Ay Zainab Meri Behna
Qafila Aik Main Laya Tha
Qafila Aik Ley Ja Zainab
Rasta Mushkil Hai To Kya
Nad E Ali Dohra Zainab
Qafila Aik Main Laya Tha
Qafila Aik Ley Ja Zainab
Meri Dua Hai Sath Tery Gham Na Kar Jo Hath Bandhy
Sath Mera Tha Karbal Tak Jana Hai Ab Sham Tujhy
Aik Wazeefa Ho Tera Nad E Ali Dohra Zainab
Qafila Aik Main Laya Tha Qafila Aik Ley Ja Zainab
Ly Ky Alam Tu Ghazi Ka Aj Sy Khud Ghazi Ban Ja
Tu Bhi Ali Ki Beti Hai Sadmon Sy Ghabrana Kya
Ruk Na Saky Paigham Mera Nad E Ali Dohra Zainab
Qafila Ek Main Laya Tha Qafila Ek Ly Ja Zainab
Aanso Ponch Ly Daman Sy Aj Guzar Ja Maqtal Sy
Meri Behan Hai Tu Zainab Sabr Ki Manzil Tay Kar Ly
Lakh Mukhalif Ho Yeh Hawa Nad E Ali Dohra Zainab
Qafila Ek Main Laya Tha Qafila Ek Ley Ja Zainab
Bali Sakina Jab Roye Mery Bina Jab Na Soye
Us Ko Tasalli Tum Dena Pahunchy Ga Aram Mujhy
Sun Ly Mery Dil Ki Yeh Sada Nad E Ali Dohra Zainab
Qafila Aik Main Laya Tha Qafila Aik Ley Ja Zainab
Noha Jo Rehan Likha Sarwar Ky Lehjy Mein Dhala
Karbobala Sy Ai Sada Kehty Hain Jaisy Shah E Huda
Gham Na Kar Meri Behna Naad E Ali Dohra Zainab
Qafila Aik Main Laya Tha Qafila Aik Ley Ja Zainab
Rasta Mushkil Hai To Kya Nad E Ali Dohra Zainab
Qafila Ek Main Laya Tha Qafila Ek Ly Ja Zainab
Aa Ali Asgher
Aa Ali Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Mere Mujahid Mere Sipahi
Khatm Hui Maidan Mein Larhia
Ghar Ko Sidharo Maan Ko Pukaro
Main Chain Paun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Yad Aa Rahi Hain Masoom Baten
Din Bey Sukoon Hai Bey Chain Raten
Jee Na Sakun Gi Roti Rahun Gi
Aansu Bahaun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Pooch Rahi Hai Bali Sakina
Kiun Nahi Aaya Laot Ky Bhaiya
Tu Hi Bata Dy Maidan Sy Aa Ky
Main Kya Bataun Aa Mery Asghar
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Gehry Huye Hain Sham K Saye
Ab To Parinday Bhi Laot Aye
Main Ro Rahi Hun Jaan Kho Rahi Hun
Tujh Ko Sulaun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Zakhmi Gala Aur Pyas Ki Shidat
Hoti To Ho Gi Maan Ki Zaroorat
Tu Jo Pukary Dil Ky Sahary
Main Dorhi Aun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Mehsoos Mujh Ko Yeh Ho Raha Hai
Jaisy Ky Jhoola Bhi Ro Raha Hai
Ay Mere Beta Yeh Rota Jhoola
Kaisy Jhulaun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Pyas Bhujany Nehr Kinaray
Jab Sy Gaye Ho Ay Mere Pyare
Dharhka Laga Hai Dil Doobta Hai
Palken Bichaun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Maqtal Sy Aai Kaisi Khabar Hai
Kurta Lahu Sy Sab Tera Tar Hai
Teer Laga Hai Zakhmi Gala Hai
Main Mar Na Juan Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Rehan O Sarwar Bano Ky Lab Par
Aik Sada Thi Ay Mere Asgher
Khooni Hai Jangal Hai Gham Ka Badal
Tujh Ko Chupaun Aa Mere Asgher
Jhoola Jhulaun Lori Sunaun
Doodh Pilaun Aa Mere Asgher
Tujh Ko Jo Paun Ay Mere Asgher
Aa Ali Asghar
Aa Ali Asghar
Ashoor Ka Sooraj Hai Qayamat Ki Gharhi Hai
Bhai Ka Gala Kat’ta Behn Dekh Rahi Hai
Maqtal Mein Kisi Maan Ki Sada Goonj Rahi Hai
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Merey Liye Ay Laal Tu Asghar Ki Tarha Hai
Goudi Meri Gehwara Hai Bistar Ki Tarah Hai
Is Dhoop Mein Daman Mera Chadar Ki Tarha Hai
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Main Maan Hun Mera Dil Nahi Seeney Mein Sambhalta
Nazuk Yeh Badan Tera Yeh Jalta Hua Sehra
Aur Us Py Sitam Yeh Hai Ky Tu Reh Gaya Pyasa
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Main Goud Mein Ly Lun Tujhy Seeney Sy Laga Lun
Seeney Py Sakina Ki Tarha Tujh Ko Sula Lun
Seeney Ky Tery Teer Main Palkon Sy Nikalun
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Aa Kar Mere Zanoo Py Jo So Jaty Thy Beta
Chakki Ki Mashaqat Py Bhi Pehloo Nahi Badla
