(Ya Sari Ar-Reza) x6
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Tu Hi Kabir Tu Hi Kibriya Tu Rehnuma
Rag-e-Gulu Se Bhi Nazdeek Tu Har Ek Lamha
Hai Terey Naam Ki Taseer Har Maraz Ki Dawa
Hai Terey Zikar Main Poshida Merey Haq Mein Shifa
(Baghair Maangey Hi Karta Hai Tu Ataa Pe Ataa) x2
Sadaa Se Pehley Hi Sunta Hai Saa'ilo'n Ki Sada
(Ya Sari Ar-Reza) x2
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Ali a.s Waseela Baneyn Aur Kumail Paaye Shifa
Ussi Ke Naam Se Mansoob Hogayi Ye Dua
Shab-e-Jumaa Hai Dua-e-Kumail Shukar Tera
Ye Ibteda Hai To Hai Intehaa Hadis-e-Kissaa
(Elahi Teri Riza Ke Siwaa Kuch Aur Nahi) x2
Ke Merey Paas Dua Ke Siwa Kuch Aur Nahi
(Ya Sari Ar-Reza) x2
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Merey Khuda Wo Zabaanain Jo Teri Hamd Kareyn
Wo Terey Panjatan-e-Paak s.a.w.w Ki Dua Me Raheyn
Kabhi Wo Naar-e-Jahanum Ki Sakhtiyaan Na Saheyn
Pull-e-Siraat Se Bekhouf O Bekhatar Guzreyn
(Gunahgaaro'n Ko Ye Aasra Hai Subho Massa) x2
Khula Hua Hai Musalsal Tera Dar e Touba
(Ya Sari Ar-Reza) x2
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Rasool-e-Paak s.a.w.w Ke Sadqey Me Aey Khuda Ghar Ghar
Shua-e-Ilm Ki Kirno'n Ka Mustakil Ho Guzar
Khula Rahey Merey Bacho'n Pe Shehr e Ilm Ka Dar
Rahey Jawaano'n Ki Har Dam Teri Riza Pe Nazar
(Teri Riza Ki Bina Rizkey Ilm Keya Ho Attaa) x2
Jo Tu Naa Chaahey Dar-e-Ilm Khul Nahi Sakta
(Ya Sari Ar-Reza) x2
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Tu Merey Aib Chhupata Hai Daal Kar Parda
Elahi Deta Hu Main Tujhko Waasta Usska
Wohi Jo Shaam-e-Ghareebaan Me De Rahi Thi Sada
Nahi Hai Kuch Bhi Merey Paas Iss Rida Ke Siwaa
(Rasool s.a.w.w Zadi s.a Key Pardey Ki Laaj Rakh Lena) x2
Bharam Duaao'n Ka Meri Bhi Aaj Rakh Lena
(Ya Sari Ar-Reza) x2
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Shakhista Pehlu-e-Zehra s.a Ka Wasta Aey Khudaa
Jo Waqt-e-Ghusl Ali a.s Ne Basad Buqa Dekha
To Apney Aansu Ali a.s Saa Jarri Na Rok Sakaa
Khuda Ka Sheyr Bhi Ik Cheekh Maar Kar Roya
(Ussi Rasool s.a.w.w Ki Beti s.a Ka Waasta Aey Khudaa) x2
Ho Waalidain Ko Sehat Ke Saath Umr Attaa
(Ya Sari Ar-Reza) x2
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Wo Ik Mareez Jo Bas Shaam Keh Ke Rota Tha
Jukaaye Sar Wo Hayadaar Rota Jaata Tha
Pahen Ke Berriyaan Jo Karbala Se Shaam Gaya
Ussi Mareez Ke Sadqey Se Mangtey Hain Shifa
(Maraz Se Pehley Dawa Khalq Tu Ne Ki Hai Khuda) x2
Bara-e-Syed-e-Sajjad a.s De Hameyn Bhi Shifa
(Ya Sari Ar-Reza) x2
Ighfir Leman La Yamleko Illad-Dua
Fa Innaka Fa'alool-Leman Tasha
Ya Manismahu Dawa Wa Zikrahu Shifaa Wa Ta'ataahu Ghenan

