No Video Available For This Noha

Aik Zakir Sham Pohancha Dil Main Ley Ker Ye Khayal
Dekh Kar Bazaar Aur Darbar Poochun Ye Sawal
Sar Barhena Jab Thi Zainab s.a Bey Kafan Zahra s.a Ka Laal a.s
Sar Pe Sooraj Chal Raha Tha Jiss Gharri Cheeunti Ki Chaal
Fasela Bazaar Se Darbaar Tak Tey Jab Kia
Waqt Uss Mushkil Safar Main Kitna Bibi s.a Ko Laga
Marqad-e-Zainab s.a Pe Pohancha Aur Mujaawir Se Kaha
Aey Mujaawir Marqad-e-Zainab s.a Ke Mujh Ko Ye Bata
Tey Safar Bazaar Se Darbaar Tak Main Ney Kia
Waqt Mujhko Iss Safar Mein Chand Sa'at Ka Laga
Iss Zara Se Fasley Ko Khuwahar Shabbir a.s Ne Kinti Sa'at Main Kia Tey Zainab-e-Dilgeer Ney
Ro Dia...
Ro Dia Sun Kar Mujaawir Ye Sawal Aur Ye Kaha
Zakir-e-Shabbir a.s Hai Sun'ney Ka Tujh Main Hosla
Tu Ney Tey Ye Fasla Jo Chand Sa'at Main Kia
Ye Safar Zainab s.a Ka Saddiyo'n Ke Barabar Ho Gaya
Tees Ghento'n Main Yahan tak Pohanchi Bint-e-Fatima s.a
Gird They Laakho'n Tamashaai Hazaaro'n Ashqiyaa
Aur Meri Behno, Ye Gharri Hai Kiss Qadar Ehsaas Ki
Thi Behan Abbas a.s Ki Nazrain Awam-un-Naas Ki
Be Ridaai Be Gharri Aur Uss Pe Shiddat Piyaas Ki
Kehti Thin Mil Jaae Chaader Parcham-e-Abbas a.s Ki
Sa'at-e-Shaam-e-Ghareebaan Yaad Wo Abbas a.s Ki
Jab Na Tha Koi Bhi Waaris Maa Siwaaye Beykassi
Ghamzada Ke Haath Main Ik Choub-e-Khaima Aa Gai Ban Gai Zainab s.a Ali a.s Abbas a.s Bhi Shabbir a.s Bhi
Sehmey Bacho'n Ke Liye Bint-e-Ali a.s Thi Pehra Daar
Sab Ko Deti Thi Tassalli Khud Magar Thi Ashk Baar
Na Gahaan Dekha Chala Aata Hai Jaisey Ek Sawaar
Yhaam Leen Baagain Faras Bibi s.a Ne Ho Ke Beyqaraar
Bolin Ab Kia Lootney Aaye Ho Sab Kuch Lutt Gaya
Jal Gaya Asbaab Sara Bhai Mera Mar Gaya
Lout Jaa Deti Hoon Tujhko Mustafa s.a.w.w Ka Waasta
Main Nabbi Zaadi Hoon Main Zainab s.a Hoon Bint-e-Syeda s.a
Mustafa s.a.w.w Ka Naam Sun Kar Ho Gaya Wo Beqaraar
Daal Kar Baanhain Galey Mein Ho Ke Bola Ashkbaar
Main Tera Baba Ali a.s Mushkil Kusha Hoon Gham Gusaar
Ab Tu Khaimey Main Chali Jaa Main Banoo'n Ga Pehra Daar
Arey Baap Ko Dekha To Gham Sey Aur Seena Phat Gaya
Gajla-e-Aanu Jo Tha Aakhir Ko Be Qaabu Hua
Bolin Zainab s.a Murtuza a.s Se Kar Ke Ye Aah O Pukaar
Kat Gaya...
Kat Gaya...
Kat Gaya Kunba Mera Baba a.s Chhinni Meri Rida
Akbar a.s O Asghar a.s Sidaarey Qasim a.s O Abbas a.s Bhi
Chal Gai Shabbir a.s Ke Halqoom Pe Baba Chhurri
Main Dar-e-Khaima Pe Baba a.s Haath Malti Reh Gai
So Gaya...
So Gaya...
So Gaya Darya Kanarey Jaa Ke Abbas-e-Jari a.s
Ham Ko Aey Rehan Qismat Se Sharaf Kaisa Mila
Roza-s-Abbas a.s Ke Saaye Mein Ye Nouha Likha
Roza-e-Shabbir a.s Pe Jaa Kar Jo Sarwar Ne Parha
Yun Laga...
Yun Laga...
Yun Laga Qull Anmbia Hain Shamil-e-Ahl-e-Azza

