AA DEKH MERE GHAZI, UNCHA HAI ALAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
ZAINAB KI DUWA BANKAR, EK WAQT WO AAYENGA
HAR GHAR ME SAJA HOGA, ABBAS ALAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI, BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
AAJATI HAI ZEHRA BHI, ZAINAB BHI ZIYARAT KO
JAB AAT MOHARAM KO, UT-THA HAI ALAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
TABOOT JAB UT-THA HAI, SHABBIR KA AY GAZI
TABOOT KE AAGAY BHI, CHALTA HAI ALAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
WO KAUN SE SADME THAY, SHEH TOOT GAYE JIS SE
EK DARD THA ZAINAB KA, AUR DOOSRA GHAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
PARCHAM KA PHARERA THA, YA AAS THI ZAINAB KI
ZAINAB KE KALEJE SE, GHAM KAISE HO KAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
BAZAAR MAY ZINDAN MAY, DARBAAR MAY HAR LAMHA
ZAINAB KI TO SANSON PAY, THA NAAM RAKAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
JAB BEH GAYA SAB PAANI, TAB AAS TERI TOOTI
THA SINE KE ANDAR YA, MASHKIZAY MAY DAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
AWAAZ TERI SARWAR SHABEER SE WABASTA
ABBAS SE WABASTA REHAAN QALAM TERA
DIL SINE ME JAB TAK HAI BHULEGA NA GHAM TERA
AA DEKH MERE……….
Yaad-e-Abbas sar-e-shaam-e-ghareeba’n aayad.
Dokhtar-e-Hazrat-e-Shabbir hiraasa’n aayad.
Be kasi kaisi ayaa’n thi ban mein (x2).
Laashay paamaal huay jab ran mein.
Aag Zahra ke lagee gulshan mein.
Yaad-e-Abbas thi aur ahl-e-haram.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).
Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)
Qasim-o-Akbar-o-Abbas koja raftanda.
Haaye dar dasht-e-bala yaad-e-shaheeda’n aayad.
Qasim-o-Akbar-o-Abbas nahi.
Kuch bhi seenay mein bajuz yaas nahi.
Ab to jeenay ki bhi kuch aas nahi.
Saaya afgun nahi Ghaazi ka alam.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).
Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)
Ya kas-e-neest ke aayad pae imdaad-e haram.
Eii safeena taraf-e-yurish-e-tufaan aayad.
Koi imdaad ko aayay kyun kar.
Kat gayay Akbar-o-Abbas ke sar.
Gham ka tufaan hai aur yaad-e-padar.
Char jaanib se badhay ranj-o-alam.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).
Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)
Saaylee-e-shimr ba rokhsar-e-Sakina sad haif.
Chuba zulm-o-sitama dushman-e-imaa’n aayad.
Haaye wo phool se rukhsaar teray.
Shimr ne jis pe tamanchay maaray.
Neel rukhsaar ke dekhay na gayay.
Roya naizay pe sar-e-Shaah-e-umam.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).
Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)
Haifa aalam-e-ghurbat ke Sakina giryaan.
Yaad-e-Altaaf-e-padar baa gham-o-hirma aayad.
Dasht-e-ghurbat mein Sakina ki fugaan.
Baba dass-ta hai andhera zindaan.
Jald aao ke nikal jaaye na jaan.
Aap ki yaad mein mar jaayenge hum.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).
Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)
Mee kashad naala ze hasrat sar-e-darbaar-e-yazeed.
Be muhabaana khayaal-e-dar-e-zindaan aayad.
Sar-e-darbaar fugaa Zainab ki.
Qaid kufay mein hui bint-e-Ali.
Lahad-e-Shaah-e-najaf hilnay lagee.
Ashk Zainab ke jo barsay paiyhum.
Aye Khuda Dast-e-Karam (x3).
Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)
Tohfa-e-ashq-e-azaa peish konam mann ba khuloos.
Aah eii noha-e-gham bar lab-e-Rehaan aayad.
Hai bhi kya Sarwar-o-Rehaan ke paass.
In ki daulat hai yehi gham ki asaas.
Aap ki nazr janaab-e-Abbas.
Aik aawaz hai aur aik kalam.
Aye Khuda… (x3).
Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban, Shaam-e-Ghareeban (x2)
Meri To Aas Merey Seeney May Mar Jaati Hai
Dekheyn Iss Qaid Se Kab Milti Hai Rukhsat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x4
Bekasi Kaisi Hai ye Kaisi hai Gurbat Ammaa'n 2x
Kya Baneygi Issi Zindaan May Turbat Ammaa'n
Kehna Baba a.s Se Khuda Hafiz O Nasir Baba a.s
Lo Ke Ab Hoti Hoon Zindaan Se Rukhsat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x3
Ab To Din May Bhi Ujaalo'n Se Mulaaqat Nahi
Jo Tadap Kar Naa Guzaari Ho Koi Raat Nahi
Kya Karoo Jeekar Chacha a.s Merey Merey Sath Nahi
Do Dua Khatm Ho Ab Jald Musibat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x3
Ab Sar-e-Shaam Parindo'n Pe Nazar Jaati Hai
Aisi Makhlooq Hai URtey Huey Ghar Jaati Hai
Meri To Aas Merey Seeney May Mar Jaati Hai
Dekheyn Iss Qaid Se Kab Milti Hai Rukhsat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x3
Tum Inhi KapRo'n Ko Aey Ammaa'n Bana Dena Kafan
Ho Nahi Saktey Ye Tabdeel Ke Zakhmi Hai Badan
Baba a.a Aajayen To Keh Dena Unhey Mera Sukhan
Apney Baba a.s Ki Naa Kar Paayi Main Khidmat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x3
Merey Baba a.s Ka Wo Seena Meri Ammaa'n Laa Do
Jo Tha Jeeney Ka Kareena Meri Ammaa'n Laa Do
Jo Tha Aaram-e-Sakeena s.a Meri Ammaa'n Laa Do
Iss Sey Pehley Ke Ho Ab Mout Sey Qurbat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x3
Ho Sakey To Ali Asghar a.s Ka Wo Jhoola Laa Do
Ammaa'n Bhayya Ka Merey Mujhko Shalooka Laa Do
Wo Jo Taveez Tha Mannat Ka Khudaara Laa Do
Mujhko Phir Marney May Hovegi Naa Diqqat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x3
Gher Jaao Ke Khuda Hafiz O Nasir Ammaa'n
Saath Deti Nahi Ab Baali Sakina s.a Ki Zubaan
Kehdo Zaalim Se Ke Ab Khatm Hui Aah O Fughaan
Aah Karney Ki Bhi Baaqi Nahi Taaqat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x3
Lab-e-Sarwar Pe Jo Rehan Ka Nouha Aaya
Shaam Ke Zindaan Se Aaney Lagi Awaaz-e-Buka
Jaise Bachi Ka Koi Zakhm Hua Phir Taaza
Boli Kyun Ahl-e-Azza Kartey Hain Riqqat Ammaa'n
(Haaye Zindaan-e-Shaam) x4
Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn
(Matam-e-Shabbir a.s) x3
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) 2x
Dil ba Dil Seena ba Seena Karbala Tameer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Ye Matam Pehchan Hamari
Iss pe Jaan Qurbaan Hamari
Jism Yehi ye Jaan Hamari
Ye Matam hai Shaan Hamari
Kehta Hai imaan Hamara Saarey Jawaan o Peer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Asghar a.s Teri Payas ka Matam
Akbar a.s ka Abbas a.s ka Matam
Hasrat ka Aur Yaas ka Matam
Haasil hai Ehsaas Ka Matam
Laakh Zamana Humko Rokey
Hum Isski Tash'heer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Ye Matam Mazloom ka Matam
Zehra s.a Ke Masoom Ka Matam
Paani se Mehroom ka Matam
Teygh Taley Halqoom Ka Matam
is Matam se Hum jo Chaheyn
Waqt ko Zanjeer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Abid a.s ki Zanjeer ka Matam
Kushk Galey aur Teer ka Matam
Zainab s.a ka Shabbir a.s ka Matam
Dil se Kareyn Dilgeer ka Matam
Jo Matam Zainab s.a ne Kiya Tha
Ham Usski Tafseer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Matam kya hai Sheh ka Alam hai
Ye Matam to Deen ka Bharam hai
Jis Sey Khushi ho wo yeh Gham Hai
Haq ka Yahi Matam Parcham hai
is Parcham ko is Matam ko
Seeno'n pe Tahreer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Matam Jiss Ka Darya Darya
Jisski Wafa Imaan ka Chehra
Jiss Key Alam ka Khoon Me Pharera
Doob Gaya wo Chand na Duba
Uski Wafaa Kehti hai Hum se
Duniyo ko Taskheer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Yaad May Teri Sham-e-Ghareebaan
Matam Karney Waley Insan
Kartey Hain Jab Chaak Gharebaan
Zehra s.a khud Hoti hain Giryaan
Sunnat-e-Zehra s.a hai ye Matam
Isko Aalamgeer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Kar Na Saki Jo Bhaai Ka Gham
Uss Zainab s.a ki Yaad Mein ab Hum
Ranj O Khushi Se Kar Key Baham
Har Din Samjhey Mah-e-Muharram
Zakhm-e-Dil-e-Zainab s.a Ki Khaatir
Koi Dawa Akseer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Jinkey Rassan Main Haath Bandey Thay
Kaisey Bhala wo Matam Kartey
Unkey Dilo'n Main Yaad Basa Key
Nouhay Ki Matam ki Sada se
Ahl-e-Azza Zehra s.a Ki Dua Sey
Khuld ko Jageer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Moula aisa Zarf Ata Kar
Ye Matam Soughaat Bana kar
Leyjaayen Seeno'n Pe Sajja Kar
Shehr-e-Najaf Main Dil Main Basa Kar
Apni Azaadari ka Tohfa
Nazr-e-Khaiber Geer Kareyn
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x2
Keh Deynge Rehan-O-Sarwar
Hashar Main Jab Khatoon-e-Mehshar
Poochengi Ye Baat Jo Aakar
Chaahiye Kya Matam ki Bina Par
Hum Kehdeynge Hum ko Ghulam-e-Shabbar-O-Shabbir
(Milkey Sab Matam-e-Shabbir a.s Kareyn) x5
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x3
Terey Nana s.a.w.w Ka Ye Roza Hai Koi Kufa Shaam Ka Raah Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Jo Chadar Ujli Thi Teri Rang Uska Kaisey Laal Hua) x2
(Ab Sar Pe Terey Aey Shehzaadi) x2 Wo Kyun Mojood Rida Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Athhaara Jo Terey Bhaai They Kiss Baat Pe Tujh Se Rooth Gaye) x2
(Do Shehzaadey Kyun Saath Nahi) x2 Kyun Saath Abbas a.s Tera Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Ye Koun Jawaan Hai Saath Terey Hai Kaprey Jisskey Khoon Se Bharey) x2
(Kin Zakhmo'n Se Ye Choor Hua) x2 Aankho'n Se Bhi Khoon Rukta Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Kis Haal Main Karbal Se Aayi Aey Zainab s.a Apney Shehar Mein Tu) x2
(Ab Is Ke Siwa Afsos Ho Kaya) x2 Pehchan Saki Sughra s.a Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Wo Bachi Jissko Seeney Pe Shabbir a.s Sulaya Kartey They) x2
(Meri Aankhain Dhoondh Ke Haar Gayin) x2 Kahin Milta Usska Pata Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Ek Ghuncha Dahan Masoom Bhi Tha Naam Uska Asgher a.s Rakha Tha) x2
(Kyun Khaali Goud Rabab s.a Ki Hai) x2 Asbaab Mein Kyun Jhula Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Rehan Karo Har Dam Matam Tum Nouha Parho Har Dam Sarwar) x2
(Ye Aik Ibadat Hai Aisi) x2 Jo Hoti Kabhi Bhi Qaza Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
Terey Nana s.a.w.w Ka Ye Roza Hai Koi Kufa Shaam Ka Raah Nahi
Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi
(Na Rakh Ab Chadar Baazu'oon Pe Tu Neeley Daagh Chupa Nahi Zahra s.a Ki Jaan Sharma Nahi) x2
(Shah Jo Kayo Matam) x4
Mazloom Jo Matam Asahar Wakht Kanda Soo
Ek Wakht Jalidha Ta Sada Wakht Kanda Soo
(Shah Jo Kayo Matam) x4
(Har Kushi Ein Har Gham Main Shah Jo Kayo Matam) x2
(Shah Jo Kayo Matam) x4
Khud Rasool s.a.w.w Royentha Syeda s.a Bhi Royethi
In Hussain a.s Je Gham Me Kaainaat Royethi
Deen Ein Shariyat Aa
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Hoor Ein Farishta Bhi Karbala Te Royentha
Sar Zameen-e-Karbal Tey Auliyaa Bhi Royentha
Sunnat-e-Risaalat s.a.w.w Aa
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Deen Je Sar-e-Moula Karbala Wasaai Aa
Haq Parast Qouman Ji Aabru Bachaai Aa
Deen-e-Haq Jo Faisalo Aa
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Rehbaran-e-Raah-e-Haq Ji Ik Ajab Kahaani Aa
Mustafa s.a.w.w O Haider a.s Ji Shah Ek Nishaani Aa
Khandan e Zahra Khe
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Too Ahsaan Dhaai Aa Nenawaa Ji Mushkil Main
Deen To Kayo Roshan Karbala Je Jangil Mein
Har Sada-e-Zainab s.a Aa
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Ulfat-e-Payamber s.a.w.w Main Paan Khey Sada ee Tho
Deen Ain Shariyat Tey Paan Khey To Dhaai Tho
Ulfat-e-Payamber Mein
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Deen Jo Sahaaro Aa Noujawaan Ali Akbar a.s
Deen Jo Sipaahi Aa BeyZubaan Ali Asghar a.s
Aeyn Rabaab s.a Laila s.a Tey
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Qaid Ain Salalsil Main Ik Beemar Disjey So
Kaarwan-e-Karbal Jo Salaar Disjey So
Kaarwan-e-Karbal Ke
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Shaam Me Sakina s.a Aa Sughra s.a Aa Madiney Mein
Bheyn Shaam Mein Ain Bhaa Karbala Je Seeney Mein
Dard Ji Kahaani Aa
(Shah Jo Kayo Matam) x3
Aey Rehan Hee Gham Bhi Qarz Ain Muhabat Aa
Ehl-e-Bait Ji Ulfat Farz Ain Ibaadat Aa
Ehl-e-Dil Ji Dharkan Aa
(Shah Jo Kayo Matam) x5
tareeq ke kirdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro kis baat may tum kam ho
darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho
tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho
tum mazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho
tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho
ay gham ke lamdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro
rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho
mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho
insaan ki azmat ke har baab may shaamil ho
zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho
matam ke talabgaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
nisbat hai payambar se nisbat tumhay hyder se
is nisbat-e-maula se tum door rahe shar se
tum aankh milate ho har waqt sitamgar se
jo dars mila tumko salman avuzar se
tum roop wohi dharo kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
abbas ke parcham se seekhi hai wafadari
aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari
kismat se mili tumko mazloom ki ghamkhari
zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari
mazloom ke gham khaaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
zainab ki rida tumse karti hai sawaal aisa
kis gham may bahaate ho aankon se lahoo apna
kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha
jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda
laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
kya dars liya tumne akbar ki jawani se
kya seekha batao to karbal ki kahani se
mat behlo qateebo ke alfaaz-o-mawani se
mehfooz haqeeqat ko rakhna hai kahani se
ay ilm ke mayyaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi
tum hur ki tarha maango ek raat may azaadi
darbar may zaalim ke kyon bante ho faryadi
sajjad ne jis tarha deeware sitam ghaadi
deeware sitam ghaado kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
tum nahj-e-lbalagha ki tafseer may dhal jao
hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao
mazloom ko mat chedo zaalim se na ghabrao
haq baat jo kehna hai suli pe bhi dohrao
allah ke naqqaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
shabbir ke matam may imaan ki hararat hai
ye ayne ibadat hai ye ayne shariyyat hai
shabbir ke paykar may islam ki nusrat hai
khanjar ke talay dekho khayim jo ibadat hai
maula ke tarafdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
socho to zaro manzar tum shaam-e-ghareeban ka
ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka
pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka
kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka
samjho to samajhdaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
pyasa tha labay darya wo lakhte dil-e-zehra
aankhon se barasta tha ghurbat may lahoo jiska
wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha
haaton pe tadapta tha pani ka na khatra
us waqt ke jaabaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti
shabbir ki nusrat ki dil may jo tamanna thi
kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki
awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi
jalte hue angaaro kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
tum raahay sadaqat se imaan ki hararat se
kirdaare imamat se afkaare risaalat se
tum shaukhe shahadat se maula ki inayat se
islam ki qidmat se mayyaare mohabbat se
tareekh nayi likhdo kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
imaan hai azadaari hai deen ki bedaari
jarraari-o-karraari hai azme wafadari
himmat na agar haari zinda rahi khuddari
miljayegi sardari hyder ki tarafdari
karke to zara dekho kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
rehaan pe sarwar pe maula ki inayat hai
nowhe ki azaano may matam ki ekhamat hai
sach poocho ko dono ki har saans ibadat hai
ae ehle aza tumko matam ki jo daawat hai
moo mod ke mat jaao kis baat may tum kam ho
ae sheh ke azadaro….
TAREEQ KE KIRDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
DARYA HO SAMANDAR HO TUM SEEP-O-GOWHAR HO
TUM MARZE-QALANDAR HO SEHRA MAY GULAY TAR HO
TUM MAZME ABUZAR HO TUM FIKR KE QAMBAR HO
TUM HUR KA QABEELA HO TUM JOHN KA LASHKAR HO
AY GHAM KE LAMDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO
RASTA NAHI MANZIL HO DHADKAN NAHI TUM DIL HO
MAZLOOM KE TUM HAAMI HAR ZULM KE QAATIL HO
INSAAN KI AZMAT KE HAR BAAB MAY SHAAMIL HO
ZULMAT KE SAMANDAR MAY TUM NOOR KA SAAHIL HO
MATAM KE TALABGARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
NISBAT HAI PAYAMBAR SE NISBAT TUMHAY HYDER SE
IS NISBAT-E-MAULA SE TUM DOOR RAHE SHAR SE
TUM AANKH MILATE HO HAR WAQT SITAMGAR SE
JO DARS MILA TUMKO SALMAN AVUZAR SE
TUM ROOP WOHI DHARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
ABBAS KE PARCHAM SE SEEKHI HAI WAFADARI
AANKHON MAY TUMHARE HAI IMAAN KI BEDAARI
KISMAT SE MILI TUMKO MAZLOOM KI GHAMKHARI
ZAALIM KE LIYE ABH-BHI TUM TAYGH HO DO DHARI
MAZLOOM KE GHAM KHAARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
ZAINAB KI RIDA TUMSE KARTI HAI SAWAAL AISA
KIS GHAM MAY BAHAATE HO AANKON SE LAHOO APNA
KYA GHAR MAY TUMHARE BHI PAIGHAAM MERA PAHUNCHA
JIS DEEN KE LAASHE PE KAAM AAYA MERA PARDA
LAAJ USKI RAKHO DEKHO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
KYA DARS LIYA TUMNE AKBAR KI JAWANI SE
KYA SEEKHA BATAO TO KARBAL KI KAHANI SE
MAT BEHLO QATEEBO KE ALFAAZ-O-MAWANI SE
MEHFOOZ HAQEEQAT KO RAKHNA HAI KAHANI SE
AY ILM KE MAYYARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
MASJID KE MUSALMANO MAIDAN KE BANO GHAZI
TUM HUR KI TARHA MAANGO EK RAAT MAY AZAADI
DARBAR MAY ZAALIM KE KYON BANTE HO FARYADI
SAJJAD NE JIS TARHA DEEWARE SITAM GHAADI
DEEWARE SITAM GHAADO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
TUM NAHJ-E-LBALAGHA KI TAFSEER MAY DHAL JAO
HYDER KI GHULAAMI KA ANDAAZ TO APNAO
MAZLOOM KO MAT CHEDO ZAALIM SE NA GHABRAO
HAQ BAAT JO KEHNA HAI SULI PE BHI DOHRAO
ALLAH KE NAQQARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
SHABBIR KE MATAM MAY IMAAN KI HARARAT HAI
YE AYNE IBADAT HAI YE AYNE SHARIYYAT HAI
SHABBIR KE PAYKAR MAY ISLAM KI NUSRAT HAI
KHANJAR KE TALAY DEKHO KHAYIM JO IBADAT HAI
MAULA KE TARAFDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
SOCHO TO ZARO MANZAR TUM SHAAM-E-GHAREEBAN KA
GHAR JALTA THA JAB RAN MAY US WAARIS-E-QURAN KA
PAMAAL THA JAB LAASHA EK BESAR-O-SAMAAN KA
KIRDAAR MAGAR KYA THA US WAARIS-E-QURAN KA
SAMJHO TO SAMAJHDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
PYASA THA LABAY DARYA WO LAKHTE DIL-E-ZEHRA
AANKHON SE BARASTA THA GHURBAT MAY LAHOO JISKA
WO WAQT BHI THA KAISA CHEH MAAH KA EK BACHA
HAATON PE TADAPTA THA PANI KA NA KHATRA
US WAQT KE JAABARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
HALMIN KI SADA ABH-BHI HUMSE HAI YEHI KEHTI
SHABBIR KI NUSRAT KI DIL MAY JO TAMANNA THI
KYA ABH-BHI HAI WO BAAKHI JO CHAAH THI MAULA KI
AWAAZ WOHI DIL KI HAR SAANS MAY HAI ABH-BHI
JALTE HUE ANGAARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
TUM RAAHAY SADAQAT SE IMAAN KI HARARAT SE
KIRDAARE IMAMAT SE AFKAARE RISAALAT SE
TUM SHAUKHE SHAHADAT SE MAULA KI INAYAT SE
ISLAM KI QIDMAT SE MAYYAARE MOHABBAT SE
TAREEKH NAYI LIKHDO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
IMAAN HAI AZADAARI HAI DEEN KI BEDAARI
JARRAARI-O-KARRAARI HAI AZME WAFADARI
HIMMAT NA AGAR HAARI ZINDA RAHI KHUDDARI
MILJAYEGI SARDARI HYDER KI TARAFDARI
KARKE TO ZARA DEKHO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….
REHAAN PE SARWAR PE MAULA KI INAYAT HAI
NOWHE KI AZAANO MAY MATAM KI EKHAMAT HAI
SACH POOCHO KO DONO KI HAR SAANS IBADAT HAI
AE EHLE AZA TUMKO MATAM KI JO DAAWAT HAI
MOO MOD KE MAT JAAO KIS BAAT MAY TUM KAM HO
AE SHEH KE AZADARO….