Ab Kaisy Tujhy Chorh Dun Maqtal Mein Akela
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Teri Bhi To Aulad Hai Tu Bhi To Padar Hai
Aulad Ka Gham Kya Hai Yeh Tujh Ko Bhi Khabar Hai
Gham Bachy Ka Seh Jaye Yeh Kis Maan Ka Jigar Hai
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Kiun Lait Gaya Thak Ky Tu Is Jalti Zameen Par
Yeh Kis Ka Lahu Tu Ny Mala Rooh E Haseen Par
Mat Khak Py So Laal Teri Maan Hai Yaheen Par
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Jo Dil Py Tery Guzri Main Sab Dekh Rahi Thi
Har Lash Uthany Main Tery Sath Gai Thi
Ab Bat Woh Kehti Hun Jo Bachpan Mein Kahi Thi
Aa Ay Mere Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Mere Bache Meri Aghosh Mein Aa Ja
Nohy Mein Bayan Kaisy Kary Sarwar O Rehan
Parh Sakta Nahi Koi Bhi Yeh Dard Ka Quran
Maan Kehti Thi Reh Jaye Na Dil Mein Mery Armaan
Aa Ay Merey Hussain Meri Goud Mein Aa Ja
Aa Ja Merey Bachy Meri Aghosh Mein Aa Ja
Ali Maula Ali Maula
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Elahi Hai
Har Ek Meezan Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Lagy Jab Haideri Nahra
Ali Maula Ali Maula
Jahan Mein Goonj Hoti Hai
Ali Maula Ali Maula
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Elahi Hai
Har Ek Meezan Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Kabhi Nad E Ali Parh Kar
Kaho Ya Fatah E Khaibar
To Mushkil Ho Gi Mushkil Mein
Ali Ka Nam Hi Sun Kar
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Ilahi Hai
Har Ek Meezen Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Nusehri Ny Khuda Mana
Khuda Ny La Fatah Jana
Khuda Ko Wohi Samjhy Ga
Ali Ko Jis Ny Pehchana
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Ilahi Hai
Har Ek Meezen Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Ali Sooraj Ko Palta Dy
Ali Dariya Ko Thehra Dy
Ali Chahey To Munkir Par
Qaza Ki Aag Barsa Dy
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Ilahi Hai
Har Ek Meezen Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Ali Aamil Ali Kamil
Ali Kashti Ali Sahil
Agar Insaf Sy Poocho
Ali Islam Ka Hai Dil
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Ilahi Hai
Har Ek Meezen Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Ali Hai Mazhar E Yazdan
Ali Hai Bolta Quran
Nabuwat Jism Ki Soorat
Ali Us Jism Mein Hai Jaan
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Ilahi Hai
Har Ek Meezen Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Saloni Ki Sada Ban Kar
Abhi Rehan Aur Sarwar
Koi Awaz Ati Hai
Jo Chaho Pooch Lo Aa Kar
Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism E Ilahi Hai
Har Ek Meezen Mein Tola
Zuban Ky Sath Dil Bola
Ali Maula Ali Maula
Zindan E Sham Mein Jahan Bibi Ka Hai Mazaar
Raton Ko Dheemi Dheemi Si Ati Hai Ek Pukaar
Kanon Sy Mere Khoon Abhi Bhi Tapakta Hai
Amma Baar Baar
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Amma Baar Baar
Uthti Hain Jab Bhi Ap Mera Sans Rukta Hai
Amma Baar Baar
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Soi Nahi Hun Sham E Ghareeban Ky Bad Main
Ab Ky Jeeun Gi Sham K Zindan Ky Bad Main
Bey Aas Ab Hun Shah E Shaheedan Ky Bad Main
Saya Ajal Ka Amman Mere Sath Chalta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Kanon Ka Khoon Ankhon Ky Ansoo Sy Mil Gaya
Har Zakhm Phool Ban K Badan Par Hai Khil Gaya
Baba Ko Dhund Lao Ky Seeny Sy Dil Gaya
Bey Jan Mere Jism Mein Kiun Dil Dharakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Ay Amman Jab Sy Baba Sy Main Door Ho Gai
Yeh Zindagi Mere Liye Na Soor Ho Gai
Par Kya Karun Naseeb Sy Majboor Ho Gai
Hijr E Padar Sy Seeny Mein Ek Dard Uthta Hai
Amman Baar Bar Gala Mera Dukhta Hai
Kanty Parhy Hain Halq Mein Ay Amma Pyas Sy
Darti Hun Jhonka Guzry Hawa Ka Jo Pas Sy
Neend Urh Gai Hai Ankhon Sy Khaof O Hiras Sy
Rony Py Mere Shimr E Laeen Ko Jhirakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Asghar Ky Bad Pani Piyun Main Nahi Nahi
Ammun Ky Bad Zinda Rahun Main Nahi Nahi
Faryad Kuch Shaqi Sy Karun Main Nahi Nahi
Pani Mein Aks E Chehra E Asghar Jhalakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Lagta Hai Qaid E Jan Sy Rihai Qareeb Hai
Ay Amman Jano Tum Sy Rihai Qareeb Hai
Ab Maot Mujh Ko Qabr Ky Lai Qareeb Hai
Daman To Jal Chuka Hai Mera Dil Sulagta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Konain Mein Yeh Kaisa Hai Qanoon Poochiye
Marny K Bad Mujh Ko Rihai Nahi Mily
Yeh Kaisi Qaid Hai Ky Lehad Bhi Yahin Bany
Qaidi Kabhi To Qaid Sy Ghar Ko Palat’ta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Jao Nadeem Sarwar O Rehan Aik Bar
Zindan E Sham Mein Jahan Bibi Ka Hai Mazaar
Raton Ko Dheemi Dheemi Si Ati Hai Yeh Pukaar
Kanon Sy Mere Khoon Abhi Bhi Tapakta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Uthti Hain Jab Bhi Ap Mera Sans Rukta Hai
Amma Baar Baar Gala Mera Dukhta Hai
Hussain No Gham
Ya Hussain
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Aa Gham Ne Dil Mein Basawey Ehney
Dua E Zehra Marhii Gayi Che
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Neharho Tareekh Na Waraq Ny Ky Karbala Ke Wo Mojazo Che
Han Thi Faqat Be Pehar Newato Ky Jihny Saddion Thai Gai Che
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Hawy To Duniya Aamon Samjhy Hawy To Duniya Aamon Jaaney
Amara Aaqa Hussain Maula Amara Moula Ali Ali Che
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Hunain O Badar O Ohad Ne Khandaq Larhai Khaibar Ni Keh Rahi Che
Bahaduri Maan Ali Na Samey Batao Koni Barabari Che
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Furat Upar Kari Ne Qabzo Na Boondh Pani Jehne Pee Dho
Wafa E Abbas Soo Wafa Che Furat Sajda Kari Rahi Che
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Jawaan E Akbar Na Dil Thi Barchhi Ne Kaadhi Moula Rari Re Aa Chhe
Salaam Sabr E Hussain Tamne Jigar Maa Barchi Rahi Gayi Che
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Nihaari Asghar Ne Roz E Mehshar Ajab Na Thi Khud Khuda Kahey Pan
Rubab Taari Matta Ki Qeemat Behesht Puri Adhoori Thai Chy
Hussain No Gham Sheher Sheher Chy
Hussaini Matam Gali Gali Chy
Jarak Dheemy Thi Bolo Zainab Jarak Dheemey Jagaro Zainab
Ky Laash Maidan Maa Nihaari Sakina Bibi Dari Gayi Che
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Marhi Jo Zindaan Thi Rihaai Ali Ni Putri Rarhi Ny Boli
Ky Marha Bhai Ni Ek Nishani Aa Qaid Khana Rahi Gayi Chhe
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Qabar Na Andhkar Thi Munawwar Na Khouf Kar Jay Rehan O Sarwar
Ke Zikar E Sarwar Na Thak Ke Tujh Per Aahi Hi Jannat Marhi Gai Chhy
Hussain No Gham Sheher Sheher Che
Hussaini Matam Gali Gali Che
Sughra Ghash Sy Chonk Kar Uthi
Boli Sar Ko Peet’ti Hui
Haye Meri Neend Urh Gai
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Dekha Aj Mainy Kaisa Khawab
Rait Par Parhy Hain Kuch Gulab
Chun Rahy Hain Jin Ko Bu Turab
Khoon Ro Raha Hai Aftab
Haye Meri Neend Urh Gai
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Ek Taraf Alam Hai Khoon Mein Tar
Jhuk Gai Hai Shah Ki Kamar
Ja Rahi Hai Jis Taraf Nazar
Bibian Kharhi Hain Nangy Sar
Haye Meri Neend Urh Gai
Mere Baba Kheriyat Se Hon
Mery Baba Kheryat Sy Hon
Haye Haye Qasim E Jawan
Bain Kar Rahi Hai Jis Ki Maan
Khil Gaye Zameen O Asman
Torhiin Jab Dulhan Ny Choorhian
Haye Meri Neend Urh Gai
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Aik Bachi Seena E Padar
Dhoondti Rahi Idhar Udhar
Bap So Raha Tha Khak Par
Jis Ky Tan Sy Kat Chuka Tha Sar
Haye Meri Neend Urh Gai
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Qaid Hain Rasool Zadian
Hath Mein Bandhi Hain Rasian
Bey Kajawa Hain Amarian
Khoon Ro Raha Sarbaan
Haye Meri Neend Urh Gai
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Khawab Yeh Barha Ajeeb Tha
Badshah E Deen Ghareeb Tha
Kya Yehi Mera Naseeb Tha
Bey Kafan Mera Tabeeb Tha
Haye Meri Neend Urh Gai
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Sarwar O Rehan Ki Dua
Ho Qubool Shah E Karbala
Koi Beti Aur Is Tarah
Phir Tarhap Ky Yun Na Dy Sada
Haye Meri Neend Urh Gai
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Merey Baba Kheriat Sey Hon
Majlis E Shabbir Mein Ati Hai Maan Shabbir Ki
Kehti Hai Kya Ay Momino Tum Sy Yeh Maan Roti Hui
Zakhmi Hai Mera Ladla Marham Mujhy Dy Do Koi
Marham To Hai Ashk E Aza Roomal Mein Ly Jaun Gi
In Ansoon Ny Bhar Diye Sab Zakhm To Dilgeer Ky
Do Ghao Aisy Hain Magar Bharty Nahi Shabbir Ky
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Matam Karo Ghar Lut Gaya Shabbir Ka
Maan Aa Gai Shabbir Ki Matam Karo Shabbir Ka
Khanjar Taly Naizey Py Bhi Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Teeron Py Tha Lasha Tera Roti Rahi Karbobala
Khaimy Ka Jab Parda Utha Boli Behan Bhaiya Mera
Lasha Tarhap Kar Reh Gaya Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Sughra Udhar Roti Rahi Maula Idhar Roty Rahy
Wahan Muntazir Beemar Thi Yahan Qatl Sab Hoty Rahy
Sehra Mein Ghar Lut’ta Raha Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Lipti Sume Asbat Thi Woh Ladli Beti Teri
Maloom Tha Maula Tujhy Ab Na Mily Gi Yeh Kabhi
Phir Bhi Sooye Maqtal Gaye Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Mara Gya Ghazi Tera Phir Bhi Kaha Shukr E Khuda
Qasim Gya Asghar Gya Phir Bhi Kaha Shukr E Khuda
Har Lash Par Aty Rahy Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Darbar Mein Bazar Mein Zindan Mein Har Aan Mein
Kaisy Sitam Sehti Rahi Beti Teri Behna Teri
Dekha Kiye Naizey Sy Sab Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Naizey Py Bhi Sar Hai Tera Phir Bhi Teri Kya Shan Hai
Yeh Sar Hai Ay Maula Tera Ya Bolta Quran Hai
Tan Sy Juda Sar Ho Gya Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Rehan Aur Sarwar Karo Majlis Bapa Shabbir Ki
Akbar Ka Gham Zainab Ka Gham Mairaj Hai Tehreer Ki
Maula Aza Ky Farsh Par Karty Rahy Shukr E Khuda
Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley
Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Na Miley Ga
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Dhundny Jaye Gi Gar Sari Khudai Zainab
Apny Ashkon Sy Jala Sham E Ghareeban Ky Charagh
Tu Hi Atthara Charaghon Ki Ekaai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Jany Kya Sham E Ghareeban Mein Sitam Tooty Hain
Umr Bhar Chain Sy Phir So Nahi Pai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Do Pisar Tu Ny To Do Bazoo Diye Ghazi Ny
Pehly To Rasm E Wafa Tu Ny Nibhai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Surkh Yeh Kis Ky Lahu Sy Hui Poshak Teri
Lash Kya Seeny Sy Akbar Ki Lagai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Pani Ko Dekh Ky Kiun Kar Na Jigar Tukrhy Ho
Kha Gai Hai Tery Ghazi Ko Tarai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Haye Kis Shan Sy Nikli Thi Watan Sy Zainab
Kaisi Ghurbat Ko Samaity Hui Aai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Rooh E Abbas Alam Dar Na Tarhpy Kiun Kar
Bey Rida Sham Ky Darbar Mein Ai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Sare Gham Bhool Gaye Sarwar O Rehan Magar
Farsh E Gham Hai Tery Bhai Ki Bichai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab
Dhundny Jaye Gi Gar Sari Khudai Zainab
Na Miley Ga Tujhy Shabbir Sa Bhai Zainab