Wo Zaair-e-Hussain a.s Wo Jabir r.a Woh Karbala
Wo Shaam Se Palat Ke Jab Aaya Tha Qafila
Naaqo'n Ke Jo Chalnay Se Ubharney Lagi Sada
Jabir r.a Ne Barh Ke Qafilay Waalon Se Ye Kaha
Ruk Jaao Ke Ye Saltanat-e-Ibn-e-Ali a.s Hai
Naaqo'n Pe Yahan Aana Bari Be Adabi Hai

Jab Iss Sada Ko Zainab-e-Dilgeer s.a Ne Suna
Roi Jigar Ko Thaam Ke Aur Ro Ke Ye Kaha
Parwardigaar Shukar Hai Tera Bohat Bara
Jaageer Hai Ye Ghazi a.s Ki Aati Hai Ye Sada
Phir Iss Ke Baad Naaqay Se Khud Ko Gira Diya
Abbas a.s Ki Behan Ne TaRap Ker Ye Di Sada

Arey Zainab s.a Hoon Bhai Zainab s.a Hoon Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x4

Ye Karbala Hai Jageer Teri (Hum Aaye Teri Jageer May) x2
Reh Jaaye Zindaan May Hi Sakina s.a (Ye Bhi Likha Tha Taqdeer May) x2
Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x2

Zindaan Se Chhut Kar Main Aa Gai Hoon (Ranj-O-Alam Ki Chadar Liye) x2
Baazar-e-Kufa May Hain Jo Guzray (Aankho'n May Saarey Manzar Liye) x2
Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x2

Bhayya Tumhari Ghairat Ki Khaatir (Baalo'n Se Parda Karti Rahi) x2
Chaadar Nahi Thi Sar Per Jo Meray (Ek Ek Qadam Par Marti Rahi) x2
Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x2

Bazaar-e-Kufa Se Woh Guzarna (Ehl-e-Haram Ke Salaar Ka) x2
Bhayya Sajaya Tha Ashqiyaa Ne (Ek Ek Kona Bazaar Ka) x2
Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x2

Bhayya Sakina s.a Ko Ek Shaqi Ne (Maanga Kaneezi Main Jiss Ghari) x2
Main Bint-e-Zehra s.a Main Bint-e-Haider a.s (Bhayya Laraz Kar Main Reh Gayi) x2
Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x2

Kaisa Andhera Zindaan Tha Wo (Jissmey Sakina s.a Jaan Se Gai) x2
Baba a.s Chacha a.s Se Mujh Ko Mila Do (Masoom Ro Ro Kehti Rahi) x2
Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x2

Kurta Jo Uska Khoon May Bhara Tha (Us Ko Banaya Main Ne Kafan) x2
Jab Dafan Kartey Thay Us Ko Abid a.s (Tharra Raha Tha Un Ka Badan) x2
Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x2

Rehan Zainab s.a Ki Ye Fughaan Thi (Abbas-e-Ghazi a.s Ki Laash Per) x2
Deti Kafan Main Aey Bhayya Tum Ko (Chhinti Na Sar Se Chaadar Agar) x2
Arey Pehchano Mujh Ko Aey Merey Ghazi a.s
Zainab s.a Hoon Aey Bhai
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x4

(Zainab s.a Hoon Bhai) x2
(Bhai Main Zainab s.a Hoon) x8

No Video Available For This Noha

Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair

(Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair) x2
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x3

(Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair) x2
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Hai Nishaan-e-Haidari a.s Bara (Aur Kisi Nishaan Ka Zikar Kia) x2
(Hai Ali a.s Ali a.s Ki Jo Sadaa) x3
Har Mujahid-e-Khuda Ki Khair
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Dil Se Tum Kabhi Kaho To Ya Ali a.s (Aaye Ga Paseena Mushkilo'n Ko Bhi) x2
(Har Bala Ali a.s Ke Naam Se Tali) x3
Khair Merey Ailiya a.s Ki Khair
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Zikar-e-Panjtan a.s Main Ho Basar (Zindagi Ki Shaam Aur Sehar) x2
(Ik Sada Ho Lab Pe Umr Bhar) x3
Khair Sahib-e-Kissa a.s Ki Khair
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Hey Hasab Nasab Ali a.s Ka Wo (Noor Main Dhala Khuda Se Jo) x2
(Fakhar Hai Khuda Ki Zaat Ko) x3
Iftekhar-s-Kibriya Ki Khair
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Bistar-e-Nabbi s.a.w.w Pe So Gaye (Hu Ba Hu Rasool s.a.w.w Ho Gaye) x2
(Bandagi Main Aisey Kho Gaye) x3
Iss Rasool s.a.w.w Aashna Ki Khiar
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Jo Nabbi s.a.w.w Ki Dhaal Ban Gaya (Apni Khud Misaal Ban Gaya) x2
(Sahib-e-Kamaal Ban Gaya) x3
Uss Kamal-e-BePanaah Ki Khair
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Bus Gham-e-Hussain a.s Zindagi Main Ho (Karbala Hamari Har Khushi Main Ho) x2
(Gham Yehi Hisaar-e-Bandagi Main Ho) x3
Aey Ali a.s Iss Dua Ki Khair
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2

Apney Apney Dil Ki Baat Hai (Jo Rehan Haq Ke Saath Hai) x2
(Uss Ki Mout Bhi Hayaat Hai) x3
Uss Hayaat-e-BeQaza Ki Khair
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x2
Ho Ali a.s Ke Chaahney Waalo'n Ki Khair
(Khair Matam O Azza Ki Khair) x6

No Video Available For This Noha

(Sab Se Buland Apna Alam) x2
(Ham Hain Hussaini) x4

(Sab Se Buland Apna Alam) x3
(Ham Hain Hussaini) x4

(Parcham-e-Abbas a.s Khula) x4 (Doobi Duaa'on Se Fizza) x2
(Aati Hai Zahra s.a Ki Sada) x2 (Maang Lo Hai Maangna Kia) x2
Jitna Hai Mang Uska Karam
(Ham Hain Hussaini) x4

(Sheh a.s Ke Azadaar Hain Ham) x2 (Sheh a.s Ke Wafadaar Hain Ham) x2
(Sahib-e-Kirdaar Hain Ham) x2 (Haq Ke Tarafdaar Hain Ham) x2
Kha Ke Azaadi Ki Qasam
(Ham Hain Hussaini) x4

(Apna Hasab Aur Nasab) x2 (Aisa Hai Moula Ke Sabab) x2
(Jag Main Ali a.s Shah-e-Arab) x2 (Qabzay Main Hai Marzi-e-Rab) x2
Jinko Mili Taigh-e-Do Dam
(Ham Hain Hussaini) x4

(Beetey Hain Chouda So Baras) x2 (Deen Ki Aawaz-e-Jarab) x2
(Matam-e-Shabbir a.s Se Bus) x2 (Kholti Hai Rooh Main Ras)
Deen Ki Kassa Kia Hai Qadam
(Ham Hain Hussaini) x4

(Koi Nahi Rab Se Bara) x2 (Baad-e-Khuda Hai Mustufa s.a.w.w) x2
(Koi Nahi Koi Na Tha) x2 (Aik Hai Bus Sheyr-e-Khuda a.s) x2
Shah-e-Najaf a.s Shah-e-Ummam a.s
(Ham Hain Hussaini) x4

(Askari Nara Hai Ali a.s) x2 (Azam Ka Dhaara Hai Ali a.s) x2
(Jissney Pukaara Hai Ali a.s) x2 (Usska Sahaara Hai Ali a.s) x2
Ali a.s Ali a.s Dam Hama Dam
(Ham Hain Hussaini) x4

(Kissko Ye Aizaaz Mila) x2 (Ibn-e-Ali a.s Terey Siwa) x2
(Khaak Pe Jab Khoon Baha) x2 (Ban Gai Wo Khak-e-Shifa) x2
Parcham-e-Deen Tera Alam
(Ham Hain Hussaini) x4

(Karbobala Soch Zara) x2 (Lakht-e-Dil-e-Sheyr-e-Khuda a.s) x2
(Piyasa Terey Dasht Mein Tha) x2 (Kyun Tha Tah-e-Taigh Gala) x2
Qabzay Main Tha Haaye Sitam
(Ham Hain Hussaini) x4

(Chal Gai Gardan Pe Chhurii) x2 (Ghairat O Pa Kis Ko Na Thi) x2
(Haq Ki Sada Dab Na Saki) x2 (Shama-e-Risalat Na Bhujhi) x2
Kufar Ka Sar Ho Gaya Kham)
(Ham Hain Hussaini) x4

No Video Available For This Noha

Aayeen Jo Ley Ke Goud Main Shabbir a.s Ko Batool s.a
Bachey Ko Dekha Khush Huye Phir Ro Diye Rasool s.a.w.w
Zahra s.a Ne Poocha Aap s.a.w.w Huye Kiss Liye Malool
Boley Rasool s.a.w.w. Mujh Pe Wahi Ka Hua Nazool
Zahra s.a Suno Main Khush Hua Ye Deen Bachaaye Ga
Rota Hoon Tanha Dasht Main Ye Mara Jaaye Ga

Zahra s.a Tarap Ke Boleen Ke Baba Ye Kia Kaha
Kyun Qatal Ho Ga Dasht Mein Tanha Ye Meh Laqa
Boley Rasool s.a.w.w Koi Na Ho Ga Bajuz Khuda
Aik Qoum Aisi Khalq Karey g
Gi Teri Dua
Matam Karyengi Bibiyaan Bachey Na Soyenge
Afraad Iss Qabeely Ke Ta Hashar Royenge

Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

(Matam Nishaan Hamara) x2 Majlis Hamari Sog
Ham Hi Wohi Hain Log
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Wo Qoum Jissko Fatima Zahra s.a Ne Di Dua
Koi Bhi Gham Na Ho Gham-e-Shabbir a.s Ke Siwa
Koi Bhi Din Ya Muharram Kartey Hain Sheh a.s Ka Matam
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Seeno'n Pe Daag-e-Matam-e-Sarwar a.s Gawah Hain
Kaaley Libaas Waley Hussaini a.s Sipaah Hain
Jin Per Dua-e-Zahra s.a Karti Hai Khud Hi Sayaa
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Matam Ki Goonj Main Huey Madhosh Iss Tarha
Ka'ba Misal Ham Hain Siyaah Posh Iss Tarha
Hain Aankh Nam Hamari Pehchan Gham Hamarai
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Paani Ki Ye Sabeel Ye Ghazi a.s Ki Haaziri
Sehra Kahin Saja Kahin Mehndi Saji Hui
Shaadi Ke Ghar Mein Matam Kartey Hain Wo Jo Peham
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Chaltey Hain Ham Jo Aag Pe Ab Tak Barhena Paa
Aur Lab Pe Dulha Dulha Ki Rehti Hai Jo Sadda
Tukrey Hua Jo Laasha Parhtey Hain Usska Nouha
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Bacho'n Ko Apney Jhoola Jhulaayein To Ro Pareyn
Baali Kissi Ko Ham Jo Pehnaaeyn To Ro Pareyn
Hain Khaak Jinka Bistar Zanjeer Jinka Zeywar
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Bhaai Ko Khat Behan Ka Jo Perdeys Main Miley
Reh Jaatey Hain Alam Se Kalejey Ko Thaam Ke
Wada Nibhaaney Waley Khaatey Hain Dil Pe Bhaaley
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Khaali Jo Zuljanah O Ammaari Dekhaai Dey
Aal-a-Nabbi s.a.w.w Ke Gham Main Kaleja Sulag Uthhey
Dil Khoon Ho Ke Tapkey Ashko'n Ki Dhaar Bankey
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Rehan Jinko Saaya-e-Damaan-e-Syeda s.a
Ho Ga Naseeb Hashar Main Wo Ham Hain Ba Khuda
Wahan Bhi Kareyn Gey Matam Ghazi a.s Ka Le Ke Parcham
(Ham Hi Wohi Hain Log) x2
Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

Ham Hi Wahi Qabeela (Ham Hi Wohi Hain Log) x2

No Video Available For This Noha

(Inqelab Inqelab) x3
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x3

(Zikar-e-Inqelab Hai Hussain a.s Fikar Chaahiye) x2
(Karbala Se Jo Uthhi Thi Aisi Fikar Chahiye) x2
(Buzari O Qambari Ke Jaisi Fikar Chaahiye) x2
Fikar Hur Ki Jiss Tarha Thi (Waisi Fikar Chaahiye) x2
Haan Hamain Hussain a.s Ki (Ali a.s Ki Fikar Chaahiye) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Inqelab Khoon Se Hai Teygh Kaatney Ka Naam) x2
(Inqelab Dil Se Barchhiyo'n Ko Rokney Ka Naam) x2
(Inqelab Ghar Lutta Ke Shukar Bhejney Ka Naam) x2
Inqelab Muskura Ke (Teer Phenkney Ka Naam) x2
Inqelab Noujawaan Ki (Laash Dekhney Ka Naam) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Inqelab Hai Sada-e-Isteghaasa-e-Hussain a.s) x2
(Inqelab Karbala Hai Kia Khulasa-e-Hussain a.s) x2
(Inqelab Sabar Dhoop Main Hai Laasha-e-Hussain a.s) x2
Inqelab Dast Main Shifa (Dilasa-e-Hussain a.s) x2
Inqelab Tashnagi Hai (Halq Payasa-e-Hussain a.s) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Khoon-e-Inqelab Hai To Khoon Phir Ali a.s Ka Hai) x2
(Josh-e-Inqelab Hai To Josh Phir Ali a.s Ka Hai)x 2
(Hosh-e-Inqelab Hai To Hosh Phir Ali a.s Ka Hai) x2
Waqt-e-Inqelab Hai To (Waqt Phir Ali a.s Ka Hai) x2
Zabt-e-Inqelab Hai To (Zabt Phir Ali a.s Ka Hai) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Jab Talak Jiyen Ge Ham Payaam Ye Sunaayenge) x2
(Nafrat O Gharoor Terey Naam Se Mitaayenge) x2
(Nara-e-Hussain a.s Se Zamaney Ko Jagaayenge) x2
Sar Buland Deen Ka (Alam Hai Ham Bataayenge) x2
Ham Hussaini a.s Fikar Se Wo (Inqelab Laayenge) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Matam-e-Hussain a.s Ki Dhamak Zameem Se Ta Sama') x2
(Manzil-e-Yakeen Hai Nahi Hai Iss Main Koi Shak) x2
(Majlis-e-Azza Jaloos O Taziyo'n Ki Ye Dhanak) x2
Hai Azza Ka Farsh Ye (Zameen Aur Ye Falak) x2
Ham Ke Sath Seena Kobi (Kar Rahye Hain Ye Malak) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Ye Jawaan O Peer Sheer Khuwaar Aur Ye Nonehaal) x2
(Matam-e-Hussain a.s Main Badan Lahoo Se Jinkey Laal) x2
(Pardadaar Beytiyaan Hussaini Gham Main Hain Nidhaal) x2
Ta Barhena Sar Khuley (Galey Main Hai Azza Ki Shaal) x2
Hai Dua-e-Fatima s.a (Hussaini Fikar Ka Kamal) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Matam-e-Hussain a.s Ki Rajeem Main Aik Roshni) x2
(Aqal Bhi Sha'oor Bhi Ye Ham Sifaat-e-Bandagi) x2
(Nara-e-Azaan Yehi Yehi Hamari Zindagi) x2
Ramz Ye Samajh Sakeynge (Buzari O Qambari) x2
Hai Hussainiat Jahan (Jahan Wahan Qalandari) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Haq Parastiyo'n Ki Raah Ka Pata Hai Karbala) x2
(Zulm Ke Muqaabaley Se Aa Gaya Hai Karbala) x2
(Kufar Ke Gharoor Ko Mita Gaya Hai Karbala) x2
Aandhiyo'n Main Bhi Diya (Jala Gaya Hai Karbala) x2
Parcham-e-Hussain a.s Ban Ke (Chhaa Gaya Hai Karbala) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Inqelab Hai Yehi Ke Matami Libaas Ho) x2
(Majlis-e-Azza Main Koi Khouf Na Hiraas Ho) x2
(Kiss Tarha Hussain a.s Gham Bataaiye Qiyaas Ho) x2
Aarzoo-e-Syeda s.a Pe (Gham Ki Jab Asaas Ho) x2
Har Ghari Azza-e-Shah-e-(Karbala Ka Paas Ho) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Talib-e-Ali a.s Jo Hai Wo Johari Janab Hai) x2
(Aqal Per Aqeel Ki Ata-e-Bu Turaab a.s Hai) x2
(Fikar-e-Irfan Abidi Main Zikar-e-Haq Nisaab Hai) x2
Inqelab-e-Karbala Se (Zulm Be Naqab Hai) x2
Zikar Se Hussain a.s Ke (Zamana Faiz Yaab Hai) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Haq Ke Nouha Khuwan Sabhi Zia-e-Inqelab Hain) x2
(Nazim O Ali Bhi To Nawa-e-Inqelab Hain) x2
(Nasir O Asad Qamar Liwa-e-Inqelab Hain) x2
Jafar Akber O Naqi (Sada-e-Inqelab Hain) x2
Sab Ke Sab Ye Nouha Khuwan (Bara-e-Inqelab Hain) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x2

(Hain Nadeem Sarwar O Rehan Azmi Ke Naam) x2
(Aik Zakir-e-Hussain a.s Aik Sha'ir-e-Imam a.s) x2
(Mil Gaya Dua-e-Syeda s.a Se Inko Wo Muqam) x2
Ye Azza Ki Bazm Main (Hassan a.s Hussain a.s Ke Ghulam) x2
Inke Pak Dehno'n Per (Hussainiyo'n Ke Hain Salam) x2
(Inqelab Inqelab) x2
(Issi Matam-e-Shabbir a.s Se Inqelab) x4

Jab Ali Akbar a.s Sa Beta Shah Ko Rab Ne Diya
Is Ata-e-Kibriya Par Karbala Ney Di Sadaa
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Uska Maatha Choomti Thin Umme Laila s.a Bar Bar
Uska Chehra Dekh Kar Kehti Thin Aey Parwardigar
Ye Bahar-e-Zindagi Hai Ye Merey Ghar Ki Bahaar
Ye Meri Pehli Tammana Ye Merey Dil Ka Qaraar
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Kaali Dori Bandhti Nanhi Kalaai Mein Kabhi
Nanhey Seeney Par Kabhi Karti Thin Dam Naad-e-Ali a.s
Kehti Thi Murjhaaye Na Moula Merey Dil Ki Kali
Ye Dil-e-Shabbir a.s Ye Hai Hamaari Zindagi
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Ghutniyo Chalney Laga Jiss Waqt Unka Sheerkhuwaar
Saaf Kartin Apney Aanchal Se Wo Uski Reh Guzaar
Aey Khuda Na Khaasta Chubh Jaaye Na Bachey Ki Khaar
Chaltey Chaltey Jab Wo Thakta Pusht Pe Kartin Sawaar
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Khair Se jab Umr Bhar Kar Uski is Kabil Hui
Jis me Gehwaarey ki Khuwahish Ho Na Maan Ki Goud ki
Bachpana Rukhsat Talab Ho Aur Shabab Aamed Ghari
Jab Jawaani Aa Rahi ho Aur Masseyn Hon Bheegti
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Sab Fanoon-e-Harb Sikhlatey They Abbas-e-Jari a.s
Sehan Mein Kursi Bichha Kar Maan Bhi Aksar Dekhti
Mashk Ke Doraan Ek Din Yunhi Nezey ki Anni
Choo Gayi Seeney Se Laila s.a Par Ghashi Taari Hui
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Aik Wo Din Tha ke Jab Barchhi Zara See Chubh Gai
Umme Laila s.a Kaanp Uthhin Aur Ghashi Taari Hui
Aik Ye Din Hai Mayaan-e-Karbala Dekhey Koi
Hai Jigar Ke Paar Naiza Aur Maan Hai Dekhti
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Kya Khabar Thi Umme Laila s.a Ko Wo Din Bhi Aayega
Beyaah Ka Armaan Dil Ka Dil Mein Hi Reh Jaayega
Laash-e-Qasim a.s Ki Tarha Tukro'n Me Dil Bat Jaayega
Noujawaan Ki Laash Par Sehra Sajaaya Jaayega
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Umme Laila s.a Dil Sambhaalo Arsh Se Aayi Sadaa
Barchhiyo'n Ki Simt Jaata Hai Tumhara Meh Laqaa
Yun Karo Rukhsat Ke Jaisey Ho Sama Baaraat Ka
Khaak Mein Mil Jaayegi Lalila s.a Shabih-e-Mustafa s.a.w.w
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

Kiss Tarah Rehan Ho Uss Guftagu Ka Ab Bayaan
Auratain Jab Sham Ki Kehti Theen Le Kar Siskiyaan
Jiss Jawaan Ka Nok-e-Niaza Per Sar Ayaan
Uss Jawaan Se Pehley Ya Rab Mar Gai Ho Usski Maan
(Maan Aur Ali Akbar a.s Ki Maan) x2

No Video Available For This Noha

(Ya Hussain a.s) x3
(Ya Hussain a.s) x3
Haaye Ya Hussain a.s Kushta-e-Taygh-e-Jafa
Ya Hussain a.s Sibt-e-Rasool-e-Khuda
Haaye Sar Bar Sar-e-Naiza Tera
Dar Badar Ley Gaye Bani-e-Jafa
Be Kafan Laasha-e-Be Sar Hai Ghareeb-e-Zahra s.a
Hai Badan Ghoro'n Se Pamaal Tera Wavaila
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Nainawa Dasht-e-Bala Karbala
Kyun Hui Jour O Jafa Karbala
Kiya Thi Piyaso'n Ki Khata Karbala
Kuch To Keh Kuch To Bata Karbala
Apney Mehmaan Pe Ye Bandish-e-Paani Kyun Kar
Jisski Madar a.s Ko Mehar Main Mila Houz-e-Kousar
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Aik Maqtal Main Bahattar Laashey
Bhanjey Betey Bhatijey Payasey
Para Para Huey Saarey Aisey
Ek Qura'an Ke Paarey Jaisey
Khaak Urh Urh Ke Shaheedo'n Ka Kafan Banti Thi
Khuld Se Fatima Zahra s.aKi Sada Aati Thi
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Ik Taraf Behta Tha Darya-e-Furaat
Ik Taraf Payaaso'n Pe Mushkil Thi Hayaat
Baad-e-Shabbir a.s Aseero'n Ki Woh Raat
Kaisey Guzri Tan-e-Sad Kaash Ke Saath
Koi Bhai Ko Koi Roti Thi Beto'n Ke Liye
Be Kassi Wo Thi Ke Aansu Na They Aankho'n Ke Liye
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Tashna Lab Be Watan O Be Khata
Sar Tha Sajdey Main Tah-e-Teygh Gala
Aik Aik Zakham Sey Khoon Behta Tha
Nouha Karti Thin Janab-e-Zahra s.a
Khaimey Ke Dar Pe Behan Karti Thi Faryaad O Fughaan
Jaisey Sehra Main Kisi Shakhs Ki Awaz-e-Azaan
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Mar Gaya Sher-e-Alamdar-e-Jarri a.s
Chal Gai Qasim-e-Mehroo a.s Pe Chhurri
Mar Gaya Dasht Main Hamshakl-e-Nabbi a.s
Kha Ke Seeney Pe Sitam Ki Barchhi
Ghar Ka Ghar Zainab-e-Mazloom s.a Ka Barbad Hua
Lut Gaya Shehr-e-Nabbi s.a.w.w Karbala Abaad Hua
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Kat Gaye Baazu-e-Saqqa-e-Haram a.s
Chhid Gai Mashk Hua Thanda Alam
Khaima-e-Sheh a.s Main Tha Barpa Matam
Nouha Kartey They Sabhi Ahl-e-Haram
Aey Alamdar a.s Uthho Chhinti Hai Zainab s.a Ki Rida
Koi Baaqi Na Raha Abid-e-Muztar a.s Ke Siwa
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Fatima Zahra s.a Ye Deti Hain Dua
Ta Qayamat Rahey Ye Farsh-e-Azza
Yunhi Aati Rahey Matam Ki Sada
Ho Har Ek Lab Pe Hussaini a.s Nouha
Hashar Main Sheh Ke Azaadaaro'n Se Pursa Loon Gi
Main Azadaaro'n Ko Jannat Ki Basharat Doon Gi
(Ya Hussain a.s) x3

Haaye Kaisey Rehan Main Likhoon Nouha
Gham Se Seena Hai Mera Karb O Bala
Aankh Se Behta Hai Khoon Ka Darya
Kartey Hain Qalb O Jigar Bhi Girya
Haaye Wo Be Kass O Mazloom Wo Be Yaar Hussain a.s
Rooyen Ge Hashar Talak Jissko Azadaar-e-Hussain a.s
(Ya Hussain a.s) x3