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Bhai Battees (32) Barson Sy Jo Sath Tha
Mainy Wada Nibhany Mein Woh Kho Diya
Kha Gai Us Ky Shanon Ko Yeh Alqama
Woh Gaya Aur Dard E Kamar Dy Gaya
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Mery Nana Yeh Dulha Yeh Kamsin Jawan
Aisy Ronda Gaya Dasht Mein Al Amaan
Apny Bety Ko Pehchan Pai Na Maan
Us Ki Dulhan Ny Khud Torh Diin Choorhian
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Han Wo Asghar Jo Sughra Ki Thi Zindagi
Jis Ki Khatir Woh Beemar Bachi Meri
Choty Choty Sy Kurty Jo Seeti Rahi
Us Ka Khoon Apny Chehry Py Mal Ky Abhi
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Mery Nana Sakina Ka Gham Dekhiye
Umar Itni Si Itny Sitam Dekhiye
Jalti Raiti Py Us Ky Qadam Dekhiye
Kitny Majboor Hain Aj Hum Dekhiye
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Sham Rehan O Sarwar Jo Dhalny Lagi
Sar Sy Shabbir Ky Yeh Sada Ati Thi
Ay Behan Ab Yahan Sy Qayadat Teri
Mery Wady Ki Khatir Zaroori Hui
Mera Wada Hua Poora

Main Nok E Sinan Par Hun
Mera Wada Hua Pooora Nana

Akhri Salam Akri Salam

Meri Sakina Is Tarha Na Rona

Tum Jao Kahan Allah Janey
Maqtal Mein Rahy Kis Haal Mein Hum
Ab Khawab Mein Baba Ayen Gy
Chahy Shaam Ka Ho Zindaan Howy

Meri Sakina Is Tarha Na Rona

Na Meri Bachi Na Is Tarha Na Rona

Hum Jaty Hain Milny Baba Sy
Ab Laot Ky Hum Ko Ana Nahi
Kuch Dair Lipat Ja Seeney Sy
Phir Bap Ka Seena Milna Nahi
So Jana Jahan Phuphian Keh Den
Chahy Shaam Ka Ho Zindaan Howy

Meri Sakina Is Tarha Na Rona

Na Meri Bachi Na Is Tarha Na Rona

Janey Dy Mujhy Maidan Ki Taraf
Dena Yeh Tujhy Qurbani Hai
Rahwar Ky Mery Paon Na Parh
Meri Bachi Tu Syedani Hai
Jeena Hai Tujhy Zehra Ki Tarah
Chahy Shaam Ka Ho Zindaan Howy

Meri Sakina Is Tarah Na Rona

Na Meri Bachi Na Is Tarah Na Rona

Aa Ponch Ly Aansoo Ankhon Sy
Tu Dekh Ly Chehra Baba Ka
Kal Ho Skta Hai Aa Na Saky
Pehchan Ly Chehra Baba Ka
Hum Sath Tera Na Chorhen Gy
Chahy Shaam Ka Ho Zindaan Howy

Meri Sakina Is Tarah Na Rona

Na Meri Bachi Na Is Tarah Na Rona

Abbas Ka Dil Akbar Ki Bahan
Jis Waqt Bandhy Gardan Mein Rasan
Tum Baba Baba Mat Kehna
Tarhpy Ga Mera Bey Gor Badan
Asghar Ki Tarah Sy Chup Rehna
Chahy Shaam Ka Ho Zindaan Howy

Meri Sakina Is Tarha Na Rona

Na Meri Bachi Na Is Tarha Na Rona

Dekha Hai Rehan O Sarwar Ny
Khud Sham Mein Ja Kar Yeh Manzar
Sailab Hai Pursa Daron Ka
Masroof E Buka Ta Had E Nazar
Hai Sara Ilaqa Bibi Ka
Chahy Shaam Ka Ho Zindaan Howy

Meri Sakina Is Tarha Na Rona

Na Meri Bachi Na Is Tarha Na Rona

Akhri Salam Akhri Salam

Haye Sadaat Haye Zindaan

Qaid Khaney Main Talatum Hai Ky Hind Ati Hai
Dukhtar E Fatima Ghairat Sy Moi Jati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Aasman Door Zameen Sakht Kidhar Jaun Main
Yehi Behtar Hai Ky Duniya Sy Guzar Jaun Main
Bibion Mil Ky Dua Mango Ky Mar Jaun Main
Maot Ati Hi Nahi Jan Khichi Jati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Amad E Hind Ka Ghul Itrat E Shabbir Mein Hai
Shor E Matam Haram E Sahib E Tatheer Mein Hai
Kehti Hai Jaun Kahan Paon To Zanjeer Mein Hai
Paon Uthta Hai To Zanjeer Lipat Jati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Tha Idhar Bibi Sakina Sy Yeh Zainab Ka Bayan
Hind Darbar Sy Jab Sooye Zindaan
Sabr Tum Ko Hai Dikhana Na Uthy Shor O Fughan
Waye Yeh Din Bhi Aseeri Tumhen Dikhlati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Dar E Zindaan Py Hua Itny Mein Amboh E Kamaal
Zan E Hakim Ka Hai Zindaan Mein Nuzool O Ijlal
Qaidion Uth Ky Dua Dy K Karo Istaqbaal
Zaoja E Hakim E Daoran Hai Jo Yeh Ati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Hind Ny Dekh Ky Raandon Ki Taraf Di Yeh Sada
Kis Ka Yousuf Hai Yeh Zindaan Mein Giraftar E Bala
Bibian Kis Ki Hain Rakhtiin Jo Nahi Sar Py Rida
In Ky Chehron Sy To Kuch Aur Jhalak Ati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Dekhti Kya Hai Ky Ek Shair Hai Aahan Mein Nihan
Laghar O Khasta Tan O Faqa Kash O Tishna Dahan
Na To Chalny Ki Sakat Hai Na Koi Rishta E Jaan
Guztakhanon Sy Larazny Ki Sada Ati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Aai Nazdeek Jo Sajjad Ky Hind E Dilgeer
Boli Woh Kon Si Isiyan Ki Yeh Tazeer
Boly Dasween Thi Muharram Ki Jo Pehli Zanjeer
Aj Taqdeer Bhi Qaidi Hamen Kehlati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Hind Ny Pocha Maraz Kya Hai Kaha Bey Padari
Par Jo Dariyaft Kiya Kehny Lagy Dar Badari
Boli Leta Hai Khabar Kon Kahan Bey Khabari
Jo Khabargeer Thy Un Ko To Lehad Bhaati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Baba Sahib Ky Galy Par Jo Na Khanjar Phirta
Un Ky Sar Khulty Na Main Kanton Py Dar Dar Phirta
Aur Madiney Ki Taraf Sab Ko Main Ly Kar Phirta
Yad Hazrat Ky Watan Ki Hamen Tarhpati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Hind Ny Nam Madiney Ka Jo Abid Sy Suna
Khak Par Beth Gai Khali Yeh Tabeer Hua
Boli Kya Zainab O Kulsoom Sy Nisbat Hai Bhala
Aisy Chehron Sy To Khushboo E Wafa Ati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Boli Zainab Ky Na Ly Zainab O Kulsoom Ky Naam
Woh Nabi Zadian Hain Qaid Mein Un Ka Kya Kam
Hind Boli In Hi Baton Mein Hai Sab Un Ka Kalam
Kiun Meri Rooh Tumhen Dekh K Ghabrati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Jo Bhi Soorat Hai Woh Masoom Nazar Ati Hai
Qudrat E Khaliq E Qayyum Nazar Ati Hai
Koi Zainab Koi Kulsoom Nazar Ati Hai
Un Sy Taqdeer Yeh Kis Hall Mein Milwati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Gird Abid Ky Phiri Phir Wo Ba Hall E Tagheer
Boly Woh Kon Yeh Chillai Kaneez E Shabbir
Assalam Ay Rasan O Toq O Salasil Ky Aseer
Noha Karti Hui Qadmon Mein Giri Jati Hai

Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai

Bas Dabeer Ab Gham E Shabbir Sy Larzaan Hai Jigar
Hind Bhi Mehw E Aza Aj Hui Nangy Sar
Qaid Khaney Mein Hua Seena Zani Sy Mehshar
Yehi Majlis Hai Jo Khud Marsiya Kehlati Hai

Gham E Sadaat Aur Zindaan

Wa Hussaina
Zindaan Sy Madiney Aa Kar Bhi
Sajjad Lahu Roty Hi Rahy
Maan Asghar Ki Sooraj Ky Taly
Bethi Rahi Kitny Din Guzry
Mukhtar Ny Ek Din Di Yeh Khabar
Yeh Keh Do Madar E Asghar Sy
Mara Gaya Qatil Asghar Ka
Ab Dhoop Sy Shehzadi Uthiye

Sajjad Ny Aa Kar Maan Sy Kaha
Ay Amman Ab Betho Na Yahan
Ab Thanda Pani Pee Lo Maan
Ab Saye Mein Aao Amman

