Suno Hussainio
Hussain Woh Jo Zair E Taigh Hans Ky So Gaya
Yazeed Woh Jo Zillation Ka Naam Ho Gaya
Hussain Woh Jo Marzi E Khuda Khareed Ly
Yazeed Wo Hai Jis Ka Koi Nam Bhi Na Ly
Yazeed Zinda Reh Ky Murdabad Ho Gaya
Hussain Sar Kata Ky Zindabad Zindabad Zindabad Ho Gaya
Zindabad Zindabad Zindabad Zindabad Zindabad
Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Quran Mein Hadees Mein Yazeed Ka Bayan Nahi
Yazeed Ki To Qabr Ka Kahin Bhi Koi Nishan Nahi
Han Ja Baja Hai Hai Dehr Mein Hussain Ki Aulad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Buraion Ko Dehr Mein Yazeed Aam Kar Gaya
Hussain Sy Larha To Apni Maot Aap Mar Gaya
Yeh Kal Bhi Murdabad Tha Yeh Ab Bhi Murdabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Har Ek Shareef Zehn Sy Yazeed Itna Gir Gaya
Kisi Ny Apny Laal Ka Yazeed Nam Na Rakha
Yeh Kal Bhi Na Murad Hai Yeh Ab Bhi Na Murad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yazeed Waly Takht Par Naseeb Ky Kharab Hain
Hussain Waly Qaid Mein Bhi Reh Ky Kamyab Hain
Hussainiat Ki Thokren Yazeed Aur Ibne Ziyad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Jahan Mein Sab Sy Zyada Ashk Jis Ky Naam Par Baha
Zamaney Laa Gham E Hussain Ka Koi Jawab Laa
Guinness Book Ko Bas Mery Hussain Sy Anaad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yazeed Aik Lakh Hon Muqably Py Gham Nahi
Hussain Wala Aik Ho To Lashkaron Sy Kam Nahi
Hussain Ko Bhi Apny Matami Py Aitemad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Ali Ki Beti Zainab E Hazeen Hussain Ban Gai
Shareekatul Husssain Thi Yazeediat Py Chaa Gai
Hussain Sy Parha Hua Sabaq Jo Is Ko Yad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Tarana E Hussain Hai Han Sath Do Hussainio
Hussain Sy Murad Lo Murad Lo Hussainio
Hussain Jis Ko Dy Dy Us Ki Nasl Ba Murad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Nabi Ka Mulk E Pak Hai Nadeem Aur Rehan Hai
Hamari Sarhadon Py Sab Hussain Ky Jawan Hain
Karam Hai Mustafa Ka Apna Mulk Shad Bad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Yeh Kal Bhi Zindabad Tha Yeh Ab Bhi Zindabad Hai
Hussain Zindabad Hussain Zindabad
Ek Shor Hai Alaman
Abbas Aa Rahey Hen
Ek Hath Mein Alam Aur Mashk E Sakina
Abbas Aa Rahey Hen
Kandhy Py Mashk Mashk Mein Dil Hai Dalair Ka
Dariya Ko Cheen Lena Nahi Kam Dair Ka
Ehsan Tishnagi Mein Bhuly Ga Na Ghair Ka
Bigrha Hua Mizaj Hai Haider Ky Shair Ka
Abbas Aa Rahey Hen
Chehra Hai Walqamar Ka Ziyaon Sy Noor Norr
Ankhon Sy Jhankta Hua Wan Najm Ka Suroor
Bala Kadi Hai Aisi Ky Sharmaye Koh E Toor
Zulfen Daraz Aisi Ky Wallail Ka Shaoor
Abbas Aa Rahey Hen
Pyasa Hai Shair Ghat Ka Rasta Na Rokna
Ankhen Jhukao Shair Ki Janib Na Dekhna
Kaisi Bachy Gi Jan Yeh Lazim Hai Sochna
Abbas Hai Jalal Mein Har Giz Na Tokna
Abbas Aa Rahey Hen
Tewar Bata Rahy Hain Qayamat Uthaye Ga
Taigh E Nazar Sy Is Ki Khuda Hi Bachaye Ga
