Jab Kat Gaya Zehra Ka Chaman Dasht E Bala Mein
Shamil Hua Pyason Ka Lahu Khak E Shifa Mein
Koi Na Raha Faoj E Imam E Do Sara Amin
Aur Ghir Gaya Haider Ka Pisar Ahl E Jafa Mein

Ek Khush Gala Aur Kai So Naiza O Khanjar
Ary No Lakh Ka Raila Aur Akela Wo Dilawar

Jab Mera Hussain Fatima Ka Chain
Pusht E Rahwar Sy Khak Par Gira

Ya Hussain Ya Hussain

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Jan Sy Qareeb Tar Mery Parwardigar Dekh
Aashiq Ka Apni Saig E Tapaan Par Karaar Dekh
Mera Yaqeen Dekh Mera Aitbar Dekh
Main Kitna Mutmain Hun Idhar Aik Bar Dekh

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Pyasa Hun Teen Roz Ka Zakhmon Sy Choor Hun
Ya Rab Gawah Rahiyo Ky Main Bay Qasoor Hun
Chai Maah Ho Gaye Ky Watan Sy Bhi Door Hun
Ab Teri Bargah Mein Tery Hazoor Hun

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Ek Qalb E Natawan Py Bahattar Ka Dagh Hai
Atthara Sal Ky Ali Akbar Ka Dagh Hai
Bazu Bureeda Shair Ka Asghar Ka Dagh Hai
Lagna Abhi Luti Hui Chadar Ka Dagh Hai

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Yeh Keh Ky Jo Khamosh Huye Sibt E Payambar
Dekha Ky Sarhany Hai Kharhi Madar E Muztar
Shahzadi Ky Sar Par Hai Parhi Khak Ki Chadar
Kehti Hain Woh Sar Goud Mein Shabbir Ka Leh Kar

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Mazloom Ki Imdaad Ko Ata Nahi Koi
Pani Bhi Dam E Marg Pilata Nahi Koi
Zakhmon Mein Lagi Khak Churhata Nahi Koi
Haye Haye Merey Bachay Ko Bachata Nahi Koi

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Haider Sy Kaha Zehra Ny Khof Ata Hai Sahib
Maan Hun Mera Dil Dard Sy Tharrata Hai Sahib
Yeh Dekhiye Duniya Sy Pisar Jata Hai Sahib
Khanjar Ko Liye Shimr Idhar Ata Hai Sahib

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Farmanay Lagy Maan Sy Basad Ranj Yeh Maula
Kuch Dair Mein Ab Kooch Hai Duniya Sy Hamara
Ay Amman Chali Jaiye Maqtal Sy Khudara
Kis Tarha Sy Dekho Gi Tarhapta Hua Lasha

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Ek Bar Jo Khaimon Ki Taraf Yas Sy Dekha
Dekha Ky Dar E Khaima Py Roti Hai Sakina
Ek Hoonk Uthi Qalb Mein Rony Lagy Maula
Zainab Sy Isharon Sy Kaha Ay Meri Behna

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Aawaz E Ghaib Ai Palat Aa Hussain Aa
Ab Imtehan Tera Mukammal Yahan Hua
Khoon E Pisar Sy Tu Hai Wuzu Ab To Kar Chuka
Yeh Sun Ky Sheh Ny Sajdy Mein Sar Rakh Ky Yeh Kaha

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Jab Pahunchi Behen Bhai Ky Lashy Py Khuly Sar
Dekha Ky Laeen Phair Chuka Halq Py Khanjar
Aur Shimr Liye Jata Hai Sar Gaiso Pakarh Kar
Ay Sarwar O Rehan Karo Yad Wo Manzar

Khanjar Qareeb Zano E Qatil Qareeb Hai
Aaj Imtehan E Sabr E Hussain E Ghareeb Hai

Maula Maqtal May Sar Ko Jhukaye
Laash E Akbar Pe Tanha Khade Hai
Dheeme Dheeme Tapakte Hai Aansoo
Haye Sughra Ka Khat Padh Rahe Hai
Bolay Kya Mai Jawab Is Ka Doo
Haye Sughra Bata Kya Likhun
Aur Sughra Bata Kya Likhun

Mai To Pardes May Lut Gaya
Apne Lashkar Ko Mai Ro Chuka
Tera Baba Ghareeb Hogaya
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Aandhiya Mera Ghar Legayi
Mere Lakht E Jigar Legayi
Mera Noor E Nazar Legayi
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Khat Tera Ab Sunaun Kise
Kaun Meri Sada Par Uthe
Shab Ko Jaage Huve Sogaye
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Haye Sughra Wo Bhai Tera
Jisne Tujhse Tha Wada Kiya
Kha Gayi Usko Karbobala
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Pyar Tune Tha Jisko Likha
Ghutniyo Bhi Jo Na Chal Saka
Haa Wo Asghar Bhi Ab Na Raha
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Shab Ko Dulha Banaya Jise
Raas Aayi Na Mehendi Jise
Royi Sehre Ki Ladiyan Jise
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Ab Sakina Ka Hafiz Khuda
Waqt Zainab Pe Bhi Hai Kada
Mujhko Ghere Huve Hai Qaza
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Ye To Accha Huva Laadli
Apne Ghar May Hi Tu Rehgayi
Beridayi Se Tu Bachgayi
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

Khat Wo Rehaan O Sarwar Tha Kya
Khaak Se Mera Maula Utha
Laash E Akbar Pe Khat Rakhdiya
Aur Iske Siva Kya Likhun
Haye Sughra Bata....

yabnaz zahra maa zehra
yabnaz zahra ye fathema

ya sayyedi ya murshadi
ya maulayi ya hassan mujtaba
shaam o sehar ay rahabar
ay taajdare kaun-o-makan
noor e khuda ay muntazar
hai muntazir ye saara jahan
yabnaz-zahra ya fatema

kehte hai sab jinn-o-bashar
arz o saman o dasht o jamal
hai mushkilay lakhon magar
hai muhskilon ka tu hi hal
aane lagi dekho sada
hayya ala khairil amal
hum dekhenge
lazim hai ke hum bhi dekhenge

wo roz ke jiska waada hai
jo lauh e azal pe likha hai
jo tera hai jo mera hai
kaunain may jiska charcha hai
jab lauh o qalam ke chehre se
parde sarkaye jayenge
hum dekhenge
lazim hai ke....

kuch raat gayi kuch baaki hai
pardon may sehar kuch kehti hai
dil par jo ye dastak hoti hai
ghaibat may koi ek hadi hai
jo haazir o naazir o qaaim hai
wo aayenge haa aayenge
hum dekhenge
lazim hai ke....

haa dekh badalte mausam ko
kya ho gaya nazm-e-aalam ko
chain aata nahi hai aakhir kyun
be-chaini ye nasle adam ko
dene de sada us qaaim ko
har uljhan wo suljha-yenge
hum dekhenge
lazim hai ke....

ye jaffar e sadiq ne hai kaha
wo roz juma hai ashura
jab unki sawari aayegi
tazeem karengi karbobala
kaabe se azan phir gunjegi
wo ek alam lehrayenge
hum dekhenge
lazim hai ke....

wo masjid-e-kufa may aakar
majlis ka saja-yenge mimbar
wo pursa lenge dunya se
shabbir ka khud zakir bankar
zainab ke masayab karke bayan
mimbar pe hi ghash khajayenge
hum dekhenge
lazim hai ke....

ankhon may imam-e-zamana ki
rehti hai sada ek sat hijri
kehte hai ziyarat e nahiya may
mai bhool nahi sakta hoo kabhi
maa baine zameen o zeen jo tha
wo laasha bhool na payenge
hum dekhenge
lazim hai ke....

paighame imam-e-zamana hai
gar jald mujhe bulwana hai
taqwe ke musalle par jaakar
paighame aman phailana hai
jab ilm ke deep jalaoge
hum ghaibat se aa-jayenge
hum dekhenge
lazim hai ke....

tajeel ho ab ibn-e-zehra
hai vird rehaan o sarwar ka
dunya ko zaroorat aap ki hai
deti hai sadaye karbobala
wo roz ke jis ka waada hai
wo waada aap nibhayenge
hum dekhenge
lazim hai ke...

Sheh Kehty Thy Bibi Hamen Ab Jany Do Ghar Sy
Woh Kehti Thi Saya Jo Yeh Uth Jaye Ga Sar Sy
Haye Haye Main Tumhen Dhund Ky Laun Gi Kidhar Sy
Sheh Kehty Thy Maqtal Hi Mein Pao Gi Sakina

Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Dhundo Gi To Phir Hum Ko Na Pao Gi Sakina
Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Jab Umr Thi Kam Ham Bhi Chuty Thy Maan Sy
Soty Thy Lipat Kar Yun Hi Khatoon E Jinaan Sy
Kooch Un Ka Hua Samny Aankhon Ky Jahan Sy
Sadmy Yehi Ab Tum Bhi Uthao Gi Sakina

Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Jangal Mein Bahot Qaafly Lut Jaty Hain Bibi
Barson Jo Rahen Sath Woh Chut Jaty Hain Bibi
Hasrat Sy Yeh Dum Seenon Mein Ghut Jaty Hain Bibi
Chut Jao Gi Baba Ko Na Pao Gi Sakina

Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Din Hijr Ky Aa Pahunchy, Gaye Wasl Ky Ayyam
Likha Tha Bahot Kam Teri Taqdeer Mein Aram
Dikhlaye Gi Yeh Subho Yateemi Ki Tumhen Sham
Kis Tarha Sy Yeh Dagh Uthao Gi Sakina

Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Yun Kehny Lagi Seeny Py Munh Rakh Ky Woh Nadaan
Kehty Hain Yateemi Ki Sy Main Ap Ky Qurban
Hazrat Ny Kaha Sakht Museebat Hai Meri Jaan
Chain Aisi Aziyat Mein Na Pao Gi Sakina

Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Ab Aya Samajh Mein Yeh Sukhan Honton Py Lana
Kiun Kehty Thy Zainab Isy Chaati Py Sulana
Ary Bano Mery Peechy Na Sakina Ko Rulana
Dill Kehta Tha Baba Ko Na Pao Gi Sakina

Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Khamosh Anees Ab Ky Jigar Chak Hai Gham Sy
Behta Hai Lahu Ashk Ki Jaa Deeda E Nam Sy
Doori E Ziyarat Nahi Sahi Jati Hum Sy
Kya Rozy Py Apny Na Bulao Gi Sakina

Hum Hongey Kahin Tum Kahin Jao Gi Sakina

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai
(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Farq hai us dil ke jo ho hubbe Ali se abaad) x2
Usse behter koi dunya mei makaan aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Naam-e-Shabbir pe be sakhta girya hona) x2
Baade qalme ke ye imaan ka nishaan aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Barchiyaa(n) maarke Akbar ko pukaare ada) x2
Sheh se poocho koi farzand-e-jawaa(n) aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Falake peer tujhe sheh ki zaeefi ki qasam) x2
Ali Akbar sa zamaane mei jawaan aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Maa(n) ne qasim se kaha subho ko tum hoge shaheed) x2
Is liye biyaah ki jaldi meri jaan aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Baal khole huwe laashe pe jo ayi Zahra) x2
Khul gaya hur pe dam-e-nazra ke maa(n) aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Apne farzando ke marne pe bhi girya na kiya) x2
Daher mei Zainab-e-mazloom si maa(n) aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Sheh se Zainab ne kaha tum jo ho mushtaq-e-qaza) x2
Meri Amma ka koi fateha khwaan aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

(Laashe pamaal sar-e-shaam jo hote hai "nazeer") x2
Baagh-e-zahra pe sitam baagh-e-khizaan aur bhi hai

Karbala dekhi to ham samjhe ke haa(n) aur bhi hai

(Kaun qaail tha salaami ke jinaan aur bhi hai) x2

Ya Hussain Ya Hussain
Zindan Sy Riha Ho Kar Jis Dam
Jab Karbobala Mein Aye Ahl E Haram
Naqy Sy Giri Zainab Dukhiya
Aur Zakhmi Zakhmi Rakhti Qadam

Ro Kar Ghazi Sy Kehny Lagi
Baba Ny Mujhy Samjhaya Tha
Ay Beti Ghar Mein Paidal Chal
Chalna Hai Tujhy Meelon Tanha

O Mere Ghazi Ghairat Wale
Han Meri Chadar Ky Rakhwale
Han Mujhy Gir Ky Sambhalna Aa Gaya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Mashk O Alam Wale Mere
Shah E Wafa Awaz De
Ummul Baneen Ke Ladle
Har Gham Sy Guzarna Aa Gaya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Kehndi Si Ro Pai Sainrh Ay
Majboor Bahun Teri Behan Ay
Na Gal Kisy Dy Painrh Ay
Jeewen Zalim Rassian Paa Gya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Ly Sham Sy Main Aa Gai
Ghazi Main Kiun Zinda Rahi
Saya Na Tha Meelon Koi
Mujhy Dhoop Mein Jalna Aa Gaya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Duhi Behn Da Ghazi Bhira
Hunrh Ki Karan Main Desa
Khali Veer Way Main Bay Rida
Tera Jhanrhna Mary Muka Gaya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Dekhy Sajy Aada Ky Ghar
Naizon Py Thy Pyaron Ky Sar
Tukry Hua Mera Jigar
Mujhy Yad Madina Aa Gaya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Gaya Dard Ay Dil Cheer Ay
Wekhi Zulam Di Akheer Ay
Wich Zulm Di Zanjeer Dy
Ruk Baqar Da Hai Kha Gaya Hai
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Bazar Tha Darbar Tha
Zanjeer Thi Beemar Tha
Jeena Mera Dushwar Tha
Har Dard Ko Sehna Aa Gaya
Mujhy Paidal Chalna Aa Gya Abbas

Meku Paidal Turnha Aa Gaya Abbas

Laalan Nu Ay Chanrha Tera
Wich Sham Dy Janrha Tera
Sang Zulm Dy Khanrha Tera
Khursheed Nu Neel Rawagaya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Ay Sarwar O Rehan Aap
Socho Zara Kya Tha Ghazab
Binte Ali Kehti Thi Jab
Mujhe Jeena Marna Aa Gaya
Mujhe Paidal Chalna Aa Gaya Abbas

Meku Paidal Turna Aa Gaya Abbas

Alwida Baba Alwida Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Bain Sakina Ka Tha Alwida Baba
Haye Shaheed E Jafa Alwida Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Gyaarah Muharram Hui Dasht E Bala Mein
Aur Izafa Hua Zulm O Jafa Mein
Koi Bhi Bibi Nahi Ab To Rida Mein
Haye Hussaina Ka Hai Shor Fiza Mein
Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Zakhmi Badan Bay Kafan Pyasay Musafir
Tashna Dahan Bay Watan Pyasay Musafir
Syed O Shah E Zaman Pyasay Musafir
Dasht Mein Pamaal Tan Pyasay Musafir
Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Kushta E Zakhme Jigar Woh Gul E Laila
Khak Basar Khak Par Wo Gul E Laila
Aap Ka Noor E Nazar Woh Gul E Laila
Kurdo Sinaan Dar Jigar Woh Gul E Laila
Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Kuftan E Sad Chak Ra Qasim E Kamsin
Kufsam As Khak O Ja Qasim E Kamsin
Tukre Badan Be Khata Qasim E Kamsin
Kushta E Rah E Khuda Qasim E Kamsin
Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Asghar E Man Be Zaban Kushta E Paikan
Baba Tery Sath Hai Barsar E Maidan
Jaan O Dil E Maan Fida Shah E Shaheedan
Main To Chali Daikhiye Janib E Zindaan
Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Bali Sakina Ki Jan Alwida Baba
Shaam Chala Karwan Alwida Baba
Chain Mujhe Ab Kahan Alwida Baba
Karti Rahun Gi Fughan Alwida Baba
Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Hafiz O Nasir Khuda Ay Bin E Zehra
Jaati Hai Is Dasht Sy Bali Sakina
Sarwar O Rehan Tha Bachi Ka Noha
Kushta E Taigh E Jafa Alwida Baba
Sakhta Pareshanian Maa Porta Shah Baba
Sakina Nazdana Da Porta Shah Baba

Ghamzada Karwan Dy Porta Shah Baba
Shamta Rawan Dy Porta Shah Baba

Ghazi Abbas Ko Dy Ky Deen Ka Alam
Boly Sibt E Nabi Mera Ek Kam Kar
Mery Bazo Alamdar Shah E Wafa
Ay Ghani O Sakhi Mera Ek Kam Kar
Ay Khuda E Wafa Syeda Ki Dua
Jurraton Ky Wali Mera Ek Kam Kar
Dekh Aks E Wali Ay Meri Zindagi
Misl E Nad E Ali Mera Ek Kam Kar

Chahta Hai Yeh Shabbir Bhai Mery
Aaj Sab Tera Jaah O Hasham Dekh Len
Is Tarha Shamion Sy Tu Kar Guftagoo
Lehja E Haideri Ka Bharam Dekh Len

Ab Yeh Parda Utha In Ko Ja K Bata
Azm E Shabbir Azm E Hussaini Hai Kya
Hum Muhafiz Hain Quran O Islam Ky
Kis Liye Hain Bar Sare Karbala

Bol Aisy Ky Khaliq Ko Kehna Parhy
Zaat E Haider Ky Akaas Kya Bat Hai
Aj Nehj E Balagha Ka Khaliq Kahy
Wah Mere Laal Abbas Kya Baat Hai

Zaat E Haider Ky Akaas Kya Bat Hai
Mery Ghazi Jari Teri Kya Bat Hai

Bat Aaqa Ki Ghazi Ny Jis Dam Suni
Dafatan Shair Ny Aik Angrhai Li
Sham Ki Faoj Mein Mach Gai Khalbali
Log Kehny Lagy Aa Gaye Kya Ali
Aur Rooh E Ali Muskurany Lagi
Wah Mere Laal Abbas Kya Bat Hai

Mery Ghazi Jari Teri Kya Bat Hai (x2)

Boly Abbas Yeh Lashkar E Sham Sy
Woh Jo Waqif Nahi Hain Mere Naam Sy
Ba Khakar Woh Nahi Apny Anjaam Sy
Munsalik Main Bhi Hun Khum Ky Paigham Sy
Yun Nawaza Mujh Sheh Ny Inaam Sy
Wah Mere Laal Abbas Kya Bat Hai

Mere Ghazi Jari Teri Kya Bat Hai (x2)

Main Bataun Tumhen Kon Shabbir Hai
Aks E Islam, Quran Ki Tafseer Hai
Khuld Bagh E Iram Us Ki Jageer Hai
Us Ky Qadmon Taly Hurr Ki Taqdeer Hai
Merey Bary Mein Us Ki Yeh Taqreer Hai
Wah Mere Laal Abbas Kya Bat Hai

Mere Ghazi Jari Teri Kya Bat Hai (x2)

Yeh Ghulami Yeh Sheh Ka Sharaf Hai Mila
Malka E Khuld Ny Mujh Ko Beta Kaha
Naam Abbas Zainab Ny Mera Rakha
Jhoola Shabbir Ny Hai Jhulaya Mera
Phir Hasan Ny Galy Sy Laga Kar Kaha
Wah Mere Laal Abbas Kya Bat Hai

Mere Ghazi Jari Teri Kya Bat Hai (x2)

Pyas Bachon Ki Lai Yahan Tk Mujhy
Mashk Ek Bhar Ky Ly Jaun Ga Nehr Sy
Mery Aaqa Ny Roka Larhai Sy Hai
Warna Roky Mujhy Hosla Hai Kisy
Main Hun Baitab Sun Lo Yehi Ek Sada
Waah Mere Laal Abbas Kya Bat Hai

Mere Ghazi Jari Teri Kya Bat Hai (x2)

Jab Mukammal Hua Zindagi Ka Safar
Bola Shabbir Sy Bawafa Nehr Par
Apny Pairon Py Rakh Lijiye Mera Sar
Khush Ho Ummul Baneen Jab Suny Yeh Khabar
Mere Bety Sy Shabbir Ny Keh Diya
Wah Mere Laal Abbas Kya Bat Hai

Mere Ghazi Jari Teri Kya Baat Hai (x2)

Haye Rehan O Sarwar Ajab Waqt Tha
Ho Ky Bay Dast Jab Mera Ghazi Gira
Bawafa Ka Alam Khoon Mein Tar Ho Gaya
Rooh E Zehra Pukari Sar E Karbala
Tu Ny Saqaai Ka Haq Ada Kar Diya
Waah Mere Laal Abbas Kya Bat Hai

Mere Ghazi Jari Teri Kya Bat Hai (x2)