Sajjad Sajjad

Tu Khoon Rona Jo Chorh Dy
Main Saye Mein Aa Jaun Gi

Sajjad Sajjad

Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi

Sajjad Sajjad

Sajjad Zara Insaf Ty Kar
Ay Hukam Na Dy Israr Na Kar
Aeho Soch Ky Hai Phat Wainda Jigar
Mainda Ujarh Gaya Hai Wasda Ghar
Nit Rowan Gi Hunrh Dhup Wich Main
Wich Dhup Ty Hi Mar Jawan Gi

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Main Takya Ay Bey Gor O Kafan
Dhup Wich Baba Mazloom Tera
Nai Dhup Cho Uth Sakdi Bachra
Dhup Ban Gai Ay Maqsoom Mera
Hinrh Jad Tak Sahn Wich Sahn Mery
Wich Dhup Ty Soag Manawan Gi

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Mara Gaya Qatil Asghar Ka
Asghar To Nahi Milny Wala
Woh Zakhmi Gala Jalta Jhoola
Nasoor Hai Mery Seenay Ka
Tu Dil Ko Pakarhna Chorh Dy
Main Saye Mein Aa Jaun Gi

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Jo Lash Hussain Ty Keeta Main
O Wada Torh Nibhana Ay
Majboor Na Kar Main Ku Putar Mainda
Main Ku Saya Raas Na Ana Ay
Muk Jany Odo Saah Merey
Jado Chaan Wen Putar Main Jaawan Gi

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Haiwan Ko Bhi Zibah Hoty Huye
Tu Dekh Nahi Sakta Beta
Qassab Zabeehon Par Apny
Tujhy Dekh Ky Dalty Hain Parda
Ghash Kha Kar Girna Chorh Dy
Main Saye Mein Aa Jaun Gi

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Nai Dhup Chon Uthi Jay Kar Main
Tera V Rona Nai Mukya
Aj Taeen Putar Sajjad Tera
Akhian Da Pani Nai Sukya
Tery Wagdy Athru Jey Thal Gaye
Main V Chaan Mein Beh Jaawan Gi

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Mery Wali Tum Shahid Rehna
Mazboot Abhi Tak Wada Hai
Saye Ki Taraf Jo Lay Ky Chala
Sajjad Woh Mera Lasha Hai
Zainab Mera Shana Chorh Dy
Main Saye Mein Aa Jaun Gi

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Kar Dafan Rabab Nu Sainrh Akhy
Oh Da Pallu Main Ku Khol Wakha
Sajjad Ny Khol Ky Jad Takya
Gaya Zainab Dy Sang O Ghash Kha
Pallu Wich Chola Asghar Da
Naly Rakh Jhooly Diyan Laawan Di

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Khursheed Rehan Nadeem Dy Ay
Nit Hasrat Dil Wich Rehndi Ay
Onu Pursa Daiye Ro Ro Ky
Rahi Dhup Wich Jehrhi Behndi Ay
Likhiye Nohy Parhiye Nohay
Hain Sanj Jadon Tak Sahwan Di

Sajjad Sajjad
Tu Rat Rona Jy Chad Daiwen
Main Bhi Dhup Nu Chad Jaawan Gi
Sajjad Sajjad

Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai
Sabr Ki Malka Zehra Ki Pyari
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Dekh Rahi Hain Koi To Aaye
Shana Pakarh Kar Kaash Bithaye
Na Hai Sawari Na Hai Amari
Sham Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Bhai Bhateejy Bhanjy Betey
Sath Watan Sy Aai Thi Ly Ky
Haye Muqaddar Aj Akeli
Sham Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Beton Ko Sadqa Bhai Py Kar Ky
Jis Ny Kiye Thy Shukar Ky Sajdy
Chorh Ky Tanha Lash Ko Us Ki
Sham Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Jis Ki Kaneezen Niklen Na Bahar
Balwey Mein Laye Us Ko Sitamgar
Haye Yeh Ghurbat Binte Ali Ki
Sham Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Kitny Hi Qaidi Jis Ny Churhaye
Aj Wo Bibi Sar Ko Jhukaye
Aik Rida Ki Ban K Sawali
Sham Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Socho Wo Manzar Sarwar O Rehan
Bhai Ho Jis Ka Waris E Quran
Kaisy Woh Bibi Ashk Bahati
Sham Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Pyare Nabi Ki Pyari Nawasi
Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai

Shaam Ko Qaidi Ban K Chali Hai