Aaya Jo Samny Koi Woh Mara Jaye Ga
Ek Mashk Mein Furat Ko Bhar Kar Dikhaye Ga
Abbas Aa Rahey Hen
Qabza Hua Furat Par Al Qissa Mukhtasar
Pani Ko Dekha Phat Gaya Abbas Ka Jigar
Ankhen Lahu Lahu Huiin Bachon Ki Pyas Par
Bali Sakina Bachon Sy Kehti Rahi Udhar
Abbas Aa Rahey Hen
Khaimy Ky Dar Py Pyasi Sakina Thi Muntazar
Junbish Alam Ki Dekh Ky Deti Thi Yeh Khabar
Tishna Labon Dua Mein Tumhari Hua Asar
Woh Dekho Aa Raha Hai Chacha Ka Alam Nazar
Abbas Aa Rahy Hein
Aaya Alam Zuroor Magar Khoon Mein Bhara
Zainab Ny Sar Ko Peet Ky Shabbir Sy Kaha
Kiun Kham Kamar Hai Ap Ki Ghazi Kahan Gya
Boly Hussain Ab Koi Pyasa Na Dy Sada
Abbas Aa Rahe Hain
Barhaq Hai Maot Kehti Hai Quran Si Kitab
Sab Ko Fana Hai Chand Ho, Tarey Hon, Aftaab
Ho Ga Nadeem Sarwar O Rehan Jab Hisab
Keh Den Gy Ham Khuda Sy Ky Deny Ko Ab Jawab
Abbas Aa Rahy Hain
Ek Hath Mein Alam Aur Mashk E Sakina
Abbas Aa Rahey Hen
Ek Shor Hai Al Aman
Ek Shor Hai Al Aman
Ashoor Ki Shab Haye Sakina Ka Woh Rona
Aur Syed E Mazloom Ka Beti Sy Yeh Kehna
Ary Tu Roye Main Yeh Dekh Nahi Sakta Sakina
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Pehloo Mein Kabhi Maan Ky Bhi Soya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Kya Hoye Yeh Kisi Shab Ko Jo Hum Ghar Mein Na Ayen
Tum Hum Ko Na Pao Tumhen Hum Bhi Nahi Payen
Tarhpo Gi Nahi Dard Sy Wada Karo Bibi
Pehloo Mein Kabhi Maan Ky Bhi Soya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Betha Karo Kuch Dair Charaghon Ko Bhuja Kar
Samjha Karo Is Khak Ko Ay Ladli Bistar
Bali Kabhi Yun Hi Nahi Pehna Karo Bibi
Pehloo Mein Kabhi Maan Ky Bhi Soya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Ary Kuch Dair To Yeh Farz Karo Hum Na Rahen Gy
Baqi Na Rahy Hath Koi Rakhny Ko Sar Par
Mahol Yateemon Ka Bhi Socha Karo Bibi
Pehloo Mein Kabhi Maan Ky Bhi Soya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Adat Zara Tanhai Main Rehny Ki Bhi Dalo
Tasveer Tasawwur Mein Aseeri Ki Bana Lo
Azad Parindon Ko Na Dekha Karo Bibi
Pehloo Mein Kabhi Maan Ky Bhi Soya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Asghar Ko Na Manoos Karo Pyar Sy Apny
Akbar Ki Uroosi Ky Na Dekha Karo Sapny
Sughra Ky Qareeb Itna Na Betha Karo Bibi
Pehlu Mein Kabhi Maan K Bhi Soya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Zindan Sy Rehan Sada Ati Hai Aksar
Jaisy Ky Sakina Sy Yeh Farmaty Hon Sarwar
Ab Dar Sy Laeenon Ky Na Jaga Karo Bibi
Pehloo Mein Kabhi Maan Ky Bhi Soya Karo Bibi
Achi Nahi Yeh Baat Na Roya Karo Bibi
Sab Phoolon Ky Ghar Mein Aik Sawari Dulhan Aye
Tum Jaisy Ho Bas Wesi Hi Pyari Dulhan Aye
Sar Py Agar Sehra Sajana
Hath Py Kangna Jo Bandhana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Fatima Sughra Ny Yeh Akbar Ko Likha Hai
Bhai Salamat Raho Behna Ki Dua Hai
Bad Dua Dil Mein Yeh Arman Basa Hai
Masnad E Shadi Jo Bichana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Baba Ki Aghosh Mein Main Bhi To Pali Hun
Bhaiya Teri Ungli Pakarh Kar Main Chali Hun
Kiun Main Teri Chaon Sy Mehroom Rahi Hun
Baba Ki Jab Chaon Mein Jana
Bhaiya Mujhy Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Baba Sy Kehna Ky Meri Jald Khabar Len
Toot Na Jayen Kahin Baba Meri Sansen
Kat’ta Nahi Din Na Guzarti Hain Yeh Raten
Khat Mera Baba Ko Sunana
Bhaiya Mujhy Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Bhaiya Tery Bad Din Jo Eid Ka Aaya
Eid Ky Din Eid Mein Gham Main Ny Hai Paya
Mujh Ko Bhary Ghar Ki Judai Ny Rulaya
Dukh Yeh Mera Sab Ko Batana
Bhaiya Mujhy Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Sunti Hun Karbal Ki Bahut Garm Hawa Hai
Amman Sy Kehna Ky Yeh Sughra Ny Kaha Hai
Phool Sa Asghar Jo Mera Sath Gya Hai
Dhoop Sy Jab Us Ko Bachana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Behnon Ka Dil Jan E Jigar Hota Hai Bhai
Aankhen Theharti Hain Jidhar Hota Hai Bhai
Mery Tarhapny Ka Asar Hota Hai Bhai
Tum Ho Jahan Mujh Ko Bulana
Bhaiya Mujhy Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Bhaiya Mujhe Rehta Hai Har Waqt Yeh Ehsas
Bhool Gaye Kya Mujhy Mery Chacha Abbas
Aaye Alam Aaye Sakina Ho Mery Pas
Aas Meri Torh Na Jana
Bhaiya Mujhy Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Amman Sy Kehna Ky Sakina Ki Qasam Hai
Fasila Ab Qabr Sy Beemar Ka Kam Hai
Dair Na Karna Ky Mery Honton Py Dam Hai
Hath Dua Ko Jo Uthana
Bhaiya Mujhy Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Haye Khat E Sughra Ky Akhir Mein Likha Tha
Acha Mery Bhai Khuda Ko Tumhen Sonpa
Sarwar O Rehan Yeh Jumla Bhi Ajab Tha
Acha Meri Qabr Py Ana
Bhaiya Mujhy Bhool Na Jana
Sar Py Agar Sehra Sajana
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana
Ayi Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Zabeeh E Bey Khata Shudi
Qateel E Dasht E Nainawa
Hussain Shaheed E Karbala
Shudast E Naze Hal Ata
Ilaj E Dard E La Dawa
Jahan Hai Dard E Karbala
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Biqa E Chashm E Nam Koi
Shaheed E Mohtaram Koi
Jahan Hussain E Rahnuma
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Shabab E Akbar E Jawan
Nisha Na Kar Dushamiya
Jahan Jawan Ka Gham Bapa
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Bahar Rukhu Bahar Jiha
Baka Baka Hussainiya
Jahan Khuda Hai Ba Khuda
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Shaheed E Karbala Hussain
Bina E La Ilaa Hussain
Jahan Jahan Teri Sada
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Alam Juloos E Taziye
Ye Majlisen Ziyaraten
Jahan Charagh E Mustafa
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Saji Hui Abadiyan
Rida Baghair Bibian
Jahan Dikhai Dy Rida
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Jigar Jigar Sinaan Sinaan
Lahu Lahu Dhuwan Dhuwan
Jahan Hussaini Silsila
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed E Karbala
Rehan o Sarwar e Hazeen