Elahi Syedi Moulaai Ya Azeez O Hakeem
Jalil O Qadir O Jabbar O Al Aliyo Azeem
Teri Hi Hamd Hai Tu Rabbul Aalameen O Raheem
Gham e Hussain a.s Ke Sadqey Karam Ho Ham Pe Karim
(Sadda-e-Sarwar O Rehan Sun Merey Allah) x2
Baroz e Hashar Ho Saaya Rida e Zahra s.a Ka
(Ya Sari Ar-Reza) x4

Pyare Baba Jan

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Pyare Baba Jana

Utro Zuljanah Se Baba Hal Sun Ky Jana

Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Is Tunsha Qatal Gana Madar Tadata Zuljanah Ab Khaine Waly Dina

Akhpala Baba Jana

Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Qatl Gaye Na Jana Sar Qadam Py Zuljanah K Rakhti Hai Sakina

Akhpala Baba Jana

Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Baba Garm Reti Par Tum Zara Si Daire Beth Jao
Milo Gy Ab Hamen Kahan Tum Sakina Ko Bata Ky Jao
Akhpala Baba Jana
Karbala Ky Ban Mein Baba Mujh Ko Na Rulana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Matapa Garm Rego Ke Na

Akhpala Baba Jana

Wede Karbala Watan Ke Dejarhe Le Dina

Akhpala Baba Jana

Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Baba Akbar E Jawan Ka Hai Dil Py Zakhm Mere Taza
Sunehri Zulf Khoon Mein Doobi Zameen E Garm Py Hai Lasha
Akhpala Baba Jana
Gul Zaman Ko Baba Mere Dhoop Sy Uthana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Baba Alqama Ka Sahil Chacha Ky Khoon Sy Hai Rangeen
Qalam Huye Jo Un Ky Bazoo Hai Mauj Alqama Ki Ghamgeen
Akhpala Baba Jana
Khoon Bhary Alam Ko Baba Seeney Sy Lagana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Baba Gull Tha Shah Qasim Bikhar Gaya Hai Aah Qasim
Lagai Kis Liye Thi Mehndi Hua Tha Kiun Biyah Qasim
Akhpala Baba Jana
Tukrhy Tukrhy Baba Lasha Gull Samajh Ky Lana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Baba Bezaban Ka Jhoola Ruka Hua Hai Andhion Mein
Labon Py Jis Ky Tha Tabassum Badal Gaya Hai Hichkion Mein
Akhpala Baba Jana
Lorian Suna Ky Baba Dasht Mein Sulana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Baba Door Hun Watan Sy Dari Hui Hon Khooni Ban Sy
Chaly Gaye Jo Ap Ran Mein Khizan Na Jaye Gi Chaman Sy
Akhpala Baba Jana
Dekho Baba Seena Apna Teeron Sy Bachana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Baba Kaan Ki Yeh Bali Tumhary Hathon Sy Jo Pehni
Mujhy Yeh Khaof Aa Raha Hai Chiney Na Aap Ki Nishani
Akhpala Baba Jana
Mannati Yeh Bali Baba Khud Barha Ky Jana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Kaha Hussain Badshah Ny Hamen To Ghaira Hai Qaza Ny
Chaly Hain Hum To Shahzadi Watan Sy Door Sar Kataney
Gull Sakina Jany
Qatl Geh Mein Beta Hum Ko Dhoondny Na Aana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Batayen Kya Rehan O Sarwar Hussain Jab Chale Thy Ran Mein
To Peechy Peechy Zuljanah Ky Chali Sakina Roti Ban Mein
Akhpala Baba Jana
Acha Mere Baba Shab Ko Dekho Laot Aana

Akhpala Baba Jana
Khudshe Zuljanah Na Make Sohre Dale Dina

Ay Karbala Bata Ay Alqama Bata
Tanha Hussain Dekh Rahy Thy Yeh Majra
Aaya Tha Kis Tarha Sy Tarai Py Ba Wafa
Aur Kis Tarah Sy Khoon Mein Tar Ho K Reh Gaya

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Yeh Woh Alam Hai Jis Sy Shaheedon Ki Shan Hai
Qurbanion Ka Naam Wafa Ka Nishan Hai
Bachon Ki Aabroo Hai Sakina Ki Jaan Hai

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Lehra Raha Hai Is Ka Pharaira Hawaon Mein
Is Ki Bulandion Ka Hai Charcha Fizaon Mein
Sab Karbala Hai Is Ky Pharairy Ki Chaon Mein

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Phaila Hua Hai Is Ka Jo Saya Hussain Tak
Rasta Isi Ny Sab Ko Dikhaya Hussain Tak
Hurr Bhi Isi Ko Dekh Ky Aya Hussain Tak

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Pyason Ka Is Alam Mein Safeena Bhi Dekhiye
Panjy Mein Roshni Ka Khazeena Bhi Dekhiye
Lipti Hui Hai Mashk E Sakina Bhi Dekhiye

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Dekh Is Alam Ky Saye Mein Yakjaa Hai Kon Kon
Qasim Hai Wehb E Qalbi O Aabis Umair O Aon
Akbar Sy Khoobroo Ky Barabar Kharhy Hain Jaon

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Ghazi Ky Khoon Sy Jo Mili Hai Baqa Isy
Hasil Yeh Iftikhar Rahy Ga Sada Isy
Har Daor Mein Uthayen Gy Ahl E Aza Isy

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Bety Bicharh Gaye Hain Yeh Dil Ko Malal Hai
Lekin Bahan Ko Bhai Ky Haq Ka Sawal Hai
Zainab Ko Har Dua Mein Isi Ka Khayal Hai

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Ay Tashna Lab Wafaon Ky Dariya Salam Ly
Har Apny Sogwar Ka Pyasa Salam Ly
Ay Karbala Ky Dast E Bureeda Salam Ly

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Hum Ko Jo Yeh Tarai Mein Behr E Karam Mila
Tareekh Ko Hilal Kahan Yeh Hasham Mila
Zainab Ki Yeh Dua Thi Ky Aisa Alam Mila

Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka

Roz E Ashoor Hai Zuljanah Par Sawaar
Gham Ka Seeney Py Waar Kon Maqtal Mein Ata Hai Parwardigar
Dil Mein Bhai Ki Betion Ka Apnon Ka Gham
Seh Raha Hai Musalsal Sitam Py Sitam
Khoon Mein Dooba Libas E Ghareebi Liye
Ran Mein Dekho Hussain Aa Raha Ahi
Khush Honton Sy Sookhi Zuban Sy
Jo Sada Py Sada Dy Raha Hai

Shamion Shamion

Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekho

Allah Ho Akbar

Nam Mery Khuda Ka Rahy Ga
Kalma E La Ilaha Rahy Ga
Deen Quran Kaaba Rahy Ga
Mera Islam Zinda Rahey Ga
Taigh Meri Qaza Mein Dhali Hai
Mery Bazo Mein Zor E Ali Hai

Shamion Shamion
Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho
Allah Ho Akbar

Karbala Haq Ki Taqat Rahy Gi
Yeh Lahu Ki Tamazat Rahy Gi
Meri Dharti Ki Izzat Rahy Gi
Mery Parcham Ki Hurmat Rahy Gi
Khatm Ho Jaye Gi Har Ghulami
Mujh Ko Tareekh Dy Gi Salami

Shamion Shamion
Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho
Allah Ho Akbar

Tum Ho Sairab Aur Main Hun Pyasa
Tum Hazaron Ho Aur Main Hun Tanha
Mar Gaya Hai Jawan Bhai Mera
Ly Gaya Noor Ankhon Ka Beta
Jang Ka Nam Ab Tum Na Lo Gy
Kya Ali Aa Gaye Yeh Kaho Gy

Shamion Shamion
Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho
Allah Ho Akbar

Khoon Kiun Admi Ka Bahayen
Aman Ky Phool Har Ja Khilayen
Sari Insaniyat Ko Jagayen
Zulm Sy Han Magar Hath Uthayen
Tum Ny Majboor Mujh Ko Kiya Hai
Ab Meri Taigh Amr E Khuda Hai

Shamion Shamion
Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho
Allah Ho Akbar

Woh Jo Lashon Py Lashy Uthaye
Aik Qatra Jo Pani Na Paye
Jis Ka Ghorha Bhi Thak Kar Karahe
Jang Us Ki Hazaron Sy Haye
Phir Bhi Jinn O Malak Jang Daikhen
Arsh Waly Meri Jang Daikhen

Shamion Shamion
Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho
Allah Ho Akbar

Mery Baba Ali Aa Chuky Hain
Mery Bhaia Hasan Aa Chuky Hain
Dad Abbas Bhi Dy Rahy Hain
Mujh Ko Akbar Mery Dekhty Hain
Dar E Khaima Py Behnen Kharhi Hain
Amman Zehra Dua Dy Rahi Hain

Shamion Shamion
Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho
Allah Ho Akbar

Jab Kiya Parh Ky Takbeer Hamla
Shor Uthny Laga Alaman Ka
Shola E Zulfiqar Aisa Chamka
Paon Tak Khoon Mein Dooba Tha Ghorha
Ran Mein Uthny Lagiin Khoon Ki Maojen
Ja K Koofey Sy Takraiin Faojen

Shamion Shamion
Shamion Maqtal Mein Ao Aik Pyasy Ki Jang Dekkho
Allah Ho Akbar

Rab Ny Dekha Falak Sy Yeh Manzar
Bola Jibreel Sy Rab E Akbar
Keh Do Shabbir Sy Ab Yeh Ja Kar
Imtehan Khatm Hai Ibne Haider
Mutmain Nafs Waly Palat Aa
Rab Tera Tujh Sy Razi Hua
Tera Zakir Hai Tera Khuda
Ay Hussain Irjaii
Ay Hussain Irjaii Irjaii Marhaba

Shor Rehan O Sarwar Utha
Asr E Ashoor Ka Waqt Tha
Aa Rahi Thi Azan Ki Sada
Sheh Ny Sajdy Mein Sar Rakh Diya

Khudaya Khudaya Khudaya

Khudaya
Hal Min Nasireen Yansuruna
Koi Ho Tou Chaley Khudaya

Koi Ho Tou Chaley Isteghasa Hai Sar E Daar
Koi Ho Tou Chaley Aik Pyasey Py Hai Yalghaar

Qafila So Gaya Maqtal Mein Sar E Sham Sabhi
Reh Gaya Qafila Salaar Koi Ho To Chaly

Aik Beta Hai Jo Gehwaary Sy Utra Na Kabhi
Doosra Beta Hai Beemar Koi Ho To Chale

Khud Ko Jhooley Sy Gira Dete Hain Jane Waly
Kon Aisa Hai Wafadar Koi Ho Tou Chaley

Reh Gaya Nainzon Ky Jangal Mein Musafir Tanha
Yeh Shahadat Ky Hain Aasaar Koi Ho To Chale

Lamha Lamha Yeh Sada Deti Hai Ashoor Ki Shaam
Beyrhian Hoti Hain Tayaar Koi Ho To Chaly

Allah Allah Yeh Lahu Pehny Huye Tanhai
Lut Gai Kis Ki Yeh Sarkar Koi Ho To Chaly

Yeh Hai Namoos E Nabi Khaimey Sy Kaisy Nikly
Kya Kary Sahib E Kirdaar Koi Ho To Chaly

Jany Yeh Kon Pas E Khaima Hai Giriya Giriya
Hai Koi Is Ka Azadar Koi Ho To Chaly

Kis Tarah Sy Dar E Zindan Py Sakina Roi
Sath Roye Dar O Deewar Koi Ho To Chaly

Kis Ky Lehjy Mein Ali Bol Rahy Hain Logo
Kon Bola Sar E Darbar Koi Ho To Chaly

Beyrhian Jis Ki Museebat Py Lahoo Roti Hain
Kon Aya Sar E Bazar Koi Ho To Chaly

jo Ho Us Faoj E Mukhalif Ka Sipahi Na Chale
han Magar Hurr Sa Tarafdar Koi Ho To Chaly

yeh Sada Aj Bhi Maqtal Sy Hilal Ati Hai
kon Haq Ka Hai Talabgaar Koi Ho To Chale

koi Ho To Chale

Haye
Salami Laeenon Ny Kya Kya Jafa Ki
Nasha Ki Hui Yad Mushkil Kusha Ki

Thi Sham E Ghareeban Qayamat Bapa Thi
Ke Ek Hath Zainab Ki Chadar Tak Aaya

To Zainab Ke Lab Par Faqat Ek Sada Thi
Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Kuch Ay Shimr Qeemat Samajh Is Rida Ki
Ky Yeh Pak Chadar Hai Khair Un Nisa Ki

Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Khuly Sar Jisy Bhaiyon Ny Na Dekha
Uth Rat Mein Jis Ki Maan Ka Janaza
Woh Din Main Hai Mohtaaj Bas Ek Rida Ki
Merey Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Lo Bandho Mere Hath Kehti Thi Zainab
Na Cheeno Rida Keh Ke Roti Thi Zainab
Main Mazloom Beti Hun Mushkil Kusha Ki
Mery Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Zara Jag Ay Mere Ghayoor Bhai
Ke Ab Baat Meri Rida Tak Hai Aai
Behan Ko Zaroorat Hai Teri Wafa Ki
Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Utho Mere Sajjad Jalty Hain Khaimey
Sambhalun Akeli Main Bachon Ko Kaisy
Main Kese Sahun Sakhtian Ashqiya Ki
Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Woh Sham E Ghareeban Mein Baba Ka Ana
Woh Zainab Ka Hathon Sy Chehra Chupana
Khuda Sy Rida K Liye Iltija Ki
Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Tamashai Koofey Ki Galiyon Mein Kehty
Zamany Badalty Hain Lamhon Mein Kitny
Ke Sar Nange Zainab Hai Qudrat Khuda Ki
Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Woh Maayen Woh Behnen Kaneezan E Zainab
Jo Hain Aj Bhi Pursa Daraan E Zainab
Rakhe Laaj Zainab Ki Bas Us Sada Ki
Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Gaye Un Ky Rozy Py Rehan O Sarwar
Mila Ek Sakoon Sheh Ka Noha Suna Kar
Khalish Aj Tak Hai Magar Us Buka Ki
Mere Sar Pe Lillah Rehne De Chadar

Siyah Raat Mein Zindan Ky Dar Py Ro Ro Ky
Sakina Kehti Hai Baba Yeh Shab Satati Hai
Judai Ap Ki Us Par Yeh Khak Ka Bistar
Kahin Andhairey Mein Bachon Ko Neend Ati Hai

Yeh Sun Ky Zainab E Mazloom Boli Gham Na Karo
Kahani Kehti Hun Main Ek Suno Sakina Suno

Sakina Kahani Suno

Ek Shahenshah Tha Haye Sakina

Ek Shahenshah Tha Yasrab Mein Raha Karta Tha
Us Ka Ghar Woh Tha Ky Quran Jahan Utra Tha
Dar Py Jibreel Sa Darbaan Raha Karta Tha
Us Ka Aangan Bhi Sitaron Sy Bhara Rehta Tha
Us Ky Darwazey Sy Khali Na Koi Jata Tha
Aasman Us Ki Sakhawat Ki Qasam Khata Tha

Ay Sakina Kahani Suno

Us Ky Baba Ko Dar E Ilm Kaha Jata Tha
Maan Ny Shehzadi E Konain Laqab Paya Tha
Us Ky Baiton Mein Nazar Aks E Nabi Ata Tha
Betion Ko Gul E Pakeeza Kaha Jata Tha
Us Ky Ek Bhai Ki Rag Rag Mein Wafa Rehti Thi
Ek Behan Sath Mein Saye Ki Tarah Rehti Thi

Ay Sakina Kahani Suno

Aik Din Kya Hua Haye Sakina

Aik Din Kya Hua Woh Ghar Sy Safar Par Nikla
Us Ka Sab Kunba Bhi Quran Ki Hifazat Ko Chala
Ashqiya Ny Usy Phir Dasht E Bala Mein Ghaira
Teen Din Tak Usy Pani Bhi Muyassar Na Hua
Ho Gai Aam Har Ek Jor O Jafa Us K Liye
Aur Phir Jang Ka Maidan Saja Us K Liye

Han Sakina Kahani Suno

Us Ky Ek Bety Ky Seeney Mein Sinan Toot Gai
Bhai Ky Hath Katy Teer Laga Mashk Chidi
Lash Pamal Bhateejy Ki Bhi Maqtal Mein Hui
Bey Zaban Qatl Hua Us Ka Churi Us Py Chali
Us Shehanshah Ky Kunby Py Ghareebi Chai
Bujh Gaye Sary Diye Sham E Ghareeban Aai

Han Sakina Kahani Suno

Khaimy Jalny Lagy Nazdeek Sitam Gar Aaye
Us Shehanshah Ki Bachi Ny Tamanchay Khaye
Kaan Zakhmi Huye Khoon Ankhon Sy Tapka Haye
Dhund Baap Ko Maqtal Mein Woh Kaisy Jaye
Jalty Daman Ko Liye Ganj E Shaheedan Mein Gai
Rassi Gardan Mein Bandhi Shaam Ky Zindaan Mein Gai

Han Sakina Kahani Suno

Phir Sakina Ny Kaha Haye Sakina
Phir Sakina Ny Kaha Rehty Hen Wo Log Kahan
Boli Zainab Ky Huye Sab Woh Aseer E Zindaan
Qissa Akhir Hua Neend Ai Na Tum Ko Meri Jaan
Boli Ro Ro Ky Sakina Phuphi Ab Neend Kahan
Tum To Kehti Thi Kahani Suno Neend Ati Hai
Is Kahani Sy Meri Neend Urhi Jati Hai

Han Sakina Kahani Suno

Boli Ro Ro Ky Sakina Yeh Mera Qissa Hai
Is Kahani Ka Shahenshah Mera Baba Hai
Naiza Jis Ky Laga Seeny Mein Mera Bhaiya Hai
Mera Asghar Hai Laeenon Ny Jisy Maara Hai
Bey Rida Tum Ho Phuphi Jaan Meri Jati Hai
Yeh Kahani To Mery Ghar Ki Nazar Aati Hai

Han Sakina Kahani Suno

Jis Ko Seeney Py Shehahnshah Ky Neend Ati Thi
Dasht Mein Haye Chacha Keh Ky Jo Chillati Thi
Jis Ky Kanon Sy Lahu Behta Tha Jo Pyasi Thi
Apny Baba Ki Judai Mein Mari Jati Thi
Us Shahenshah Ki Beti Woh Sakina Main Hun
Jis Ka Dushwar Hua Qaid Mein Jeena Main Hun

Han Sakina Kahani Suno

Khatm Jab Sarwar O Rehan Kahani Yeh Hui
Woh Jo Sunti Thi Kahani Woh Sakina Na Rahi
Thamy Zanjeer Naqahat Sy Uthaye Qaidi
Aik Nanhi Si Lehad Kanpty Hathon Sy Bani
Sar Shahenshah Ka Goudi Mein Lahu Rota Tha
Wa Hussaina Ka Bas Ek Shor Bapa Hota Tha

Ya Hussain Ya Hussain

Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna
Haye Haye

Karbala Karbala
Karbala Ab Imtehan E Sabr E Sarwar Dekhna
Haye Haye

Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Door Tak Jaty Huye Dekha Kiye Kaisy Hussain
Thokren Kha Kha Ky Khud Sambhla Kiye Kaisy Hussain
Ay Ali Akbar Zara Peechay Palat Kar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Maan Ky Armanon Ki Chadar Ka Umama Sar Py Hai
Fatima Sughra Ki Ankhon Ka Ujala Sar Py Hai
Bigrhy Ga Ek Pal Mein Kitnon Ka Muqaddar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Dosh Par Bikhri Hui Zulfen Urhati Thi Hawa
Bikhri Zulfon Sy Nikharti Ja Rahi Thi Karbala
Maot Ki Jurrat Nahi Thi Ankh Bhar Kar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Uth Raha Hai Gir Raha Hai Aik Parda Bar Bar
Umme Laila Ka Yeh Khaima Hai Mery Parwardigar
Lash Jab Ai To Mar Jaye Gi Madar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Haye Maqtal Ghutnion Ky Bal Chala Hai Ek Padar
Kehta Hai Awaz Dy Mujh Ko Mery Noor E Nazar
Kho Gai Beenai Meri Mery Dilbar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Ay Hussain Ibne Ali Jao Na Akbar Ky Qareeb
Zulm Aisa Ho Gaya Hai Tab La Sakty Nahi
Kya Gawara Hai Sinan Seeney Ky Andar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Imtehan Hai Boorhy Kandon Ka Jawaan Bety Ki Laash
Khoon Mein Doobi Kis Tarah Dekhy Gi Maan Bety Ki Laash
Is Jagah Aolad Walon Khud Ko Rakh Kar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Marty Dam Akbar Ko Dar Hai Maan Na Aa Jaye Kahin
Keh Raha Khoon Mery Seeney Sy Rangeen Hai Zameen
Keh Do Amman Sy Mery Yun Na Tarhap Kar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Baba Meri Maan Mery Gham Ko Utha Sakti Nahi
Neend Aisi Aa Rahi Hai Maan Jaga Sakti Nahi
Zakhm Mera Maan Ki Nazron Sy Bacha Kar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

Khoon Hota Hai Jigar Rehan O Sarwar Us Gharhi
Sochty Hain Hazrat E Shabbir Ki Jab Bey Kasi
Bap Ka Ruk Ruk Ky Aur Bety Ka Murh Kar Dekhna

Haye Haye Haye Haye
Waqt E Rukhsat Baap Ko Bety Ka Murh Kar Dekhna

gham khayegi zainab mar jayegi zainab

zindan se reha hoke jo ghar jayegi zainab
bin bhai ke jayegi to mar jayegi zainab
zindan se reha hoke....

ghar lutgaya pardes may veeran hai dinya
zindan se reha hoke bhi zindan hai dunya
is qaid se ghar jaake bhi kya paaegi zainab
zindan se reha hoke....

soona hai makan jisme wo shehdayi na honge
ghar hoga magar ghar may mere bhai na honge
ta hashr yehi bhai ka gham khayegi zainab
zindan se reha hoke....

bachpan hai jahan aun o mohamed ne guzaara
ab un dar o deewar ki tanhai ne maara
ab unke na saaye may khabi jayegi zainab
zindan se reha hoke....

be aas mujhe kar gaye bache mere kamsin
bin beton ke kehlayi to kehlayi mai lekin
bin bhai ke dunya may na kehlayegi zainab
zindan se reha hoke....

is baat pe hairat hai bahot ahle watan may
abbas se bhai ki bahan aur rasan may
roodad ye kis tarha se batlayegi zainab
zindan se reha hoke....

aaya na koi laut ke bhai tera sughra
soona hi rahega bani hashim ka mahella
kya deke dilaasay usay behlayegi zainab
zindan se reha hoke....

haye roti hui jab jaaungi nana ki lehad par
aur maajra poochegi wahan roohe payambar
kurta wo phata bhai ka dikhlayegi zainab
zindan se reha hoke....

aaya na hilal aisa kada waqt kisi par
kis kis ke liye royegi ye bekas o muztar
kis kis ka wahan fateha dilwayegi zainab
zindan se reha hoke.