Sham E Ghareeban
Zainab Tanha
Ghor Andhera
Maot Ka Saya
Badal Ban Ky Sar Par Chaya
Awaz E Tapon Ki Ubhriin
Kon Jaly Khaimon Ki Janib
Taiz Qadam Sy Chalta Aaya

Ponch Ky Anso Zainab Dekhy
Dekthi Kya Hai Is Ka Baba
Bap Ky Seeny Par Sar Rakh Ky
Bilak Bilak Tarhap Tarhap Kar
Aisa Roi Roi Roi Roi

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mery Jigar Ky Tukrhy Na Ro

Main Kaisy Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba
Han Mera Akbar
Han Mera Asghar
Han Mera Ghazi
Han Tera Dilbar
Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaisy Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba

Han Ek Din Mein
Han Ghar Ujrha
Han Rahe Bhai
Han Na Beta
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujar Gai Baba
Han Main Bey Kas
Han Main Muztar
Han Pardaisi
Han Main Bey Ghar
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba
Han Gya Ghazi
Han Dariya Par
Han Giry Bazoo
Han Kat Kat Kar
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba
Sarwar Py
Han Chala Khanjar
Main Ho Gai
Han Bey Chadar
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba
Han Mara Hai
Han Aada Ny
Han Pyason Ky
Han Lashkar Ko
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba
Han Ek Chadar
Mein Dekha
Han Qasim Ka
Han Jab Lasha
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba
Han Zindan Mein
Han Jana Hai
Han Rassi Hai
Han Shana Hai
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba
Han Rehan O
Han Sarwar Ka
Han Pursa Hai
Han Yeh Noha
Han Main Ujarh Gai Baba

Na Ro Zainab Na Ro
Han Mere Jigar Ky Tukry Na Ro

Main Kaise Na Ro’on Baba
Main Ujarh Gai Baba

Ali Haq Hai Ali Haq Hai Ali Haq Hai Ali Ali Ali

Jidhar Haq Hai Udhar Maula
Jidhar Maula Udhar Haq Hai Ali

Ali Haq Hai Ali Haq Hai Ali Haq Hai Ali Ali Ali

Aao Sab Ail Ali Karein Ali Ali Karein

Ali Wali Ky Nam E Pak Sy Agar Tumhen Hai Pyar
Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Likha Ali Parha Ali Kaha Ali Suna Ali
Pilaya Maan Ny Doodh Mein Bas Aik Nam Ya Ali
Nagar Nagar Gali Gali Chaman Chaman Kali Kali
Dono Hath Uthao Aur Dil Sy Bolo Bar Bar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Malang Ki Sada Ali Hai Sab Ka Aasra Ali
Kaha Hai Jibrael Ny Faqat Hai La Fatah Ali
Zameen Zameen Falak Falak Ali Ki Har Jaga Jhalak
Qalandar O Malang Ki Zuban Py Hai Yehi Pukar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Ghadeer Aur Mubahila Khuda Ka Ghar Ho Ya Kisa
Nabi Ky Sath Sath Hain Ali Ba Hukm E Kibriya
Qadam Qadam Liye Alam Nabi Ky Sath Dam Badam
Ali Chaly Hain Is Tarha Ky Maan Ky Sath Sheer Khuaar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Khudaya Kaisa Mojza Ali Ky Nam Ko Diya
Ky Jis Ny Ya Ali Kaha Buland Martaba Hua
Ali Ky Gunn Jo Gaye Ga Kamal Pan Woh Paye Ga
Mily Gi Nusrat E Ali To Fatha Ho Gi Ham Kinaar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Waseela E Nijat Hai Shaoor E Deeniyat Hai
Khuda Ky Sath Hai Ali Khuda Ali Ky Sath Hai
Khuda Khuda Ali Ali Sada Jo Harf Mein Dhali
Alam Nabi Ny Dy Diya Khuda Ny Bheji Zulfiqar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Nazar Jo Karbala Gai To Rooh Tharthara Gai
Galy Py Thi Hussain Ky Baqa E Deen Mein Churi
Zuban Zuban Jigar Jigar Haram Tamam Noha Gar
Pukarti Thi Bibian Tamam Ho Ky Ashk Bar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Rida Saron Sy Chin Gai Bacha Nahi Sitam Koi
Ali Ki Betion Ky Jab Rasan Galon Mein Bandh Gaiin
Buka Buka Fughan Fughan Fiza Ki Sham Dhuwan Dhuwan
Ali Ki Pyari Betian Pukariin Ho Ky Be Qarar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Alam Shadeed Hain Bahut Abhi Yazeed Hain Bahut
Kiye Yazeed E Asr Ny Jawan Shaheed Hain Bahot
Utho Utho Chalo Chalo Alam Ali Ka Tham Lo
Mita Do Khak Mein Chalo Yazeedion Ka Iqtedar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Aseer Gham Zada Haram Jigar Ky Khoon Sy Ankh Num
Qadam Qadam Py Sakhtian Qadam Qadam Naye Sitam
Lahu Lahu Dill O Jigar Barha Ajeeb Tha Safar
Thy Ably Jo Paon Mein To Ablon Mein Lakh Khaar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Ali Ki Sari Zindagi Munafiqat Ki Maot Thi
Samajh Mein Jis Ki Aa Gaya Ali Ka Tarz E Zindagi
Nafas Nafas Qadam Qadam Ali Ky Ishq Ki Qasam
Imam E Asr Ka Usy Rehan Ho Ga Intezaar

