No Video Available For This Noha

hussain hussain hussain
hum hussaini hai dunya may phaile huwe

sakhtiya karbala ki hai jhele huwe
hussain hussain hussain

hum pe saaya wafa aur wafadaar ka
dhoop may jaise saaya ho dewaar ka
sar pe parcham hai sheh ke alamdar ka
har qadam bad rahe hai ye kehte hue
hussain hussain hussain

hai ye dharti agar laal shehbaaz ki
laal shehbaaz ke bhi wali hai ali
sarfarazi isi dar se sab ko mili
wajr may kyun na har ek qalandar kahe
hussain hussain hussain

khaja ajmer ho ya nizam o fari
sheh ke dushman ko kehte hai ye bhi yazeed
sheh ka gham inke maslat may haq ki na di
kitne ehzaz inko ye keh kar milay
hussain hussain hussain

haq parasti ke dunya may haami raho
gar ho mazloom zaalim ko badne na do
zer e khanjar hussaini sada wo suno
aaj bhi jis se zaalim hai dehle hue
hussain hussain hussain

mard wo hai jo waade ko poora kare
zer e khanjar bhi haq baat kehta rahe
sar rahe ya na rahe ghar lutay ya bache
bin tere aur kis may hai ye hausle
hussain hussain hussain

aandhiya hum ko roke ye mumkin nahi
wo ghame sheh se moday ye mumkin nahi
rasme gham kaise choray ye mumkin nahi
hum to roz e azal se hi tere hue
hussain hussain hussain

kulle emaan mushkil kusha hai ali
keh rahe hai nussairi khuda hai ali
ye khuda jaanta hai ke kya hai ali
saare ausaaf hyder ke tujh may milay
hussain hussain hussain

khyber o khandaq o nehrwan o jamal
zarb e hyder ka koi nahi hai badal
ay zamaane kabhi raah e hyder pe chal
tere dil bhi milega ye kehte hue
hussain hussain hussain

hum azadaar hai kitne khuddaar hai
deke khushiyan jo gham ke talab-gaar hai
shadi o gham may sarwar ke ghamkhwar hai
ek hi naam hai lab kabhi jo hilay
hussain hussain hussain

ashk roke agar hum to phat jaye dil
gar na matam kare hum to kat jaye dil
apne markaz se mehwar se hat jaye dil
teri bazme aza gar na hum ko milay
hussain hussain hussain

haaye wo roz e ashoora wo sheh ki behan
dekhti thi ujad'ta jo apna chaman
khoon e akbar se gul rang tha pairahan
de rahi thi sada ban may sar peet ke
hussain hussain hussain

teri maadar ka shab ko janaza utha
teri hamsheer balwe may hai be-rida
haye tujhko kafan bhi nahi mil saka
zakhm ab tak hamare nahi wo bhare
hussain hussain hussain

ek nanhi si turbat banayi thi jab
bekasi pursa dene ko aayi thi jab
laashe asghar zameen may chupayi thi jab
daaman e sabr choota na kyun haath se
hussain hussain hussain

koi pooche to abid ke dil se zara
hai safar sham o kufa ka kaise kiya
betiyan fatema ki thi jab be-rida
chalne dete na thay pa'on ke aabile
hussain hussain hussain

ay rehan azmi zikr ho bas yehi
matam e sheh may hone na paye kami
hai yehi zindai hai yehi bandagi
mere ajdaad bhi mujh se ye keh gaye
hussain hussain hussain

No Video Available For This Noha

Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

Ayuhannas Tumhay Khoon e Hussaini a.s ki Qasam
Kam na Ho Ranj o Alam aur ye Shor e Matam

Ye Wo Matam hai jo Zahra s.a O Ali a.s Kartay rahey
Asr e Aashoor ye Matam to Nabbi s.a.w.w kartey rahey(3x)
Jab Luta Fatima Zahra s.a ka Bhara Ghar Ran Main
Alqama roti thi aur Karbobala karti thi Bain
Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

Shud Sakeena s.a Chu Giraftaar e Ajal Dar Zindaan
na Rafeeq e na Anees e dam Khuwahraan
Mar gai Sham ke Zindaan me Sakeena s.a Ghut kar
Qatal ke waqt bhi aaye nahi Bhayya Akber a.s
Dil ki hasrat rahi dil me hi rehai na mili Khoon bhara Kurta Kafan ban gaya Marqad Zindaan
Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

(Wo jo) Farzand e Jawan Kurd Seena Dar Seena
Padari Sokhta Jaan Giryaan Kuna Wawela
Mar Gaya Samney Athhara baras ka Beta
haaye is umr me sajta hai Saro'n per Sehra
Noor Aankho'n ka gaya thokarain khatay hain Hussain a.s
Dar e Khaima pe Khari Roti hai Bint e Zahra s.a
Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

Turbat e Asghar a.s E Masoom Ba Maidaan beeni
Bar Rahy Ashk Fishaan Nand Hussain a.s Ibn e Ali a.s
Aik nanhi si Lehad khod ke Maidaan main Hussain a.s
Kehty Hain Sonpa Khuda ko Tujhy aye Noor e Ain
Khak Sab Aankho'n ka Pewand Huey Umme Rubab s.a
Khali Jhoola hua aur Kokh Tumhari Ujri
Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

RakhTa shud Chadar e Zainab s.a Sar e Bazar e Jafa
Seena Kiobi ba Kunan Ahl e aza Wawela
Sar e Bazar e Jafa Bint e Ali a.s be Chadar
Bhai Athhara they koi na Raha Sar pe Magar
Rassian, Qaid e sitam, Ranj o Alam, Kunbey ka Gham
Tan Ba Taqdeer hai is hal me Bint e Zehra s.a
Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

Man na Khuwaham Deegar e Zindagi Aakhir Lashkar
Bad e Abbas a.s Alamdar o Ali e Akber a.s
Jee ke ab kia Kary Shabbir a.s ke Lashkar na rha
Wo Alamdar wo Abbas a.s E Dilawar na raha
Asr ka Waqt liye Jam e Shahadat aya
Rakh dia Sajda E Ma'abood me Shabbir a.s ne Sar
Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

Chashm E Maa Ashk Fishan dar Gham e Shabbir a.s Hanooz
Man Na Khuwaham Ma Siwa Matam e Shabbir a.s Hanooz
Ashk Aankho'n se Nahi Thamtey Hain Rehan Kabhi
Yad Aa jata hai Jab Sham ka Zindaan Kabhi
Jab bhi Qirtaas Pe Me Nouha e Shabbir a.s Likhoon
Meri Tehreer Me aata hy Merey Qalb ka Soz
Ayyuhan-Naas Shumara
ba Haq e Khoon Hussain a.s
Lehja ee gosh Numaya Idari Shewan-o-Shayn

Ayuhannas Tumhay Khoon e Hussaini a.s ki Qasam
Kam na Ho Ranj o Alam aur ye Shor e Matam

No Video Available For This Noha

Abid ne kaha aake kareeb bint e ali ke
Ab sue watan chaliye phuphi jaan mai sadqe
Sunkar ye khabar zakhm e jigar phatt gaye saare
Markad se lipat kar kiye zainab ne naale

Mai jab bhi watan jaungi bhaiyya
Bin tere na ghar jaungi bhaiyya

Atthara baras ka ali akber bhi yahi hai
Cheh maah ka nanha ali asghar bhi yahi hai
Hai khaak basar farwa ka dilber
Paamal badan qasim e muztar
Kis dil se mai ghar jaungi bhaiyya

Kya din the ke aabad tha zahra ka gulistan
Ye kiski nazar kha gayi sab ho gaya veeran
Baki nahi ab koi nigehbaan
Sab bhai mere ho gae bejaan
Marjaungi Marjaungi bhaiyya

Abbas se aur tumse hai zainab ko nidamat
Zindaan me chord aai hu dono ki imanat
Kya toot gai mujhpe qayamat
Kis darja hai zainab ko khijalat
Wo labb pe nahi laungi bhaiyya

Sota hai mera dhoop me nanha ali asghar
Kehti hai ye bano ke hai waali bhi yahi per
Zindaan me ek mar gayi dukhtar
Baithegi na ab saaye me madar
Kya kehke mai samjhaungi bhaiyya

Tayyar nahi sue watan jane ko laila
Wo kehti hai mai chord du kis tarha se tanha
Atthara baras ka mera beta
Reh jaega is bann me akela
Kaise use samjhaungi bhaiyya

Aamad ki khabar sunke "anees" aayenge saare
Ye neel numaya hai jo baazu pe rasan ke
Gar pooch liya mujhse kisi ne
Batlaungi unko mai ye kaise
Buss sharm se marr jaungi bhaiyya.

No Video Available For This Noha

Alwida ay Behan Alwida(2x)
Boley Shah e Zaman Alwida
Alwida ay Behan Alwida(3x)

Qatl ka Merey lamha qareeb aa gaya
Ek andhera sa char'on taraf chhagaya
waqt se pehley suraj bhi grehna gaya
Mai hoo tanha mera har sahara gaya
Alwida ay Behan Alwida

chaltey chaltey faqat Tum sey hai ek sawaal
Meri pyari Sakina s.a ka rakhna khayaal
Bin Merey zinda rehna hai iska mohaal
meri bachi ko honey na dena malaal
Alwida ay Behan Alwida

jab girun Apney ghoRey se soye zameen
aur jhuka doon mai sajdey may apni jabeen
mujh ko zibha karega jo shimr e laeen
tum na aajana Khaimey se bahar kaheen
Alwida ay Behan Alwida

Merey kunbey ki ab ho tumhi paasbaan
hai Mera janasheen laaghar o natawan
Rah e Koofa hai Zanjeer aur beRiyaan
ab tumharey hawaley hai ye karwaan
Alwida ay Behan Alwida

lootney aaye Khaim'on ko jab ashqiya
ho sakey to bacha lena apni Rida
Sabr karna na karna kabhi bad dua
har qadam par madadgaar hoga khuda
Alwida ay Behan Alwida

yun na Gardish may aaya sitara kabhi
yun huey thay na hum be sahara kabhi
saath ek pal na choota hamara kabhi
ab na aayega Bhai tumhara kabhi
Alwida ay Behan Alwida

ay Behan aisi bhi aayegi Reh guzar
jab miley tumko rastey may shireen ka ghar
aur pehchan le tumko shireen agar
kehna wada hua poora ay khush siyar
Alwida ay Behan Alwida

so gaye khaak par tashnalab Shaah e Deen
jal gaye Khaime aur chaadarain chhin gayin
ho gayi khaali Shabbir a.s se ye Zameen
ik sada e Alam aaj tak hai yaheen
Alwida ay Behan Alwida

Bhej Mehshar Ghareeb ul Watan par Salaam
Tashnalab Khastatan Bekafan par Salaam
Sheh ke Ansaar par Panjatan s.a.w.w par Salaam
ek Bhai pe aur ek Behan par Salaam
Alwida ay Behan Alwida

No Video Available For This Noha

Chehlum ko Karbala me jab aaien woh Bibiyan s.a
Saadat-e-Karbala

Har Bibi kar rahi thi kuch is tarhan se giriya
Saadat-e-Karbala

Chehlum ko Karbala me jab aaien woh Bibiyan s.a
Saadat-e-Karbala

Zainab s.a ne jab is zameen ko songha tu yeh kaha
Sajjad a.s kuch sunaa (x2)
Maqtal hai yeh Hussain a.s ka Amma s.a ki hai sada
Sadaat-e-Karbala

Abid a.s tarap ke boley Phuphi s.a Aap per Fida
Sach aap ne kaha (x2)
Baba a.s shaheed honge jahaan hai yehi jagah
Sadaat-e-Karbala

Kuch Bibiyan s.a yahan hen kuch Bibiyan s.a wahan
karti hui fughan (x2)
Bikhri hui theen maqtal-e-Sarwar a.s me jaa baja
Saadat-e-Karbala

Ek Bibi s.a dashte khooni me jaati hay Nehr par
Kehti ba chashm e tar (x2)
Arey Abbas a.s dene aai hun pursa Sakina s.a ka
Saadat-e-Karbala

Ghut ghut ke ladli teri zindaan me margai
Turbat waheen bani (x2)
Bhayya wo Qaid se na hoee mar ke bhi rehaa
Saadat-e-Karbala

Akbar a.s ki Qabr par hui yun Laila s.a Nohagar
Dekha na saal bhar (x2)
Aai hun Qaid e shaam se ab ho ke me reha
Saadat-e-Karbala

Bano s.a ye bain kerti theen ae mere bezubaan
Maan dhundey ab kahan (x2)
arey Batla de hay kahan mera Asghar a.s aey Karbala
Saadat-e-Karbala

Qurbaan terey ae mere Maa s.a Jaaey a.s be watan
Majboor thi Behen s.a (x2)
arey Zindan me Mujh se Teri amanat hui judaa
Saadat-e-Karbala

Rotey hain khaas-o-aam tera sun ke yeh kalaam
Ay Shaah ke ghulaam (x2)
Noha tera Anees hai Maqbool e Bargaah

No Video Available For This Noha

Sajdey Main Sar Hai Halq Pe Khanjar Ki Dhar Hai
Banda Yeah Koun Aysa Ibadat Guzar Hai
Khamosh Kaisey Tu Merey Parwardigar Hai
Dar Par Bahen Pusht Pe Qatil Sawar Hai
Is Haal Main Bhi Lab Pe Yehi Bar Bar Hai
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

Haan Ye Wahi Hussain Alahis Salaam Hai
Teri Taraf Se Jis Pe Darud-o-Salaam Hai
Sibt-e-Nabi s.a.w.w Hain Ye Shahe Aali Maqaam Hai(3x)
Jis Kai Lab'on Pe Eik Hi Kalma Mudam Hai
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

Ye Wo Hai Jis Kai Haath Main Zulf-e-Rasool s.a.w.w Thi
Terey Nabi s.a.w.w Ko Iski Har Ek Zid Qabul Thi
Baba Ali a.s Isi Ka Tha Madar Batool s.a Thi(3x)
Uski Zaban Pe Baat Yahi Misl e Phool Thi
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

Kehtey Hain Dast-e-Fatema Zahra a.s Key Aabley
Paala Hai Chakki Pees Kai Madar Ney Pyar Sai
Jannat Se Kaprey Eid Pai Bhejey Khuda Jissey(3x)
Shukr-e-Khuda Main Baat Wo Kuyun Kar Na Yeah Kahey
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

Aulad Walo Tumhi Karo Dil Sai Faisla
Wo Shakhs Jiska Beta Ho Ham Shakl-e-Mustafa s.a.w.w
Dekhey Usi Pisar Ka Wo Sina Chidda Huwa(3x)
Neza Nekaaltey Huwey Sine Sai Di Sadaa
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

Rukh Suwey Aasmaan Kiya Khaliq Ko Di Sada
Asghar a.s Shaheed Ho Gaya Akbar a.s Guzar Gaya
Lashakar Kahan Ka Mera Biradar a.s Nahi Raha(3x)
Par Bekas-o-Malool Ne Shikwa Nahi Kiya
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

Naraaz Tu Ho Mujh Sai Mujhey Kab Qubul Hai
Tu Khush Ho Ay Kareem Mujhey Sab Qubul Hai
Qaid-e-Haram Asiri-e-Zainab s.a Qubul Hai(3x)
Kya Tujh Ku Meri Baat Ye Ya Rab Qubul Hai
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

Zakhm'on Sey Choor Choor Tha Jab Fatema s.a Ka Laal
Lakht-e-Dil-e-Ali-o-Nabi (a.s) Gham Se Tha Nidhaal
Chehrey Pe Khoon Mal Kai Basad Hasrat-o-Malaal(3x)
Ki Arz Sheh Ne Shukar Hai Ay Rab-e-Zuljalaal
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Mere Ya Rab

Kesey Kah'oon Rehan Jo Sheh Pe Guzar Gai
Betey Shaheed Ho Gai Bachi Bichar Gai
Zainab s.a Dayar-e-Sham Main Jab Nangey Sar Gai
Nouk-e-Sinaa Se Suwey Falaq Ye Khabar Gai
Sad Shukr, Sad Shukr, Sad Shukr Merey Ya Rab

No Video Available For This Noha

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain (a.s)

Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Tamaam Aalam Mai Aaj Matam
Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai
Alam Ghar'on Main Sajey Huwey Hain
Diloon Main Farsh-e-Aza Bichha Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

Siyah Kaprey Siyah Chadar Gham'on Ki Gard o Ghubar Sar Par(3x)
Hai Sogwar'on Kai Ashk Jaari, Ke Sani-e-Zahra s.a Be Rida Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

Na Chasham e Pur Nam Ho Kiyu Sawali Juloos Hai Zuljanah Khali(3x)
Ke Mera Duldul Sawar Moula a.s Zamin-e-Karbal Main So Raha Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

Alam Mai Mashk-e-Sakina s.a Dekho To Momino Bas Yeah Keh Ke Rolo(3x)
Chacha a.s Bhatiji s.a Main Kiya Hai Nisbat Wafaa-e-Abbas a.s Kiya Wafa Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

Hussain a.s Peeri Main Dil Sambhaaley Ke Dil Sai Uljhi Sinaa Nikaley(3x)
Jawaan Beta Lahu Main Duba Zameen Pai Aerhi Ragar Raha Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

Na Maar Barchi Dil-e-Nabi s.a.w.w Par Abhi Huwey Hain Jawaan Akbar a.s(3x)
Ye Qatal Jisko Tu Kar Raha Hai Yehi To Ham Shakl-e-Mustafa s.a.w.w Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

Madiney Walo Khamosh Rehna Ghareeb Zainab s.a Sai Kuch Na Kehna(3x)
Basa Huwa Ghar Jo Le Gayi Thi Wo Karbala Main Ujar Gaya Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

Azaa-e-Shabbir a.s Hai Ibadat Janab-e-Zainab s.a Ki Hai Amanat(3x)
Ye Nouha Terey Qalam Sai Mehsahr Janab-e-Zahra s.a Ki Eik Ata Hai
Tamaam Aalam Mai Aaj Matam Hussain a.s Bekas Ka Ho Raha Hai

No Video Available For This Noha

Hote Rehtey They Jissey Hulla-e-Firdos Ataa
woh Shahenshah-e-Zaman, Jis Ko Kafan Bhi Na Mila(2x)

Woh Muhammad s.a.w.w Ka Nawasa Woh Hussain Ibn-e-Ali a.s
Gulshan-e-Fatema Zahra s.a Ki woh Masoom Kali
Naam Hai Panjatan-e-Pak Main Ba Harf-e-Jali
Hurmat e Deen-e-Khuda Jis Ki Shahaadat Main Dhali
Hote Rehtey They Jisay Hulla-e-Firdos Ata
Woh Shahenshah-e-Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Jhoola Jibreel Ney Bachpan Main Jholaya woh Hussain a.s
Dosh Par Jis Ko Payambar s.a.w.w Ney Bithaya woh Hussain a.s
Jis Pay Quran Kai Paroon Ka Tha Saya wOh Hussain a.s
Pani Dil Khol Kai Dushman Ko Pilaya woh Hussain a.s
Haaye Us Bekas-o-Nadaar Ko Pani Na Diya
Woh Shahenshah-e-Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Dasht Main Gher Liya Jis Ku Bula Kar Mehmaan
Samney Jis Key Tarapta Raha Akbar a.s Sa Jawan
Khench Li Jis Nai Jawan Betey Ke Seeney Se Sina
Jis Kai Hathoon Pai Huwa Qatl Pisar Guncha Dahan
Akheri Nasir-e-Mazloom Bhi Jis Ka Na Raha
Woh Shahenshah-e-Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Khoob Rotey Hain Jo Apna Koi Mar Jata Hai
Laasha Be Waali-o-Waris Ka Kafan Pata Hai
Aur Taras Khaa ke Usey Koi Bhi Dafnaata Hai
Taaziyat Kai Liye Dushman Bhi Chala Aata Hai
Haaye Afsos Jigar Gosha-e-Mehboob-e-Khuda
Woh Shahenshah-e-Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Haaye Pamaal Hui Laash-e-Hussain Ibn-e-Ali a.s
Bhai Ki Laash Pai Mazloom Bahan Ro Na Saki
Laash e Uryaa'n Pai Lahu Chasm e Falaq Roti Thi
Kalma Parhtey They Payambar Ka Aur Hanstey They Shaqi
Laash Par Jamti Thi Khaq Aur Yey Deti Thi Sada
Woh Shahenshah-e-Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Parcham-e-Hazrat-e-Abbas a.s Uthane Waley(2x)
Raheyn Aabaad Aza Khaney Sajaaney Waley
Aur Salamat Raheyn Nouh'on Ku Sunaney Waley
Gham-e-Sarwar a.s Main Hain Jo Ashk Bahaney Waley
Fatema Zahra s.a Unhey Khuld Main Deti Hain Dua
Woh Shahenshah-e-Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Zikr-e-Moula a.s Main Qalam Rok Na Apna Mehshar
Dekh Zainab s.a Ki Nahi Sar Pey Abhi Tak Chaadar
Pursa Deta Rahey Ash'aar Sey Sheh Ka Mehshar
Rakh Tasawwur Mai Kai Hai Dashat Main Laash-e-Sarwar a.s
Laash e Uryaan Ku Urrhata Rahey Nouh'on Ki Rida
Woh Shahenshah-e-Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila