Aao Ek Kaam Karain Karbala Aam Karain
Aie Merey Des Kay Logon Meri Awaz Sono
Meri Awaz Mein Maqtal Ka Yeah Agaz Suno
Aie Merey Des Kay Logon Meri Awaz Sono
Meri Awaz Mein Maqtal Ka Yeah Agaz Suno
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Jis Tarha Sani-e-Zehra s.a Ne Isey Aam Kiya
Eik Zanjeer Kee Jhankar Ne Wo Kaam Kiya
Jis Tarha Say Shohada Ne Safar-e-Sham Kiya
Yani Nezoon Say Buland Aur Bhi Islam Kiya
Hum Isi Tarz e Qayadat Ki Aada Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Yeah Jo Majlis Hai MaDawa Hai Har Eik Gham Kay Liye
Eik Soughaat Hai Yeah Deeda e Purnam Kay Liye
Souze Dil Chajiye Tehzeeb e Muharram Kay Liye
Koi Tafreeq Nahi Halqa-e-Mataam Kay Liye
Roney Waloon Kay Liye Farsh-e-Aza Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Aao Dekho Kay Yeah Khaima Yeah Alam Kis Ka Hai
Khoon Say Naam Yeah Sehra Pay Rakam Kis Ka Hai
Abhi Tarekh Say Aagey Yeah Qadam Kis Ka Hai
Sari Duniya Ko Batadin Kay Yeah Gham Kis Ka Hai
Sari Duniya Kay Liye Gham Ki Fiza Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Tum Bhi Seney Mein Yeah Gham Ley Kay Chalo Hau Bhi Chalin
Tum Bhi Inkarey Sitam Ley Kay Chalo Hum Bhi Chalin
Tum Bhi Haq Ka Yeah Hasam Lay Kay Chalo Hum Bhi Chalin
Tum Bhi Ghazi a.s Ka Alam Lay Kay Chalo Hum Bhi Chalin
Har Zamaney Kay Liye Fikrey Wafa Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Aisa Aejaz To Tareeq Ne Dekha Na Suna
Jo Diya Noor Kay Hatif Shab-e-Ashoor Buja
Sab Shahedoon Kay Diloon Mein Who Diya Ja key Jala
Aaj Bhi Roshni Deta Hai Wohi Eik Diya
Har Andherey Mein Wohi Eik Diya Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Paas Shabbir a.s Kay Apney Bhi Hain Agyar Bhi Hain
Khandan-e-Bani Hashim Bhi Hain Ansar Bhi Hain
Hur Bhi Hain John Bhi Hain Akbar e Jarrar Bhi Hain (a.s)
Jaan Deney Kay Liye Subah Say Tayyar Bhi Hain
Asey Maqtal Ki Fizza Ko Ba Khuda Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho X2
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein X2
Kafela Reh Gaya Eik Dasht-e-Bala Mein Piyasa
Jinki Miras Thi Kousar Unhain Pani Na Mila
Yeah Sabilin Unhi Pyasoon Say Wafa Hain Ba Khuda
Koi Piyasa Na Rahey Thi Yeah Sakina s.a Ki Dua
Har Zameen Par Yeah Sakina s.a Ki Dua Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Rehnuma Qatl Howa, Qatl Kayadat Na Hoi
Eik Imam Aur Barha Khatm Imamat Na Hoi
Jism Rondey Gaey Paamal Shariyat Na Hoi
Chadarin Chin Gain Batil Ki Hukumat Na Hoi
Yeah Mohammad s.a.w.w Kay Gharaney Ki Wafa Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Huramat-e-Haq Na Chhinni Chhin Gayi Zainab s.a Ki Rida
Jo Rida Chhin Gayi Uss Sey Yehi Peyghaam Mila
Hai Wohi Parda-e-Haq Aaj Bhi Logo Ba Khuda
BeyRida Ho Key Jo Duniya Ko Sikha Dey Pardah
BeyRidaayi Ki Qassam Aisi Rida Aam Karain
(Kia Khabar Tum Na Raho) x2
Kia Khabar Ham Na Raheyn
(Aao Ik Kaam Kareyn Karbala Aam Karain) x2
Haq Ki Aawaaz Ko Duniya Sar-e-Bazaar Suney
Hakim-e-Waqt Suney Halqa-e-Darbaar Suney
Aik Bimaar Ki Jaagi Hui Guftaar Suney
Beyriyo'n Se Jo Uthhi Thi Wohi Jhankaar Suney
Yehi Jhankaar Yehi Haq Ki Sadaa Aam Karain
(Kia Khabar Tum Na Raho) x2
Kia Khabar Ham Na Raheyn
(Aao Ik Kaam Kareyn Karbala Aam Karain) x2
Mera Maslak Mera Iman Wali Ibn-e-Wali
Meri Tareekh Meri Aan Wali Ibn-e-Wali
Mera Nara Meri Pehchaan Wali Ibn-e-Wali
Mera Rasta Meri Hansaan Wali Ibn-e-Wali
Iss Wali Ibn-e-Wali Sey Ye Wila Aam Karain
(Kia Khabar Tum Na Raho) x2
Kia Khabar Ham Na Raheyn
(Aao Ik Kaam Kareyn Karbala Aam Karain) x2
Merey Moula Merey Aaqa Yeah Tera Gham Na Rukey
Kitney Tofan Bhi Hilal Aye Magar Hum Na Rukey
Aai Azadar Yeah Majlis Yeah Muharram Na Rukey
Waqt Kitna Hi Badal Jaye Yeah Matam Na Rukey
Yeah Shahedoon Ka Hai Matam Ba Khuda Aam Karin
Kiya Khabar Tum Na Raho
Kiya Khabar Hum Na Rahin
Aao Eik Kaam Karein, Karbala Aam Karein
Sabr Kaisy Ho Rehan O Sarwar
Hum To Aye Hain Khud Sham Ho Kar
Aj Bhi Sham Dhalti Hai Jab Bhi
Ek Sada Kat’ti Hai Kalaija
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Kabhi Amman Ky Pehloo Mein Rona
Kabhi Bhaia Sy Apny Lipatna
Kabhi Takrana Deewar O Dar Sy
Kabhi Zindaan Ky Dar Par Yeh Kehna
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Aisy Chakrati Phirti Thi Bachi
Jaisey Pinjrey Mein Zakhmi Ho Panchi
Kaisy Taar E Qafas Torh Daly
Ho Rihai Ka Koi Qareena
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Maot Sy Pehly Aa Jao Baba
Yeh Sakina Py Ehsan Ho Ga
Bad Mery Na Baba Yeh Kehna
Main Ny Tum Ko Pukara Nahi Tha
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Ay Phuphi Ab Mera Dil Hai Kehta
Mujh Ko Mil Jaye Ga Mera Baba
Dadi Zehra Ki Mano Kahani
Mil Gaya Tha Sunaaran Ka Beta
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Ho Gai Khair Aaya Na Asghar
Woh To Mar Jata Zindaan Mein Ghut Kar
Kaisy Sota Andhairey Mein Bhaia
Qaid Ho Jata Zindaan Mein Jhoola
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Haye Khoon Mein Bhara Sar Jo Aaya
Bap Ky Sar Sy Beti Ny Poocha
Munh Py Munh Rakh Ky So Na Sakun Gi
Hai Kahan Mery Baba Ka Seena
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Sabr Kaisy Ho Rehan O Sarwar
Hum To Aye Hain Khud Sham Ho Kar
Aaj Bhi Sham Dhalti Hai Jab Bhi
Ek Sada Kat’ti Hai Kaleja
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Yasrab Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Yasrab Nazar Aaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Munh Dhanp Ky Rony Lagi Ahmad Ki Nawasi
Weeran Dar O Baam Thy Allah Keh Udasi
Ujrha Bani Hashim Ka Mahalla Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Woh Galiyan Jahan Aon O Muhammad Kabhi Khailey
Abdullah Wahan Phirty Thy Khamosh Akaily
Har Simt Mein Bachon Ka Sarapa Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Sughra Ny Khabar Paai Ky Laot Aaye Musafir
Khush Ho Gai Rozy Py Nabi Ky Hui Hazir