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein

Ya Hussain Ya Hussain

Akhiyan Mal Mal Zainab Wekhdi Nahi Veer Pehchanya Janda Ay
Libas Ghareebi Da Pehn Kar Sardar Ghareeb Kohanda Ay

Jehnda Ghazi Kamar Nu Torh Gaya
Ohda Qasim Jigar Marorh Gaya
Jinhun Akbar Putar Chorh Gaya
Ohnu Rasta Nazar Na Aanda Ay

Akhiyan Mal Mal Zainab Wekhdi Nahi Veer Pehchanya Janda Ay

Rooh Akbar Ki Urh Jawy Gi
Ohnu Maot Yaqeenan Aawy Gi
Shabbir Di Ya Rab Khair Howy
O Pya Barchi Noo Hath Panda Ay

Akhiyan Mal Mal Zainab Wekhdi Nahi Veer Pehchanya Janda Ay

Ditha Barchi Khanda Akbar Nu
Bin Bazoo Abbas Dilawar Nu
Hun Rait Ty Rakh Ky Asghar Nu
O Pya Qabar Bhi Ap Bananda Ay

Akhiyan Mal Mal Zainab Wekhdi Nahi Veer Pehchanya Janda Ay

Bin Kafano Veer Shabbir Dithe
Bin Chadar De Hamsheer Dithe
Ali Abid Zanjeer Vich Dithe
O Uhnoo Aap Yateem Banada Ay

Akhiyan Mal Mal Zainab Wekhdi Nahi Veer Pehchanya Janda Ay

Jis Basti Pyu Da Raj Othy
Dhiyan Chadar Di Mohtaj Othy
Zainab Diyan Nabzan Mukdian Ny
O Dil Seeny Wich Ghabranda Ay

Akhiyan Mal Mal Zainab Wekhdi Nahi Veer Pehchanya Janda Ay

Libas Ghareebi Da Pehan Kar
O Sardar Ghareeb Kuhanda Ay
Akhiyan Mal Mal Zainab Wekhdi Nahi Veer Pehchanya Janda Ay

Karbala Karbala Karbala Ay Karbala

Jany Waly Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe
Roza E Shabbir Par Dun Ga Dua Ley Chal Mujhe

Hai Jahan Ganj E Shaheedan Han Jahan Nehr E Furat
Jis Jaga Syed Mera Pyasa Raha Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Jis Jaga Jagi Thi Qismat Hurr Ki Woh Dekhun Ga Main
Aasiyon Par Kaisy Hoti Hai Ata Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Is Qadar Nadar Hun Zaad E Safar Kuch Bhi Nahi
Dosh Par Apny Bitha Kar Ay Hawa Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Jis Jaga Abbas Ky Bazo Qalam Ho Kar Giry
Us Jaga Main Bhi Karun Matam Zara Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Dil Ulajh Kar Aa Gaya Barchi Main Akbar Ka Jahan
Dil Wahan Main Bhi Karun Apna Fida Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Jal Gaye Sham E Ghareeban Mein Jahan Khaimy Tamam
Jis Jaga Nanha Sa Ek Jhoola Jala Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Haye Woh Maqtal Jahan Bali Sakina Rat Mein
Dhundti Phirti Thi Seena Bap Ka Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Sarwar O Rehan Har Majlis Mein Karty Hain Dua
Haq Wahin Noha Ka Ab Ho Ga Ada Ley Chal Mujhe

Jane Wale Karbala Ky Karbala Ley Chal Mujhe

Jany Waly Karbala K Karbala Ly Chal Mujhy
Roza e Shabbir Par Dun Ga Dua Le Chal Mujhy

Haye Zainab Haye Zainab

Dekho Ay Khufiyo Main Zainab E Dilgeer Hun
Sar Nangy Mujhy Kiun Hai Phiraya Main Waris E Tatheer Hun

Dekho Ay Khufiyo Main Zainab E Dilgeer Hun

Aal E Ahmad Ka Tamasha Dekhny Aye Ho Kiun
Apni Ghairat Ka Janaza Dekhny Aye Ho Kiun
Bey Badan Naizon Py Lasha Dekhny Aye Ho Kiun
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Khufiyo Main Zainab E Dilgeer Hun

Jis Ka Sajda Qalb E Yazdan Mein Samaya Woh Hussain
Gir Ky Ghorhy Sy Zameen Par Jo Na Aaya Woh Hussain
Sar Py Apny Jis Ko Teeron Ny Uthaya Woh Hussain
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Khufiyo Main Zainab E Dilgeer Hun

Pochty Ho Mujh Sy Rony Ka Sabab Ahl E Jafa
Hai Tumhari Aurten Pardy Mein Aur Main Bey Rida
Mery Bachy Mera Bhai Bey Khata Mara Gaya
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Khufiyo Main Zainab E Dilgeer Hun

Bay Kafan Jalti Zameen Par Aaj Bhi Sota Hai Jo
Ashk Ki Khaiti Zameen Par Aj Bhi Bota Hai Jo
Bey Ridai Par Meri Naizey Py Bhi Rota Hai Jo
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Kufio Main Zainab E Dilgeer Hun

Woh Pas E Gardan Sy Jis Ko Taira Zarben Maar Kar
Kat Ky Sar Lashy Bey Sar Chorh Di Thi Khak Par
Phir Usi Ki Lash Par Ly Aye Mujh Ko Nangy Sar
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Koofio Main Zainab E Dilgeer Hun

Jis Ka Ghazi So Gaya Dariya Kanarey Tashna Lab
Kat Gaye Bazoo Jari Ky Aur Kya Ho Ga Ghazab
Bey Rida Main Ho Gai Hun Jis Ky Marny Ky Sabab
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Kufiyo Main Zainab E Dilgeer Hun

Boorhy Kandhon Par Utha Kar Laya Jo Akbar Ki Lash
Dafn Kar Di Jis Ny Jalti Khak Mein Asghar Ki Lash
Bey Kafan Bey Gor Hai Jis Shah E Behr O Bar Ki Lash
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Khufiyo Main Zainab E Dilgeer Hun

Sham Ky Darbar Mein Rehan Thi Aah O Buka
Bey Kafan Bhai Ki Bey Chadar Behan Ny Jab Kaha
Ay Khudaye Lam Yazal Bey Gor Hai Bhai Mera
Main Usi Mazloom E Karbal Ki Dukhi Hamsheer Hun

Dekho Ay Koofiyo Main Zainab E Dilgeer Hun

Abbas Meer E Lashkar

Abbas Kehtey Hain
Mujhe Abbas Kehtey Hain

Mujhe Abbas Kehtey Hain

Main Qamr E Bani Hashim Hun Sardar Hun Main Lashkar Ka
Shabbir Mera Aaqa Hai Main Beta Hun Haider Ka
Maslak Mein Wafadari Hai Mansab Mein Alamdari Hai
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Zehra Ny Kaha Hai Beta Hai Sary Arab Mein Charcha
Shabbir Ky Dil Ki Taqat Hun Chand Bani Hashim Ka
Main Karbobala Ka Haider Jibreel Bacha Ly Shay Far
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Woh Jah O Hasham Rakhta Hun Shanon Py Alam Rakhta Hun
Lo Rok Sako To Roko Dariya Mein Qadam Rakhta Hun
Main Hashr Bapa Kar Dun Ga Sar Tan Sy Juda Kar Dun Ga
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Mujh Ko Bhi Imamat Milti Touqeer Meri Barh Jati
Pee Leta Jo Sheer E Zahra Konain Mein Thi Sardari
Hun Apny Padar Ka Sani Pathar Sy Nichorhoon Pani
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Talwar Hai Mery Bazo Hai Mujh Mein Wafa Ki Khushboo
Main Dekh Nahi Sakta Hun Zainab Ki Nazar Mein Aansoo
Gar Ghaiz Mein Aa Kar Dekhun Pani Mein Aag Laga Dun
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Parcham Yeh Mere Baba Ka Ta Hashr Rahy Ga Ooncha
Khaibar Mein Mila Baba Ko Aur Aaj Hai Mainy Paya
Parcham Na Yeh Jhuk Paye Ga Har Daor Mein Lehraye Ga
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Bachon Ko Tasalli Dy Kar Main Aya Hun Dariya Par
Bachon Ki Aas Na Tooty Bas Aik Dua Hai Lab Par
Pani Jo Na Pahunchaun Ga Khaimon Mein Nahi Jaun Ga
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Bey Izn E Wagha Aaya Hun Talwar Nahi Laya Hun
Thokar Mein Hai Mery Pani Seh Roz Ka Main Pyasa Hun
Behta Hai Lahu Beh Jaye Bas Nam E Wafa Reh Jaye
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Jo Teer Bhi Hain Tarkash Mein Paiwast Karo Nas Nas Mein
Par Mashk Py Waar Na Karna Phir Bat Na Ho Gi Bas Mein
Bazoo Bhi Kata Sakta Hun Main Khoon Mein Naha Sakta Hun
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Abbas E Jari Ka Roza Hai Ahl E Wafa Ka Kaaba
Ek Roz Rehan O Sarwar Hum Ny Bhi Yeh Manzar Dekha
Kehta Hai Koi Dariya Par Sab Jayen Pyas Bhuja Kar
Abbas Kehtey Hain Mujhe Abbas Kehtey Hain

Khaimon Mein Na Ly Jana Mery Aaqa Merey Lashy Ko
Sharminda Na Karwana Seh Roz Ky Pyasy Ko

Mujhe Abbas Kehtey Hain
Mujhe Abbas Kehtey Hain

Na Dil Rota Na Gham Hota Na Aisa Kahin Matam Hota

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti
Mazloom Ki Duniya Mein Tarafdari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Shabbir Ka Maqsad Jo Samajh Leta Zamana
Quran Ko Samajhny Mein Yeh Dushwari Na Hoti

Shabbir Agar Teri Azadari Na Hoti

Kya Faida Ankhon Ka Reh Jata Zara Socho
In Ankhon Mein Maula Ki Jo Gham Khuwari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Shabbir Ky Rozy Py Kuch Roz Jo Rehty
Tum Ko Kabhi Jannat Ki Talabgari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Do Roz Bhi Jannat Mein Rehna Hamen Mushkil Tha
Zehra Tery Bachon Ki Jo Sardari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Ghazi Tery Jaisa Jo Alamdar Na Hota
Duniya Mein Alam Hoty Alamdari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Sharminda Sakina Sy Agar Hota Na Pani
Yeh Rasm Sabeelon Ki Kabhi Jari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Namoos E Muhammad Ko Jo Pehchanti Duniya
Zainab Ky Khuly Sar Py Yeh Sang Bari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Jannat Mein Qadam Rakhty Nahi Sarwar O Rehan
Jannat Mein Jo Maula Ki Azadari Na Hoti

Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Mazloom Ki Duniya Mein Tarafdari Na Hoti
Shabbir Ager Teri Azadari Na Hoti

Ya Hussain Ya Hussain

Yazeed Bola Barhi Faoj Mery Hath Mein Hai
Hussain Boly
Hussain Boly Nateeja Khuda Ky Hath Mein Hai

Yazeed Bola Jo Baiyat Karo Khazana Hai
Hussain Boly Ky Nana Ko Munh Dikhana Hai

Yazeed Bola Main Zalim Hun Zulm Karta Hun
Hussain Ya Hussain
Hussain Boly Main Syed Hun Sabr Karta Hun

Wo Khaimey Jalrahey Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai
Yeh Ban Mein Bikhri Lashen Ab Sham Ka Zindaan Hai

Woh Khaimey Jalrahey Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai

Ik Dopehr Mein Ujrha Ghar Aisy Fatima Ka
Thy Jis Jaga Py Khaimey Ab Us Jaga Dhuwan Hai

Wo Khaimey Jalrahey Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai

Akbar Ny Jab Azan Di Yeh Bey Kasi Kahan Thi
Wo Subho Ki Azan Thi Yeh Sham Ki Azan Hai

Woh Khaimy Jal rahy Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai

Bey Sar Koi Namazi Bey Dast Koi Ghazi
Seeny Mein Ek Jawan Ky Tooti Hui Sinaan Hai

Wo Khaimey Jal rahe Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai

Pehra Badal Gaya Hai Zainab Hai Karbala Hai
Zainab Ky Hath Mein Ab Abbas Ka Nishan Hai

Woh Khaimey Jalrahey Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai

Kya Dhundti Hai Seena Aawaz Aa Sakina
Seeny Py Sony Wali Baba Tera Yahan Hai

Wo Khaimey Jalrahey Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai

Rehan Ho Ky Sarwar Hain Syeda Ky Nokar
Aik Noha Go Hai Inka Aik In Ka Noha Khuwan Hai

Wo Khaimey Jalrahey Hain Yeh Sham E Ghareeban Hai

Hai Soag Jis Jaga Bhi Shah E Mashraqain Ka
Khud Pursa Zahra Leti Hain Is Noor E Ain Ka
Rona Sawab Na Jis Py Na Rona Haram Hai
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlisen Hain Hamd E Khuda Naat E Mustafa
In Majlison Mein Hota Hai Quran Lab Kusha
In Majlison Sy Milta Hai Jannat Ka Rasta
In Majlison Ki Hoti Hai Kuch Aisy Ibtida
Zakir Ky Lab Py Pehly Khuda Ka Kalam Hai
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

In Majlison Mein Hoti Hai Insaniyat Ki Bat
Zikr E Gham E Hussain Hai Wehdaniat Ki Bat
Yeh Majlisen Rasool Ki Haqaniyat Ki Bat
Rad Karti Hain Yeh Majlisen Sufiyaniat Ki Bat
In Ky Sabab To Hurr Bhi Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

In Majlison Ko Ajar E Risalat Kaha Gaya
Roz E Azal Sy Rony Ko Fitrat Kaha Gaya
Dil Ki Lughat Mein Is Ko Muhabbat Kaha Gaya
Yani Isy Batool Ki Sunnat Kaha Gaya
Har Rony Wali Ankh Ko Mera Salam Hai
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Ek Majlis E Aza Jo Hui Mulk E Sham Mein
Zainab Ny Saf Bichai Thi Yad E Imam Mein
Aanso Chupy Huye Thy Shaheedon Ky Naam Mein
Matam Hua Jo Yad E Shah E Tashna Kaam Mein
Tab Sy Gham E Hussain Zamaney Mein Aam Hai
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Majlis Mein Zikr E Bali Sakina Kiya Karo
Pani Piyo To Yad Shah E Karbala Ki Ho
Majlis Mein Tazkira Ali Asghar Ka Jab Suno
Ek Aah E Sard Bhar Ky Tarhap Kar Yehi Kaho
Asghar Barha Shaheedon Mein Tera Muqaam Hai
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Is Majlis E Hussain Ka Sarwar Hai Noha Khuwan
Thakti Nahi Zikr E Hussaini Mein Yun Zuban
Ghutti Mein Ashk E Gham Ko Pilati Rahi Hai Maan
Walid Ny Di Hai Kan Mein Nohon Ki Woh Azan
Rehan Jis Sy Sary Zamany Mein Naam Hai
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai

Yeh Majlis E Hussain Alehissalaam Hey
Chashm E Khuda Mein Is Ka Barha Ehtram Hai