(Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain) x2

Mujhpe kyun band kartay ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahi hoon

(Mujhpe kyun band kartay ho paani
Kya Muhammad ka pyaara nahi hoon) x2

Mujhpe kyun band kartay ho paani
Kalma goyo Muhammad ke shaami
Kya main mehmaan aaya nahi hoon
Kya main Zehra ka jaaya nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Mera baba hai mushkil kusha
Meri maadar bhi hai Sayyeda (x2)
Mera beta hai Zain-ul-iba
Mere nana ka kalma parha (x2)
Jis ke saaye ko tum dhoondtay ho
Kya main us ka hi saaya nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Tum ne maktoob likhay ka’eei
Aaiyye jald Ibn-e-Ali (x2)
Deen ki roshni kam hui
Sham-e-Islam bujhnay lagi (x2)
Tum ne chaaha tha main aa gaya hoon
Khud Madinay se aaya nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Dastaras mein meri kya nahi
Ilm taqwa shuja’at yaqeen (x2)
Mere pairoan ke neechay zameen
Jis pe rakhain Farishtay jabeen (x2)
Main hi Sardaar-e-Ahl-e-Jina hoon
Koi toota sitaara nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Meri gardan pe khanjar chalay
Aag lagti hai ghar mein lagay (x2)
Bint-e-Zehra ki chaadar chinay
Haath doonga na apna tujhe (x2)
Haath mera ye dast-e-Khuda hai
Main to munkir Khuda ka nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Saath Zehra ki hain betiaan
Mohtaram in sa koi kahaan (x2)
Pyaas ki dhoop ki sakhtiyaan
Sab ke chehray huay hain dhuaan (x2)
Betiaan Fatima ki hain pyaasi
Sirf ikk main hi pyaasa nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Hukm Abbas ko doon agar
Nehr le aaye wo chheen kar (x2)
Karbala hogi zer-o-zabar
Laashain tairaingee har mauj par (x2)
Main nahi chaahta jang karna
Fauj larnay ko laaya nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Goonji hal min ki aisi sadaa
Sheh ko Rehan kehtay suna (x2)
Ya Ali Ya Ali Aeliya
Waqt imdaad ka aa gaya (x2)
Meray bachay bilaktay hain pyaasay
Phir bhi kya moskuraaya nahi hoon

Mujhe pe kyun band… (x2)

Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha

Hussainiyo Ye Tum Pe Ho Gaya Lazim Jo Tum Hussaini Ho
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Hussainiyo Ye Tum Pe Ho Gaya Lazim Jo Tum Hussaini Ho
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Hussainyo Ye Tumhay Karbala Batati Hai
Jo Qoum Apne Shaheedo'n Ko Bhool Jaati Hai
Qadam Qadam Pe Ajal Se Fareyb Khaati Hai
Phir Aisi Qoum Ki Qismat Main Beysabaati Hai
Hussainyo Karo Jo Perawi To Hur Ki Perawi Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Koi Hussaini Kabhi Mout Se Nahi Darta
Ali a.s Ka Naam Kabhi Besakoon Nahi Karta
Ali a.s Ke Bughaz Ka Jo Zakham Hai Nahi Bharta
Ali a.s Ka Man'ney Wala Kabhi Nahi Marta
Hussainyo Jo In Pe Marta Hai Wo Hai Shaheed Hi Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Ali a.s Ke Bacho'n Ko Jo Mout Se Daraata Hai
Wo Apni Fikar-e-Najis Sey Faraib Khata Hai
Ali a.s Ki Raah Se Jo Bhi Qadam Hataata Hai
Nabbi Ka Beyta Bhi Toofaan Main Doob Jata Hai
Hussainyo Nabbi Ke Beytey Agar Ho Raho Nabbi Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Ali a.s Ke Jeeney Ka Andaaz Kia Niraala Hai
Ali a.s Ney Mout Ko Bhi Rizq Dey Ke Paala Hai
Khuda Key Ghar Main Shahadat Bara Hawala Hai
Ali a.s Ne Mout Ko Bhi Mushkilo'n Main Dala Hai
Hussainyo Hassan a.s Hussain a.s Bhi Zinda Rahey Inhi Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Jo Haq Parast Hain Wo Sab Ghulaam-e-Haider a.s Hain
Nazar Main Badar O Ohad Ke Tamam Manzar Hain
Jo Haq Parast Nahi Buzdilaan-e-Khaiber Hain
Jo Haq Parast Hain Unkey Jaley Huey Ghar Hain
Hussainyo Sha'oor-e-Haq Ki Zaroorat Hai Qamberi Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Inhi Ke Dar Pe Ajal Aa Ke Ho Gai Majboor
Hayaat O Mout Ka Banta Hai Inkey Ghar Manshoor
Inhi Ke Laal Banatey Hain Sabar Ka Dastoor
Munafiqat Hai Hamesha Dar-e-Hussain a.s Se Door
Hussainyo Haqooq Rakhtey Hain Sarey Ye Dawari Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Sanad Ghulaami Ki De Dain To Khuld Mil Jaaye
Ye Muskuraayen To Murjhaaya Phool Khil Jaaye
Zameen Ko Ghaiz Se Dekheyn Falak Bhi Hil Jaaye
Yahan Se Maangney Dharkan Nabbi s.a.w.w Ka Dil Jaaye
Hussainyo Kareem Sab Hain Yahan Rab-e-Akbari Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Ali a.s Sey Zindagi Qatil Ali a.s Ka Kia Chheeney
Ke Jaam-e-Sheereen Jissey Dast-e-Haidari a.s Se Miley
Ali a.s Ne Neend Se Bedaar Kar Dia Ho Jissey
Ali a.s Se Zindagi Wo Chheenta Bhala Kaisey
Hussainyo Ajal Pe Koun Gira Dehar Main Ali a.s Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Ye Kon Jaata Hai Marney Lahu Lahu Hai Badan
Faras Ke Doosh Pe Sooraj Ki Ja Rahi Hai Kiran
Jalal Keisa Hai Ye Shakhs To Hai Mout Shikan
Tarap Rahi Hai Dar-e-Khaima Pe Ye Kiss Ki Behan
Hussainyo Ye Kaainaat Larazti Hai Sarsari Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Ye Kiss Ke Halq Pe Ruk Ruk Ke Teygh Chalti Hai
Hayaat Roti Hai Aur Mout Haath Malti Hai
Zameen-e-Garm Se Ek Aag See Nikalti Hai
Ye Kiss Ki Maan Hai Jo Girti Hai Aur Sambhalti Hai
Hussainyo Ye Kaainaat Pe Chalti Hai Kia Chhurri Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) x2

Hayaat O Mout Ka Ye Falsafa Dia Kiss Ney
Ajal Ka Jaam Khuda Ke Liye Piya Kiss Ney
Ye Marhala Tha Kathan Tey Magar Kia Kiss Ney
Rehan Aazmi Mar Ke Bata Dia Kiss Ney
Hussainyo Hayat O Mout Hai Be Sar Hussain a.s Hi Ki Tarha
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha) xx

Hussainiyo Ye Tum Pe Ho Gaya Lazim Jo Tum Hussaini Ho
(Ajal Hussain a.s Ki Soorat Jiyo Ali a.s Ki Tarha)

Haideriyam Qalandaram Mastam
Banda-e-Murtaza Ali Hastam
Sar Giroh-e-Tamam Rindanam
Per Sag-e-Koo-e-Sheyr-e-Yazdanam

