Dekhna Aik Rooz Manzar Iss Tarha Ka Aye Ga.
Manzaron Par Ik Manzar Muntaqil Ho Jaye Ga.
Haan Yehi Manzar Qayamat Ki Khabar Ban Jaye Ga.
Sari Dunya Mein Ujala Noor Ka Ho Jaye Ga.
Khana-e-Kaba Ki Chat Par Ik Alam Lehraye Ga.

Aye Azadaro Suno Gaye Jald Mula Ki Sada.
Qayam-e-Aal-e-Muhmmad Askari Ka Meh Luqa.
Aa Raha Hai Aa Raha Hai Marhaba Sad Marhaba.
Majlis-e-Shabir Mein Ab Shor-e-Giriya Dekhna.
Pursa Daro Farsh-e-Gham Par Apna Mula Dekhna.

Surkh Aandiyaan Uthein Gi Phir Samaj Mein Aye Ga.
Jis Ki Dunya Muntazir Thi Phir Woh Manzar Aye Ga.
Mosam-e-Insaaf Le Kar Mera Mula Aye Ga.
Kufar Hujron Mein Chupe Ga Darbadar Ho Jaye Ga.
Mukhtasir Lashkar-e-Imam-e-Asar Ka Cha Jaye Ga.

Aye Ga Jab Haidery Talwar Ka Woh Wirse Dar.
Dekhna Chalti Hai Kaise Taig-e-Shair-e-Kirdgar.
Phir Zameen-o-Aasmaan Tak Aik Hi Ho Gi Pukar.
Shah-e-Mardaan Shair-e-Yazdaan Qowat-e-Parwardigar.
La-Fatah Illah Ali La Saif Illah Zulfiqar.

Dekhna Iss Tarha Mula Majlisein Karwaein Gaye.
Majliso Mein Karbala Wale Bulaye Jaein Gaye.
Nara-e-Haider Lage Ga Panjtan Jab Aein Gaye.
Dekhna Unn Majlisoon Mein Har Shaheed Aa Jaye Ga.
Phir Tu Woh Matam Karein Gaye Aasmaan Hil Jaye Ga.

Chand Narjis Ka Falak Se Jab Zameen Par Aye Ga.
Aein Gaye Sare Farishte Auliya-o-Ambiya.
Aab-e-Kausar Ki Sabeelein Bhi Lagein Gi Jabaja.
Unn Ke Aate Hi Sitare Khud Zameen Par Aein Gaye.
Dekhna Shehar-e-Khamoshaan Mein Diye Jal Jaein Gaye.

Akbar-o-Abbas-o-Qasim Ke Liye Giriya Kuna.
Roein Gaye Matam Karein Gaye Jab Imam-e-Ins-o-Jaan.
Fatima Zahra Ki Aye Gi Yeh Awaz-e-Fugaan.
Aye Ghareeb-o-Be-Watan Aye Karbala Wale Hussain.
Tera Nana Kar Raha Hai Teri Mazlomi Pe Bain.

Farsh-e-Majlis Syed-e-Sajjad Khud Bichwaein Gaye.
Marsiya Parhte Howay Baba Ka Akbar Aein Gaye.
Hazrat-e-Abbas Bhi Apne Alam Ko Laein Gaye.
Noha Ik :REHAN: Se Mula Mere Likhwaein Gaye.
Phir Yeh Noha Sath Mein :SARWAR: Ke Sab Parhwaein Gaye.

Yeh Teri Dunya Yeh Dunyadari.
Insaniyat Hai Be-Chain Sari.
Anjane Khadshe Yeh Be-Qarari.
Sab Kuch Hai Phir Bhi Sab Se Bezari.
Lekin Yeh Mano Koi Khuda Hai.
Oss Ka Waseela Kuch Keh Raha Hai.

Jab Bhi Koi Gham Ka Ahsas Pao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Dunya Yeh Teri Kya Tujh Ko De Gi.
Kis Ko Diya Hai Jo Tujh Ko De Gi.
Apni Muradein Ghazi Se Pao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao

Tere Sahare Toot Gaye Kya.
Apne Paraye Roth Gaye Kya.
Rothe Hoaon Ko Apne Manao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao

Jab Gham Rolaye Jab Dil Ho Bhojal.
Teri Wafa Ka Na De Koi Phal.
Kya Gham Hai Gham Ko Ab Bhool Jao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Saye Mein Mere Ab Bhi Rehti.
Meri Sakina Pyari Bhatiji.
Jab Aao Bacho Ko Sath Lao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Khush Ho Gi Tum Se Meri Sakina.
Gharmi Ka Jab Bhi Aye Mahina.
Pani Parindon Ko Bhi Pilao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Aye Mere Aaqa Ke Pursa Daro.
Aye Noha Khuwano Matam Guzaro.
Jao Jahan Bhi Majlis Karao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Mere Alam Par Bibiyon Aana.
Sar Ko Khudara Apne Chupana.
Sab Ne Sataya Tum Na Satao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Aath Muharam Parcham Saja Kar.
Bachon Ko Apne Saqa Bana Kar.
Nam-e-Sakina Pani Pilao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Beta Hoon Main Bhi Mushkil Kusha Ka.
Pyara Hoon Main Bhi Hajat Rawa Ka.
Thokar Lage Jab Jab Choot Khao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

:REHAN-O-SARAR: Woh Din Bhi Aaye.
Ghazi Yeh Keh Kar Hum Ko Bolaye.
Hum Hain Tumhare Tum Gham Na Khao.
Aao Alam Ke Saaye Mein Aao.

Aa Alamdar Haye Alamdar

Karty Thy Ro Ro Ky Yeh Hazrat Bayan Torh Gaye Meri Kamar Bhai Jaan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Roti Hai Khaimy Mein Sakina Wahan Soty Ho Abbas Zameen Par Yahan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Ary Lash Uthaye Ga Kon Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Qabr Banaye Ga Kon Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Hum Ko Sambhaly Ga Kon Shair E Jawan Mar Gaya
Torho Na Ghurbat Mein Meri Aas Utho
Utho Hussain Aya Hai Abbas Utho
Rota Hai Mazloom Ba Sad Yaas Utho
Utho Bas Ab Ghar Mein Chalo Bhai Jaan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Ary Kon Khabar Ly Meri Shair E Jawan Mar Gaya
Haye Meri Bey Kasi Shair E Jawan Mar Gaya
Chalti Hai Dill Par Churi Shair E Jawan Mar Gaya
Kya Hua Saqqa E Sakina Ko Aa
Kis Ny Kiya Mera Bhara Ghar Tabah
Kya Hui Abbas Baradar Ki Chah
Ab Gaiin Woh Pyar Ki Baten Kahan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Ary Mar Gaya Akbar Pisar Shair E Jawan Mar Gaya
Thaam Lo Meri Kamar Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Lut Gaya Bey Kas Ka Ghar Shair E Jawan Mar Gaya
Quwat E Bazo Mera Kya Ho Gya
Zeenat E Pehloo Mera Kya Ho Gaya
Ashiq E Dill Joo Mera Kya Ho Gaya
Kya Hua Afsos Mera Qadar Daan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Ary Dhoom Hai Khaimy Mein Waan Shair E Jawan Mar Gaya
Karti Hai Zainab Fughan Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Kis Sy Karun Main Bayan Shair E Jawan Mar Gaya
Hath Sy Khoya Dil E Gham Khuwar Ko
Paun Kahan Apny Alamdar Ko
Dair Hui Khanjar E Khoon Khuwar Ko
Jald Galy Par Ho Mery Ab Rawan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Ary Ab Koi Chara Nahi Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Zeest Gawara Nahi Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Koi Hamara Nahi Shair E Jawan Mar Gaya
Maan Hai Bani Hashim E Wala Nahi
Is Mere Mehloo Ka Ujala Nahi
Haye Mera Chahny Wala Nahi
Nazron Mein Tareek Hai Sara Jahan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Ary Lash Uthaye Ga Kon Shair E Jawan Mar Gaya
Qabr Banaye Ga Kon Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Hum Ko Sambhaly Ga Kon Shair E Jawan Mar Gaya
Torho Na Ghurbat Mein Meri Aas Ko
Utho Hussain Aya Hai Abbas Utho
Rota Hai Mazloom Ba Sad Yaas Utho
Utho Bas Ab Ghar Mein Chalo Bhai Jaan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Ary Ankhon Ka Tara Mera Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Jaan Ka Tukra Mera Shair E Jawan Mar Gaya
Ary Ghar Ka Ujala Mera Shair E Jawan Mar Gaya
Rooh E Ali Jan E Nabi Alwida
Ashiq O Shaidaye Akhi Alwida
Lasha E Abbas E Ali Alwida
Aty Hain Ab Hum Bhi Chalo Bhai Jaan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Karty Thy Ro Ro Ky Yeh Hazrat Bayan
Torh Gaye Meri Kamar Bhai Jaan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Roti Hai Khaimy Mein Sakina Wahan
Soty Ho Abbas Zameen Par Yahan

Aa Alamdar Haye Alamdar

Lo Ho Gai Rihai Lo Qafila Chala
Sar Jab Har Ek Shaheed Ka Sajjad Ko Mila
Tab Marqad E Sakina Py Sajjad Ny Kaha
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Baba Tumhara Aya Gaya Waqt Neend Ka
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Seeny Py Sony Wali Matti Py So Gai
Baba Ko Roty Roty Jo Khamosh Ho Gai
Ro Ro Ky Maan Ny Qabr E Sakina Py Yeh Kaha
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Bibi Karo Salam Adab Ka Maqam Hai
Bibi Tery Sarhany Shah E Tishna Gaam Hai
Ay Jaan Jaldi Badlo Yeh Kurta Phata Hua
Jaag Sakina Jag Baba Ka Sar Aaya

Baba Ko Dhundti Thi Sakina Utho Utho
Raton Ko Jagti Thi Sakina Utho Utho
Lo Aa Gaye Hain Baba Ay Jaan Jaag Ja
Jag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya

Baba Ky Pas Sona Na Sona Zameen Par
Rakho Labon Ko Lab Par Jabeen Ko Jabeen Par
Ahdaa Ki Ghurhkion Ka Zamana Guzar Gaya
Jag Sakina Jag Baba Ka Sar Aya

Paigham Roz Deti Thi Ammu Ky Naam Tum
Roti Thi Yad Kar Ky Unhen Subh O Sham Tum
Jago Ky Ja Rahy Hain Jahan Soty Hain Chacha
Jag Sakina Jag Baba Ka Sar Aya

Kis Tarha Soi Bali Sakina Na Poochiye
Ranj O Alam Sy Phat’ta Hai Seena Na Poochiye
Jaagi Na Phir Kabhi Woh Bahut Maan Ny Di Sada
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aya

Sadiyan Guzar Gai Hain Magar Sarwar O Rehan
Zindaan E Sham Roye To Rota Hai Aasman
Ab Bhi Pukarty Hain Yehi Shah E Karbala
Jag Sakina Jag Baba Ka Sir Aya

Sab Karbala Ko Jaein Gay Majlis Matam Karwaein Gay.

Yeh Wirsa Martay Martay Bhi Hum Naslon Ko De Jaein Gay.
Jee Karta Hai Mere Maula Sab Karb-o-Bala Ko Jaein Gay.
Ghazi Ka Alam Uthaein Gay Dunya Se Qafilay Aaein Gay.
Jee Karta Hai Mere Maula Sab Karb-o-Bala Ko Jaein Gay.

Jab Subha Hogi Karbal Mein Hum Khak-e-Shifa Ko Chomein Gay.
Din Raat Wahan Sab Ahl-e-Azza Maula Ka Soag Manaein Gay.

Jab Dekhein Chand Muharram Ka Sab Jaein Khiyam-e-Hussaini Par.
Abbas Ke Khaimay Par Ruk Kar Jab Izn-e-Ziyarat Paein Gay.

Jab Pohanchin Gay Oss Manzil Par Asghar Ke Laga Tha Teer Jahan.
Bulwaein Gay Nanhay Bachoon Ko Sab Ko Pani Pilwaein Gay.

Matam Na Rukay Ga Ahl-e-Azza Akbar Ke Jahan Naiza Tha Laga.
Hum Khon-e-Ali Akbar Ki Qasam Noha Sughra Ka Sunaein Gay.

Darya Ke Kinaray Baith Ke Hum Roein Gay Woh Manzar Soch Ke Hum.
Jab Khoon Mein Bhara Aaya Tha Alam Yeh Soch Ke Ashk Bahaein Gay.

Jab Aath Muharram Aaye Gi Bachoon Ko Banaein Gay Saqqa.
Ik Roz Saja Ke Mashk-o-Alam Sharbat Pe Nazar Dilwaein Gay.

Jab Sham-e-Ghareebaan Aaye Gi Kiya Kiya Na Humein Rulwaye Gi.
Ik Jaltay Hoye Jholay Ki Shabeeh Yaad Aayi Tu Mar Jaein Gay.

Jis Telay Se Zainab Ne Kabhi Kattay Hoye Dekha Bhai Ka Sar.
Yaad Aaye Ga Rooz-e-Ashora Seene Gham Se Phat Jaein Gay.

Ashor Ka Din Jab Hoga Ayyaan Maula Se Kahin Gay Ro Ro Kar.
Daman Mein Chupa Lijiye Maula Hum Laut Ke Ghar Na Jaein Gay.

:REHAN: Ki aur :SARWAR: Ki Sada Hai Karb-o-Bala Se Wabasta.
Yeh Wirsa Martay Martay Bhi Hum Naslon Ko De Jaein Gay.

Naize Se Asghar Ko Nazar Ayi Jo Madar.
Dekha Khula Sar Hai Pareshan Hai Muztar.
Rone Lage Kehne Lage Tab Ali Asghar.
Maa Mujhe Apne Seene Se Laga Le.
Maa Mujhe Apni Godi Mein Chupa Le.
Main Main Naize Pe Hoon.

Amma Bohat Din Howay Jhole Mein Na Soya.
Maa Teri Izzat Ki Qasam Phir Bhi Na Roya.
Ab Tujhe Dekha Tu Mere Lab Howay Goya.
Aaj Bandhe Hathon Ko Jhola Sa Bana Le.

Jism Kahan Sar Kahan Haye Muqadar.
Amma Badan Reh Giya Karbal Ki Sar Zameen Par.
Amma Tere Sath Chala Aaya Mera Sar.
Karta Tujhe Kaise Laeeno Ke Hawaly.

Garm Hawa Garam Zameen Jalta Howa Teer.
Amma Zara Socho Mere Qad Se Bara Teer.
Kaise Kahon Halq Pe Jis Waqt Laga Teer.
Ho Gaye Be-Hoosh Mujhe Dekhne Wale.

Kab Se Sakina Ne Nahi Mujh Ko Kiya Pyar.
Karb-o-Bala Kofa Kahan Sham Ka Bazar.
Darti Hai Kya Khoon Se Bhare Dekh Ke Rukhsar.
Naize Ke Nazdeek Zara Oss Ko Bula Le.

Dhoop Mein Tu Ne Na Kabhi Ghar Se Nikala.
Amma Bare Pyar Se Tu Ne Mujhe Pala.
Aaj Nahi Koi Mujhe Dekhne Wala.
Tu Hi Mujhe Dhoop Ki Shidat Se Bacha Le.

Dekh Tera Lakht-e-Jigar Youn Tu Hai Asghar.
Naiza Sawari Mein Hai Akbar Ke Barabar.
Nook-e-Sina Par Hai Sitara Sa Mera Ghar.
Meri Shujaat Pe Gale Mujh Ko Laga Le.

Baba Ka Sar Bahi Ka Sar Nook-e-Sina Par.
Aap Ke Sar Par Nahi Amma Koi Chadar.
Kaise Main Bardasht Karon Amma Yeh Manzar.
Urti Hoi Khak Se Munh Apna Chupa Le.

Tukre Kaleja Howa Bano Ka Har Ik Aan.
Naize Pe Goya Howa Jab Choota Sa Quran.
Maa Ki Yeh Aawaz Thi Bas :SARWAR-O-REHAN:.
Hath Hoon Aazad Tu Arman Nikale.

Aap Achy Hain Chacha

Par Yeh Zamana Nahi Acha

Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Aasman Roye Ga Khaimon Mein Qayamat Ho Gi
Bin Alamdar E Alam Khaimon Mein Lana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Sirf Ek Raat Mein Kiun Boorha Hua Hai Sajjad
Sar Khuly Maaon Ky Baiton Ko Dikhana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Aik Shehzadi Thi Jis Shehar Ki Bibi Zainab
Us Ky Bazaron Mein Zainab Ko Phirana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Jaisy Zindan Mein Sakina Hai Mili Baba Sy
Is Tarah Bap Sy Beti Ko Milana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Khush Naseebi Hai Jo Dy Baap Ko Beta Kaandha
Baap Ka Lash E Jawan Haye Uthana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Qabr Asghar Ki Bana Kar Hai Pareeshan Hussain
Aag Si Rait Mein Ek Phool Chupana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Ab Hamesha Main Rahun Gi Isi Zindaan Mein Chacha
Main Na Kehti Thi Mujhy Chorh Ky Jana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Sar Khuly Bibiyan Roti Hain Aza Khanon Mein
Shab E Ashoor Charaghon Ko Jalana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Har Khushi Sadqy Mein Zainab Ky Khuda Dy Tujh Ko
Han Muharram Mein Khushi Koi Manana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Hum Ali Walon Ko Ay Sarwar O Rehan Kabhi
Farsh E Matam Ky Siwa Dhundny Jana Nahi Acha

Aap Achy Hain Chacha Par Yeh Zamana Nahi Acha
Pyaas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha

Salam Nana Ke Roze Salam Maa Ke Mazaar.

Main Tera Deen Bachaon Ga Aye Mere Nana.
Main Apna Khon Bahaon Ga Aye Mere Nana.
Hussain Jata Hai Marne Salam Maa Ke Mazaar.

Meri Shareek-e-Safar Ban Ke Sath Chal Amma.
Safar pe Jata Hoon Kapre Mere Badal Amma.
Libas-e-Khuld Sajja De Badan Pe Phir Aik Baar.

Dua Karo Koi Sar Be-Rida Na Ho Amma.
Namaz-e-Shoq-e-Shahadat Qaza Na Ho Amma.
Na Aye Mere Chaman Pe Sitam Ki Gard-o-Ghubar.

Diye Jalane Ko Nana Tumhare Roze Par.
Zaror Aye Gi Sughra Har Aik Sham-o-Sahar.
Khuda Kare Rahe Roshan Sada Tumhara Mazaar.

Tumhare Jaisa Hai Nana Yeh Mera Lal Akbar.
Dua Karo Na Lage Issko Aasmaan Ki Nazar.
Lute Na Door Watan Se Hamare Dil Ka Qarar.

Tamam Phool Se Bache Hain Our Garam Hawa.
Hamare Khoon Ki Pyasi Hai Foaj-e-Zulm-o-Jafa.
Safar Mein Koi Shajar Bhi Nahi Hai Saya Daar.

Haan Aik Phool Tu Aisa Ho Jo Khila Bhi Nahi.
Na Paye Pani Tu Kar Sakta Woh Gila Bhi Nahi.
Woh Jis Ke Dehan Se Atti Hai Doodh Ki Mehkar.

Meri Sakina Kahan Our Rasan Ke Band Kahaan.
Zameen-e-Garam Pe Chalna Osse Pasand Kahan.
Qadam Woh Phool Se Nazuk Woh Raste Purkhaar.

Yehi Hai :SARWAR-O-REHAAN: Zindagi Ka Sharaf.
Kabhi Ziyarat-e-Karb-o-Bala Kabhi Hai Najaf.
Inhi Fizaon Mein Aati Hai Shah-e-Deein Ki Pukaar.

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Bar E Ilaha Ban Ky Sawali Tery Huzoor
Daman Mein Apny Laye Hain Bey Inteha Qusoor
Lekin Hamary Seenon Py Matam Ka Dekh Noor
Apny Nabi Ky Sadqy Mein Bakhshy Ga Tu Zuroor

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Maula Ali Ka Rabb E Jahan Tujh Ko Wasta
Ya Rab Baraye Fatima Siddeeqa Tahira
Dy Ilm Aur Rizq Ka Saghar Bhara Hua
Tooty Na Naimaton Ka Mery Ghar Sy Silsila

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Malik Tujhy Imam E Hasan Ka Hai Wasta
Jis Ky Lahoo Sy Karbobala Ki Hai Ibtida
Han Us Imam E Aman Ky Sadqy Mein Kibriya
Is Mulk Mein Ho Aman Ka Parcham Khula Hua

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Ab Wasta Hussain Alaihis Salam Ka
Parwardigar E Sabr Shah E Tishna Gaam Ka
Jis Ky Labon Py Wird Tha Tery Hi Naam Ka
Khanjar Taly Jo Qari Tha Tery Kalam Ka

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Yeh Rab Tu Meri Hasti Ko Aisa Sanwar Dy
Tu Apni Rehmaton Sy Mera Ghar Nikhar Dy
Sajjad Ka Tu Sadqa Ay Parwardigar Dy
Beemar Ko Shifa Dy Mukammal Qaraar Dy

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Maalik Imam E Baqar O Jafar Ka Wasta
Majlis Mein Main Hussain Ki Karta Hun Yeh Dua
Dono Ka Wasta Tujhy Deta Hun Ay Khuda
Maqrooz Jo Hain Ghaib Sy Kar Un Ka Qarz Ada

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Ya Rab Baraye Moosiye Kazim Ali Raza
Mashad Mein Aur Najaf Mein Jo Hain Qibla E Dua
Tu In Ky Wasty Sy Woh Aulad Kar Ata
Maan Baap Jis Sy Shad Hon Jin Ki Ho Yeh Sada

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Ya Rab Baraye Maula Naqi Taqwa E Taqi
Dy Jazba E Jahan Ba Sad Shan E Askari
Mehdi Ka Bhi Zuhoor Dikha Dy Isi Sadi
Tery Huzoor Meri Dua Hai Yeh Akhri

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah

Hum Teri Bargaah Mein Ay Rabb E Kirdigaar
Roye Hain Jo Dua E Tawassul Mein Zaar Zaar
Sun Ly Sadaye Sarwar O Rehan Aik Bar
Hum Ko Imam E Asr Ky Lashkar Mein Kar Shumar

Ya Wajihan Indallah Ishfa’aa Lana Indallah