Hussain Hussain Hussain
Mery Lahoo Ky Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Aap Ki Kya Shan Hai Maula
Bolta Quran Hai Maula
Fatima Ki Jaan Hai Maula
Marzi E Subhan Hai Maula
Mery Lahoo Ky Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Karbala Ka Fatah E Azam
Ba Khuda Hai Waris E Adam
Ja Baja Phaily Tery Parcham
Ta Abad Ho Ga Tera Matam
Mery Lahoo Ky Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Teen Deen Ki Tishgani Maola
Haye Teri Bay Kasi Maola
Khusk Gardan Par Churi Maula
Karbala Kehti Rahi Maula
Mery Lahu Ky Har Qatry Mein
Goonj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wirde Zuban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Kis Tarha Bhoolen Gy Woh Manzar
Jab Chala Tha Halk Py Khanjar
Jab Sinan Ki Nook Py Tha Sar
Bol Utha Quran Tery Lab Par
Mery Laho K Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Yeh Sabeelan Yeh Aza Khanay
Aankh Mein Ashkon Ky Paimanay
Matami Laye Hain Nazranay
Ab Janab E Syeda Janay
Mery Lahoo Ky Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Yeh Teri Maula Azadari
Zindagi Sy Bhi Hamen Pyari
Hai Yehi Tujh Sy Wafadari
Ashk Ankhon Sy Rahen Jari
Mery Lahoo Ky Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Waris E Quran Zindabad
Rehbar E Insan Zindabad
Mazhar E Emaan Zindabad
Fatima Ki Jaan Zindabad
Mery Lahoo Ky Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Assalam Ay Malik E Kausar
Assalam Ay Kushta E Khanjar
Assalam Ay Jan E Payghambar
Kehty Hain Rehan Aur Sarwar
Mery Lahoo Ky Har Qatry Mein
Gunj Raha Hai Ya Hussain
Ab To Sab Ka Wird E Zaban Bhi
Rehny Laga Hai Ya Hussain
Abbas E Ali Aye Qareeb E Shah E Abrar
Bhai Ko Alam Dy Ky Kiya Sheh Ny Bahut Pyar
Hans Hans Ky Rafeeqon Sy Yeh Karny Lagy Guftaar
Jaisi Yeh Meri Faoj Hai Wesa Hi Alamdar
Ghazi Sa Koi Deen Ka Sardar Na Ho Ga
Abbas Sa Duniya Mein Alamdar Na Ho Ga
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Hashim Ka Qamar Haider E Karrar Ka Pyara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Haider Ky Gharany Ki Sakhawat Sakhi Abbas
Khoon E Abu Talib Ki Sadaqat Sakhi Abbas
Zehra Ki Duaon Ki Taharat Sakhi Abbas
Qudrat Ny Banaya Nahi Phir Aisa Dobara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Quran E Wafa Shair E Nayastan E Ali Hai
Zehra Ki Tamanna Hai Dil O Jan E Ali Hai
Is K Liye Bachpan Hi Sy Farman E Ali Hai
Main Ilm Ka Dariya Hai, Yeh Dariya Ka Kanara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Paida Huye Abbas To Goudi Mein Utha Kar
Zainab Ny Rakha Nam Kalaijy Sy Laga Kar
Chota Sa Alam Sheh Ny Diya In Ko Saja Kar
Dekha Jo Alam Ny To Alam Khud Yeh Pukara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Yeh Panjtan E Pak Ka Lashkar Ka Nishan Hai
Kehty Hain Yeh Shabbir Mera Shair E Jawan Hai
Aisa Koi Duniya Mein Alamdar Kahan Hai
Sehwan Sy Hai Shahbaz Qalandar Ka Yeh Nahra
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas E Ali Rooh E Wafa Jan E Wafa Hai
Abbas E Ali Fatima Zehra Ki Dua Hai
Har Waqt Alam Choomti Rehti Yeh Hawa Hai