Gham e Hussain Mein Jabeen
Jhuki Mily Gi Jis Jaga
Wahan Wahan Karbala
Hussain Shaheed e Karbala
Parho Kalma Nabi Ka Musalmano
Han Karo Matam Hussain Ka Azadaro
Deen Ny Maula Shabbir Ko Di Sada
Amman Zehra Ky Marqad Sy Rukhsat Hua
Lab Py Nam E Khuda Dil Mein Thi Karbala
Din Bhi Garmi Ky Thy Sath Bachon Ka Tha
Phir Bhi Marny Chala Woh Musalmano
Han Karo Matam Hussain Ka Azadaro
Shah Ky Hamrah Thiin Bibian Betiaon
Nojawan Sath Thy Sath Tha Bey Zuban
Haye Kis Shan Sy Woh Huye Thy Rawaan
Ek Beemar Leti Thi Hichkian
Shor E Matam Utha Tha Musalmano
Han Karo Matam Hussain Ka Azadaro
Do Muharram Ko Karbobala Aa Gaye
Alqama Ky Kanarey Jo Khaimy Lagy
Ashqiya Ny Kaha Aa Ky Shabbir Sy
Apny Khaimey Yahan Sy Utha Lijiye
Waqt Kya Aa Gaya Tha Musalmano
Han Karo Matam Hussain Ka Azadaro
Hal Min Karbobala Mein Larhai Hui
Sari Faoj E Khuda Khak Par So Gai
Aai Sham E Ghareeban Raha Na Koi
Itrat E Mustafa Sooye Zindan Chai
Nangy Sar Bibian Hain Musalmano
Han Karo Matam Hussain Ka Azadaro
Haye Bazar E Koofa Ka Woh Marhala
Betian Thiin Muhammad Ki Jab Bey Rida
Gir Ky Naaqon Sy Bachon Ki Yeh Sada
Alwida Madar E Ghamzada Alwida
Aasman Ro Raha Tha Musalmano
Han Karo Matam Hussain Ka Azadaro
Mery Sajjad Boli Yeh Binte Ali
Janti Hai Mujhy Sham Ki Har Gali
Kal Talak Shahzadi Thi Main Sham Ki
Khak Urhao Ky Mujh Ko Na Dekhy Koi
Yeh Tha Zainab Ka Noha Musalmano
Han Karo Matam Hussain Ka Azadaro
Haye Hussaina
Kehti Thi Zainab
Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Karbobala Kuch Na Diya Karb O Aziyat Ky Siwa
Mery Daman Mein Bacha Kya Hai Museebat Ky Siwa
Karbala Tujh Sy Mila Kya Hai Qayamat Ky Siwa
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Subh E Ashoor Azan E Ali Akbar Ki Qasam
Mery Bhai Py Chaly Teer Hazaron Paiham
Chup Rahi Karbobala Hoty Rahy Hum Py Sitam
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Mera Athara Baras Wala Jiyala Akbar
Kha Gai Us Ko Bhi Ay Karbobala Teri Nazar
Main Ny Dekha Hai Usi Laal Ka Barchi Mein Jigar
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Bhai Athara Thy Do Bety Thy Koi Na Raha
Ab To Tanhai Meri Deti Hai Mujh Ko Pursa
Kya Bhara Ghar Tha Mera Kar Diya Mujh Ko Tanha
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Mery Abbas Py Kya Guzri Bataun Kaisy
Mashk Ek Bharny Mein Do Bazo Qalam Ho Ky Giry
Us Ky Marny Sy Hai Mehroom Behan Chadar Sy
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Bey Khata Qatl Hua Bhai Mera Jangal Mein
Saikarhon Zakhm Kalaijey Py Lagy Ek Pal Mein
Aag Pani Ny Laga Di Hai Mery Aanchal Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Mery Allah Mujhy Sham Talak Jana Ahi
Koi Bhi Apna Nahi Shehar Bhi Bey Gana Hai
Teri Khushnoodi Mein Rassi Mein Mera Shana Hai
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ta Qayamat Rahy Rehan Nazaa E Sarwar
Khoon E Dil Behta Rahy Aankh Sy Aansoo Ban Kar
