No Video Available For This Noha
No Lyrics Available For This Noha
No Video Available For This Noha
No Lyrics Available For This Noha
No Video Available For This Noha
No Lyrics Available For This Noha
No Video Available For This Noha
No Lyrics Available For This Noha
No Video Available For This Noha
No Lyrics Available For This Noha
No Video Available For This Noha
No Lyrics Available For This Noha
No Video Available For This Noha

yeh khat mein baba se kehti thi fatima sughra
rajab ki teesri ko tumne ghr kiya veeraa'n
tumhare baad hui teen eidei'n baba jaan
shabe ba'raat hui, doorse mahine ayaa'n
ba roohe ghamzaa na thi mujh mein fateha ki tabaa
tamaam roz tadapte tadapte raat hui
humare ghar mein na eide shabe ba'raat
yeh eid toh gayi din eid e fitr ka aaya
ghar aa'n kar meri humjoliyo'n ne rulwaaya
kisi ne gehna kisi ne libas dikhlaaya
koi yeh boli ke eidi mei humne yeh paaya
har ek khush tha magar mere lab pe naale the
arey safar mein sab mere eidi ke dene wale the

woh khush ho eid mein kya talq ka jo maara ho
arey kasam lo baba jo kurta phata utaara ho
agar che aana watan mein jo phir tumhara ho
dobaara eid ho navroz phir dobara ho
humari eid toh qunbe ki deed hai baba
jab aap aayei'n usi roz eid hai baba

nazar mein phirta hai eide guzista ka aana
woh eid gaah mein akbar ka dhooom se jaana
bahan ke waaste mewe khareed kar laana
woh amma baano ka har dum gale se liptaana
bajooz ab toh bagalgeer jiske hoti hu
arey behen sakina ko main yaad karke roti hu

aur suna hai jabse watan aate hai shahe akraam
khushi se fatima sughra ka hai ajab aalam
kabhi toh jhukti thi sajde mein woh burida e nam
kabhi yeh kehti kyun naani jeee gaye hai hum
arey watan mein aaj shahe mashraqain aate hai
arey gale lago mere baba hussain aate hai

qaleja peet ke sughra ne tab kiya yeh kalaam
kafa hu main toh bhala inse ab mujhe kya kaam
tadap ke yeh 6 mahine kiye hai maine tamaam
khabar na li meri hai ab nahi gile ka muqaaam
arey gale lagaaenge bhaiyya toh muh na kholungi
woh pehle aayein yaa baad aayein main na bolungi

hua yeh sunte hi ummul bani ke dil pe tapa
utha ke haath kaha khair kijiye yaa rabb
badhi yeh keh jo woh zauja-e-ameer-e-arab
nazar pada use ghoda pisar ka haaye gazab
hujoom e khalq se paas uske jaa na sakti thi
bandha tha zee'n se alam mashq ek latakti thi

yeh nauha padhta tha ghode ke aage aage basheer
madina lutt gaya jungle mein marr gaye shabbir
gale pe dilbare zehra ke chal gayi shamsheer
kiya shaheed gareebul watan ko be tafseer
yeh zuljana shahenshahe khushkisaal ka hai
yeh kaash zeen pe lahoo fatima ke laal ka hai

suni jo sughra ne matam ke shor mein yeh sada
pachaade khaane lagi khaakh pe woh maahelaqa
hua yeh shor ke haye haye shaheede teghe jafa
tadap tadap pukaari yeh fatima sugghra
dikhaayi deta hai sab ghar luta logo'n
arey padar mera tum mein se kya hua logo'n

arey nishaane haidere karraar kyun nahi aayaa
imaame bekaso be'yaar kyun nahi aaya
humara maaliqe mukhtaar kyun nahi aaya
tumhara qafila salaar kyun nahi aaya
bataao chhawoni kis ban chhayi baba ne
arey bataao kaunsi basti basaayi baba ne

kaha aye sahibo bhaiya mere ali akbar
kahan hai chhota musafir mera ali asghar
arey kahan hai auno mohd phuphi ke lakhte jigar
bataao qasimo abbas naamwar hai kidhar
kareebe marg hu gham se main khastatan logo
arey kahan hai baali sakina meri bahan logo