Koi Rabia Basri To (Koi Laal Qalandar) x2
Koi Rabia Basri To (Koi Laal Qalandar) x2
Koi Boo Ali Shah Hai To Koi Ham Sa Hussaini
Hai Sab Ka Ye Naara
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Seeno'n Ki Taraf Haath Jo Matam Ko Uthhey Hain) x2
(Rishta Kisi Mazloom Se Ye Jor Rahey Hain) x2
Ye Munkir-e-Matam Ki (Kamar Tor Rahey Hain) x2
Ye Matami Dastey Nahi Haider a.s Ka Hai Lashkar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Tareekh Ke Auraaq Ke Moonh Main Jo Zubaan Doon) x2
(Jo Nara-e-Haider a.s Ki Fazeelat Hai Bata Doon) x2
Wo Mareka Khaiber Ka (Tumhey Yaad Dila Doon) x2
Mushkil Main Jo Ek Baar Pukaarey They Payamber s.a.w.w
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Narey To Bohat Aur Bhi Logo'n Ney Lagaye) x2
(Nara Koi Aisa Na Tha Khaiber Jo Hilaaye) x2
Bus Nara-e-Haider Ne (Wo Ausaaf Hain Paaye) x2
Dooba Hua Sooraj Bhi Nikalta Hai Ubhar Kar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Aao Dar-e-Haider a.s Ki Taraf Soorat-e-Qamber) x2
(Iss Dar Ki Jabeen Saeen Banati Hai Qalander) x2
Salman Yaheen Bantey Hain (Yaheen Meesam O Bu Zar) x2
Ye Dar To Badal Deta Hai Hur Ka Bhi Muqaddar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Hoti Hai Yahan Aa Ke Ye Haq Baat Mukamal) x2
(Sach Baat Kahey Ga Wo Hama Waqt Musalsal) x2
Sach Baat Ko Maneyn Gey (Sabhi Aaj Nahi Kal) x2
Bus Naam-e-Ali a.s Wird Karo Misl-e-Qalandar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Girtey Huey Logo'n Ko Ye Meidaan Main Uthha Deyn) x2
(Qura'an Ki Zabaan Bolna Pathar Ko Sikha Deyn) x2
Toofaan Ka Rukh Mour Deyn (Aandhi Ko Bhaga Deyn) x2
Ye Jaam-e-Shahadat Piyen Qatil Ko Jaga Kar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Dar Ka'abey Ki Deewaar Main Qudrat Ney Kia Ho) x2
(Butt Ka'abey Mein Rakhey Huey Jo Tor Raha Ho) x2
Allah Ka Ghar Jisska (Zacha Khana Bana Ho) x2
Sab Mil Kar Lagatey Raho Ab Ka'abey Ka Chakar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Man Kunto Kaheyn Jissko Nabbi s.a.w.w Shakhs Woh Kia Hai) x2
(Aaqa Wohi Moula Hai Wohi Haq Ki Sadaa Hai) x2
Moula Woh Hamara Hai (Nuseri Ka Khuda Hai) x2
Ausaaf Kisi Main Nahi Haider a.s Ke Barabar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Haider a.s Ke Ghulaamo'n Ko Guzarna Ho Jidher Sey) x2
(Toofaan Bhi Rukh Mour Ke Chaltey Hain Udhar Sey) x2
Dekhey Koi Haider a.s Ko (Payamber s.a.w.w Ki Nazar Sey) x2
Paida Na Hua Sheyr-e-Khuda Ka Koi Hamser
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Hijrat Ki Woh Shab Ghaat Lagaaye Huey Dushman) x2
(Mehboob-e-Khuda Kesey Bacha Saktey Hain Daaman) x2
Per Soorat-e-Haider a.s Main (Diya Aik Hai Roshan) x2
Lo So Gaye Wo Ban Ke Muhammad s.a.w.w Sar-e-Bistar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Islam Pe Sar Maango To Ham Sar Tumhey Deynge) x2
(Ik Sar Ki Zaroorat Ho Bahatter Tumhey Deynge) x2
Farzand-e-Ali a.s Ki Tarha (Ham Ghar Tumhey Deynge) x2
Ham Sab Hain Ghulam Usskey Jo Hai Saqi-e-Kousar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Jo Teygh Taley Sajda-e-Ma'abood Main Sar Ho) x2
(Mout Aaye Gi Sajdey Main Jissey Ye Bhi Khabar Ho) x2
Masroof-e-Buka Usskey Liye (Kyun Na Bashar Ho) x2
Woh Jissney Na Chalney Dia Islaam Pe Khanjer
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Woh Baazoo-e-Abbas a.s Jo Kaatey Gaye Ran Main) x2
(Woh Teer Jo Paiwast Hain Sarwar a.s Key Badan Main) x2
Doori Hui Pardeys Main (Jab Bhai Behan Main) x2
Marqad Main Buka Kartey They Wo Khaak Ura Ker
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Wo Asar Ka Hangaam Wo Shabbir a.s Ka Sajdah) x2
(Woh Payaas Wo Garmi Woh Chamakta Hua Darya) x2
Uthh Uthh Ke Wo Girta Hua (Ik Khaimey Ka Parda) x2
Aati Thi Dar-e-Khaima Se Awaaz Barabar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

(Rehan Meri Aankh Sey Behtey Huey Aansoo) x2
(Hain Raah-e-Sadaqat Main Chamaktey Huey Jugnoo) x2
Matam Ki Sada Nouhay Ki (Aawaaz Har Ek Soo) x2
Haider a.s Ke Ghulaamo'n Ne Hi Pheilaai Hai Sarwar
Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara Ali a.s Moula Hamara

Koi Rabia Basri To (Koi Laal Qalandar) x2
Koi Rabia Basri To (Koi Laal Qalandar) x2
Koi Boo Ali Shah Hai To Koi Ham Sa Hussaini
Hai Sab Ka Ye Naara
(Ali a.s Moula Hamara Ali a.s Aaqa Hamara) x3

Aao Akbar sehra baandho (x4).
Aao Akbar sehra baandho (x4).

Koi masnad laa ke bichhaawo.
Koi aanchal sar pe chhaawo.
Koi kaajal surma laawo.
Koi mehndi rang rachaawo.

Aao Akbar sehra baandho (x2).

Mera laal sada aabaad rahay.
Dil maa behno ka shaad rahay.
Sukhi jug jug ye aulaad rahay.
Meray mann ki poori muraad rahay (x2).
Koi Naad-e-Ali dohraawo.
Poshaak shahani laawo.

Aao Akbar… (x2).

Koi chaadar amma Zehra ki.
Koi pagdi laao naana ki.
Chalo behno aao Akbar ki.
Akbar ke lagaao ab mehndi (x2)
Phooloan ki sej sajaawo.
Ye baam-o-dar mehkaawo.

Aao Akbar… (x2).

Phooloan ko aab-e-Kauser se.
Dhulwa ke Buzar-o-Kambar se.
Ye sehra lagaana tab sar se.
Jab abr Najaf se aa barsay (x2).
Abbas ka parcham laawo.
Saaye mein is ko bithaawo.

Aao Akbar… (x2).

Koi Sughra ko paigham ye do.
Akbar ki behan tum shaad raho.
Aanay ki sakat ho to aao.
Aur naig tum apna le jaao (x2).
Bhayya ke galay lag jaawo.
Ghoonghat dulhan ka uthaawo.

Aao Akbar… (x2).

Kehti hai Sakina khush ho kar.
Doolha jo banay bhayya Akbar.
Main naig mein maangoongi gauhar.
Sar rakh ke un ke seenay par (x2).
Haq mera mujhe dilwaawo.
Mujhe bunday nayay pehnaawo.

Aao Akbar… (x2).

Na gaaha ye di haatif ne sada.
Ye zulm hua Umm-e-Laila.
Seenay mein laga us ke naiza.
Armaan tha jis ki shaadi ka (x2).
Akbar ko kafan pehnaawo.
Zakhmoan se khaak chhudaawo.

Aao Akbar… (x2).

Barchee hai kalejay main tooti.
Haathoan mein lagee khoo ki mehandi.
Sau tukday hui sehray ki ladee.
Sarwar pe qayamat ki hai ghadee (x2).
Zainab ko hosh mein laawo.
Lo farsh azaa ka bichhaawo.

Aao Akbar… (x2).

Do qaasid-e-Sughra ko ye khabar.
Sughra ko bataaye wo jaa kar.
Akbar to gayey suaay Kausar.
Kya tak-ti hai Sughra raah guzar (x2).
Mat un se aas lagaawo.
Ab faatiha un ki dilaawo.

Aao Akbar… (x2).

Rehan tujhay Akbar ki qasam.
Mat rok abhi tu apna kalam.
Ye baat tujhe karna hai raqam.
Gham ahl-e-aza ka jis se ho kam (x2).
Akbar ka sehra sunaao.
Khud tadhpo aur tadhpaao.

Aao Akbar… (x2).

No Video Available For This Noha

Faryaad Karey Thi Baba Khey
Hin Shaam-e-Ghareebaan Je Ban Main
Jeyhn Bheyn Ja Arhaan Bhaaiya Ho Jin
Ooha Bheyn Akeli Karbal Main Faryaad Karey Thi
Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a
(Main Kiya Karoon Baba Majboor Hai Zainab s.a) x2
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x3

(Zainab Aa Akeyli Ayen Sham-e-Gharibaan) x2
(Ghurbat Jo Andhero Ain Sani-e-Zahra s.a) x2
(Tat'heer Ji Malik) x2 Ain Be Rida Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x2

(Ye Sham-e-Ghareebaan Ham Be Sar-O-Saamaan) x2
(Laasho'n Se Bhara Hai Ye Khoon Bhara Meiydaan) x2
(Ye Ranj-O-Masaayeb) x2 Dil Per Sahey Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x2

(Ik Roz Main Baba Ujra Hai Mera Ghar) x2
(Athhaara Baradar Koi Nahi Sar Per) x2
(Nouha Karey Zainab s.a) x2 Matam Karey Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x2

(Baba Merey Bachey Ban Main Gaaye Maarey) x2
(Veeran Merey Saarey Maqtal Ko Sidhaarey) x2
(Payaaro'n Se Bichhar Kar) x2 Kaisey Rahey Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x2

(Behtaa Raha Darya Bachey Rahey Payaasey) x2
(Kehtey Hain Kahaani Tooty Huey Koozey) x2
(Paani Ki Talab Main) x2 Aansoo Piye Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x2

(Gardan Pey Chhuri Thi Main Dar Pey Khari Thi) x2
(Khoon Behta Tha Sheh Ka Main Deykh Rahi Thi) x2
(Wo Dard Ka Manzar) x2 Kiss Se Kahy Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x2

(Rehan Ka Nouha Aey Sani-e-Zahra s.a) x2
(Har Bazm-e-Azza Main Ho Gham Ka Khulaasa) x2
(Girta Hua Aansu) x2 Kehta Rahey Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x2

(Main Kiya Karoon Baba) x2 Majboor Hai Zainab s.a
(Auchha Kayan Baba Majboor Aa Zainab s.a) x3

No Video Available For This Noha

(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x4

(Ek Yahi Baat Sajjad a.s Ko Khaa Gayi) x2
Sar Khuley Haaye Zainab s.a Kahan Aagayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Touq Ke Bojh Se Sar Nahi Tha Jhuka) x2
(Wajh-e-Sharmindagi Ek Yahi Dard Tha) x3 Majma-e-Ashkiya Mein Phuphi Aagayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Tap Raha Tha Badan Aur Zanjeer Bhi) x2
(Be Rida Maan Phuphi Aur Hamsheer Bhi) x3 Sochtey They Na Kyun Kar Qaza Aagayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Bibiyon Ke Galey Reesmaa Se Bandhey) x2
(Gard Aalood Baalo'n Se Chehrey Chhupey) x3 Shaam Tak Iss Tarha Bint-e-Zehra s.a Gayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Waariso'n Ke Janazo'n Pe Roye Nahi) x2
(Asr-e-Aashur Ke Baad Soye Nahi) x3 Neend Rukhsat Hui Aankh Pathara Gayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Ek To Zindaan Uss Par Andheyra Bohat) x2
(Aur Faryaad Karney Pe Pehra Bohat) x3 Maut Bhi Iss Andherey Se Ghabra Gayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(So Gayi Qaid Khaney Mein Woh Ghamzadah) x2
(Jiska Shaam-e-Gharibaan Mein Daman Jalaa) x3 Qaid Khaaney Ki Uss Ko Zameen Khaa Gayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Kaisey Dafnaayen Jakrey Hain Zanjeer Mein) x2
(Dard Likhey Hain Kaya Sirf Taqdeer Mein) x3 Dafan Karney Sakina s.a Ko Maan Aagayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Dard Rehan Sajjad a.s Ke Mein Likhu) x2
(Khama-e-Jaan Se Merey Tapakta Hai Khoon) x3 Rooh-e-Qirtaas Iss Gham Se Tharraa Gayi
(Haye Bazaar-e-Shaam Mera Bekas Imaam) x2

(Ya Hussain a.s Ya Hussain a.s) x4

(Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge) x4

(Jab Hoga Sawaa Neyze Pe Khurshid-e-Qayamat) x2
(Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge) x2

(Barhta hi Chala Jaayega Shabbir a.s Ka Matam) x2
Aaye Jo Gham-e-Sheh Ke Alamdar Raheynge
Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge

(Hum Qabar Me So Jaayenge Jab Be Khaberi Se) x2
Matam Ki Nishaan Rooh Me BeDaar Raheynge
Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge

(Har Cheez Ko Duniya Me Fanaa Hona Hai Ik Din) x2
Qaayam Gham-e-Shabbir a.s Ke Aasaar Raheynge
Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge

(Jannat Me Agar Majlis-e-Shabbir a.s Na Hogi) x2
Ham Ehl-e-Azzaa Khuld Se Beyzaar Raheynge
Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge

(Ek Baar Zara Naam-e-Ali a.s Ley Ke To Dekho) x2
Mushkil Mein Madadgaar Wo Har Baar Raheynge
Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge

(Zainab s.a Ka Khuley Sar Bharey Darbaar Mein Jaana) x2
Sajjad a.s Issi Dard Sey Bimaar Raheynge
Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge

(Wo Mashk Ka Chhidna Wo Sakina s.a Ka Bilakna) x2
Abbas a.s Ke Seeney Pe Sadaa Waar Raheynge
Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge

(Rehan Mera Nama-e-A'amaal Hai Nouha) x2
Parwa Nahi Jannat Merey Asha'ar Raheynge
(Saaye Mein Syeda s.a key Azadaar Raheynge)

No Video Available For This Noha

(Ya Hussain a.s) x8
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x4

(Bin Baap Ki Bachi Hai Aur Shaam ka Zindaan) x2
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Jiss Roz Se Bichhri Hai Baba se Chacha Sey
Masooma Ne Ronay Per Khaaye Hain Tamaanchey
Rassi Ki Azzeeyat Se Dam Ghut'ta Hai Har Aan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Aaraam Se Soti Thi Jo Baap Ke Seeney Per
Zindaan Main Mila Ussko Ab Khaak Ka Bistar
Rukhsaar Bhi Zakhmi Hain Tar Khoon Se Huey Kaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Zindaan Ka Andhera Hai Aur Yaas Ka Pehra
Iss Yaas Ke Aalam Main Abbas a.s Ka Chehra
Yaad Aata Hai Reh Reh Ke Wo Hoti Hai Beyjaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Zindaan Ka Koi Gosha Hota Jo Hawadaar
Ghut Ghut Ke Wo Marti Na Zinhaal
Zindaan Se Rehai Ka Mar Kar Hua Samaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Sar Pe Thi Yateema Ke Sehra Ki Pari Khaak
Aur Jisam Ki Zakhmo'n Se Chipki Hui Poushaak
Jo Mar Gai Zindaan Main Uss Bachi Ke Qurbaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Kehti Thi Phupi Ammaa'n Kab Hogi Rehaai
Kaya Koyi Khabar Merey Ammu Ki Bhi Aayi
Ley Jaayenge Zindaan Se Kab Mujh Ko Chacha Jaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Ro Ro Ke Wo Kehti Thi Har Waqt Phuphi Sey
Jaatey Hain Kahan Urr Ke Sar-e-Shaam Parindey
Ham Bhi Kabhi Ghar Jaayen Kia Isska Hai Imkaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Kyun Ammaa'n Ki Goudi Mein Asghar a.s Nahi Mera
Kya Loota Gaya Ammaa'n Masoom Ka Jhoola
Laa Do Meray Bhayya Ko Mujh Per Karo Ehsaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Main Waari Gaai Ammaa'n Baba Se Mila Do
Jiss Seeney Pe Soti Thi Phir Uss Pe Sula Do
Jeeney Ki Nahi Hoon Main Lamho'n Ki Hoon Mehmaan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

Ab Bhi Dar-e-Zindaan Se Aati Hain Sadaayen
Baba Mujhey Zindaan Ki Museebat Sey Bachaayen
Bachi Ki Sada Kiya Hai Nouha Tera Rehan
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan) x2

(Bin Baap Ki Bachi Hai Aur Shaam ka Zindaan) x2
(Kaisa Hai Sitam Moula Tu Kaisa Hai Rehmaan)