Yeh Sada Kanon Sy Takrati Hai Ab Bhi Aksar
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Ho Gai Barbad Yeh Behna Karbobala Mein
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina
Sham E Gham Aa Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Sirf Rony Ko Muhammad Ki Nawasi Reh Gai
Saj Gai Qasim Ky Tukron Sy Udhar Karbobala
Maan Idhar Bety Ki Dulhan Ko Sajati Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Cheenta Tha Shimr Chadar Aur Zainab Bar Bar
Apni Chadar Ky Muhafiz Ko Bulati Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Khoon E Dil Abbas Ka Sab Beh Gaya Ran Mein Magar
Dil Mein Bas Ek Bat Zainab Ki Rida Ki Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Ay Musalmano Tumhari Ghairaten Kya Ho Gaiin
Tum Tamashai Thy Zainab Munh Chupati Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Qaid Mein Bali Sakina Ko Mila Baba Ka Sar
Munh Py Munh Rakh Kar Jo Soi Maan Jagati Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Madar E Asghar Na Bethi Saye Mein Asghar Ky Bad
Saye Mein Aai To Zinda Lash Baqi Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Har Tamanchy Par Sakina Munh Py Rakh Kar Nanhy Hath
Neel Rukhsaron Ky Ghazi Ko Dikhati Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Aa Gaye Rehan O Sarwar Karbala Sy Laot Kar
Aaj Tak Khushboo Badan Mein Karbala Ki Reh Gai
Kya Raha Khemo Mein Sheh Ky, Ek Udasi Reh Gai
Mazloom Ka Matam Hai Mazloom Ka Matam
Logon Yeh Tamasha Nahi
Is Rony Py Hansna Nahi
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Kya Milta Hai Matam Mein
Kis Tarha Batayen
Mazloom Ko Roty Hain
Mazloom Jahan Mein
Pathar Nahi Seeny Mein
Dil Hai To Yeh Matam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Ghar Fatima Zehra Ka
Kis Tarha Sy Ujrha
Jab Ho Gi Qayamat To
Yun Ayen Gi Zehra
Ek Hath Mein Do Bazoo
Ek Hath Mein Parcham
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Jab Pyare Muhammad Sy
Main Pyar Karun Ga
Phir Us Ky Nawasey Ka
Matam Bhi Karun Ga
Jis Ghar Mein Muhammad Hai
Us Ghar Ka Yeh Matam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Logon Nabi Zadi Ka
Bazaron Mein Aana
Aur Bandhy Ky Rassi Mein
Darbaron Mein Lana
Is Bat Py Roty Hain
Is Dard Ka Matam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Zanjeeron Mein Jakrha Hai
Shabbir Ka Beta
Maan Behan Khuly Sar Thi
Khoon Rota Tha Maula
Sajjad Sy Poocho To
Kiun Hai Yeh Kamar Kham
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Khat Fatima Sughra Ka
Kis Waqt Mila Hai
Jab Bhai Sinan Khaye
Raiti Py Parha Hai
Khat Kon Parhy Tera
Tanhai Ka Aalam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Rehan Ka Sarwar Ka
Bakhshish Ka Waseela
Yeh Noha Yeh Matam Hai
Yeh Farsh E Aza Ka
Aur Sar Py Khula Apny
Abbas Ka Parcham
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Logon Yeh Tamasha Nahi
Is Rony Py Hansna Nahi
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam