Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain
Sar Daad Na Daad Dast Dar Daste Yazeed
Haqqa Keh Bina Lailaaha Ast Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Sardar O Shehenshah Ay Shah E Shaheedan
Qari Sar E Naiza Ay Waris E Quran
Kehti Hain Namazen Ab Tak Sar E Maidan
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Aza O Namazen Meelad E Muhammad
Yeh Majlis O Matam Abbas Ka Parcham
Kehti Hain Sabeelen Kehta Hai Muharram
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Akbar Ka Kalaija Halq E Ali Asghar
Abbas Ky Bazu Zainab Ka Khula Sar
Yeh Kehty Hain Tujh Sy Ay Sham Ky Lashkar
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Marqad Sy Nikal Kar Khud Fatima Zehra
Maqtal Ki Zameen Par Deti Rahiin Pehra
Khanjar Sy Sinaan Sy Kehti Rahiin Zehra
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Zanjeer E Sitam Ny Rasta Nahi Roka
Pehny Huye Bairhi Chalty Rahy Mola
Kehta Hai Abhi Tak Sajjad Ka Sajda
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Ahdaa Ky Tamanchy Rukhsar E Sakina
Jalta Hua Daman Garmi Ka Mahina
Kehti Thi Phuphi Sy Har Aik Sy Kehna
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Beemar E Madina Woh Fatima Sughra
Darwazy Py Bethi Takti Hai Jo Rasta
Khud Ko Yehi Keh Kar Deti Hai Dilasa
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Sarwar Sar E Majlis Zikr E Shah E Wala
Rehan Musalsal Is Gham Ka Hawala
Dohrata Hai Har Dam Tareekh Ka Jumla
Suno Zinda Hai Hussain Suno Zinda Hai Hussain

Shah Ast Hussain Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain Deen Panah Ast Hussain

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Yeh Hai Abu Talib Ka Gharana
Is Py Khuda Ka Khas Karam Hai
Sary Arab Mein Sary Ajam Mein
Is Ko Mila Yeh Jaah O Hasham Hai
In Mein Koi Yaseen O Muzammil
In Mein Koi Sardar E Iram Hai
Us Ki Alag Hi Shan Hai Mola
Jis Ko Mila Haider Ka Alam Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Kaisa Saja Hai Kaisa Haseen Hai
Karbobala Mein Shah Ka Lashkar
Yun To Sabhi Hain Shair E Dilawar
Aon O Muhammad Qasim O Akbar
Ibn E Mazahir Wahb E Qalbi
Joan Bhi Hurr Bhi Sary Dilawar
Apni Jaga Yeh Sab Hain Bahadur
Faoj Mein Teri Ay Sheh E Safdar

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Bad E Namaz E Fajr Ziarat
Tery Alam Ki Karta Hun
Sharf Ghulami Ka Mil Jaye
Main Yeh Wazeefa Parhta Hun
Kar Ky Ziarat Tery Alam Ki
Phir Main Ghar Sy Chalta Hun
Saye Mein Choda Masoomon Ky
Shukr E Khuda Mein Rehta Hun

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Hum To Sag E Darbar E Ali Hai
Khas Yeh Tujh Se Rishta Hai
Jadd Bhi Hai Tera Kull Ka Mola
Tu Bhi Hamara Aaqa Hai
Tery Faqeeron Mein Ay Ghazi
Arsh Nasheen Bhi Rehta Hai
Sindh Mein Aao Maula Qadam Par
Laal Qalandar Kehta Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Sham Ky Lashkar Mein Hal Chal Thi
Kon Jari Ab Ata Hai
Boorhy Jawanon Sy Kehty Thy
Yeh To Ali Ab Ata Hai
Sar Py Khuda Thokar Mein Qaza Hai
Qahr E Jali Ab Ata Hai
Kehna Parhy Ahmad Ko Ali Sy
Tera Wasi Ab Ata Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Teri Shahadat Sy Kunby Par
Kaisi Qayamat Toot Gai
Jis Ko Kaha Karty Thy Aaqa
Qatal Hua Woh Bhai Bhi
Sar Sy Chini Zainab Ky Chadar
Teri Sakina Qaid Hui
Haye Teri Majboori Ghazi
Maan Zehra Yeh Kehti Rahi

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Ab Bhi Aza Khanon Mein Parcham
Tera Aisy Rehta Hai
Sham Dhaly Aisa Lagta Hai
Koi Lipat Ky Rota Hai
Tery Alam Ka Surkh Pharaira
Haye Sakina Kehta Hai
Tum Hi Kya Rehan O Sarwar
Sab Ki Zuban Par Rehta Hai

Aisa Alam Hai Kahan Aisa Jawan Hai Kahan

Aisa Jawan Hai Kahan

No Video Available For This Noha

Dakhil Jo Madiny Mein Huye Ahl E Madina
Jaty Huye Kuch Aur Thy Ab Kya Hai Qareena
Na Akbar O Abbas Na Hum Raah Sakina
Aur Gham Sy Har Ek Bibi Ka Labraiz Tha Seena

Jab Ghar Ky Qareeb Aa Gai Kunbay Ki Sawari
Sughra Ny Jo Dekha To Yeh Ro Ro Ky Pukari
Amma Amma

Haye Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Kya Pooch Liya Sughra Tu Ny
Sab Kuch To Ayan Hai Chehry Sy
Ly Daikh Safaid Yeh Bal Mery
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amman Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amman Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Jisy Jan Sy Pyara Kehti Thi
Din Jis Ky Liye Tu Ginti Thi
Bey Gor O Kafan Hai Baba Tera
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Jis Kunba Ko Tu Poochti Hai
Woh Karbobala Ki Khak Hua
Sab Chand Chupy Karbal Mein Tery
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Woh Aik Zaeef Jawan Jo Hai
Pehchan Isy Sajjad Hai Yeh
Isy Shaam Ki Galian Mar Gaiin
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Woh Asghar Jo 6 Maah Ka Tha
Woh Bhi Na Raha Woh Bhi Na Raha
Maan Dhoop Mein Bethi Roti Hai
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Jab Sham E Ghareeban Ai Thi
Zainab Py Barhi Tanhai Thi
Ghar Jalta Tha Chinti Thi Rida
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Darti Thi Andhery Sy Jo Bahut
Woh Bali Sakina Teri Bahan
Ab Tak Hai Woh Zindan Mein Sughra
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Sughra
Allah Sughra Sy Utha Ho Ga Kiun Kar
Ay Sarwar Ay Rehan Yeh Gham
Jis Waqt Phuphi Ny Ro Ky Kaha
Mat Pooch Kahan Hai Ab Kunba

Amma Achi Amma Mera Kunba Kahan Hai
Amma Achi Amma Mera Baba Kahan Hai

Ya Hussain Ya Hussain

Jo Bhi Masroof E Salam E Shohada Rehta Hai

Go Woh Rehta Nahi Par Naam Sadaa Rehta Hai

Shimr Kehta Tha Yehi Maan Hai Ali Akbar Ki
Jis Ka Ek Hath Kalaijy Py Dhara Rehta Hai

Jo Bhi Masroof E Salam E Shohada Rehta Hai
Go Woh Rehta Nahi Par Naam Sadaa Rehta Hai

Hai Yeh Sharmindagi Pani Ky Na Pahunchany Ki
Naizy Py Bhi Sar E Abbas Jhuka Rehta Hai

Jo Bhi Masroof E Salam E Shohada Rehta Hai
Go Woh Rehta Nahi Par Naam Sadaa Rehta Hai

Sham Hoti Hai To Oonton Sy Utarty Hain Haram
Par Sar E Shah To Naizy Py Charha Rehta Hai

Jo Bhi Masroof E Salam E Shohada Rehta Hai
Go Woh Rehta Nahi Par Naam Sadaa Rehta Hai

Ro Ky Yeh Hind Ki Beti Ny Sakina Sy Kaha
Sar Tera Kis Liye Har Waqt Khula Rehta Hai

Jo Bhi Masroof E Salam E Shohada Rehta Hai
Go Woh Rehta Nahi Par Naam Sadaa Rehta Hai

Woh Lagi Kehny Yateemon Ki Nishani Hai Yehi
Kurta Bey Warisi Bachon Ka Phata Rehta Hai

Jo Bhi Masroof E Salam E Shohada Rehta Hai
Go Woh Rehta Nahi Par Naam Sadaa Rehta Hai

Tof E Kaaba Ka Tujhy Shaoq Hai Az Bask E Dabeer
Muztarib Dill Sy Fateh Qibla Numa Rehta Hai

Jo Bhi Masroof E Salam E Shohada Rehta Hai
Go Woh Rehta Nahi Par Naam Sadaa Rehta Hai

Bistar Sy Tharthara Ky Uthi Tham Kar Asaa
Qabr E Nabi Py Fatiha E Akhri Parha
Hamsaiyon Ka Ghar Gaiin Rukhsat Ko Aur Kaha

Ezaa Thi Tum Sabhon Ko Mery Shor O Shay Sy
Kal Fatima Na

Na Gah Shor Utha Keh Zehra Guzar Gaiin
Ammma Sar Sy Phaink Ky Roye Imam E Deen
Roti Thiin Mil Ky Zainab O Kulsoom Bhi Qareen
Aur Door Thy Hussain

Fizza Pukari Aap Yahan Kya Na Ayen Gy
Boly Hussain

Tooty Bandy Kafan Fatima Ky Aur Phir Hath Nikly Kafan Sy
Aai Awaz Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Aye Shabbir Zehra Ky Labb Yun Hily Chakkian Pees Ky Mainy Pala Tujhy
Aa Mery Laal Aa Maan Ky Lag Ja Galy Waqt E Rukhsat Hai Aisy Nahi Roothty

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Teri Khatir Main Ja Kar Palat Aai Hun
Dekh Kar Tery Aanso Main Ghabrai Hun
Dekh Zair E Kafan Gham Sy Tharrai Hun
Tujh Ko Behlany Jannat Sy Main Aai Hun

Maan Bulati Hai Aa Ay Hussain Maan Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Aa Mery Laal Aa Aik Yeh Kaam Kar
Mery Seeny Py Kuch Dair Aram Kar
Tu To Chalta Tha Ungli Meri Tham Kar
Yad Woh Subho Kar Yad Woh Sham Kar

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Tu Ny Khana Bhi Khaya Keh Khaya Nahi
Keh Dy Maan Sy Keh Tu Aj Pyasa Nahi
Subho Sy Munh Kisi Ny Dhulaya Nahi
So Gai Main Tujhy Kiun Sulaya Nahi

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Dast E Zainab Mein Phir Dy Ky Dast E Hussain
Boli Zehra Kafan Mein Basad Shor O Shain
Dekh Zainab Meri Ladli Noor E Ain
Yeh Jo Roya To Zehra Na Paye Gi Chain

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Jaiyo Sath Is Ky Yeh Jaye Jidhar
Mery Bachy Ki Zainab Hai Tu Hamsafar
Karbala Ka Musafir Hai Mera Pisar
Gham Ki Badli Na Chaye Mery Chand Par

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Haye Karbobala Mein Woh Din Aa Gaya
Shimr Ka Halq E Sarwar Py Khanjar Chala
Amman Amma Ki Any Lagi Jab Sada
Ball Bikhra Ky Zehra Ny Ro Kar Kaha

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

Kaisy Rehan O Sarwar Sar E Karbala
Apny Bachy Ki Gardan Py Taigh E Jafa
Dekhti Hon Gi Zehra Sar E Karbala
Goonjti Ho Gi Dasht E Bala Mein Sada

Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain Maa Bulati Hai Aa Ay Hussain
Aa Mery Pas Aa Ay Hussain Aa Mery Pas Aa Ay Hussain

No Video Available For This Noha

Ya Rasool Allah Ya Nabi Allah Ya Habib Allah Ya Kaleem Allah
Ya Shafeeh Allah Ya Rafeeh Allah Ya Nabi Allah

Ya Rasool Allah

Zameen Jab Na Thi Na Aasman Koi
Na Chand Tary Thy Na Kehkashan Koi
Huroof Bhi Na Thy Na Thy Zuban Koi
Han Aisy Alam Mein Bhi Meharban Koi
Khuda Bas Aisy Mein Yeh Keh Raha Ho Ga
Mery Hawaly Sy Jo Tazkira Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Habib Mera Hai Libas E Rehmat Mein
Banai Hai Duniya Isi Ki Chahat Mein
Sana Isi Ki Hai Kalam E Qudrat Mein
Durood Isi Par Hai Meri Ibadat Mein
Jo Sakhtian Jhaily Meri Mohabbat Mein
Shafi E Mehshar Bhi Faqat Yehi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Woh Mery Bandon Ko Mera Pata Dy Ga
Woh Bey Saharon Ko Bhi Aasra Dy Ga
Woh Zakhm Khaye Ga Magar Dua Dy Ga
Isi Ka Kunba To Gala Kata Dy Ga
Hussain Sab Apny Diye Bhuja Dy Ga
Andhera Jab Phaily Woh Roshni Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Nabi Ka Roza Hai Hamary Seenon Mein
Haseen O Yakta Hai Woh Sab Haseenon Mein
Isi Ka Charcha Hai Falak Nasheenon Mein
Jali Hai Nam Is Ka Sabhi Saheefon Mein
Likha Hai Naam Is Ka Sabhi Safeenon Mein
Ab Hum Ko Toofan Sy Na Dar Koi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Duayen Karty Hain Tery Waseelay Sy
Mareez Jitny Hain Unhen Shifa Dy Dy
Nabi Ky Sadqy Mein Yeh Martaba Dy Dy
Yaqeen Ki Manzil Ka Tu Rasta Dy Dy
Nabi Ky Bachon Ki Tu Khak E Paa Dy Dy
Kahan Tery Jaisa Koi Sakhi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Nabi Nabi Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ya Ali Mola Ya Ali Mola

Imam Ul Momimeen Imam Ul Muttaqeen Imam Ul Sadiqeen
Imam Ul Aalimeen Imam Ul Awwaleen Imam Ul Akhireen
Ya Qaahir Al Adoo E Ya Wali Al Wali
Ya Mazhar Al Ajayeb Ya Murtaza Ali

Nabi Ny Manga Tha Khuda Sy Ek Nasir
Ali Ki Soorat Mein Hua Hai Woh Zahir
Nabi Ny Jab Chaha Ali Huye Hazir
Ali Ki Midhat Sy Zuban Hai Qaasir
Ali Sar E Mimbar Salooni Ka Zakir
Jahan Nabi Hon Gy Wahan Ali Ho Ga
Ali Ali Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ali Ko Bakhsha Hai Khuda Ny Kya Rutba
Nabi Ka Bhai Hai Batool Si Zoja
Ali Nazar Aya Ali Ka Har Beta
Nabi Ki Hikmat Ka Ali Hai Darwaza
Na Doosra Haider Na Doosra Kaaba
Na Ho Saka Pehly Na Ab Kabhi Ho Ga
Ali Ali Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Woh Asr E Ashoora Ali Ka Ek Beta
Rasool Thy Jis Sy Rasool Sy Jo Tha
Tamam Lashon Ko Uthata Tha Tanha
Jo Zair E Khanjar Yeh Bayaan Deta Tha
Rahy Ga Deen Ab To Hamary Nana Ka
Zameen E Maqtal Par Likha Yehi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ali Ky Kunby Par Sitam Huye Kya Kya
Kahin Jaly Khaimy Kahin Luta Parda
Kahin Katy Bazoo Kahin Chida Seena
Kisi Ka Maqtal Mein Bikhar Gaya Lasha
Yeh Zulm Dekha To Khuda Pukar Utha
Hussain Jo Keh Dy Sada Wohi Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Khayal Ata Hai Rehan Aur Sarwar
Bala Ki Garmi Mein Jab Aik Pyasay Par
Chala Raha Ho Ga Laeen Jab Khanjar
Tarhap Rahi Ho Gi Hussain Ki Khuahar
Sada Magar Ho Gi Hussain Ky Labb Par
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Nabi Nabi Ho Ga Ali Ali Ho Ga
Chaman Chaman Ho Ga Kali Kali Ho Ga

Ya Rasool Allah
Ya Rasool Allah

Jab Khaimy Mein Rukhsat Ko Shah E Behr O Barr Aye
Chillai Sakina Mery Bey Kas Padar Aye

Sheh Kehty Thy Bibi Hamen Ro Kar Na Rulao
Phir Pyar Karen Hum Tumhen Munh Agy Ko Laao

Woh Kehti Thi Hum Raah Mujhy Ly Ky To Jao
Main Kya Karun Maidan Mein Gar Jaa Ky Na Aao

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Farmaya Nikalti Nahi Syedanian Bahir
Seeney Py Sulayen Gi Tumhen Rat Mein Madar
Kiun Kehti Ho Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Nanhy Sy Kalaijy Py Mery Chalti Hai Talwar
Khulta Nahi Kiun Aap Ny Baandhy Hain Yeh Hathyar
Main Aap Ko Kho Kar Na Kabhi Paun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Ati Hai Bala Sar Py To Pehly Mujhy Waaro
Mar Jaun Gi Baba Na Sidharo Na Sidharo
Jao Gy Jahan Main Bhi Wahin Jaun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Shab Ho Gi To Phir Khak Py Soyen Gy Kahan Aap
Seeny Py To Asghar Ko Sulayen Gy Wahan Aap
Acha Main Wahin Khak Py So Jaun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Any Do Agar Pyas Sy Ghash Aye Ga Baba
Tum Jeety Raho Pani Bhi Mil Jaye Ga Baba
Main Aap Ko Dekhun Gi To Jee Jaun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Kuch Door Na Thy Hum Par Tumhen Neend Na Aai
Kya Howay Ga Jab Ho Gi Maheenon Ki Judai
Bibi Na Kaho Main Nahi So Paun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Woh Hal Anees Ab Nahi Ho Sakta Hai Marqoom
Jis Tarha Chuti Bap Sy Woh Dukhtar E Mazloom
Noha Tha Yehi Jis Ka Na Jee Paun Gi Baba
Main Rat Ko Maqtal Mein Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

Neend Aye Gi Jab Aap Ki Boo Paun Gi Baba
Chali Aun Gi Baba

No Video Available For This Noha

Subh E Ashoor
Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan

Kalaija Tham Ky Khaimy Mein Roi Maan
Teri Azan
Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Salam Lehja E Rasool Ki Shabahat
Salam Marzi E Mabood Par Shahadat
Shahadaton Ki Zameen Par Thi Aasman
Thi Aasman Teri Azan

Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Woh Tum Jo Ash’hado An La Ilaha Boly
Dareechay Qudsiyon Ny Kholy
Khuda Ky Zikr Sy Saji Hui Zubaan
Saji Zabaan Teri Azan

Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Hussaini Jis Ko Sun Ky Royen
Parind Shakh Par Na Soyen
Sadaye Gham Suni Gai Kahan Kahan
Kahan Kahan Teri Azan

Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Woh Khaima Gah Tak Jo Aai
Teri Azan E Karbalai
Jigar Ko Thaam Ky Yeh Keh Rahi Thi Maan
Rahi Thi Maan Teri Azan

Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Hawa Ky Dosh Par Watan Tak
Azan Pahunch Gai Behan Tak
Behan Tarhapny Lagi Ly Ky Hichkian
Hichkian Teri Azan

Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Sinaan Jigar Py Tum Ny Khai
Azan Ki Abroo Bachai
Rahy Na Tum Agar Bachi Rahi Azan
Rahi Azan Teri Azan

Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Azan Mein Lehja E Payambar
Ayan Tha Jab Rehan O Sarwar
Kalaija Tham Ky Khaimy Mein Roi Maan
Roi Maan Teri Azan

Subh E Ashoor Ali Akbar Teri Azan
Teri Azan

Zakhmi Zuljanah

Mera Maan Jaya Hai Kahan
Chorh Aya Tu Kahan
Teeron Ky Darmian
Zakhmi Zuljanah,

Zakhmi Zuljanah.

Zainab Ka Dill To Pehly Sy Zakhmi Hai Zuljanah
Akbar Ky Gham Ki Seeny Mein Barchi Hai Zuljanah
Zakhmi Badan Liye Aya Hai Kis Liye
Karta Hua Fughan,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.

Ay Gham Naseeb Zakhmi Badan Zuljanah Bata
Saye Mein Mera Bhai Tha Jab Zeen Sy Gira
Khanjar Tha Jab Qareeb Pani Hua Naseeb
Ya Khushk Thi Zubaan,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.

Ek Dopehr Mein Apny Bhary Ghar Ko Roi Hun
Hurr Ko Habib Ko Ali Asghar Ko Roi Hun
Abbas Ki Qasam Shabbir Ka Yeh Gham
Uthy Ga Ab Kahan,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.

Ay Rahwar Tu To Wafadar Hai Bahut
Apny Sawar Sy To Tujhy Pyar Hai Bahut
Yeh Kis Ka Hai Lahu Khamosh Kiun Hai Tu
Chup Hai Teri Zubaan,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.

Kulsoom Aao Madar E Akbar Ho Tum Kahan
Fizza Urhao Khak Qayamat Hui Ayaan
Bhai Ko Chorh Kar Apny Lahu Mein Tarr
Aya Hai Noha Khuwan,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.

Qadmon Py Tery Bali Sakina Ny Sar Rakha
Ay Zuljanah Dasht Mein Baba Ko Ly Na Ja
Woh Kaisy Soye Gi Ghabra Ky Roye Gi
Hai Tera Imtehan,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.

Ly Chal Wahan Jahan Dill E Zehra Ka Chain Hai
Jalti Hui Zameen Py Jis Jaa Hussain Hai
Main Zakhm Dho’un Gi Gurbat Py Ro’un Gi
Ly Ly Ky Hichkian,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.

Gardan Jhukaye Sunta Raha Woh Wafa Sha’aar
Rehan Lab Kusha Hua Sarwar Ka Rahwaar
Ay Zainab E Hazin Main Bewafa Nahi
Shahid Hai Yeh Azan,

Zakhmi Zuljanah
Haye Zakhmi Zakhmi Zuljanah
Zakhmi Zuljanah.