Bhoola Nahi Abbas Ko Dariya Ka Kanara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Duniya E Shahadat Mein Kahan Is Ka Hai Sani
Jo Sary Shaheedon Ki Safon Mein Raha Ghazi
Bay Dast Bhi Ho Kar Jo Bhary Jholian Sab Ki
Han Shams O Qamar Sary Faqeeron Ka Sahara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Haider Ky Gharany Ki Sakhawat Sakhi Abbas
Khoon E Abu Talib Ki Sadaqat Sakhi Abbas
Zehra Ki Duaon Ki Taharat Sakhi Abbas
Qudrat Ny Banaya Phir Aisa Dobara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Yeh Panjtan E Pak Ky Lashkar Ka Nishan Hai
Kehty Hain Yeh Shabbir Mera Shair E Jawan Hai
Aisa Koi Duniya Mein Alamdar Kahan Hai
Sehwan Sy Hai Shahbaz Qalandar Ka Yeh Nahra
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Lazim Hai Ky Hum Dekhen Gy Ek Roz Yeh Manzar
Farmayen Gay Jab Mehdi E Doran Sar E Mimbar
Kaaby Sy Namoodar Jo Ho Ga Mera Lashkar
Ho Ga Yehi Lashkar Ka Alamdar Hamara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Yad Ata Hai Woh Rukhsat E Abbas Ka Manzar
Woh Rona Sakina Ka Pharairay Ko Pakarh Kar
Woh Dekhna Zainab Ka Kabhi Ghar Kabhi Chadar
Kehti Thi Palat Aye Behn Bhai Ka Pyara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Gaye Ho Gaya Mola Mera Tanha
Dekha Kabhi Maidan Ko Kabhi Janib E Dariya
Na Baha Alam Nehr Py Girty Huye Dekhan
Zainab Sy Kaha Shair Gya Nehr Py Mara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Ay Sarwar O Rehan Yeh Emaan Hai Apna
Abbas Ky Parcham Ka Sada Sar Py Hai Saya
Parhny K Liye Hashr Mein Shabbir Ka Noha
Abbas Bulayen Gy Hamen Kar Ky Ishara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Hashim Ka Qamar Haider E Karrar Ka Pyara
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara
Kehti Thi Zainab Ay Mery Shairo
Kehti Thi Zainab Mery Dalairo
Aun O Muhammad mere Aon O Muhammad
Khawab Yeh Zainab Ka Tha Chand Sitaray mere
Chand Sitaray, Chand Sitaray
Mamun Py Hon Gy Fida Goud Ky Paalay mere
Goud Ky Palay, Goud Ky Palay
Khawab Yeh Sacha Hua, Sar Mera Ooncha Raha
Hony Ko Sheh Par Fida Laal mere, Shair mere, Chand mere
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Jafar E Tayyar Ky Khoon Ky Akkas Ho
Khoon Ky Akkas, Khoon Ky Akkas
Husn Mein Akbar Ho Tum, Josh Mein Abbas Ho
Josh Mein Abbas, Josh Mein Abbas
Jang Ky Maidan Mein, Maot Ky Arman Mein, Saya E Quran Mein
Aisy Utho, Aisy Barho, Maot Py Tum Toot Parho
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammadn
Han Meri Takeed Par Dhian Tumhara Rahay
Dhian Tumhara, Dhian Tumhara
Jan Ky Lab E Nehr Bhi Pyas Gawara Rahy
Pyas Gawara, Pyas Gawara
Doodh Na Bakhshun Gi Main, Munh Bhi Na Dekhun Gi Main, Shair Ki Beti Hun Main
Wada Karo, Ao Chalo, Chup Na Raho
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Mana Ky Pyasay Ho Tum, Pyaas Ky Qabu Rahy
Pyas Py Qabu, Pyaas Py Qaboo
Sheh Ky Alamdar Ki Sath Mein Khushboo Rahy
Sath Mein Khushboo, Sath Mein Khushboo
Bas Hai Tamanna Meri, Laj Rahy Khoon Ki, Hai Yeh Wasiyat Meri
Khao Qasam, Jao Hasham, Ho Ga Na Kam
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Aon Yeh Kehny Laga Bhai Muhammad Suno
Bhai Muhammad, Bhai Muhammad
Aik Taraf Main Barhun, Aik Taraf Tum Barho
Aik Taraf Tum, Aik Taraf Tum
Jang Ho Faoj E Sitam, Jang Karen Aisy Hum, Mamun Hamen Den Alam
Dekhen Hamen, Amman Kahen, Jeety Rahen
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Donon Jari Jang Ko Soorat E Aandhi Barhy
Soorat E Andhi, Soorat E Aandhi
Nana Ali Ki Tarah Maot Py Hawi Rahy
Maot Py Hawi, Maot Py Hawi
Mil Ky Jo Hamla Kiya, Maimala O Maisara, Aik Mein Zam Ho Gaya
Taigh E Ali Aisy Chali, Dhoom Machi
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Dekh Rahi Thi Jo Maan Khaimay Ky Dar Par Kharhi
Khaimay Ky Dar Par, Khaimay Ky Dar Par
Sath Wahin Thy Kharhy Hazrat E Abbas Bhi
Hazrat E Abbas, Hazrat E Abbas
Bhai Behan Shad Thy, Sahib E Aolad Thy, Waris E Ajdaad Thy
Kehny Lagy Khoob Larhy Shair mere
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Larhty Kahan Tak Bhala Pyas Ky Maary Huye
Pyaas Ky Maary, Pyaas Ky Maray
Jalti Hui Khak Par Dono Tarhapny Lagy
Dono Tarhapny, Dono Tarhapny
Bhai Sy Kehny Lagi Fakhr Sy Bint E Ali, Surkh Roo Zainab Hui
Sadqy Tery Bhai Mery Laal Huye
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Aon O Muhammad Na Thy, Woh Dur E Nayab Thy
Woh Dur E Nayab, Woh Dur E Nayab
Sarwar O Rehan Wo Waqif E Aadab Thy
Waqif E Aadab, Waqif E Aadab
Hukm Jo Maan Ny Diya, Rukh Na Kiya Nehr Ka, Pyaas Ka Sadma Saha
Maan Ny Kaha Shukr E Khuda Huye Fida
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Aon O Muhammad mere Aon O Muhammad
Jab Ai Giarah (11) Muharram Mayan E Karb O Bala
Behan Ny Bhai Ky Phailay Huye Lahu Sy Kaha
Ay Shah E Bay Kasan Khuda Hafiz
Ay Mery Bhai Jaan Khuda Hafiz
Lo Chala Karwan Khuda Hafiz
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Zameen Py Bikhry Huye Noor Is Behan Ka Salam
Badan Dareeda O Majboor Is Behan Ka Salam
Chali Hai Tum Sy Bahot Door Is Behan Ka Salam
Misal E Fatima Har Dukh Mein Muskuraun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Salam Umme Abeeha Ky Goud Ky Paalay
Salam Karty Hain Zehra Ky Hath Ky Chaalay
Salam Zulf E Muhammad Sy Khailnay Waly
Parhen Gy Durry To Main Sabr Aazmaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Yeh Gham Nahi Hai Ky Main Sogwar Qaidi Hun
Abu Turab Ki Aur Fatima Ki Beti Hun
Main Is Kalaijy Mein Quwat Ali Ki Rakhti Hun
Yazeed E Waqt Ky Khaibar Ko Main Giraun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Rahy Wafa Ky Bahattar Musafiron Ki Qasam
Lab E Furat Sulagty Huye Gharon Ki Qasam
Sinaan Ki Nok Py Rakhy Huye Saron Ki Qasam
Jalal E Hazrat E Abbas Ban Ky Chaaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Khushi Sy Ahl E Sitam Bandh Len Mery Bazo
Banen Gy Nooh Ka Toofan Ab Mery Aansoo
Na Chup Saky Gi Yeh Khoon E Hussain Ki Khushboo
Main Sar Khuly Huye Darbar E Sham Jaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Nigah Janib E Dariya Uthi To Itna Kaha
Mery Dalair Alamdar Fatah E Dariya
Tujhy Khabar Hai Mery Sar Sy Chin Gai Hai Rida
Tery Alam Ka Pharera Rida Banaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Jo Pahunchi Sham To Bazar Ko Saja Dekha
Kabhi Najaf To Kabhi Sooye Karbala Dekha
Pukari Baba Mera Tum Ny Hosla Dekha
Jahan Bhi Jaun Gi Farsh E Aza Bichaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Salam Umme Abeeha Ky Goud Ky Paaly
Salam Karty Hain Zehra Ky Hath Ky Chaalay
Salam Zulf E Muhammad Sy Khailnay Walay
Parhy Gy Durry To Main Sabr Aazmaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Suna Hai Sarwar O Rehan Khuahar E Shabbir
Ali Ky Lehjy Mein Karti Thi Jis Gharhi Taqreer
Yazeed E Shimr Ky Seeny Py Chalti Thi Shamsheer
Woh Jab Yeh Kehti Thi Waady Ko Main Nibhaun Gi
Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi
Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah
Lo Chala Karwan Khuda Hafiz
Jab Sham Ky Zindaan Mein Hui Sham Haram Ko
Ek Aan Na Rahat Thi Na Aaram Haram Ko
Har Bar Tapakta Tha Lahu Ashk E Rawan Sy
Zindaan Larazta Tha Sakina Ki Fughan Sy
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Baba Kitni Raten Guzar Gaiin Baba
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Choty Sy Sin Mein Qaid Yeh Zindaan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Dil Mein Jo Mery Dard Hai Khaliq Py Hai Ayaan
Kis Ko Kahun Main Bap Mera Bap Hai Kahan
Tum Bay Kafan Main Bay Sar O Saman Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Kya Kya Na Khalq Kal Mein Haqarat Yeh Keh Gai
Main Bay Kasi Sy Dekh Ky Munh Sab Ka Reh Gai
Kurta Phata Hua Meri Pehchan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Gar Aah Ki To Shimr Pukara Khamosh Ho
Aur Chup Hui To Bay Padari Ny Kaha Ky Ro
In Aafation Mein Ghir Ky Pareeshan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Bay Jurm Kan Zakhmi Huye Aur Tamanchay Khaye
Jo Chahy Mujh Fala Ki Satai Ko Phir Sataye
Shehzadi E Hussain Ki Yeh Shan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Sadqy Gai Batao Kahan Hain Mery Padar
Aayen Padar To Jaye Sakina Bhi Apny Ghar
Kiun Aisy Zalimo Ki Main Mehman Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Poti Hun Us Ki Jo Ky Hai Konain Ka Ameer
Jis Ny Hazaron Qaid Sy Churhwa Diye Aseer
Ummat Nabi Ki Dekh Ky Anjan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Jab Sar Py Shah E Deen Ky Sakina Ny Ki Nazar
Chiilai Ro Ky Haye Ghazab Mar Gaye Padar
Baba Ky Sar Ko Dekh Ky Hairan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Munh Rakh Ky Munh Py Shah Ky Roi Jo Dil Figaar
Sadma Hua Nikalny Lagi Tan Sy Jan E Zaar
Nanhi Si Jan Jan Sy Bay Jan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Bas Ay Anees Bazm Mein Hai Giriya O Buka
Sadiyon Talak Rulaye Ga Sab Ko Yeh Marsiya
Bali Sakina Karb Ka Unwaan Ho Gai
Baba Main Kiun Na Ap Py Qurban Ho Gai
Allah Janey Kahan Ho Aey Baba
Baba Kitni Raten Guzr Gaiin Baba
Allah jany Kahan Ho Aey baba
Takseer Ty Nahi Koi Syed Di
Hoya Vairi Kul Zamaana Ay
Ay Akhri Raat Musaferan Di
Inhan Fajr Lutya Janrha Ay
Allah Allah
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Aik Alam Ky Saye Mein Khaimy
Mehwe Dua Khaimon Mein Pyasay
Pyason Ki Awaz Fiza Mein
Shukr E Khuda Dohra Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Door Watan Sy Kuch Pardaisi
Seh Ky Aziyat Tishna Labi Ki
Dekh Rahy Hain Janib E Dariya
Maoj Qayamat Dha Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Aamny Samny Do Lashkar Hain
Sabr Idhar Us Jaa Khanjar Hai
Faoj Idhar Masroof E Ibadat
Ek Taighen Chamka Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Aik Behan Ko Fikr Yehi Hai
Rat Yeh Kiun Dhalti Jati Hai
Is Ki Sehar Ky Peechy Peechy
Subh E Shahadat Aa Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Kehti Hain Bachon Sy Maayen
Aao Tumhen Hum Aaj Sajayen
Waqt Yehi Qurbani Ka Hai
Deen Py Museebat Aa Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Woh Jo Shabeeh E Payghambar Hai
Zad Py Sinaan Ki Us Ka Jigar Hai
Maot Usi Ki Khatir Naiza
Maqtal Mein Lehra Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Jhoola Jhoolny Wala Bacha
Lori Sun Kar Bhi Na Soya
Bachy Ko Adab E Shahadat
Lori Khud Samjha Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Satveen Sy Is Ban Mein Ek Maan
Bal Khuly Ba Haal E Pareeshan
Jharhti Hai Maqtal Ki Zameen Ko
Roti Hai Tharra Rahi Hai
Jaisey Jaisey Raat Ja Rahi Hai
Rakh Do Qalam Rehan O Sarwar
Dard Bhara Hai Subho Ka Manzar
Lehja E Akbar Sy Jo Ubhri
Sot E Azan Jo Aa Rahi Hai
Ashad U An La Ilaha Illa Allah
Qafila Lut Gya Amman Mera Lashkar Na Raha
Amman Nana Ki Nishani Ali Akbar Na Raha
Reh Gaya Dard E Kamar Haye Baradar Na Raha
Ab Khabar Ap Ny Li Ghar Ki Ky Jab Ghar Na Raha
Aur Ab Dam E Zibha Yeh Poory Armaan Karna
Arsh Ky Neechy Na Balon Ko Pareeshan Karna
Jaao Key Na Ab Daer Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jao Ke Na Ab Dair Karo Daikho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Ap Ai Hain Amman Main Salami Ko Na Utha
Hai Dard Kalaijey Jo Uthny Nahi Deta
Hasrat Thi Tery Pehloo Mein Dam Mera Nikalta
Main Chain Sy So Jata Teri Goud Mein Madar
Ky Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jao Ke Na Ab Dair Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Kuch Dair Mein Naizey Py Rakha Ho Ga Mera Sar
Na Dekhna Us Waqt Mujhy Madar E Muztar
Chal Jaye Ga Us Waqt Tery Qalb Py Khanjar
Ghorhy Abhi Dorhen Gy Meri Lash Ky Ooper
Ky Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jao Ky Na Ab Dair Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Main Subho Sy Ta Asr Uthata Raha Lashey
Daman Mein Chuny Qasim E Noshah Ky Tukry
Lipta Ali Akbar Ka Kalaija Tha Sinan Sy
Amman Mery Chehry Py Khoon E Ali Asghar
Ky Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jaao Key Na Ab Daer Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Is Haal Mein Amman Hai Teri Goud Ka Pala
Maqtal Mein Mery Kho Gaya Har Aik Ujala
Hai Kon Sakina Ko Meri Poochny Wala
Soye Gi Mery Seenay Py Kaisy Meri Dukhtar
Ky Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jao K Na Ab Dair Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Dekho To Qayamat Hai Bapa Ahl E Haram Mein
Khaimey Sy Nikal Aai Hai Zainab Mery Gham Mein
Ab Aany Ko Hain Bibian Bahar Koi Dam Mein
Samjhao Unhen Amman Rahen Khaimy Ky Andar
Ky Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jaao Key Na Ab Daer Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Lo Sans Ukharhny Lagi Dil Doob Raha Hai
Nazron Mein Meri Zainab E Muztar Ki Rida Hai
Abid Sy Thi Umeed So Woh Ghash Mein Parha Hai
Kya Ho Ga Mery Baad Sakina Ka Muqaddar
Ky Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jao Ke Na Ab Dair Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Ay Sarwar O Rehan Bayan Kaisy Ho Manzar
Sheh Kehty Thy Amman Yeh Karha Waqt Hai Mujh Par
Kis Tarah Kalaijey Sy Lagun Ap Ky Uth Kar
Choomon Ga Qadam Ap Ky Ab Main Lab E Kausar
Ky Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Jaao Key Na Ab Daer Karo Dekho Na Amman
Ab Laal Tera Zeen Py Hai Aur Na Zameen Par
Na Mehmil Hai Na Haar Daj Hai
Na Lashkar Ki Wo Saj Dhaj Hai
Na Sar Py Alam Na Chadar Hai
Allah Yeh Kaisa Manzar Hai
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Safar Sy Aty Hain Soghat E Dard Laty Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Kiya Salam Muhammad Ky Astanay Ko
Kata Ky Aye Hain Zehra Ky Sab Gharany Ko
Na Kar Kubool Tu Hum Bay Kaso Ky Aany Ko
Yeh Noha Karty Hain Aur Ashk E Khoon Bahatay Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Madina Hum Tery Wali Ko Aye Hain Kho Kar
Madina Kofy Mein Sar Nangy Hum Phiry Dar Dar
Madina Daghe Rasan Hain Hamary Shanon Par
Utha Ky Hath Madiney Ko Yeh Sunaty Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Har Ek Qadam Hai Buka Kab Labon Py Bayn Nahi
Hum Aye Zinda Par Zehra Ka Noor E Ain Nahi
Madina Akbar O Qasim Nahi, Hussain Nahi
Yeh Kaisy Kaisy Jawan Thy Jo Yad Atay Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Madiney Walon Kaho Us Behan Ki Kya Taqdeer
Jo Dekhy Apny Biradar Ky Halq Par Shamsheer
Lahoo Mein Gharq Dekhy Jo Hussain Ki Tasveer
Lahoo Mein Kya Yun Hi Bhai Ka Sar Dikhatey Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Batao Kehty Hain Kya Sab Us Amman Jai Ko
Jo Arbaeen Talak Dy Kafan Na Bhai Ko
Behan Dikhaye Gi Munh Kis Tarah Khudai Ko
Kafan Diya Hai Na Un Ki Lehad Banaty Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Salah Bashir Yeh Deta Hua Khabar Har Jaa
Magar Mahallah E Hashim Mein Dekhta Hai Kya
Ky Ek Mareeza Sar E Rah Hai Kharhi Tanha
Hai Muntazir Ky Woh Kunby Ky Log Atey Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Khabar Yeh Phaili To Matam Har Aik Ghar Mein Hua
Nikal Nikal Parhi Sab Auraten Barehna Paa
Giri Zameen Py Sughra Ky Us Py Charkh Gira
Jo Sogwaar Hain Sughra Ky Pas Atey Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Fiza E Dard Mein Ly Kar Udasiyan Aain
Safar Sy Lut Ky Idhar Bhooki Pyasian Aain
Utho Rasool Tumhari Nawasiyan Aain
Ky Khud Ko Oonton Sy Ahl E Haram Giraty Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain
Jo Aai Kaan Mein Awaz E Bano E Muztar
Kahan Ho Ay Mery Wali Ky Imam E Jinn O Bashar
Tarhap Ky Reh Gai Sughra Bapa Hua Mehshar
Kabir Bas Ky Ab Aflaak Thartharaty Hain
Musaferan E Musibat Watan Mein Atey Hain