Kya Socha Tha Sughra Ny Usy Kya Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Ujrhi Hui Har Maan Ki Thi Har Goud Thi Khali
Asghar Ka Shalooka Tha Sakina Ki Thi Bali
Abbas Ka Parcham Bhi Akela Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Jis Waqt Ruki Nana Ky Rozy Py Amari
Naqy Sy Giri Khak Py Woh Dard Ki Mari
Rota Hua Nana Ka Jo Chehra Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Sughra Ny Kaha Amman Sy Kiun Goud Hai Khali
Ek Aan Bhari Bano Ny Kuch Munh Sy Na Boli
Rony Lagi Jalta Hua Jhoola Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Bin Bhai Ky Dakhil Hui Jo Apny Hi Ghar Mein
Ghash Aa Gaya Taqat Na Rahi Qalb O Jigar Mein
Bey Gor O Kafan Bhai Ka Lasha Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Hujre Mein Nazar Aaye Nahi Qasim O Akbar
Kehny Lagi Main Chorh Gai Thi Yeh Bhara Ghar
Ghar Qabr Ky Mahol Mein Dhalta Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Bistar To Wahan Aon O Muhammad Ky Sajy Thy
Aur Taaq Mein Asghar Ky Khilony Bhi Rakhy Thy
Lekn Na Koi Khailney Wala Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil K Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Ay Sarwar O Rehan Gham Shah E Huda Sy
Syedanian Uthiin Na Kabhi Farsh E Aza Sy
Ankhon Mein Lahu Honton Py Noha Nazar Aaya
Kulsoom Ny Mehmil Ky Jo Pardy Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aaya
Yasrab Nazar Aaya
Bhool Jaingey Har Gham Gham Tera Na Bhoolen Gy
Karbal Na Bhuleingey Karbala Na Bhuleingey
Kaisy Bhool Jayen Maqtal E Hussain Ko
Kaisy Bhool Jayen Fatima Ky Bayn Ko
Ba Khuda Na Bhoolen Gy Gham Tera Na Bhoolen Gy
Karbala Na Bhoolen Gy Karbala Na Bhoolen Gy
Woh Sitam Woh Zulm Woh Jafa Ky Silsilay
Alqama Ky Samny Khayaam Jal Gaye
Nainawa Na Bhuleingey Ghamtera Na Bhoolen Gy
Karbala Na Bhoolen Gy Karbala Na Bhuleingey
Jis Jagah Hussain Ka Jawan Hua Shaheed
Jis Jagah Hua Tha Aik Bey Zubaan Shaheed
Woh Jagah Na Bhuleingey Gham Tera Na Bhuleingey
Karbala Na Bhuleingey Karbala Na Bhuleingey
Woh Lahoo Bhara Alam Woh Mashk Khoon Bhari
Intezaar E Aab Mein Sakina Mar Gai
Saaneha Na Bhoolen Gy Gham Tera Na Bhoolen Gy
Karbala Na Bhoolen Gy Karbala Na Bhoolen Gy
Khoon Roye Jis Ky Gham Mein Umr Bhar Imam
Ly Gai Thi Loot Ky Rida Jo Faoj E Sham
Woh Rida Na Bhoolen Gy Gham Tera Na Bhoolen Gy
Karbala Na Bhoolen Gy Karbala Na Bhoolen Gy
Assalam Ay Karbala Ki Khak Assalam
Aasalam Dafan Jis Mein Pak Assalam
Yeh Sada Na Bhoolen Gy Gham Tera Na Bhoolen Gy
Karbala Na Bhoolen Gy Karbala Na Bhoolen Gy
Sarwar O Rehan Arzoo Hai Ab Yehi
Roza E Hussain Py Ho Sab Ki Haziri
Yeh Dua Na Bhoolen Gy Gham Tera Na Bhoolen Gy
Karbala Na Bhoolen Gy Karbala Na Bhoolen Gy
Bhool Jayen Gy Har Gham Gham Tera Na Bhuleingey
Karbala Na Bhuleingey Karbala Na Bhuleingey
Ghar Sy Jany Lagy Shabbir To Sughra Ny Kaha
Ly Chalo Mujh Ko Bhi Beemar Tumhen Dy Gi Dua
Ho Jana Khafa Raah Mein Gar Roye Gi Sughra
Yaan Neend Kab Ati Hai Jo Han Soye Gi Sughra
Baba Baba
Tanhai Saza Hai Mujhy Aisi Na Saza Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Baba Baba
Baba Mujhy Fizza Ki Sawari Mein Bitha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Sab Bethy Sawari Py Main Paidal Hi Chalun Gi
Wada Hai Kisi Ko Koi Takleef Na Dun Gi
Baba Baba
Amman Sy Main Har Giz Na Kahun Gi Keh Daba Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Palkon Sy Main Saya Bhi Asghar Py Karun Gi
Amman Ki Sawari Sy Bahut Door Rahun Gi
Baba Baba
Han Keh Ky Meri Zeest Ky Kuch Roz Barha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Main Pani Pilaun Gi Sawari Ko Tumhari
Behlaun Gi Rasty Mein Sakina Ko Tumhari
Baba Baba
Jo Kam Kaneezon Ky Hain Sab Mujh Ko Bata Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Sab Nazren Churaty Hain Koi Dam Nahi Bharta
Sach Hai Koi Murdey Sy Muhabbat Nahi Karta
Baba Baba
Taoqeer Meri Yeh Hai To Marny Ki Dua Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Kya Guzry Gi Jab Ghar Sy Chaly Jayen Gy Akbar
Kaisy Mujhy Har Bat Mein Yad Ayen Gy Akbar
Baba Baba
Kab Ayen Gy Leney Mujhy Bhaia Yeh Bata Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Han Apni Muhabbat Ka Main Izhar To Kar Lun
Thehro Ali Asghar Ko Zara Pyar To Kar Lun
Baba Baba
Naqy Sy Jhalak Nanhy Musafir Ki Dikha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Rehan Woh Beemar Yeh Thak Har Ky Boli
Ay Sarwar E Zeeshan Tamanna Hai Yeh Meri
Baba Baba
Jaty Ho To Turbat Meri Tum Khud Hi Bana Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Baba Baba Baba
Baba Mujhy Fiiza Ki Sawari Mein Bitha Do
Main Yeh Nahi Kehti Keh Amari Mein Bitha Do
Yeh Shaam E Ghareeban Hai
Bin Chadar Zainab Roti Hai
Khaimon Ka Talaya Karti Hai
Dekha Keh Sawar Ek Aata Hai
Samjhi Koi Lootny Ata Hai
Zainab Ki Awaz Ai Keh Ruk Ja Sawar Tu
Dukh E Dil Py Karta Hai Waar Kiun
Bolny Wala Yeh Bol Utha Pehchan Main Baba Hun Tera
Pehchan Ky Baba Ko Zainab
Gai Bibion Ki Janib Zainab
Ary Mainda Aya Hai Bibion
Koi Chadar Sir Ty Dal Dy
Hunrh Chadar Sir Ty Dal Dy
Main Baba Ali Han Han Zainab
Maindy Seeny Lag Ghabra Nai
Han Kar Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Main Baba Ali Han Han Zainab
Kar Matam Kar Ghabra Nai
Raj Matam Kar Ghabra Nai
Meri Zainab Meri Jan Hai Tu
Mery Kunby Da Armaan Hai Tu
Yun Ghut Ghut Ky Na Ro Zainab
Kar Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Tu Saabir Syed Zadi Hai
Konain Ki Tu Shehzadi Hai
Tu Tarsi Lagti Hai Matam Ki
Kar Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Yeh Karbal Dais Paraya Hai
Bey Gor Tera Maan Jaya Hai
Yeh Sham E Ghareeban Hai Zainab
Kar Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Athaara Baradar Wali Tu
Ek Chadar Ki Hai Sawali Tu
Kya Hal Hua Tera Zainab
Kar Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Akbar Ki Maot Ny Maar Diya
Seena Hai Tera Zakhmon Sy Bhara
Teri Chadar Lut Gai Karbal Mein
Kar Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Tu Khak Py Ujri Bethi Hai
Teri Amman Zahra Roti Hai
Rehan Sadaye Sarwar Thi
Kar Matam Kar Ghabra Nai
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Main Baba Ali Han Han Zainab
Han Raj Matam Kar Ghabra Nai
Shahzada E Akbara
Rasha Pas E Luna Waqta No Bahar Dey
Shahzada Akbara
Rasha Pas E Luna Waqta Nou Bahar Dey
Khat Likhti Hai Sughra Bhaiya Watan Aa Ja
Waqta Nao Bahar Dy
Khat Likhti Hun Ashkon Sy Bheega Hai Mera Daman
Aa Ja Ky Bahar Aai Soona Hai Mera Aangan
Ay Bhai Khudara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nou Bahar Dey
Phir Goonjey Aza Teri Nana Ky Madiney Mein
Phir Bhar Dy Khuda Bhaiya Thandak Mery Seeney Mein
Poora Karo Waada Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Dekhun Main Tera Sehra Dulhan Teri Ghar Aaye
Deedar Tera Bhaiya Bas Neg Mein Mil Jaye
Aanchal Mera Phaila Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Beemar Behan Roye Kya Tum Ko Gawaara Hai
Bhaiya Teri Furqat Ny Bin Maot Ky Maara Hai
Kehti Hai Yeh Behna Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Gul Khilny Ki Rut Aai Pardaisi Mery Bhai
Tum Door Watan Sy Ho Main Hun Meri Tanhai
Tarhpao Na Bhaiya Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Phir Goonjy Aza Teri Nana Ky Madiney Mein
Phir Bhar Dy Khuda Bhaiya Thandak Mery Seeney Mein
Poora Karo Wada Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Dekhun Main Tera Sehra Dulhan Teri Ghar Aaye
Deedar Tera Bhaiya Bas Neg Mein Mil Jaye
Aanchal Mera Phaila Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Rehan Bhi Sarwar Bhi Kehty Hain Yeh Sughra
Behti Hi Rahi Darbar Par Akbar Ki Behan Sughra
Lab Par Tha Yeh Noha Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dy
Shahzada Akbara
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Khat Likhti Hai Sughra Bhaiya Watan Aa Ja Waqta Nao Bahar
Shahzada Akbara Rasha Pas E Luna Waqta Nao Bahar Dey
Yeh Main Hun Main Meri Tanhai Yeh Tamashai
Lo Aai Giarah Muharram Hai Kya Khabar Laai
Chali Hai Janib E Zindaan Tumhari Maan Jai
Sawar Ham Ny Kiya Tha Tumhen Mery Bhai
Ab Aao Ya Mujhe Keh Do Na Intezaar Karo
Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo
Sawar Hum Ny Kiya Tha Tumhen Dam E Rukhsat
Lagaam Thami Thi Mainy Ba Haalat E Riqat
Kahan Gai Woh Muhabbat Kahan Gai Chahat
Amama Apna Mery Sar Py Sayabaan Karo
Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo
Watan Sy Door Hun Kuch Aur Door Jati Hun
Utho Utho Mery Bhaia Tumhen Jagati Hun
Koi Bhi Ata Nahi Main Jisy Bulati Hun
Qarrar E Jaan Mery Mujh Ko Na Bey Qaraar Karo
Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo
Safar Madiney Sy Kaisa Tha Yeh Safar Kya Hai
Na Mehmilen Na Haodaj Na Koi Parda Hai
Hai Sar Mein Khak Yeh Karbala Ka Sehra Hai
Na Jee Sakun Gi Tery Baad Aitebaar Karo
Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo
Ary Furaat Py Ay Sony Waly Jag Zara
Alam Ky Saye Mein Rukhsat Behan Ko Kar Bhaiya
Suna Hai Sakht Kathan Hai Yeh Shaam Ka Rasta
Sahal Yeh Raasta Abbas E Naamdaar Karo
Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo
Main Aun Gi Mery Bhaiya Zuroor Aun Gi
Kafan Urhaun Gi Marqad Tera Banaun Gi
Jahan Bhi Jaun Gi Farsh E Aza Bichaun Gi
Main Qaid Kaat Ky Laot Aun Intezaar Karo
Utho Hussain Bahan Ko Zara Sawaar Kro
Ragon Mein Khoon Badan Mein Jo Sans Jari Hai
Tumhari Sarwar O Rehan Zimmedari Hai
Jahan Jahan Mery Bhai Ki Pursa Daari Hai
Tum Apny Nohon Sy Duniya Ko Soagwaar Karo
Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo
Ab Aao Ya Mujhe Keh Do Na Intezar Karo
Utho Hussain Bahan Ko Zara Sawaar Karo
Ya Fatima Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Madar Do Jahan Fatima Jaan Dil Ba Do Basti
Muhibban E Do Hasti Muhibban E Do Hasti
Ai Umme Abeeha Ai Umme Faqeeha
Ai Umme Abeeha Ba Jaza Bagair E Dasti
Ummide Shifa Azza Tu A Fatima Zahra
Khatun E Jinaan Warise Tatheer Sarapa
Ashrafe Nisa Aks E Nabi Aks E Khudaija
Meezan E Wafa Rooh E Dua Fatima Zahra
Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Madar Do Jahan Fatima Jaan Dil Ba Do Basti
Muhibban E Do Hasti Muhibban E Do Hasti
Uftaad Dare Khaana Tora Pehlu Shakista
Ummat Ne Tera Haq Na Diya Fatima Zehra
Mohsin Ki Shahadat Ka Sabab Ban Gai Duniya
Virsa Hai Tera Ashk E Aza Fatima Zehra
Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Madar Do Jahan Fatima Jaan Dil Ba Do Basti
Muhibban E Do Hasti Muhibban E Do Hasti
Ai Ashk Fishan Bad E Nabi Bint E Payambar
Tha Soag Mein Baba Ky Aza Khana Tera Ghar
Roty Thy Tery Sath Ali Sarwar O Shabbar
Ai Khasta Jigar Mehw E Buka Fatima Zehra
Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Madar Do Jahan Fatima Jaan Dil Ba Do Basti
Muhibban E Do Hasti Muhibban E Do Hasti
Dar Karbobala Tishna Labi Tery Pisar Ki
Taraaj Hui Kis Tarah Zehra Tery Ghar Ki
Bey Gor O Kafan Lash Rahi Noor E Nazar Ki
Aalam Ba Khuda Soag Mein Tha Fatima Zehra
Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Madar Do Jahan Fatima Jaan Dil Ba Do Basti
Muhibban E Do Hasti Muhibban E Do Hasti
Bachon Py Tery Faoj E Sitam Dar Ki Yalghaar
Zanjeer Bakaf Taoq E Garaan Abid E Beemar
Darbar E Alam Qaid E Sitam Dukhtar E Gham Khuaar
Aada Ky Sitam Kunba Tera Fatima Zehra
Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Madar Do Jahan Fatima Jaan Dil Ba Do Basti
Muhibban E Do Hasti Muhibban E Do Hasti
Ay Sarwar O Rehan Sary Majlis E Shabbir
Jab Fatima Hoti Hain Dil Afgaar O Guloo Geer
Manzar Woh Kahan Kuch Koi Kar Sakta Hai Tehreer
Rota Hai Qalam Likhy Ky Sada Fatima Zehra
Ya Fatima Zehra Ya Fatima Zehra
Madar Do Jahan Fatima Jaan Dil Ba Do Basti
Muhibban E Do Hasti Muhibban E Do Hasti
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra