Ya Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Basti Basti Qariya Qariya
Tera Hota Rahy Mola Matam
Tera Matami Ay Mery Mola
Duniya Kay Kisi Kony Mein Gya
Masroof Raha Matam Mein Tery
Deta Hai Sukoon Tera Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Jab Dill Ny Kaha Ayen Zahra
Mery Ghar Mein Bahany Ashk E Aza
Bas Mainy Bicha Ky Farsh E Aza
Kuch Dair Kiya Barpa Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Kal Hath Bandhy Thy Zainab Kay
Majboor Behan Thi Matam Sy
Majlis Hai Teri Ghar Ghar Barpa
Ab Karti Hai Sab Duniya Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Abbas Ky Shanay Kat To Gaye
Masoom Tery Pyasay Bhi Rahy
Ghazi Ky Liye Bachon Ky Liye
Ab Karta Rahy Dariya Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Ashoor Ko Jab Sooraj Nikla
Zahra Ky Bhary Ghar Ko Dekha
Par Chand Ny Zainab Ko Dekha
Karti Hai Bhary Ghar Ka Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Karbal Sy Safar Tha Sham Ka Jab
Lashay Py Pukari Yeh Zainab
Ta Hashar Teri Mazloomi Par
Karna Hai Mujhy Bhaiya Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Jo Karbobala Sy Sham Gai
Woh Bint E Zahra Bint E Ali
Sab Maayen Behnen Mil Kar Ab
Karti Hai Sada Us Ka Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Beemar Tha Aur Zanjeeren Thi
Pairon Ky Taly Jalti Thi Zameen
Sajjad Ky Gham Mein Ro Ro Kar
Karta Hai Har Ek Rakhsa Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Sardar E Jinaan Shabbir Hain Jab
Rehan Kaho Yeh Bat Bhi Ab
Sarwar Jo Sunaye Ga Noha
Jannat Mein Bapa Ho Ga Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Mola Matam
Basti Basti Qariya Qariya
Tera Hota Rahy Maula Matam
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam
Tera Hota Rahy Maola Matam
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Poori Kar Do Yeh Dua Laot Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyaas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Janti Hun Keh Katy Ap Ky Bazoo Run Mein
Ap Ky Bad Bacha Kya Hai Mery Daman Mein
Kuch Nahi Karti Gila Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Hoty Jaty Hain Bahot Sham Ky Gehry Saye
Koi Bhi Ghar Mein Nahi Kon Mujhy Behlaye
Tum Ko Deti Hun Sada Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Mujh Ko Maloom Na Tha Door Watan Sy Yaan Par
Ap So Jayen Gy Dariya Py Alam Lehra Par
Lo Chacha Din Bhi Dhala Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Ay Chacha Dekhiye Chinti Hai Phuphi Ki Chadar
Bhai Sajjad Ka Khaincha Hai Laeen Ny Bistar
Kya Nahi Tum Ko Pata Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Maan Yeh Kehti Hain Keh Hum Qaid Bhi Hon Gy Ammu
Chin Gai Baalian Khaye Hain Tamanchy Ammu
Dekho Daman Bhi Jala Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Nanhy Jhooly Mein Kabhi Goud Mein Madar Ky Kabhi
Dekhti Hun Keh Mehak Paun Kahin Asghar Ki
Sath Asghar Ky Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Ro Ky Zainab Ny Kaha Bali Sakina Meri
Bey Chacha Aur Bey Padar Hona Hai Qismat Teri
Kis Ko Deti Hai Sada Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Shaam Sy Aaj Bhi Zaayer Jo Koi Ata Hai
Sath Rehan Woh Paigham Yehi Lata Hai
Main Hun Zindaan Mein Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Loat Ky Ghar Mein Aao
Bujh Gai Pyas Chacha Laot Ky Ghar Mein Aao
Asar Ka Waqt Hai Shabbir Ki Ati Hai Sada
Choor Zakhmon Sy Badan Ho Gya Amma Mera
Apni Aghosh Mein Ab Mujh Ko Chupa Lo Amma
Ary Dhoop Hai Apni Abaa Aan Ky Dalo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Thak Gaya Lashen Utha Kar Main Bhary Lashkar Ki
Lash Qasim Ki Main Laya Hun Kabhi Akbar Ki
Khud Banai Hai Lehad Mainy Ali Akbar Ki
Do Tasalli Mujhy Seenay Sy Laga Lo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Teer Talwar Sy Khanjar Sy Badan Zakhmi Hai
Khak Jalti Hai To Zakhmon Mein Chubhan Hoti Hai
Mery Zakhmon Sy Mery Dill Ka Laho Jari Hai
Apni Chadar Ko Mery Zakhmon Py Dalo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Mery Abbas Khafa Ho Gya Amma Mujh Sy
Woh Nahi Aya Utha Laya Tha Bazo Us Ky
Aap Ek Kam Karein Nehr Kanary Ja Ky
Mery Roothy Huye Bhai Ko Mana Lo Ja Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Chakkian Peesi Hain Goudi Mein Bitha Kar Mujh Ko
Jagti Rehti Thiin Zanoo Py Sula Kar Mujh Ko
Lorian Deti Thiin Jhoolay Mein Jhula Kar Mujh Ko
Is Dafa Goud Mein Phir Apni Sula Lo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Aur Kuch Dair Ka Mehman Hun Tum Pas Raho
Rait Zakhmon Mein Hai Anchal Sy Usy Saf Karo
Ati Hai Rony Ki Awaz Sakina Dekho
Jao Tum Ja Kay Sakina Ko Sambhalo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Dekho Woh Aag Lagi Sham E Ghareeban Aai
Dekho Ghabra Ky Nikal Aai Meri Maan Jai
Dekho Behosh Sakina Ka Parha Hai Bhai
Jao Sajjad Ko Shoalon Sy Nikalo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Hai Guzarish Meri Tum Sy To Ab Itni Madar
Amma Baba Ki Qasam Dhaanp Lo Munh Par Chadar
Dekha Jaye Ga Na Ab Tum Sy Yeh Khooni Manzar
Qatal Hota Hun Nigahon Ko Hata Lo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Ho Gi Jab Hashar Ky Maidan Mein Majlis Barpa
Farsh E Gham Sheh Ka Bichayen Gi Janab E Zehra
Aaye Gi Hazrat E Shabbir Ki Rehan Sada
Aaj Jee Khol Ky Tum Ashk Baha Lo Amma
Garm Raiti Py Main Girta Hun Sambhalo Amma
Haye Shaam Ka Bazaar
Sajjad Sy Rony Ka Sabab Pooch Raha Hai
Haye Sham Ka Bazaar
Jo Shaam Mein Guzri Hai Woh Sab Pooch Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Do Lakh Tamashai Bey Parda Phuphi Behnen
Kaisy Na Laho Royen Beemar Ki Phir Ankhen
Is Gham Ki Aziyat Ny Usy Mar Diya Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Kis Tarah Qaraar Aye Bemar Ko Ay Logo
Sar Naizon Py Pyaron Ky Aty Hain Nazar Jis Ko
Bey Jurm Musafir Ki Yeh Kaisi Saza Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Ankhon Sy Hai Khoon Jari Gham Khuwar Hai Beemari
Zanjeer Hai Pairon Mein Aur Taoq Bhi Hai Bhaari
Jalti Hai Zameen Sari Aur Garm Hawa Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Jageer Nahi Mangi Zanjeer Nahi Badli
Saye Mein Nahi Betha Poshak Nahi Badli
Maan Behnon Ki Khatir Woh Rida Mang Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Zindaan Ky Masayeb Bhi Har Waqt Rulaty Hain
Ashkon Ko Magar Apny Zainab Sy Chupaty Hain
Mar Jaye Na Zainab Yeh Kahin Soch Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Zindan Sy Riha Ho Ky Zindan Mein Hai Sajjad
Ek Nanhi Si Turbat Jo Wahan Karti Hai Faryad
Mar Kar Bhi Rahun Qaid Mein Kya Meri Khata Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Yeh Zakhm Bhi Sajjad Ko Jeenay Nahi Deta
Zakhmon Sy Sakina Ky Jo Chipka Raha Kurta
Woh Khoon Bhara Kurta Hi Kafan Us Ka Bana Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Bazar Mein Darbar Mein Zindan Mein Roye
Chalees Baras Maot Ky Armaan Mein Roye
Rehan Mera Mola Tarhapta Hi Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Sajjad Sy Rony Ka Sabab Pooch Raha Hai
Haye Sham Ka Bazar
Jo Sham Mein Guzri Hai Woh Sab Pooch Raha Hai
Haye Sham Ka Bazar
Hogi Yeh Majlis To Hogi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Arzoo Hai Yeh Nabi Ki
Ruk Nahi Sakti Kabhi
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Choda Sadiyan Ho Gai Hain
Majlis E Shabbir Ko
Khoon Sy Likhtay Rahy Hum
Gham Ki Is Tehreer Ko
Yeh Sada Hai Karbala Ki
Yeh Sada Shabbir Ki
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Taighon Ky Saye Mein Palty
Hain Hussain Nojawan
Maot Sy Larhna Sikhati
Hain Hamen Lori Mein Maan
Apny Khoon Sy Morhty Hain
Dharen Hum To Taigh Ki
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Sunnat E Zainab Yeh Majlis Sunnat E Zain Ul Iba
Sham Ky Darbar Mein Majlis Hui Matam Hua
Ruk Na Pai Shaam Mein Jab Kya Ruky Gi Ab Kabhi
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Goud Ka Bacha Ho Koi Ya Jawan O Peer Ho
Dekho Us Ko Us Gharhi Jab Matam E Shabbir Ho
Aik Hai Raftaar Sab Ki Aik Hai Awaz Bhi
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Roz Janazay Hum Uthayen Apny Pyaron Kay To Kya
Ruk Nahi Sakta Azadari Ka Ab Yeh Silsila
Apnay Hi Khoon Mein Naha Kar Hum Pukaren Gy Yehi
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Chin Bhi Jayen Gar Hussain Maon Sy Un Ky Jawan
Yad Kar Ky Zakhm E Akbar Ko Kahy Gi Tab Woh Maan
Tha Ali Akbar Ka Sadqa Laal Mera Maatami
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Keh Raha Hai Parcham E Abbas Ka Panja Yehi
Hath Kat Jayen To Matam Ruk Nahi Sakta Kabhi
Sar Ko Takra Kar Karen Gy Aag Par Chal Kar Kabhi
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Ay Azadaro Hussain Ibne Ali Ky Matami
Yun Guzaro Tum Azadari Mein Apni Zindagi
Pairawi Kartay Hi Rehna Boozar O Salman Ki
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Aaj Jo Rehan O Sarwar Kar Rahy Hain Haq Ada
Kal Naye Rehan O Sarwar Dy Gi Zahra Ki Dua
Silsila Jari Rahy Ga Rok Kar Dekhay Koi
Hogi Yeh Majlis To Ho Gi
Hoga Yeh Matam To Ho Ga
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barhawen Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barhawen Imam
Chal Rahi Hain Zulm O Jabar Ki Muheeb Andhian
Gir Rahi Hai Mominon Ky Qalb O Jaan Py Bijlian
Uth Rahi Hain Deen E Mustafa Ki Simt Unglian
Hujjat E Khuda Hain Ap Jee Ko Dijiye Amaan
Har Qadam Py Ab To Aik Karbala Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Har Baras Areezay Maoj Ky Sapurd Kar Chuky
Zakhm E Intezar Sy Jigar Hamaray Bhar Chuky
Kitnay Log Jee Rahy Hain Kitnay Log Mar Chuky
Zabt Ky Tamam Raston Sy Hum Guzar Chuky
Lab Py Ap Ky Zahoor Ki Dua Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Choda So Baras Sy Zulm Seh Rahy Hain Ya Imam
Raz E Karbala Har Ek Sy Kar Rahy Hain Ya Imam
Sheh Ky Gham Mein Ashk Ab Bhi Beh Rahy Hain Ya Imam
Zulm Ky Muqably Py Dat Gaye Hain Ya Imam
Ap Ka Jo Dil Ko Aik Hosla Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Jad Hain Ap Ky Ali Ali Hain Shair E Kibriya
Seerat E Batool Kya Hai Ap Ka Hai Madrisa
Dars E Sabr Ap Ny Hussain Hi Sy Hai Liya
Khatma Karen Gy Aa Ky Ap Zulm O Jabr Ka
Sath Aap Ky Dua E Sayeda Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Ghaib Par Yaqeen Nahi Jisy Woh Munkir E Khuda
Jis Ko Ghaib Par Yaqeen Wohi Parhy Ga La Ilaa
La Ilaha Parh Ky Ho Gya Rasool Ashna
Jo Rasool Ashna Hai Woh Muhib Hai Ap Ka
Yeh Nabi Ka Aur Khuda Ka Faisla Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Aik Do Nahi Kai Jawan Shaheed Ho Gaye
Karbala E Asar Mein Sitam Mazeed Ho Gaye
Zulm Ky Tamam Silsilay Shadeed Ho Gaye
Pairoo E Yazeed Aj Phir Yazeed Ho Gaye
Aap Ka Hussainiyon Ko Aasra Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Maon Ny Pisar Behan Ny Bhai Nasr Kar Diye
Bachay Bhi Yateem Huye Suhaag Bhi Ujarh Gaye
Baap Ny Gham E Hussain Mein Lahoo Jigar Kiye
Jari Aaj Bhi Hain Majlis E Aza Ky Silsilay
Aaiye Keh Panjatan Ka Wasta Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Lash Jab Hussain Ny Uthai Thi Jawan Ki
Qabr Jab Banai Thi Sagheer E Bey Zubaan Ki
Ankh Num Hui Thi Jab Zameen O Aasman Ki
Yad Hain Wohi Gharhi Hussaini Imtehan Ki
Apna Gham Isi Sabab Bhula Diya Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Assalam Alaika Ya Imam E Asar E Waz Zaman
Al Aman Al Aman Ay Imam E Ins O Jaan
Al Ajal Al Ajal Ay Shareekatul Quran
Ap Ky Zahoor Ka Muntazir Tha Yeh Jahan
Sarwar O Rehan Ki Bhi Yeh Sada Hai Ya Imam
Kijiye Zahoor Ya Imam
Labbaik Labbaik Labbaik Ya Imam
Aaiye Ya Barahwen Imam
Parcham E Abbas
Han Yehi Parcham Hussain Faoj Ka Ban Kar Nishan
Jis Gharhi Pahuncha Tha Faoj E Ashqiya Ky Darmian
Har Taraf Sy Aa Rahi Thi Bas Sada E Al Aman
Nara E Abbas Tha Aur Thi Farishton Ki Zubaan
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Is Alam Ky Sath Hai Chota Sa Mashkeeza Bandha
Bazoo E Abbas Par Jaisy Ho Taweez E Wafa
Na Alam Is Sy Juda Hai Na Alam Sy Yeh Juda
Is Alam Py Saya Afgan Hai Dua E Sayeda
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Tha Yehi Parcham Ali Ky Hath Mein Har Jang Mein
Karbala Pahuncha Duaye Sayeda Ky Rang Mein
Han Isi Parcham Ko Garha Tha Ali Ny Sang Mein
Dorhta Hai Khooli Is Ko Dekh Kar Ang Ang Mein
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Han Isi Parcham Sy Aya Karbala Mein Inqilaab
Ly Ky Is Ko Jab Gaya Dariya Py Ibn E Bu Turab
Choom Li Maojon Ny Barh Kar Asp E Ghazi Ki Rakaab
Is Ky Panjy Ki Chamak Sy Roshni Ly Aftaab
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Jab Talak Ooncha Raha Karbal Mein Ghazi Ka Alam
Aa Saky Na Khaima E Sarwar Mein Ahdaa Ky Qadam
Yeh Alam Thanda Hua Rony Lagy Shah E Alam
Ro Ky Kehty Thy Yehi Tha Mery Lashkar Ka Bharam
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Yeh Alam Dharas Tha Zainab Aur Sakina Kay Liye
Dhoop Mein Is Chaaon Tha Yeh Shah E Wala Ky Liye
Is Ka Girna Maot Sy Barh Kar Tha Aaqa Ky Liye
Maot Ka Paigham Yeh Parcham Tha Ahdaa Ky Liye
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Aaj Har Ghar Par Alam Hai Mery Ghazi Ka Saja
Hazrat E Zainab Ki Poori Ho Gai Akhir Dua
Marhaba Abbas Ghazi Marhaba Sad Marhaba
Aasman To Jhuk Gya Tera Alam Ooncha Raha
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Is Alam Ki Shan To Us Roz Dekhy Ja Jahan
Aye Ga Jis Roz Is Parcham Ka Waris Barahwan
Kufar Ki Basti Py Tooten Gi Hazaaron Bijlian
Mominon Ky Sar Py Ho Ga Is Alam Ka Sayebaan
Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka
Yeh Alam Ab Tak Hussaini Faoj Ki Hai Yadgar
Hashar Tak Qayem Rahy Ga Aitbaar O Ikhtiar
Dekhen Gy Rehan Is Parcham Ki Sab Us Din Bahar
Is Ko Ly Kar Ayen Gy Jab Mehdi E Aali E Waqaar
Us Roz Yeh Manzar Badly Ga
Us Din Yeh Musalman Sambhly Ga
Yeh Matti Sony Ugli Gi
Yeh Charkh Gohar Barsaye Ga
Har Aik Nizam E Zulmat Ka
Bas Zulm Ko Rulwaye Ga
Ghazi Ka Alam Lehrata Hua
Jab Mehdi E Akhir Aye Ga
Meeras Shahadat Hai Jis Ki
Woh Maola Sy Mil Jaye Ga
Us Roz Sy Sari Duniya Mein
Ghazi Ka Alam Lehraye Ga
Sab Thaat Parha Reh Jaye Ga
Jab Any Wala Aye Ga
Parcham Abbas Ka
Ya Hussain Ya Hussain
Pyase Pay Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Ek Lash Abhi Laya Hai Ek Leny Chala Hai
Pyase Pe Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Ye Hurr Ka Hai Woh Bhai Ka Yeh Bety Ka Lasha
Zahra Ka Pisar Ganj E Shaheedan Mein Kharha Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Zainab Teri Chadar Ka Khuda Hafiz O Nasir
Lashkar Na Alam Aur Na Alamdar Bacha Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Yeh Akhri Hadiya Tha Hussain Ibne Ali Ka
Yeh Bacha Abhi Teer Sy Jo Mara Gaya Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Munh Dhaanp Lo Amman Keh Nazar Ayen Na Naizey
Naizon Sy Yehi Aon O Muhammad Ki Sada Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Chup Chup Ky Usy Roye Gi Ek Rat Ki Biyahi
Woh Dulha Jo Bey Gor O Kafan Ran Mein Parha Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Laila Tery Akbar Ny Nahi Khaya Hai Naiza
Yeh Naiza Dill E Sibt E Payambar Mein Laga Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Maan Jhoola Jhulati Hai Khayalon Mein Abhi Tak
Ab Jhoolnay Wala Nahi Baqi Yeh Pata Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Jis Khak Py Khoon Beh Gaya Zahra Ky Jigar Ka
Woh Khak Faqat Khak Nahi Khak E Shifa Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Hai Majlis E Shabbir Mein Abbas Ka Matam
Rehan Yeh Ghazi Ki Wafaon Ka Sila Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Pyase Py Ajab Waqt Qayamat Ka Parha Hai
Ek Lash Abhi Laya Hai Ek Lenay Chala Hai